Ezekiel 34 · 31 verses

यहेजकेल 34 Ezekiel 34 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 34.

1

यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

2

हे मनुष्य के सन्तान, इस्राएल के चरवाहों के विरुद्ध भविष्यद्वाणी कर के उन चरवाहों से कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता हे, हाय इस्राएल के चरवाहों पर जो अपने अपने पेट भरते हैं! क्या चरवाहों को भेड़- बकरियों का पेट न भरना चाहिए?

He manushya ke santaan, Israel ke charvahon ke viruddh bhavishyadwani kar ke un charvahon se kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta he, haay Israel ke charvahon par jo apne apne pet bharte hain! Kya charvahon ko bhed- bakriyon ka pet na bharna chahiye?

3

तुम लोग चर्बी खाते, ऊन पहिनते और मोटे मोटे पशुओं को काटते हो; परन्तु भेड़-बकरियों को तुम नहीं चराते।

Tum log charbi khate, oon pahinte aur mote mote pashuon ko katte ho; parantu bhed-bakriyon ko tum nahi charate.

4

तुम ने बीमारों को बलवान न किया, न रोगियों को चंगा किया, न घायलों के घावों को बान्धा, न निकाली हुई को फेर लाए, न खोई हुई को खोजा, परन्तु तुम ने बल और जबरदस्ती से अधिकार चलाया है।

Tum ne beemaron ko balvaan na kiya, na rogiyon ko changa kiya, na ghaylon ke ghavon ko bandha, na nikali hui ko pher laye, na khoi hui ko khoja, parantu tum ne bal aur jabardasti se adhikaar chalaya hai.

5

वे चरवाहे के न होने के कारण तितर-बितर हुई; और सब वनपशुओं का आहार हो गईं।

Ve charvahe ke na hone ke karan titar-bitar hui; aur sab vanapshuon ka aahaar ho gai.

6

मेरी भेड़-बकरियां तितर-बितर हुई हैं; वे सारे पहाड़ों और ऊंचे ऊंचे टीलों पर भटकती थीं; मेरी भेड़-बकरियां सारी पृथ्वी के ऊपर तितर-बितर हुईं; और न तो कोई उनकी सुधि लेता था, न कोई उन को ढूंढ़ता था।

Meri bhed-bakriyan titar-bitar hui hain; ve sare pahadon aur oonche oonche teelon par bhatakti thi; meri bhed-bakriyan sari prithvi ke oopar titar-bitar hui; aur na to koi unki sudhi leta tha, na koi un ko dhoondhta tha.

7

इस कारण, हे चरवाहो, यहोवा का वचन सुनो।

Is karan, he charvaho, Yahowa ka vachan suno.

8

परमेश्वर यहोवा की यह वाणी है, मेरे जीवन की सौगन्ध, मेरी भेड़-बकरियां जो लुट गई, और मेरी भेड़-बकरियां जो चरवाहे के न होने के कारण सब वनपशुओं का आहार हो गई; और इसलिये कि मेरे चरवाहों ने मेरी भेड़-बकरियों की सुधि नहीं ली, और मेरी भेड़- बकरियों का पेट नहीं, अपना ही अपना पेट भरा;

Parmeshwar Yahowa ki yah vani hai, mere jeevan ki saugandh, meri bhed-bakriyan jo lut gai, aur meri bhed-bakriyan jo charvahe ke na hone ke karan sab vanapshuon ka aahaar ho gai; aur isliye ki mere charvahon ne meri bhed-bakriyon ki sudhi nahi li, aur meri bhed- bakriyon ka pet nahi, apna hi apna pet bhara;

9

इस कारण हे चरवाहो, यहोवा का वचन सुनो,

Is karan he charvaho, Yahowa ka vachan suno,

10

परमेश्वर यहोवा यों कहता हे, देखो, मैं चरवाहों के विरुद्ध हूँ; और मैं उन से अपनी भेड़-बकरियों का लेखा लूंगा, और उन को फिर उन्हें चराने न दूंगा; वे फिर अपना अपना पेट भरने न पाएंगे। मैं अपनी भेड़-बकरियां उनके मुंह से छुड़ाऊंगा कि आगे को वे उनका आहार न हों।

Parmeshwar Yahowa yon kahta he, dekho, main charvahon ke viruddh hoon; aur main un se apni bhed-bakriyon ka lekha loonga, aur un ko phir unhein charane na doonga; ve phir apna apna pet bharne na payenge. Main apni bhed-bakriyan unke munh se chhudaoonga ki aage ko ve unka aahaar na hon.

