बारहवें वर्ष के बारहवें महीने के पहिले दिन को यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Barahvein varsh ke barahvein maheene ke pahile din ko Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
Ezekiel 32 · 32 verses
बारहवें वर्ष के बारहवें महीने के पहिले दिन को यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Barahvein varsh ke barahvein maheene ke pahile din ko Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, मिस्र के राजा फिरौन के विषय विलाप का गीत बनाकर उसको सुना: जाति जाति में तेरी उपमा जवान सिंह से दी गई थी, परन्तु तू समुद्र के मगर के समान है; तू अपनी नदियों में टूट पड़ा, और उनके जल को पांवों से मथकर गंदला कर दिया।
He manushya ke santaan, Misr ke raja Firaun ke vishay vilaap ka geet banakar usko suna: jati jati mein teri upma javaan sinh se di gai thi, parantu tu samudra ke magar ke samaan hai; tu apni nadiyon mein toot pada, aur unke jal ko panvon se mathkar gandla kar diya.
परमेश्वर यहोवा यों कहता है, मैं बहुत सी जातियों की सभा के द्वारा तुझ पर अपना जाल फैलाऊंगा, और वे तुझे मेरे महाजाल में खींच लेंगे।
Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, main bahut si jatiyon ki sabha ke dwara tujh par apna jaal phailaoonga, aur ve tujhe mere mahajaal mein kheench lenge.
तब मैं तुझे भूमि पर छोड़ूंगा, और मैदान में फेंक कर आकाश के सब पक्षियों को तुझ पर बैठाऊंगा; और तेरे मांस से सारी पृथ्वी के जीवजन्तुओं को तृप्त करूंगा।
Tab main tujhe bhoomi par chhodoonga, aur maidaan mein phenk kar aakaash ke sab pakshiyon ko tujh par baithaoonga; aur tere maans se sari prithvi ke jeevjantuon ko tript karoonga.
मैं तेरे मांस को पहाड़ों पर रखूंगा, और तराइयों को तेरी ऊंचाई से भर दूंगा।
Main tere maans ko pahadon par rakhoonga, aur taraiyon ko teri oonchai se bhar doonga.
और जिस देश में तू तैरता है, उसको पहाड़ों तक मैं तेरे लोहू से खींचूंगा; और उसके नाले तुझ से भर जाएंगे।
Aur jis desh mein tu tairta hai, usko pahadon tak main tere lohu se kheenchoonga; aur uske nale tujh se bhar jayenge.
जिस समय मैं तुझे मिटाने लगूं, उस समय मैं आकाश को ढांपूंगा और तारों को धुन्धला कर दूंगा; मैं सूर्य को बादल से छिपाऊंगा, और चन्द्रमा अपना प्रकाश न देगा।
Jis samay main tujhe mitane lagun, us samay main aakaash ko dhampoonga aur taron ko dhundhala kar doonga; main soorya ko badal se chhipaoonga, aur chandrama apna prakaash na dega.
आकाश में जितनी प्रकाशमान ज्योतियां हैं, उन सब को मैं तेरे कारण धुन्धला कर दूंगा, और तेरे देश में अन्धकार कर दूंगा, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।
Aakaash mein jitni prakashmaan jyotiyan hain, un sab ko main tere karan dhundhala kar doonga, aur tere desh mein andhakaar kar doonga, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.
जब मैं तेरे विनाश का समाचार जाति जाति में और तेरे अनजाने देशों में फैलाऊंगा, तब बड़े बड़े देशों के लोगों के मन में रिस उपजाऊंगा।
Jab main tere vinaash ka samachaar jati jati mein aur tere anjane deshon mein phailaoonga, tab bade bade deshon ke logon ke man mein ris upjaoonga.
मैं बहुत सी जातियों को तेरे कारण विस्मित कर दूंगा, और जब मैं उनके राजाओं के साम्हने अपनी तलवार भेजूंगा, तब तेरे कारण उनके रोएं खड़े हो जाएंगे, और तेरे गिरने के दिन वे अपने अपने प्राण के लिये कांपते रहेंगे।
Main bahut si jatiyon ko tere karan vismit kar doonga, aur jab main unke rajaon ke samhane apni talvaar bhejoonga, tab tere karan unke royen khade ho jayenge, aur tere girne ke din ve apne apne praan ke liye kampte rahenge.
क्योंकि परमेश्वर यहोवा यों कहता है, बाबुल के राजा की तलवार तुझ पर चलेगी।
Kyonki Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, babul ke raja ki talvaar tujh par chalegi.
