यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
Ezekiel 28 · 26 verses
यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, सोर के प्रधान से कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता है कि तू ने मन में फूलकर यह कहा है, मैं ईश्वर हूँ, मैं समुद्र के बीच परमेश्वर के आसन पर बैठा हूँ, परन्तु, यद्यपि तू अपने आप को परमेश्वर सा दिखाता है, तौभी तू ईश्वर नहीं, मनुष्य ही है।
He manushya ke santaan, sor ke pradhaan se kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai ki tu ne man mein phoolkar yah kaha hai, main ishwar hoon, main samudra ke beech Parmeshwar ke aasan par baitha hoon, parantu, yadyapi tu apne aap ko Parmeshwar sa dikhata hai, taubhi tu ishwar nahi, manushya hi hai.
तू दानिय्येल से अधिक बुद्धिमान तो है; कोई भेद तुझ से छिपा न होगा;
Tu daniyyel se adhik buddhimaan to hai; koi bhed tujh se chhipa na hoga;
तू ने अपनी बुद्धि और समझ के द्वारा धन प्राप्त किया, और अपने भण्डारों में सोना-चान्दी रखा है;
Tu ne apni buddhi aur samajh ke dwara dhan praapt kiya, aur apne bhandaron mein sona-chandi rakha hai;
तू ने बड़ी बुद्धि से लेन-देन किया जिस से तेरा धन बढ़ा, और धन के कारण तेरा मन फूल उठा है।
Tu ne badi buddhi se len-den kiya jis se tera dhan badha, aur dhan ke karan tera man phool utha hai.
इस कारण परमेश्वर यहोवा यों कहता है, तू जो अपना मन परमेश्वर सा दिखाता है,
Is karan Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, tu jo apna man Parmeshwar sa dikhata hai,
इसलिये देख, मैं तुझ पर ऐसे परदेशियों से चढ़ाई कराऊंगा, जो सब जातियों से अधिक बलात्कारी हैं; वे अपनी तलवारें तेरी बुद्धि की शोभा पर चलाएंगे और तेरी चमक-दमक को बिगाड़ेंगे।
Isliye dekh, main tujh par aise pardeshiyon se chadhai karaoonga, jo sab jatiyon se adhik balatkari hain; ve apni talvarein teri buddhi ki shobha par chalayenge aur teri chamak-damak ko bigadenge.
वे तुझे कबर में उतारेंगे, और तू समुद्र के बीच के मारे हुओं की रीति पर मर जाएगा।
Ve tujhe kabar mein utarenge, aur tu samudra ke beech ke mare huon ki reeti par mar jayega.
तब, क्या तू अपने घात करने वाले के साम्हने कहता रहेगा कि तू परमेश्वर है? तू अपने घायल करने वाले के हाथ में ईश्वर नहीं, मनुष्य ही ठहरेगा।
Tab, kya tu apne ghaat karne vale ke samhane kahta rahega ki tu Parmeshwar hai? Tu apne ghayal karne vale ke haath mein ishwar nahi, manushya hi thahrega.
तू परदेशियों के हाथ से खतनाहीन लोगों की नाईं मारा जाएगा; क्योंकि मैं ही ने ऐसा कहा है, परमेश्वर यहोवा की यह वाणी है।
Tu pardeshiyon ke haath se khatnaheen logon ki nai mara jayega; kyonki main hi ne aisa kaha hai, Parmeshwar Yahowa ki yah vani hai.
फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, सोर के राजा के विषय में विलाप का गीत बनाकर उस से कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, तू तो उत्तम से भी उत्तम है; तू बुद्धि से भरपूर और सर्वांग सुन्दर है।
He manushya ke santaan, sor ke raja ke vishay mein vilaap ka geet banakar us se kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, tu to uttam se bhi uttam hai; tu buddhi se bharpoor aur sarvaang sundar hai.
तू परमेश्वर की एदेन नाम बारी में था; तेरे पास आभूषण, माणिक, पद्मराग, हीरा, फीरोज़ा, सुलैमानी मणि, यशब, नीलमणि, मरकद, और लाल सब भांति के मणि और सोने के पहिरावे थे; तेरे डफ और बांसुलियां तुझी में बनाई गईं थीं; जिस दिन तू सिरजा गया था; उस दिन वे भी तैयार की गई थीं।
Tu Parmeshwar ki eden naam bari mein tha; tere paas aabhooshan, manik, padmaraag, heera, pheeroza, sulaimani mani, yashab, neelamni, markad, aur laal sab bhanti ke mani aur sone ke pahirave the; tere daph aur bansuliyan tujhi mein banai gai thi; jis din tu sirja gaya tha; us din ve bhi taiyaar ki gai thi.
तू छानेवाला अभिषिक्त करूब था, मैं ने तुझे ऐसा ठहराया कि तू परमेश्वर के पवित्र पर्वत पर रहता था; तू आग सरीखे चमकने वाले मणियों के बीच चलता फिरता था।
Tu chhanevala abhishikt karoob tha, main ne tujhe aisa thahraya ki tu Parmeshwar ke pavitra parvat par rahta tha; tu aag sareekhe chamakne vale maniyon ke beech chalta phirta tha.
जिस दिन से तू सिरजा गया, और जिस दिन तक तुझ में कुटिलता न पाई गई, उस समय तक तू अपनी सारी चालचलन में निर्दोष रहा।
Jis din se tu sirja gaya, aur jis din tak tujh mein kutilta na pai gai, us samay tak tu apni sari chalachlan mein nirdosh raha.
