Ezekiel 22 · 31 verses

यहेजकेल 22 Ezekiel 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 22.

1

और यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Aur Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

2

हे मनुष्य के सन्तान, क्या तू उस हत्यारे नगर का न्याय न करेगा? क्या तू उसका न्याय न करेगा? उसको उसके सब घिनौने काम जता दे,

He manushya ke santaan, kya tu us hatyare nagar ka nyaay na karega? Kya tu uska nyaay na karega? Usko uske sab ghinaune kaam jata de,

3

और कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, हे नगर तू अपने बीच में हत्या करता है जिस से तेरा समय आए, और अपनी ही हानि करने और अशुद्ध होने के लिये मूरतें बनाता है।

Aur kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, he nagar tu apne beech mein hatya karta hai jis se tera samay aaye, aur apni hi hani karne aur ashuddh hone ke liye moortein banata hai.

4

जो हत्या तू ने की है, उस से तू दोषी ठहरी, और जो मूरतें तू ने बनाईं है, उनके कारण तू अशुद्ध हो गई है; तू ने अपने अन्त के दिन को समीप कर लिया, और अपने पिछले वर्षों तक पहुंच गई है। इस कारण मैं ने तुझे जाति जाति के लोगों की ओर से नामधराई का और सब देशों के ठट्ठे का कारण कर दिया है।

Jo hatya tu ne ki hai, us se tu doshi thahri, aur jo moortein tu ne banai hai, unke karan tu ashuddh ho gai hai; tu ne apne ant ke din ko sameep kar liya, aur apne pichhle varshon tak pahunch gai hai. Is karan main ne tujhe jati jati ke logon ki or se namadhrai ka aur sab deshon ke thatthe ka karan kar diya hai.

5

हे बदनाम, हे हुल्लड़ से भरे हुए नगर, जो निकट और जो दूर है, वे सब तुझे ठट्ठों में उड़ाएंगे।

He badnaam, he hullad se bhare hue nagar, jo nikat aur jo door hai, ve sab tujhe thatthon mein udayenge.

6

देख, इस्राएल के प्रधान लोग अपने अपने बल के अनुसार तुझ में हत्या करने वाले हुए हैं।

Dekh, Israel ke pradhaan log apne apne bal ke anusaar tujh mein hatya karne vale hue hain.

7

तुझ में माता-पिता तुच्छ जाने गए हैं; तेरे बीच परदेशी पर अन्धेर किया गया; और अनाथ और विधवा तुझ में पीसी गई हैं।

Tujh mein mata-pita tuchchh jane gaye hain; tere beech pardeshi par andher kiya gaya; aur anaath aur vidhva tujh mein peesi gai hain.

8

तू ने मेरी पवित्र वस्तुओं को तुच्छ जाना, और मेरे विश्रामदिनों को अपवित्र किया है।

Tu ne meri pavitra vastuon ko tuchchh jana, aur mere vishramdinon ko apvitra kiya hai.

9

तुझ में लुच्चे लोग हत्या करने का तत्पर हुए, और तेरे लोगों ने पहाड़ों पर भोजन किया है; तेरे बीच महापाप किया गया है।

Tujh mein luchche log hatya karne ka tatpar hue, aur tere logon ne pahadon par bhojan kiya hai; tere beech mahapaap kiya gaya hai.

10

तुझ में पिता की देह उघारी गई; तुझ में ऋतुमती स्त्री से भी भोग किया गया है।

Tujh mein pita ki deh ughari gai; tujh mein ritumti stri se bhi bhog kiya gaya hai.

11

किसी ने तुझ में पड़ोसी की स्त्री के साथ घिनौना काम किया; और किसी ने अपनी बहू को बिगाड़ कर महापाप किया है, और किसी ने अपनी बहिन अर्थात अपने पिता की बेटी को भ्रष्ट किया है।

Kisi ne tujh mein padosi ki stri ke saath ghinauna kaam kiya; aur kisi ne apni bahu ko bigaad kar mahapaap kiya hai, aur kisi ne apni bahin arthaat apne pita ki beti ko bhrasht kiya hai.