मैं तेरी भीड़ को ऐसे शूरवीरों की तलवारों के द्वारा गिराऊंगा जो सब जातियों में भयानक हैं। वे मिस्र के घमण्ड को तोड़ेंगे, और उसकी सारी भीड़ का सत्यानाश होगा।
Main teri bheed ko aise shoorveeron ki talvaron ke dwara giraoonga jo sab jatiyon mein bhayanak hain. Ve Misr ke ghamand ko todenge, aur uski sari bheed ka satyanaash hoga.
मैं उसके सब पशुओं को उसके बहुतेरे जलाशयों के तीर पर से नाश करूंगा; और भविष्य में वे न तो मनुष्य के पांव से और न पशुओं के खुरों से गंदले किए जाएंगे।
Main uske sab pashuon ko uske bahutere jalashyon ke teer par se naash karoonga; aur bhavishya mein ve na to manushya ke paanv se aur na pashuon ke khuron se gandle kiye jayenge.
तब मैं उनका जल निर्मल कर दूंगा, और उनकी नदियां तेल की नाईं बहेंगी, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।
Tab main unka jal nirmal kar doonga, aur unki nadiyan tel ki nai bahengi, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.
जब मैं मिस्र देश को उजाड़ कर दूंगा और जिस से वह भरपूर है, उस से छूछा कर दूंगा, और जब मैं उसके सब रहने वालों को मारूंगा, तब वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।
Jab main Misr desh ko ujaad kar doonga aur jis se vah bharpoor hai, us se chhoochha kar doonga, aur jab main uske sab rahne valon ko maroonga, tab ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.
लोगों के विलाप करने के लिये विलाप का गीत यही है; जाति-जाति की स्त्रियां इसे गाएंगी; मिस्र और उसकी सारी भीड़ के विषय वे यही विलापगीत गाएंगी, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।
Logon ke vilaap karne ke liye vilaap ka geet yahi hai; jati-jati ki striyan ise gayengi; Misr aur uski sari bheed ke vishay ve yahi vilapgeet gayengi, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.
फिर बारहवें वर्ष के पहिले महीने के पन्द्रहवें दिन को यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir barahvein varsh ke pahile maheene ke pandrahvein din ko Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, मिस्र की भीड़ के लिये हाय-हाय कर, और उसको प्रतापी जातियों की बेटियों समेत कबर में गड़े हुओं के पास अधोलोक में उतार।
He manushya ke santaan, Misr ki bheed ke liye haay-haay kar, aur usko pratapi jatiyon ki betiyon samet kabar mein gade huon ke paas adholok mein utaar.
तू किस से मनोहर है? तू उतर कर खतनाहीनों के संग पड़ा रह।
Tu kis se manohar hai? Tu utar kar khatnaheenon ke sang pada rah.
वे तलवार से मरे हुओं के बीच गिरेंगे, उन के लिये तलवार ही ठहराई गई है; सो मिस्र को उसकी सारी भीड़ समेत घसीट ले जाओ।
Ve talvaar se mare huon ke beech girenge, un ke liye talvaar hi thahrai gai hai; so Misr ko uski sari bheed samet ghaseet le jao.
सामर्थी शूरवीर उस से और उसके सहायकों से अधोलोक में बातें करेंगे; वे खतनाहीन लोग वहां तलवार से मरे पड़े हैं।
Samarthi shoorveer us se aur uske sahaykon se adholok mein batein karenge; ve khatnaheen log vahan talvaar se mare pade hain.
अपनी सारी सभा समेत अश्शूर भी वहां है, उसकी कबरें उसके चारों ओर हैं; सब के सब तलवार से मारे गए हैं।
Apni sari sabha samet ashshoor bhi vahan hai, uski kabrein uske charon or hain; sab ke sab talvaar se mare gaye hain.
उसकी कबरें गड़हे के कोनों में बनी हुई हैं, और उसकी कबर के चारों ओर उसकी सभा है; वे सब के सब जो जीवनलोक में भय उपजाते थे, अब तलवार से मरे पड़े हैं।
Uski kabrein gadhe ke konon mein bani hui hain, aur uski kabar ke charon or uski sabha hai; ve sab ke sab jo jeevanlok mein bhay upjate the, ab talvaar se mare pade hain.
वहां एलाम है, और उसकी कबर की चारों ओर उसकी सारी भीड़ है; वे सब के सब तलवार से मारे गए हैं, वे खतनाहीन अधोलोक में उतर गए हैं; वे जीवनलोक में भय उपजाते थे, परन्तु अब कबर में और गड़े हुओं के संग उनके मुंह पर भी सियाही छाई हुई है।
Vahan elaam hai, aur uski kabar ki charon or uski sari bheed hai; ve sab ke sab talvaar se mare gaye hain, ve khatnaheen adholok mein utar gaye hain; ve jeevanlok mein bhay upjate the, parantu ab kabar mein aur gade huon ke sang unke munh par bhi siyahi chhai hui hai.
