Ezekiel 29 · 21 verses

यहेजकेल 29 Ezekiel 29 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 29.

1

दसवें वर्ष के दसवें महीने के बारहवें दिन को यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Dasvein varsh ke dasvein maheene ke barahvein din ko Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

2

हे मनुष्य के सन्तान, अपना मुख मिस्र के राजा फिरौन की ओर कर के उसके और सारे मिस्र के विरुद्ध भविष्यद्वाणी कर;

He manushya ke santaan, apna mukh Misr ke raja Firaun ki or kar ke uske aur sare Misr ke viruddh bhavishyadwani kar;

3

यह कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता हे, हे मिस्र के राजा फिरौन, मैं तेरे विरुद्ध हूँ, हे बड़े नगर, तू जो अपनी नदियों के बीच पड़ा रहता है, जिसने कहा है कि मेरी नदी मेरी निज की है, और मैं ही ने उसको अपने लिये बनाया है।

Yah kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta he, he Misr ke raja Firaun, main tere viruddh hoon, he bade nagar, tu jo apni nadiyon ke beech pada rahta hai, jisne kaha hai ki meri nadi meri nij ki hai, aur main hi ne usko apne liye banaya hai.

4

मैं तेरे जबड़ों में आँकड़े डालूंगा, और तेरी नदियों की मछलियों को तेरी खाल में चिपटाऊंगा, और तेरी खाल में चिपक्की हुई तेरी नदियों की सब मछलियों समेत तुझ को तेरी नदियों में से निकालूंगा।

Main tere jabdon mein aankde daloonga, aur teri nadiyon ki machhliyon ko teri khaal mein chiptaoonga, aur teri khaal mein chipakki hui teri nadiyon ki sab machhliyon samet tujh ko teri nadiyon mein se nikaloonga.

5

तब मैं तुझे तेरी नदियों की सारी मछलियों समेत जंगल में निकाल दूंगा, और तू मैदान में पड़ा रहेगा; किसी भी प्रकार से तेरी सुधि न ली जाएगी। मैं ने तुझे वन पशुओं और आकाश के पक्षियों का आहार कर दिया है।

Tab main tujhe teri nadiyon ki sari machhliyon samet jangal mein nikaal doonga, aur tu maidaan mein pada rahega; kisi bhi prakaar se teri sudhi na li jayegi. Main ne tujhe van pashuon aur aakaash ke pakshiyon ka aahaar kar diya hai.

6

तब मिस्र के सारे निवासी जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ। वे तो इस्राएल के घराने के लिये नरकट की टेक ठहरे थे।

Tab Misr ke sare nivasi jaan lenge ki main Yahowa hoon. Ve to Israel ke gharane ke liye narkat ki tek thahre the.

7

जब उन्होंने तुझ पर हाथ का बल दिया तब तू टूट गया और उनके पखौड़े उखड़ ही गए; और जब उन्होंने तुझ पर टेक लगाई, तब तू टूट गया, और उनकी कमर की सारी नसें चढ़ गई।

Jab unhonne tujh par haath ka bal diya tab tu toot gaya aur unke pakhaude ukhad hi gaye; aur jab unhonne tujh par tek lagai, tab tu toot gaya, aur unki kamar ki sari nasein chadh gai.

8

इस कारण प्रभु यहोवा यों कहता है, देख, मैं तुझ पर तलवार चलवा कर, तेरे मनुष्य और पशु, सभों को नाश करूंगा।

Is karan Prabhu Yahowa yon kahta hai, dekh, main tujh par talvaar chalva kar, tere manushya aur pashu, sabhon ko naash karoonga.

9

तब मिस्र देश उजाड़ ही उजाड़ होगा; और वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ। उस ने कहा है कि मेरी नदी मेरी अपनी ही है, और मैं ही ने उसे बनाया।

Tab Misr desh ujaad hi ujaad hoga; aur ve jaan lenge ki main Yahowa hoon. Us ne kaha hai ki meri nadi meri apni hi hai, aur main hi ne use banaya.

10

इस कारण देख, मैं तेरे और तेरी नदियों के विरुद्ध हूँ, और मिस्र देश को मिग्दोल से ले कर सवेने तक वरन कूश देश के सिवाने तक उजाड़ ही उजाड़ कर दूंगा।

Is karan dekh, main tere aur teri nadiyon ke viruddh hoon, aur Misr desh ko migdol se le kar savene tak varan koosh desh ke sivane tak ujaad hi ujaad kar doonga.

11

चालीस वर्ष तक उस में मनुष्य वा पशु का पांव तक न पड़ेगा; और न उस में कोई बसेगा।

Chalees varsh tak us mein manushya va pashu ka paanv tak na padega; aur na us mein koi basega.