12

तुझ में हत्या करने के लिये उन्होंने घूस ली है, तू ने ब्याज और सूद लिया और अपने पड़ोसियों को पीस पीसकर अन्याय से लाभ उठाया; और मुझ को तू ने भुला दिया है, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।

Tujh mein hatya karne ke liye unhonne ghoos li hai, tu ne byaaj aur sood liya aur apne padosiyon ko pees peeskar anyaay se laabh uthaya; aur mujh ko tu ne bhula diya hai, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.

13

सो देख, जो लाभ तू ने अन्याय से उठाया और अपने बीच हत्या की है, उस से मैं ने हाथ पर हाथ दे मारा है।

So dekh, jo laabh tu ne anyaay se uthaya aur apne beech hatya ki hai, us se main ne haath par haath de mara hai.

14

सो जिन दिनों में तेरा न्याय करूंगा, क्या उन में तेरा हृदय दृढ़ और तेरे हाथ स्थिर रह सकेंगे? मुझ यहोवा ने यह कहा है, और ऐसा ही करूंगा।

So jin dinon mein tera nyaay karoonga, kya un mein tera hriday dridh aur tere haath sthir rah sakenge? Mujh Yahowa ne yah kaha hai, aur aisa hi karoonga.

15

मैं तेरे लोगों को जाति जाति में तितर-बितर करूंगा, और देश देश में छितरा दूंगा, और तेरी अशुद्धता को तुझ में से नाश करूंगा।

Main tere logon ko jati jati mein titar-bitar karoonga, aur desh desh mein chhitra doonga, aur teri ashuddhata ko tujh mein se naash karoonga.

16

और तू जाति जाति के देखते हुए अपनी ही दृष्टि में अपवित्र ठहरेगी; तब तू जान लेगी कि मैं यहोवा हूँ।

Aur tu jati jati ke dekhte hue apni hi drishti mein apvitra thahregi; tab tu jaan legi ki main Yahowa hoon.

17

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

18

हे मनुष्य के सन्तान, इस्राएल का घराना मेरी दृष्टि में धातु का मैल हो गया है; वे सब के सब भट्टी के बीच के पीतल और रांगे और लोहे और शीशे के समान बन गए; वे चान्दी के मैल के समान हो गए हैं।

He manushya ke santaan, Israel ka gharana meri drishti mein dhatu ka mail ho gaya hai; ve sab ke sab bhatti ke beech ke peetal aur range aur lohe aur sheeshe ke samaan ban gaye; ve chandi ke mail ke samaan ho gaye hain.

19

इस कारण प्रभु यहोवा उन से यों कहता है, इसलिये कि तुम सब के सब धातु के मैल के समान बन गए हो, हो देखो, मैं तुम को यरूशलेम के भीतर इकट्ठा करने पर हूँ।

Is karan Prabhu Yahowa un se yon kahta hai, isliye ki tum sab ke sab dhatu ke mail ke samaan ban gaye ho, ho dekho, main tum ko Yerushalem ke bheetar ikattha karne par hoon.

20

जैसे लोग चान्दी, पीतल, लोहा, शीशा, और रांगा इसलिये भट्ठी के भीतर बटोर कर रखते हैं कि उन्हे आग फूंककर पिघलाएं, वैसे ही मैं तुम को अपने कोप और जलजलाहट से इकट्ठा कर के वहीं रख कर पिघला दूंगा।

Jaise log chandi, peetal, loha, sheesha, aur ranga isliye bhatthi ke bheetar bator kar rakhte hain ki unhe aag phoonkkar pighlayen, vaise hi main tum ko apne kop aur jalajlahat se ikattha kar ke vahi rakh kar pighla doonga.

21

मैं तुम को वहां बटोरकर अपने रोष की आग से फूंकूंगा, और तुम उसके बीच में पिघलाए जाओगे।

Main tum ko vahan batorkar apne rosh ki aag se phoonkoonga, aur tum uske beech mein pighlaye jaoge.

22

जैसे चान्दी भट्ठी के बीच में पिघलाई जाती है, वैसे ही तुम उसके बीच में पिघलाए जाओगे; तब तुम जान लोगे कि जिसने हम पर अपनी जलजलाहट भड़काई है, वह यहोवा है।

Jaise chandi bhatthi ke beech mein pighlai jati hai, vaise hi tum uske beech mein pighlaye jaoge; tab tum jaan loge ki jisne ham par apni jalajlahat bhadkai hai, vah Yahowa hai.