11

क्योंकि परमेश्वर यहोवा यों कहता है, देखो, मैं आप ही अपनी भेड़-बकरियों की सुधि लूंगा, और उन्हें ढूंढ़ूंगा।

Kyonki Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, dekho, main aap hi apni bhed-bakriyon ki sudhi loonga, aur unhein dhoondhoonga.

12

जैसे चरवाहा अपनी भेड़-बकरियों में से भटकी हुई को फिर से अपने झुण्ड में बटोरता है, वैसे ही मैं भी अपनी भेड़-बकरियों को बटोरूंगा; मैं उन्हे उन सब स्थानों से निकाल ले आऊंगा, जहां जहां वे बादल और घोर अन्धकार के दिन तितर-बितर हो गई हों।

Jaise charvaha apni bhed-bakriyon mein se bhatki hui ko phir se apne jhund mein batorta hai, vaise hi main bhi apni bhed-bakriyon ko batoroonga; main unhe un sab sthanon se nikaal le aaoonga, jahan jahan ve badal aur ghor andhakaar ke din titar-bitar ho gai hon.

13

और मैं उन्हें देश देश के लोगों में से निकालूंगा, और देश देश से इकट्ठा करूंगा, और उन्हीं के निज भूमि में ले आऊंगा; और इस्राएल के पहाड़ों पर ओर नालों में और उस देश के सब बसे हुए स्थानों में चराऊंगा।

Aur main unhein desh desh ke logon mein se nikaloonga, aur desh desh se ikattha karoonga, aur unhi ke nij bhoomi mein le aaoonga; aur Israel ke pahadon par or nalon mein aur us desh ke sab base hue sthanon mein charaoonga.

14

मैं उन्हें अच्छी चराई में चराऊंगा, और इस्राएल के ऊंचे ऊंचे पहाड़ों पर उन को चराई मिलेगी; वहां वे अच्छी हरियाली में बैठा करेंगी, और इस्राएल के पहाड़ों पर उत्तम से उत्तम चराई चरेंगी।

Main unhein achchhi charai mein charaoonga, aur Israel ke oonche oonche pahadon par un ko charai milegi; vahan ve achchhi hariyali mein baitha karengi, aur Israel ke pahadon par uttam se uttam charai charengi.

15

मैं आप ही अपनी भेड़-बकरियों का चरवाहा हूंगा, और मैं आप ही उन्हें बैठाऊंगा, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Main aap hi apni bhed-bakriyon ka charvaha hoonga, aur main aap hi unhein baithaoonga, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

16

मैं खोई हुई को ढूंढ़ूंगा, और निकाली हुई को फेर लाऊंगा, और घायल के घाव बान्धूंगा, और बीमार को बलवान् करूंगा, और जो मोटी और बलवन्त हैं उन्हें मैं नाश करूंगा; मैं उनकी चरवाही न्याय से करूंगा।

Main khoi hui ko dhoondhoonga, aur nikali hui ko pher laoonga, aur ghayal ke ghaav bandhoonga, aur beemaar ko balvaan karoonga, aur jo moti aur balvant hain unhein main naash karoonga; main unki charvahi nyaay se karoonga.

17

और हे मेरे झुण्ड, तुम से परमेश्वर यहोवा यों कहता है, देखो मैं भेड़-भेड़ के बीच और मेढ़ों और बकरों के बीच न्याय करता हूँ।

Aur he mere jhund, tum se Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, dekho main bhed-bhed ke beech aur medhon aur bakron ke beech nyaay karta hoon.

18

क्या तुम्हें यह छोटी बात जान पड़ती है कि तुम अच्छी चराई चर लो और शेष चराई को अपने पांवों से रौंदो; और क्या तुम्हें यह छोटी बात जान पड़ती है कि तुम निर्मल जल पी लो और शेष जल को अपने पांवों से गंदला करो?

Kya tumhein yah chhoti baat jaan padti hai ki tum achchhi charai char lo aur shesh charai ko apne panvon se raundo; aur kya tumhein yah chhoti baat jaan padti hai ki tum nirmal jal pi lo aur shesh jal ko apne panvon se gandla karo?

19

और क्या मेरी भेड़-बकरियों को तुम्हारे पांवों से रौंदे हुए को चरना, और तुम्हारे पांवों से गंदले किए हुए को पीना पड़ेगा?

Aur kya meri bhed-bakriyon ko tumhare panvon se raunde hue ko charna, aur tumhare panvon se gandle kiye hue ko peena padega?

