Ezekiel 31 · 18 verses

यहेजकेल 31 Ezekiel 31 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 31.

1

ग्यारहवें वर्ष के तीसरे महीने के पहिले दिन को यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Gyarahvein varsh ke teesre maheene ke pahile din ko Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

2

हे मनुष्य के सन्तान, मिस्र के राजा फिरौन और उसकी भीड़ से कह, अपनी बड़ाई में तू किस के समान है।

He manushya ke santaan, Misr ke raja Firaun aur uski bheed se kah, apni badai mein tu kis ke samaan hai.

3

देख, अश्शूर तो लबानोन का एक देवदार था जिसकी सुन्दर सुन्दर शाखें, घनी छाया देतीं और बड़ी ऊंची थीं, और उसकी फुनगी बादलों तक पहुंचती थी।

Dekh, ashshoor to labanon ka ek devdaar tha jiski sundar sundar shakhein, ghani chhaya deti aur badi oonchi thi, aur uski phungi badlon tak pahunchti thi.

4

जल ने उसे बढ़ाया, उस गहिरे जल के कारण वह ऊंचा हुआ, जिस से नदियां उसके स्थान के चारों ओर बहती थीं, और उसकी नालियां निकल कर मैदान के सारे वृक्षों के पास पहुंचती थीं।

Jal ne use badhaya, us gahire jal ke karan vah ooncha huaa, jis se nadiyan uske sthaan ke charon or bahti thi, aur uski naliyan nikal kar maidaan ke sare vrikshon ke paas pahunchti thi.

5

इस कारण उसकी ऊंचाई मैदान के सब वृक्षों से अधिक हुई; उसकी टहनियां बहुत हुईं, और उसकी शाखाएं लम्बी हो गईं, क्योंकि जब वे निकलीं, तब उन को बहुत जल मिला।

Is karan uski oonchai maidaan ke sab vrikshon se adhik hui; uski tahniyan bahut hui, aur uski shakhayen lambi ho gai, kyonki jab ve nikli, tab un ko bahut jal mila.

6

उसकी टहनियों में आकाश के सब प्रकार के पक्षी बसेरा करते थे, और उसकी शाखाओं के नीचे मैदान के सब भांति के जीवजन्तु जन्मते थे; और उसकी छाया में सब बड़ी जातियां रहती थीं।

Uski tahniyon mein aakaash ke sab prakaar ke pakshi basera karte the, aur uski shakhaon ke neeche maidaan ke sab bhanti ke jeevjantu janmate the; aur uski chhaya mein sab badi jatiyan rahti thi.

7

वह अपनी बड़ाई और अपनी डालियों की लम्बाई के कारण सुन्दर हुआ; क्योंकि उसकी जड़ बहुत जल के निकट थी।

Vah apni badai aur apni daliyon ki lambai ke karan sundar huaa; kyonki uski jad bahut jal ke nikat thi.

8

परमेश्वर की बारी के देवदार भी उसको न छिपा सकते थे, सनौबर उसकी टहनियों के समान भी न थे, और न अर्मोन वृक्ष उसकी शाखाओं के तुल्य थे; परमेश्वर की बारी का भी कोई वृक्ष सुन्दरता में उसके बराबर न था।

Parmeshwar ki bari ke devdaar bhi usko na chhipa sakte the, sanaubar uski tahniyon ke samaan bhi na the, aur na armon vriksh uski shakhaon ke tulya the; Parmeshwar ki bari ka bhi koi vriksh sundarta mein uske barabar na tha.

9

मैं ने उसे डालियों की बहुतायत से सुन्दर बनाया था, यहां तक कि एदेन के सब वृक्ष जो परमेश्वर की बारी में थे, उस से डाह करते थे।

Main ne use daliyon ki bahutayat se sundar banaya tha, yahan tak ki eden ke sab vriksh jo Parmeshwar ki bari mein the, us se daah karte the.

10

इस कारण परमेश्वर यहोवा ने यों कहा है, उसकी ऊंचाई जो बढ़ गई, और उसकी फुनगी जो बादलों तक पहुंची है, और अपनी ऊंचाई के कारण उसका मन जो फूल उठा है,

Is karan Parmeshwar Yahowa ne yon kaha hai, uski oonchai jo badh gai, aur uski phungi jo badlon tak pahunchi hai, aur apni oonchai ke karan uska man jo phool utha hai,

11

इसलिये जातियों में जो सामर्थी है, मैं उसी के हाथ उसको कर दूंगा, और वह निश्चय उस से बुरा व्यवहार करेगा। उसकी दुष्टता के कारण मैं ने उसको निकाल दिया है।

Isliye jatiyon mein jo samarthi hai, main usi ke haath usko kar doonga, aur vah nishchay us se bura vyavhaar karega. Uski dushtata ke karan main ne usko nikaal diya hai.