12

चालीस वर्ष तक मैं मिस्र देश को उजड़े हुए देशों के बीच उजाड़ कर रखूंगा; और उसके नगर उजड़े हुए नगरों के बीच खण्डहर ही रहेंगे। मैं मिस्रियों को जाति जाति में छिन्न-भिन्न कर दूंगा, और देश देश में तितर-बितर कर दूंगा।

Chalees varsh tak main Misr desh ko ujde hue deshon ke beech ujaad kar rakhoonga; aur uske nagar ujde hue nagron ke beech khandahar hi rahenge. Main misriyon ko jati jati mein chhinn-bhinn kar doonga, aur desh desh mein titar-bitar kar doonga.

13

परमेश्वर यहोवा यों कहता है कि चालीस वर्ष के बीतने पर मैं मिस्रियों को उन जातियों के बीच से इकट्ठा करूंगा, जिन में वे तितर-बितर हुए;

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai ki chalees varsh ke beetne par main misriyon ko un jatiyon ke beech se ikattha karoonga, jin mein ve titar-bitar hue;

14

और मैं मिस्रियों को बंधुआई से छुड़ाकर पत्रास देश में, जो उनकी जन्मभूमि है, फिर पहुंचाऊंगा; और वहां उनका छोटा सा राज्य हो जाएगा।

Aur main misriyon ko bandhuaai se chhudakar patraas desh mein, jo unki janmabhoomi hai, phir pahunchaoonga; aur vahan unka chhota sa rajya ho jayega.

15

वह सब राज्यों में से छोटा होगा, और फिर अपना सिर और जातियों के ऊपर न उठाएगा; क्योंकि मैं मिस्रियों को ऐसा घटाऊंगा कि वे अन्यजातियों पर फिर प्रभुता न करने पाएंगे।

Vah sab rajyon mein se chhota hoga, aur phir apna sir aur jatiyon ke oopar na uthayega; kyonki main misriyon ko aisa ghataoonga ki ve anyajatiyon par phir prabhuta na karne payenge.

16

और वह फिर इस्राएल के घराने के भरोसे का कारण न होगा, क्योंकि जब वे फिर उनकी ओर देखने लगें, तब वे उनके अधर्म को स्मरण करेंगे। और तब वे जान लेंगे कि मैं परमेश्वर यहोवा हूँ।

Aur vah phir Israel ke gharane ke bharose ka karan na hoga, kyonki jab ve phir unki or dekhne lagein, tab ve unke adharm ko smaran karenge. Aur tab ve jaan lenge ki main Parmeshwar Yahowa hoon.

17

फिर सत्ताइसवें वर्ष के पहले महीने के पहिले दिन को यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir sattaisvein varsh ke pahle maheene ke pahile din ko Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

18

हे मनुष्य के सन्तान, बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने सोर के घेरने में अपनी सेना से बड़ा परिश्रम कराया; हर एक का सिर चन्दला हो गया, और हर एक के कन्धों का चमड़ा उड़ गया; तौभी उसको सोर से न तो इस बड़े परिश्रम की मज़दूरी कुछ मिली और न उसकी सेना को।

He manushya ke santaan, babul ke raja nabookadnessar ne sor ke gherne mein apni sena se bada parishram karaya; har ek ka sir chandala ho gaya, aur har ek ke kandhon ka chamda ud gaya; taubhi usko sor se na to is bade parishram ki mazdoori kuchh mili aur na uski sena ko.

19

इस कारण परमेश्वर यहोवा यों कहता हे, देख, मैं बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर को मिस्र देश दूंगा; और वह उसकी भीड़ को ले जाएगा, और उसकी धन सम्पत्ति को लूटकर अपना कर लेगा; सो यही मजदूरी उसकी सेना को मिलेगी।

Is karan Parmeshwar Yahowa yon kahta he, dekh, main babul ke raja nabookadnessar ko Misr desh doonga; aur vah uski bheed ko le jayega, aur uski dhan sampatti ko lootkar apna kar lega; so yahi majdoori uski sena ko milegi.

20

मैं ने उसके परिश्रम के बदले में उसको मिस्र देश इस कारण दिया है कि उन लोगों ने मेरे लिये काम किया था, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी हे।

Main ne uske parishram ke badle mein usko Misr desh is karan diya hai ki un logon ne mere liye kaam kiya tha, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani he.

21

उसी समय मैं इस्राएल के घराने का एक सींग उगाऊंगा, और उनके बीच तेरा मुंह खोलूंगा। और वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।

Usi samay main Israel ke gharane ka ek seeng ugaoonga, aur unke beech tera munh kholoonga. Aur ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.