उसकी सारी भीड़ समेत उसे मारे हुओं के बीच सेज मिली, उसकी कबरें उसी के चारों ओर हैं, वे सब के सब खतनाहीन तलवार से मारे गए; उन्होंने जीवनलोक में भय उपजाया था, परन्तु अब कबर में और गड़े हुओं के संग उनके मुंह पर सियाही छाई हुई है; और वे मरे हुओं के बीच रखे गए हैं।
Uski sari bheed samet use mare huon ke beech sej mili, uski kabrein usi ke charon or hain, ve sab ke sab khatnaheen talvaar se mare gaye; unhonne jeevanlok mein bhay upjaya tha, parantu ab kabar mein aur gade huon ke sang unke munh par siyahi chhai hui hai; aur ve mare huon ke beech rakhe gaye hain.
वहां सारी भीड़ समेत मेशेक और तूबल हैं, उनके चारों ओर कबरें हैं; वे सब के सब खतनाहीन तलवार से मारे गए, क्योंकि जीवनलोक में वे भय उपजाते थे।
Vahan sari bheed samet meshek aur toobal hain, unke charon or kabrein hain; ve sab ke sab khatnaheen talvaar se mare gaye, kyonki jeevanlok mein ve bhay upjate the.
और उन गिरे हुए खतनाहीन शूरवीरों के संग वे पड़े न रहेंगे जो अपने अपने युद्ध के हथियार लिए हुए अधोलोक में उतर गए हैं, वहां उनकी तलवारें उनके सिरों के नीचे रखी हुई हैं, और उनके अधर्म के काम उनकी हड्डियों में व्यापे हैं; क्योंकि जीवनलोक में उन से शूरवीरों को भी भय उपजता था।
Aur un gire hue khatnaheen shoorveeron ke sang ve pade na rahenge jo apne apne yuddh ke hathiyaar liye hue adholok mein utar gaye hain, vahan unki talvarein unke siron ke neeche rakhi hui hain, aur unke adharm ke kaam unki haddiyon mein vyape hain; kyonki jeevanlok mein un se shoorveeron ko bhi bhay upajta tha.
इसलिये तू भी खतनाहीनों के संग अंग-भंग हो कर तलवार से मरे हुओं के संग पड़ा रहेगा।
Isliye tu bhi khatnaheenon ke sang ang-bhang ho kar talvaar se mare huon ke sang pada rahega.
वहां एदोम और उसके राजा और उसके सारे प्रधान हैं, जो पराक्रमी होने पर भी तलवार से मरे हुओं के संग रखे हैं; गड़हे में गड़े हुए खतनाहीन लोगों के संग वे भी पड़े रहेंगे।
Vahan edom aur uske raja aur uske sare pradhaan hain, jo parakrami hone par bhi talvaar se mare huon ke sang rakhe hain; gadhe mein gade hue khatnaheen logon ke sang ve bhi pade rahenge.
वहां उत्तर दिशा के सारे प्रधान और सारे सीदोनी भी हैं जो मरे हुओं के संग उतर गए; उन्होंने अपने पराक्रम से भय उपजाया था, परन्तु अब वे लज्जित हुए और तलवार से और मरे हुओं के साथ वे भी खतनाहीन पड़े हुए हैं, और कबर में अन्य गड़े हुओं के संग उनके मुंह पर भी सियाही छाई हुई है।
Vahan uttar disha ke sare pradhaan aur sare seedoni bhi hain jo mare huon ke sang utar gaye; unhonne apne parakram se bhay upjaya tha, parantu ab ve lajjit hue aur talvaar se aur mare huon ke saath ve bhi khatnaheen pade hue hain, aur kabar mein anya gade huon ke sang unke munh par bhi siyahi chhai hui hai.
इन्हें देख कर फिरौन भी अपनी सारी भीड़ के विषय में शान्ति पाएगा, हां फिरौन और उसकी सारी सेना जो तलवार से मारी गई है, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।
Inhein dekh kar Firaun bhi apni sari bheed ke vishay mein shanti payega, han Firaun aur uski sari sena jo talvaar se mari gai hai, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.
क्योंकि मैं ने उसके कारण जीवनलोक में भय उपजाया था; इसलिये वह सारी भीड़ समेत तलवार से और मरे हुओं के सहित खतनाहीनों के बीच लिटाया जाएगा, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।
Kyonki main ne uske karan jeevanlok mein bhay upjaya tha; isliye vah sari bheed samet talvaar se aur mare huon ke sahit khatnaheenon ke beech litaya jayega, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.