20

इस कारण परमेश्वर यहोवा उन से यों कहता है, देखो, मैं आप मोटी और दुबली भेड़-बकरियों के बीच न्याय करूंगा।

Is karan Parmeshwar Yahowa un se yon kahta hai, dekho, main aap moti aur dubli bhed-bakriyon ke beech nyaay karoonga.

21

तुम जो सब बीमारों को पांजर और कन्धे से यहां तक ढकेलते और सींग से यहां तक मारते हो कि वे तितर-बितर हो जाती हैं,

Tum jo sab beemaron ko panjar aur kandhe se yahan tak dhakelte aur seeng se yahan tak marte ho ki ve titar-bitar ho jati hain,

22

इस कारण मैं अपनी भेड़-बकरियों को छुड़ाऊंगा, और वे फिर न लुटेंगी, और मैं भेड़-भेड़ के और बकरी-बकरी के बीच न्याय करूंगा।

Is karan main apni bhed-bakriyon ko chhudaoonga, aur ve phir na lutengi, aur main bhed-bhed ke aur bakri-bakri ke beech nyaay karoonga.

23

और मैं उन पर ऐसा एक चरवाहा ठहराऊंगा जो उनकी चरवाही करेगा, वह मेरा दास दाऊद होगा, वही उन को चराएगा, और वही उनका चरवाहा होगा।

Aur main un par aisa ek charvaha thahraoonga jo unki charvahi karega, vah mera daas Daud hoga, vahi un ko charayega, aur vahi unka charvaha hoga.

24

और मैं, यहोवा, उनका परमेश्वर ठहरूंगा, और मेरा दास दाऊद उनके बीच प्रधान होगा; मुझ यहोवा ही ने यह कहा है।

Aur main, Yahowa, unka Parmeshwar thahroonga, aur mera daas Daud unke beech pradhaan hoga; mujh Yahowa hi ne yah kaha hai.

25

मैं उनके साथ शान्ति की वाचा बान्धूंगा, और दुष्ट जन्तुओं को देश में न रहने दूंगा; सो वे जंगल में निडर रहेंगे, और वन में सोएंगे।

Main unke saath shanti ki vacha bandhoonga, aur dusht jantuon ko desh mein na rahne doonga; so ve jangal mein nidar rahenge, aur van mein soyenge.

26

और मैं उन्हें और अपनी पहाड़ी के आस पास के स्थानों को आशीष का कारण बना दूंगा; और मेंह को मैं ठीक समय में बरसाया करूंगा; और वे आशीषों की वर्षा होंगी।

Aur main unhein aur apni pahadi ke aas paas ke sthanon ko aasheesh ka karan bana doonga; aur menh ko main theek samay mein barsaya karoonga; aur ve aasheeshon ki varsha hongi.

27

और मैदान के वृक्ष फलेंगे और भूमि अपनी उपज उपजाएगी, और वे अपने देश में निडर रहेंगे; जब मैं उनके जूए को तोड़ कर उन लोगों के हाथ से छुड़ाऊंगा, जो उन से सेवा कराते हैं, तब वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।

Aur maidaan ke vriksh phalenge aur bhoomi apni upaj upjayegi, aur ve apne desh mein nidar rahenge; jab main unke jooye ko tod kar un logon ke haath se chhudaoonga, jo un se seva karate hain, tab ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.

28

वे फिर जाति-जाति से लूटे न जाएंगे, और न वनपशु उन्हें फाड़ खाएंगे; वे निडर रहेंगे, और उन को कोई न डराएगा।

Ve phir jati-jati se loote na jayenge, aur na vanapshu unhein phaad khayenge; ve nidar rahenge, aur un ko koi na darayega.

29

और मैं उनके लिये महान बारियां उपजाऊंगा, और वे देश में फिर भूखों न मरेंगे, और न जाति-जाति के लोग फिर उनकी निन्दा करेंगे।

Aur main unke liye mahaan bariyan upjaoonga, aur ve desh mein phir bhookhon na marenge, aur na jati-jati ke log phir unki ninda karenge.

30

और वे जानेंगे कि मैं परमेश्वर यहोवा, उनके संग हूँ, और वे जो इस्राएल का घराना है, वे मेरी प्रजा हैं, मुझ परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Aur ve janenge ki main Parmeshwar Yahowa, unke sang hoon, aur ve jo Israel ka gharana hai, ve meri praja hain, mujh Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

31

तुम तो मेरी भेड़-बकरियां, मेरी चराई की भेड़-बकरियां हो, तुम तो मनुष्य हो, और मैं तुम्हारा परमेश्वर हूँ, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Tum to meri bhed-bakriyan, meri charai ki bhed-bakriyan ho, tum to manushya ho, aur main tumhara Parmeshwar hoon, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.