23

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

24

हे मनुष्य के सन्तान, उस देश से कह, तू ऐसा देश है जो शुद्ध नहीं हुआ, और जलजलाहट के दिन में तुझ पर वर्षा नहीं हुई्र;

He manushya ke santaan, us desh se kah, tu aisa desh hai jo shuddh nahi huaa, aur jalajlahat ke din mein tujh par varsha nahi huir;

25

तेरे भविष्यद्वक्ताओं ने तुझ में राजद्रोह की गोष्ठी की, उन्होंने गरजने वाले सिंह की नाईं अहेर पकड़ा और प्राणियों को खा डाला है; वे रखे हुए अनमोल धन को छीन लेते हैं, और तुझ में बहुत स्त्रियों को विधवा कर दिया है।

Tere bhavishyadwaktaon ne tujh mein rajadroh ki goshthi ki, unhonne garajne vale sinh ki nai aher pakda aur praniyon ko kha dala hai; ve rakhe hue anmol dhan ko chheen lete hain, aur tujh mein bahut striyon ko vidhva kar diya hai.

26

उसके याजकों ने मेरी व्यवस्था का अर्थ खींच खांचकर लगाया है, और मेरी पवित्र वस्तुओं को अपवित्र किया है; उन्होंने पवित्र अपवित्र का कुछ भेद नहीं माना, और न औरों को शुद्ध-अशुद्ध का भेद सिखाया है, और वे मेरे विश्राम दिनों के विषय में निश्चिन्त रहते हैं, जिस से मैं उनके बीच अपवित्र ठहरता हूँ।

Uske yajkon ne meri vyavastha ka arth kheench khanchkar lagaya hai, aur meri pavitra vastuon ko apvitra kiya hai; unhonne pavitra apvitra ka kuchh bhed nahi mana, aur na auron ko shuddh-ashuddh ka bhed sikhaya hai, aur ve mere vishraam dinon ke vishay mein nishchint rahte hain, jis se main unke beech apvitra thaharta hoon.

27

उसके प्रधान हुंड़ारों की नाईं अहेर पकड़ते, और अन्याय से लाभ उठाने के लिये हत्या करते हैं और प्राण घात करने को तत्पर रहते हैं।

Uske pradhaan hundaron ki nai aher pakadte, aur anyaay se laabh uthane ke liye hatya karte hain aur praan ghaat karne ko tatpar rahte hain.

28

और उसके भविष्यद्वक्ता उनके लिये कच्ची लेसाई करते हैं, उनका दर्शन पाना मिथ्या है; यहोवा के बिना कुछ कहे भी वे यह कह कर झूठी भावी बताते हैं कि “प्रभु यहोवा यों कहता है”।

Aur uske bhavishyadwakta unke liye kachchi lesai karte hain, unka darshan pana mithya hai; Yahowa ke bina kuchh kahe bhi ve yah kah kar jhoothi bhavi batate hain ki “Prabhu Yahowa yon kahta hai”.

29

देश के साधारण लोग भी अन्धेर करते और पराया धन छीनते हैं, वे दीन दरिद्र को पीसते और न्याय की चिन्ता छोड़ कर परदेशी पर अन्धेर करते हैं।

Desh ke sadharan log bhi andher karte aur paraya dhan chheente hain, ve deen daridra ko peeste aur nyaay ki chinta chhod kar pardeshi par andher karte hain.

30

और मैं ने उन में ऐसा मनुष्य ढूंढ़ना चाहा जो बाड़े को सुधारे और देश के निमित्त नाके में मेरे साम्हने ऐसा खड़ा हो कि मुझे उसको नाश न करना पड़े, परन्तु ऐसा कोई न मिला।

Aur main ne un mein aisa manushya dhoondhna chaha jo bade ko sudhare aur desh ke nimitt nake mein mere samhane aisa khada ho ki mujhe usko naash na karna pade, parantu aisa koi na mila.

31

इस कारण मैं ने उन पर अपना रोष भड़काया और अपनी जलजलाहट की आग से उन्हें भस्म कर दिया है; मैं ने उनकी चाल उन्ही के सिर पर लौटा दी है, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है॥

Is karan main ne un par apna rosh bhadkaya aur apni jalajlahat ki aag se unhein bhasm kar diya hai; main ne unki chaal unhi ke sir par lauta di hai, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.