12

परदेशी, जो जातियों में भयानक लोग हैं, वे उसको काट कर छोड़ देंगे, उसकी डालियां पहाड़ों पर, और सब तराइयों में गिराई जाएंगी, और उसकी शाखाएं देश के सब नालों में टूटी पड़ी रहेंगी, और जाति जाति के सब लोग उसकी छाया को छोड़ कर चले जाएंगे।

Pardeshi, jo jatiyon mein bhayanak log hain, ve usko kaat kar chhod denge, uski daliyan pahadon par, aur sab taraiyon mein girai jayengi, aur uski shakhayen desh ke sab nalon mein tooti padi rahengi, aur jati jati ke sab log uski chhaya ko chhod kar chale jayenge.

13

उस गिरे हुए वृक्ष पर आकाश के सब पक्षी बसेरा करते हैं, और उसकी शाखाओं के ऊपर मैदान के सब जीवजन्तु चढ़ने पाते हैं।

Us gire hue vriksh par aakaash ke sab pakshi basera karte hain, aur uski shakhaon ke oopar maidaan ke sab jeevjantu chadhne pate hain.

14

यह इसलिये हुआ है कि जल के पास के सब वृक्षों में से कोई अपनी ऊंचाई न बढ़ाए, न अपनी फुनगी को बादलों तक पहुंचाए, और उन में से जितने जल पाकर दृढ़ हो गए हैं वे ऊंचे होने के कारण सिर न उठाएं; क्योंकि वे भी सब के सब कबर में गड़े हुए मनुष्यों के समान मृत्यु के वश कर के अधोलोक में डाल दिए जाएंगे।

Yah isliye huaa hai ki jal ke paas ke sab vrikshon mein se koi apni oonchai na badhaye, na apni phungi ko badlon tak pahunchaye, aur un mein se jitne jal pakar dridh ho gaye hain ve oonche hone ke karan sir na uthayen; kyonki ve bhi sab ke sab kabar mein gade hue manushyon ke samaan mrityu ke vash kar ke adholok mein daal diye jayenge.

15

परमेश्वर यहोवा यों कहता है, जिस दिन वह अधोलोक में उतर गया, उस दिन मैं ने विलाप कराया और गहिरे समुद्र को ढांप दिया, और नदियों का बहुत जल रुक गया; और उसके कारण मैं ने लबानोन पर उदासी छा दी, और मैदान के सब वृक्ष मूर्छित हुए।

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, jis din vah adholok mein utar gaya, us din main ne vilaap karaya aur gahire samudra ko dhaamp diya, aur nadiyon ka bahut jal ruk gaya; aur uske karan main ne labanon par udasi chha di, aur maidaan ke sab vriksh moorchhit hue.

16

जब मैं ने उसको कबर में गड़े हुओं के पास अधोलोक में फेंक दिया, तब उसके गिरने के शब्द से जाति जाति थरथरा गई, और एदेन के सब वृक्ष अर्थात लबानोन के उत्तम उत्तम वृक्षों ने, जितने उस से जल पाते हैं, उन सभों ने अधोलोक में शान्ति पाई।

Jab main ne usko kabar mein gade huon ke paas adholok mein phenk diya, tab uske girne ke shabd se jati jati tharathra gai, aur eden ke sab vriksh arthaat labanon ke uttam uttam vrikshon ne, jitne us se jal pate hain, un sabhon ne adholok mein shanti pai.

17

वे भी उसके संग तलवार से मारे हुओं के पास अधोलोक में उतर गए; अर्थात वे जो उसकी भुजा थे, और जाति जाति के बीच उसकी छाया में रहते थे।

Ve bhi uske sang talvaar se mare huon ke paas adholok mein utar gaye; arthaat ve jo uski bhuja the, aur jati jati ke beech uski chhaya mein rahte the.

18

सो महिमा और बड़ाई के विषय में एदेन के वृक्षों में से तू किस के समान है? तू तो एदेन के और वृक्षों के साथ अधोलोक में उतारा जाएगा, और खतनाहीन लोगों के बीच तलवार से मारे हुओं के संग पड़ा रहेगा। फिरौन अपनी सारी भेड़-भाड़ समेत यों ही होगा, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

So mahima aur badai ke vishay mein eden ke vrikshon mein se tu kis ke samaan hai? Tu to eden ke aur vrikshon ke saath adholok mein utara jayega, aur khatnaheen logon ke beech talvaar se mare huon ke sang pada rahega. Firaun apni sari bhed-bhaad samet yon hi hoga, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.