यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
Ezekiel 25 · 17 verses
यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, अम्मोनियों की ओर मुंह कर के उनके विषय में भविष्यद्वाणी कर।
He manushya ke santaan, ammoniyon ki or munh kar ke unke vishay mein bhavishyadwani kar.
उन से कह, हे अम्मोनियों, परमेश्वर यहोवा का वचन सुनो, परमेश्वर यहोवा यों कहता है कि तुम ने जो मेरे पवित्रस्थान के विषय जब वह अपवित्र किया गया, और इस्राएल के देश के विषय जब वह उजड़ गया, और यहूदा के घराने के विषय जब वे बंधुआई में गए, अहा, अहा! कहा!
Un se kah, he ammoniyon, Parmeshwar Yahowa ka vachan suno, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai ki tum ne jo mere pavitrasthaan ke vishay jab vah apvitra kiya gaya, aur Israel ke desh ke vishay jab vah ujad gaya, aur Yahuda ke gharane ke vishay jab ve bandhuaai mein gaye, aha, aha! Kaha!
इस कारण देखो, मैं तुझ को पूरबियों के अधिकार में करने पर हूँ; और वे तेरे बीच अपनी छावनियां डालेंगे और अपने घर बनाएंगे; वे तेरे फल खाएंगे और तेरा दूध पीएंगे।
Is karan dekho, main tujh ko poorbiyon ke adhikaar mein karne par hoon; aur ve tere beech apni chhavniyan dalenge aur apne ghar banayenge; ve tere phal khayenge aur tera doodh peeyenge.
और मैं रब्बा नगर को ऊंटों के रहने और अम्मोनियों के देश को भेड़-बकरियों के बैठने का स्थान कर दूंगा; तब तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।
Aur main rabba nagar ko oonton ke rahne aur ammoniyon ke desh ko bhed-bakriyon ke baithne ka sthaan kar doonga; tab tum jaan loge ki main Yahowa hoon.
क्योंकि परमेश्वर यहोवा यों कहता है, तुम ने जो इस्राएल के देश के कारण ताली बजाई और नाचे, और अपने सारे मन के अभिमान से आनन्द किया,
Kyonki Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, tum ne jo Israel ke desh ke karan tali bajai aur nache, aur apne sare man ke abhimaan se aanand kiya,
इस कारण देख, मैं ने अपना हाथ तेरे ऊपर बढ़ाया है; और तुझ को जाति जाति की लूट कर दूंगा, और देश देश के लोगों में से तुझे मिटाऊंगा; और देश देश में से नाश करूंगा। मैं तेरा सत्यानाश कर डालूंगा; तब तू जान लेगा कि मैं यहोवा हूँ।
Is karan dekh, main ne apna haath tere oopar badhaya hai; aur tujh ko jati jati ki loot kar doonga, aur desh desh ke logon mein se tujhe mitaoonga; aur desh desh mein se naash karoonga. Main tera satyanaash kar daloonga; tab tu jaan lega ki main Yahowa hoon.
परमेश्वर यहोवा यों कहता है, मोआब और सेईर जो कहते हैं, देखो, यहूदा का घराना और सब जातियों के समान हो गया हे।
Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, moaab aur seir jo kahte hain, dekho, Yahuda ka gharana aur sab jatiyon ke samaan ho gaya he.
इस कारण देख, मोआब के देश के किनारे के नगरों को बेत्यशीमोत, बालमोन, और किर्यातैम, जो उस देश के शिरोमणि हैं, मैं उनका मार्ग खोल कर
Is karan dekh, moaab ke desh ke kinare ke nagron ko betyasheemot, balmon, aur kiryataim, jo us desh ke shiromni hain, main unka maarg khol kar
उन्हें पूरबियों के वश में ऐसा कर दूंगा कि वे अम्मोनियों पर चढ़ाई करें; और मैं अम्मोनियों को यहां तक उनके अधिकार में कर दूंगा कि जाति जाति के बीच उनका स्मरण फिर न रहेगा।
Unhein poorbiyon ke vash mein aisa kar doonga ki ve ammoniyon par chadhai karein; aur main ammoniyon ko yahan tak unke adhikaar mein kar doonga ki jati jati ke beech unka smaran phir na rahega.
और मैं मोआब को भी दण्ड दूंगा। और वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।
Aur main moaab ko bhi dand doonga. Aur ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.
परमेश्वर यहोवा यों भी कहता है, एदोम ने जो यहूदा के घराने से पलटा लिया, और उन से बदला ले कर बड़ा दोषी हो गया है,
Parmeshwar Yahowa yon bhi kahta hai, edom ne jo Yahuda ke gharane se palta liya, aur un se badla le kar bada doshi ho gaya hai,
इस कारण परमेश्वर यहोवा यों कहता है, मैं एदोम के देश के विरुद्ध अपना हाथ बढ़ा कर उस में से मनुष्य और पशु दोनों को मिटाऊंगा; और तेमान से ले कर ददान तक उसको उजाड़ कर दूंगा; और वे तलवार से मारे जाएंगे।
Is karan Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, main edom ke desh ke viruddh apna haath badha kar us mein se manushya aur pashu donon ko mitaoonga; aur temaan se le kar dadaan tak usko ujaad kar doonga; aur ve talvaar se mare jayenge.
और मैं अपनी प्रजा इस्राएल के द्वारा एदोम से अपना बदला लूंगा; और वे उस देश में मेरे कोप और जलजलाहट के अनुसार काम करेंगे। तब वे मेरा पलटा लेना जान लेंगे, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।
Aur main apni praja Israel ke dwara edom se apna badla loonga; aur ve us desh mein mere kop aur jalajlahat ke anusaar kaam karenge. Tab ve mera palta lena jaan lenge, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.
परमेश्वर यहोवा यों कहता है, क्योंकि पलिश्ती लोगों ने पलटा लिया, वरन अपनी युग युग की शत्रुता के कारण अपने मन के अभिमान से बदला लिया कि नाश करें,
Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, kyonki palishti logon ne palta liya, varan apni yug yug ki shatruta ke karan apne man ke abhimaan se badla liya ki naash karein,
इस कारण परमेश्वर यहोवा यों कहता है, देख, मैं पलिश्तियों के विरुद्ध अपना हाथ बढ़ाने पर हूँ, और करेतियों को मिटा डालूंगा; और समुद्रतीर के बचे हुए रहने वालों को नाश करूंगा।
Is karan Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, dekh, main palishtiyon ke viruddh apna haath badhane par hoon, aur karetiyon ko mita daloonga; aur samudrateer ke bache hue rahne valon ko naash karoonga.
और मैं जलजलाहट के साथ मुक़द्दमा लड़ कर, उन से कड़ाई के साथ पलटा लूंगा। और जब मैं उन से बदला ले लूंगा, तब वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।
Aur main jalajlahat ke saath muqaddama lad kar, un se kadai ke saath palta loonga. Aur jab main un se badla le loonga, tab ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.