परन्तु लेन-देन की बहुतायत के कारण तू उपद्रव से भर कर पापी हो गया; इसी से मैं ने तुझे अपवित्र जान कर परमेश्वर के पर्वत पर से उतारा, और हे छाने वाले करूब मैं ने तुझे आग सरीखे चमकने वाले मणियों के बीच से नाश किया है।
Parantu len-den ki bahutayat ke karan tu upadrav se bhar kar papi ho gaya; isi se main ne tujhe apvitra jaan kar Parmeshwar ke parvat par se utara, aur he chhane vale karoob main ne tujhe aag sareekhe chamakne vale maniyon ke beech se naash kiya hai.
सुन्दरता के कारण तेरा मन फूल उठा था; और वैभव के कारण तेरी बुद्धि बिगड़ गई थी। मैं ने तुझे भूमि पर पटक दिया; और राजाओं के साम्हने तुझे रखा कि वे तुझ को देखें।
Sundarta ke karan tera man phool utha tha; aur vaibhav ke karan teri buddhi bigad gai thi. Main ne tujhe bhoomi par patak diya; aur rajaon ke samhane tujhe rakha ki ve tujh ko dekhein.
तेरे अधर्म के कामों की बहुतायत से और तेरे लेन-देन की कुटिलता से तेरे पवित्र स्थान अपवित्र हो गए; सो मैं ने तुझ में से ऐसी आग उत्पन्न की जिस से तू भस्म हुआ, और मैं ने तुझे सब देखने वालों के साम्हने भूमि पर भस्म कर डाला है।
Tere adharm ke kamon ki bahutayat se aur tere len-den ki kutilta se tere pavitra sthaan apvitra ho gaye; so main ne tujh mein se aisi aag utpann ki jis se tu bhasm huaa, aur main ne tujhe sab dekhne valon ke samhane bhoomi par bhasm kar dala hai.
देश देश के लोगों में से जितने तुझे जानते हैं सब तेरे कारण विस्मित हुए; तू भय का कारण हुआ है और फिर कभी पाया न जाएगा।
Desh desh ke logon mein se jitne tujhe jante hain sab tere karan vismit hue; tu bhay ka karan huaa hai aur phir kabhi paya na jayega.
यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, अपना मुख सीदोन की ओर कर के उसके विरुद्ध भविष्यद्वाणी कर,
He manushya ke santaan, apna mukh seedon ki or kar ke uske viruddh bhavishyadwani kar,
और कह, प्रभु यहोवा यों कहता है, हे सीदोन, मैं तेरे विरुद्ध हूँ; मैं तेरे बीच अपनी महिमा कराऊंगा। जब मैं उसके बीच दण्ड दूंगा और उस में अपने को पवित्र ठहराऊंगा, तब लोग जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।
Aur kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai, he seedon, main tere viruddh hoon; main tere beech apni mahima karaoonga. Jab main uske beech dand doonga aur us mein apne ko pavitra thahraoonga, tab log jaan lenge ki main Yahowa hoon.
मैं उस में मरी फैलाऊंगा, और उसकी सड़कों में लोहू बहाऊंगा; और उसके चारों ओर तलवार चलेगी; तब उसके बीच घायल लोग गिरेंगे, और वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।
Main us mein mari phailaoonga, aur uski sadkon mein lohu bahaoonga; aur uske charon or talvaar chalegi; tab uske beech ghayal log girenge, aur ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.
और इस्राएल के घराने के चारों ओर की जितनी जातियां उनके साथ अभिमान का बर्ताव करती हैं, उन में से कोई उनका चुभने वाला काँटा वा बेधने वाला शूल फिर न ठहरेगी; तब वे जान लेंगी कि मैं परमेश्वर यहोवा हूँ।
Aur Israel ke gharane ke charon or ki jitni jatiyan unke saath abhimaan ka bartaav karti hain, un mein se koi unka chubhne vala kanta va bedhne vala shool phir na thahregi; tab ve jaan lengi ki main Parmeshwar Yahowa hoon.
परमेश्वर यहोवा यों कहता है, जब में इस्राएल के घराने को उन सब लोगों में से इकट्ठा करूंगा, जिनके बीच वे तितर-बितर हुए हैं, और देश देश के लोगों के साम्हने उनके द्वारा पवित्र ठहरूंगा, तब वे उस देश में वास करेंगे जो मैं ने अपने दास याकूब को दिया था।
Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, jab mein Israel ke gharane ko un sab logon mein se ikattha karoonga, jinke beech ve titar-bitar hue hain, aur desh desh ke logon ke samhane unke dwara pavitra thahroonga, tab ve us desh mein vaas karenge jo main ne apne daas Yakub ko diya tha.
वे उस में निडर बसे रहेंगे; वे घर बना कर और दाख की बारियां लगा कर निडर रहेंगे; तब मैं उनके चारों ओर के सब लोगों को दण्ड दूंगा जो उन से अभिमान का बर्ताव करते हैं, तब वे जान लेंगे कि उनका परमेश्वर यहोवा ही है।
Ve us mein nidar base rahenge; ve ghar bana kar aur daakh ki bariyan laga kar nidar rahenge; tab main unke charon or ke sab logon ko dand doonga jo un se abhimaan ka bartaav karte hain, tab ve jaan lenge ki unka Parmeshwar Yahowa hi hai.