Ezekiel 20 · 49 verses

यहेजकेल 20 Ezekiel 20 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 20.

1

सातवें वर्ष के पांचवें महीने के दसवें दिन को इस्राएल के कितने पुरनिये यहोवा से प्रश्न करने को आए, और मेरे साम्हने बैठ गए।

Satvein varsh ke panchvein maheene ke dasvein din ko Israel ke kitne purniye Yahowa se prashn karne ko aaye, aur mere samhane baith gaye.

2

तब यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Tab Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

3

हे मनुष्य के सन्तान, इस्राएली पुरनियों से यह कह, प्रभु यहोवा यों कहता है, क्या तुम मुझ से प्रश्न करने को आए हो? प्रभु यहोवा की यह वाणी है कि मेरे जीवन की सौगन्ध, तुम मुझ से प्रश्न करने न पाओगे।

He manushya ke santaan, Israeli purniyon se yah kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai, kya tum mujh se prashn karne ko aaye ho? Prabhu Yahowa ki yah vani hai ki mere jeevan ki saugandh, tum mujh se prashn karne na paoge.

4

हे मनुष्य के सन्तान, क्या तू उनका न्याय न करेगा? क्या तू उनका न्याय न करेगा? उनके पुरखाओं के घिनौने काम उन्हें जता दे,

He manushya ke santaan, kya tu unka nyaay na karega? Kya tu unka nyaay na karega? Unke purkhaon ke ghinaune kaam unhein jata de,

5

और उन से कह, प्रभु यहोवा यों कहता है, जिस दिन मैं ने इस्राएल को चुन लिया, और याकूब के घराने के वंश से शपथ खाई, और मिस्र देश में अपने को उन पर प्रगट किया, और उन से शपथ खाकर कहा, मैं तुम्हारा परमेश्वर यहोवा हूँ,

Aur un se kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai, jis din main ne Israel ko chun liya, aur Yakub ke gharane ke vansh se shapath khai, aur Misr desh mein apne ko un par pragat kiya, aur un se shapath khakar kaha, main tumhara Parmeshwar Yahowa hoon,

6

उसी दिन मैं ने उन से यह भी शपथ खाई, कि मैं तुम को मिस्र देश से निकाल कर एक देश में पहुंचाऊंगा, जिसे मैं ने तुम्हारे लिये चुन लिया है; वह सब देशों का शिरोमणि है, और उस में दूध और मधु की धाराएं बहती हैं।

Usi din main ne un se yah bhi shapath khai, ki main tum ko Misr desh se nikaal kar ek desh mein pahunchaoonga, jise main ne tumhare liye chun liya hai; vah sab deshon ka shiromni hai, aur us mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain.

7

फिर मैं ने उन से कहा, जिन घिनौनी वस्तुओं पर तुम में से हर एक की आंखें लगी हैं, उन्हें फेंक दो; और मिस्र की मूरतों से अपने को अशुद्ध न करो; मैं ही तुम्हारा परमेश्वर यहोवा हूँ।

Phir main ne un se kaha, jin ghinauni vastuon par tum mein se har ek ki aankhein lagi hain, unhein phenk do; aur Misr ki moorton se apne ko ashuddh na karo; main hi tumhara Parmeshwar Yahowa hoon.

8

परन्तु वे मुझ से बिगड़ गए और मेरी सुननी न चाही; जिन घिनौनी वस्तुओं पर उनकी आंखें लगी थीं, उनकी किसी ने फेंका नहीं, और न मिस्र की मूरतों को छोड़ा। तब मैं ने कहा, मैं यहीं, मिस्र देश के बीच तुम पर अपनी जलजलाहट भड़काऊंगा। और पूरा कोप दिखाऊंगा।

Parantu ve mujh se bigad gaye aur meri sunni na chahi; jin ghinauni vastuon par unki aankhein lagi thi, unki kisi ne phenka nahi, aur na Misr ki moorton ko chhoda. Tab main ne kaha, main yahi, Misr desh ke beech tum par apni jalajlahat bhadkaoonga. Aur poora kop dikhaoonga.

9

तौभी मैं ने अपने नाम के निमित्त ऐसा किया कि जिनके बीच वे थे, और जिनके देखते हुए मैं ने उन को मिस्र देश से निकलने के लिये अपने को उन पर प्रगट किया था उन जातियों के साम्हने वे अपवित्र न ठहरे।

Taubhi main ne apne naam ke nimitt aisa kiya ki jinke beech ve the, aur jinke dekhte hue main ne un ko Misr desh se nikalne ke liye apne ko un par pragat kiya tha un jatiyon ke samhane ve apvitra na thahre.

