और उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, अपने पांवों के बल खड़ा हो, और मैं तुझ से बातें करूंगा।
Aur usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, apne panvon ke bal khada ho, aur main tujh se batein karoonga.
Ezekiel 2 · 10 verses
और उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, अपने पांवों के बल खड़ा हो, और मैं तुझ से बातें करूंगा।
Aur usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, apne panvon ke bal khada ho, aur main tujh se batein karoonga.
जैसे ही उसने मुझ से यह कहा, त्योंही आत्मा ने मुझ में समाकर मुझे पांवों के बल खड़ा कर दिया; और जो मुझ से बातें करता था मैं ने उसकी सुनी।
Jaise hi usne mujh se yah kaha, tyonhi aatma ne mujh mein samakar mujhe panvon ke bal khada kar diya; aur jo mujh se batein karta tha main ne uski suni.
और उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, मैं तुझे इस्राएलियों के पास अर्थात बलवा करने वाली जाति के पास भेजता हूँ, जिन्होंने मेरे विरुद्ध बलवा किया है; उनके पुरखा और वे भी आज के दिन तक मेरा अपराध करते चले आए हैं।
Aur usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, main tujhe Israeliyon ke paas arthaat balva karne vali jati ke paas bhejta hoon, jinhonne mere viruddh balva kiya hai; unke purkha aur ve bhi aaj ke din tak mera apraadh karte chale aaye hain.
इस पीढ़ी के लोग जिनके पास मैं तुझे भेजता हूँ, वे निर्लज्ज और हठीले हैं;
Is peedhi ke log jinke paas main tujhe bhejta hoon, ve nirlajj aur hatheele hain;
और तू उन से कहना, प्रभु यहोवा यों कहता हे, इस से वे, जो बलवा करने वाले घराने के हैं, चाहे वे सुनें व न सुनें, तौभी वे इतना जान लेंगे कि हमारे बीच एक भविष्यद्वक्ता प्रगट हुआ है।
Aur tu un se kahna, Prabhu Yahowa yon kahta he, is se ve, jo balva karne vale gharane ke hain, chahe ve sunein va na sunein, taubhi ve itna jaan lenge ki hamare beech ek bhavishyadwakta pragat huaa hai.
और हे मनुष्य के सन्तान, तू उन से न डरना; चाहे तुझे कांटों, ऊंटकटारों और बिच्छुओं के बीच भी रहना पड़े, तौभी उनके वचनों से न डरना; यद्यपि वे बलवई घराने के हैं, तौभी न तो उनके वचनों से डरना, और न उनके मुंह देख कर तेरा मन कच्चा हो।
Aur he manushya ke santaan, tu un se na darna; chahe tujhe kanton, oontaktaron aur bichchhuon ke beech bhi rahna pade, taubhi unke vachnon se na darna; yadyapi ve balvai gharane ke hain, taubhi na to unke vachnon se darna, aur na unke munh dekh kar tera man kachcha ho.
सो चाहे वे सुनें या न सुनें; तौभी तू मेरे वचन उन से कहना, वे तो बड़े बलवई हैं।
So chahe ve sunein ya na sunein; taubhi tu mere vachan un se kahna, ve to bade balvai hain.
परन्तु हे मनुष्य के सन्तान, जो मैं तुझ से कहता हूँ, उसे तू सुन ले, उस बलवई घराने के समान तू भी बलवई न बनना; जो मैं तुझे देता हूँ, उसे मुंह खोल कर खा ले।
Parantu he manushya ke santaan, jo main tujh se kahta hoon, use tu sun le, us balvai gharane ke samaan tu bhi balvai na banna; jo main tujhe deta hoon, use munh khol kar kha le.
तब मैं ने दृष्टि की और क्या देख, कि मेरी ओर एक हाथ बढ़ा हुआ है और उस में एक पुस्तक है।
Tab main ne drishti ki aur kya dekh, ki meri or ek haath badha huaa hai aur us mein ek pustak hai.
उसको उसने मेरे साम्हने खोल कर फैलाया, ओर वह दोनों ओर लिखी हुई थी; और जो उस में लिखा था, वे विलाप और शोक और दु:ख भरे वचन थे।
Usko usne mere samhane khol kar phailaya, or vah donon or likhi hui thi; aur jo us mein likha tha, ve vilaap aur shok aur dukh bhare vachan the.