10

मैं उन को मिस्र देश से निकाल कर जंगल में ले आया।

Main un ko Misr desh se nikaal kar jangal mein le aaya.

11

वहां उन को मैं ने अपनी विधियां बताईं और अपने नियम भी बताए कि जो मनुष्य उन को माने, वह उनके कारण जीवित रहेगा।

Vahan un ko main ne apni vidhiyan batai aur apne niyam bhi bataye ki jo manushya un ko mane, vah unke karan jeevit rahega.

12

फिर मैं ने उनके लिये अपने विश्रामदिन ठहराए जो मेरे और उनके बीच चिन्ह ठहरें; कि वे जानें कि मैं यहोवा उनका पवित्र करने वाला हूँ।

Phir main ne unke liye apne vishramdin thahraye jo mere aur unke beech chinh thahrein; ki ve janein ki main Yahowa unka pavitra karne vala hoon.

13

तौभी इस्राएल के घराने ने जंगल में मुझ से बलवा किया; वे मेरी विधियों पर न चले, और मेरे नियमों को तुच्छ जाना, जिन्हें यदि मनुष्य माने तो वह उनके कारण जीवित रहेगा; और उन्होंने मेरे विश्रामदिनों को अति अपवित्र किया। तब मैं ने कहा, मैं जंगल में इन पर अपनी जलजलाहट भड़का कर इनका अन्त कर डालूंगा।

Taubhi Israel ke gharane ne jangal mein mujh se balva kiya; ve meri vidhiyon par na chale, aur mere niymon ko tuchchh jana, jinhein yadi manushya mane to vah unke karan jeevit rahega; aur unhonne mere vishramdinon ko ati apvitra kiya. Tab main ne kaha, main jangal mein in par apni jalajlahat bhadka kar inka ant kar daloonga.

14

परन्तु मैं ने अपने नाम के निमित्त ऐसा किया कि वे उन जातियों के साम्हने, जिनके देखते मैं उन को निकाल लाया था, अपवित्र न ठहरे।

Parantu main ne apne naam ke nimitt aisa kiya ki ve un jatiyon ke samhane, jinke dekhte main un ko nikaal laya tha, apvitra na thahre.

15

फिर मैं ने जंगल में उन से शपथ खाई कि जो देश मैं ने उन को दे दिया, और जो सब देशों का शिरोमणि है, जिस में दूध और मधु की धराएं बहती हैं, उस में उन्हें न पहुंचाऊंगा,

Phir main ne jangal mein un se shapath khai ki jo desh main ne un ko de diya, aur jo sab deshon ka shiromni hai, jis mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain, us mein unhein na pahunchaoonga,

16

क्योंकि उन्होंने मेरे नियम तुच्छ जाने और मेरी विधियों पर न चले, और मेरे विश्रामदिन अपवित्र किए थे; इसलिये कि उनका मन उनकी मूरतों की ओर लगा रहा।

Kyonki unhonne mere niyam tuchchh jane aur meri vidhiyon par na chale, aur mere vishramdin apvitra kiye the; isliye ki unka man unki moorton ki or laga raha.

17

तौभी मैं ने उन पर कृपा की दृष्टि की, और उन्हें नाश न किया, और न जंगल में पूरी रीति से उनका अन्त कर डाला।

Taubhi main ne un par kripa ki drishti ki, aur unhein naash na kiya, aur na jangal mein poori reeti se unka ant kar dala.

18

फिर मैं ने जंगल में उनकी सन्तान से कहा, अपने पुरखाओं की विधियों पर न चलो, न उनकी रीतियों को मानो और न उनकी मूरतें पूजकर अपने को अशुद्ध करो।

Phir main ne jangal mein unki santaan se kaha, apne purkhaon ki vidhiyon par na chalo, na unki reetiyon ko mano aur na unki moortein poojkar apne ko ashuddh karo.

19

मैं तुम्हारा परमेश्वर यहोवा हूँ, मेरी विधियों पर चलो, ओर मेरे नियमों के मानने में चौकसी करो,

Main tumhara Parmeshwar Yahowa hoon, meri vidhiyon par chalo, or mere niymon ke manne mein chauksi karo,

20

और मेरे विश्रामदिनों को पवित्र मानो कि वे मेरे और तुम्हारे बीच चिन्ह ठहरें, और जिस से तुम जानो कि मैं तुम्हारा परमेश्वर यहोवा हूँ।

Aur mere vishramdinon ko pavitra mano ki ve mere aur tumhare beech chinh thahrein, aur jis se tum jano ki main tumhara Parmeshwar Yahowa hoon.

21

परन्तु उनकी सन्तान ने भी मुझ से बलवा किया; वे मेरी विधियों पर न चले, न मेरे नियमों के मानने में चौकसी की; जिन्हें यदि मनुष्य माने तो वह उनके कारण जीवित रहेगा; मेरे विश्रामदिनों को उन्होंने अपवित्र किया। तब मैं ने कहा, मैं जंगल में उन पर अपनी जलजलाहट भड़का कर अपना कोप दिखलाऊंगा।

Parantu unki santaan ne bhi mujh se balva kiya; ve meri vidhiyon par na chale, na mere niymon ke manne mein chauksi ki; jinhein yadi manushya mane to vah unke karan jeevit rahega; mere vishramdinon ko unhonne apvitra kiya. Tab main ne kaha, main jangal mein un par apni jalajlahat bhadka kar apna kop dikhlaoonga.

22

तौभी मैं ने हाथ खींच लिया, और अपने नाम के निमित्त ऐसा किया, कि उन जातियों के साम्हने जिनके देखते हुए मैं उन्हें निकाल लाया था, वे अपवित्र न ठहरे।

Taubhi main ne haath kheench liya, aur apne naam ke nimitt aisa kiya, ki un jatiyon ke samhane jinke dekhte hue main unhein nikaal laya tha, ve apvitra na thahre.

23

फिर मैं ने जंगल में उन से शपथ खाई, कि मैं तुम्हें जाति जाति में तितर-बितर करूंगा, और देश देश में छितरा दूंगा,

Phir main ne jangal mein un se shapath khai, ki main tumhein jati jati mein titar-bitar karoonga, aur desh desh mein chhitra doonga,

24

क्योंकि उन्होंने मेरे नियम न माने, मेरी विधियों को तुच्छ जाना, मेरे विश्रामदिनों को अपवित्र किया, और अपने पुरखाओं की मूरतों की ओर उनकी आंखें लगी रहीं।

Kyonki unhonne mere niyam na mane, meri vidhiyon ko tuchchh jana, mere vishramdinon ko apvitra kiya, aur apne purkhaon ki moorton ki or unki aankhein lagi rahi.

25

फिर मैं ने उनके लिये ऐसी ऐसी विधियां ठहराई जो अच्छी न थी और ऐसी ऐसी रीतियां जिनके कारण वे जीवित न रह सकें;

Phir main ne unke liye aisi aisi vidhiyan thahrai jo achchhi na thi aur aisi aisi reetiyan jinke karan ve jeevit na rah sakein;

26

अर्थात वे अपने सब पहिलौठों को आग में होम करने लगे; इस रीति मैं ने उन्हें उन्हीं की भेंटों के द्वारा अशुद्ध किया जिस से उन्हें निर्वंश कर डालूं; और तब वे जान लें कि मैं यहोवा हूँ।

Arthaat ve apne sab pahilauthon ko aag mein hom karne lage; is reeti main ne unhein unhi ki bhenton ke dwara ashuddh kiya jis se unhein nirvansh kar dalun; aur tab ve jaan lein ki main Yahowa hoon.

27

हे मनुष्य के सन्तान, तू इस्राएल के घराने से कह, प्रभु यहोवा यों कहता है, तुम्हारे पुरखाओं ने इस में भी मेरी निन्दा की कि उन्होंने मेरा विश्वासघात किया।

He manushya ke santaan, tu Israel ke gharane se kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai, tumhare purkhaon ne is mein bhi meri ninda ki ki unhonne mera vishwasghaat kiya.

28

क्योंकि जब मैं ने उन को उस देश में पहुंचाया, जिसके उन्हें देने की शपथ मैं ने उन से खाई थी, तब वे हर एक ऊंचे टीले और हर एक घने वृक्ष पर दृष्टि कर के वहीं अपने मेलबलि करने लगे; और वहीं रिस दिलाने वाली अपनी भेंटें चढ़ाने लगे और वहीं अपना सुखदायक सुगन्धद्रव्य जलाने लगे, और वहीं अपने तपावन देने लगे।

Kyonki jab main ne un ko us desh mein pahunchaya, jiske unhein dene ki shapath main ne un se khai thi, tab ve har ek oonche teele aur har ek ghane vriksh par drishti kar ke vahi apne melabli karne lage; aur vahi ris dilane vali apni bhentein chadhane lage aur vahi apna sukhdayak sugandhadravya jalane lage, aur vahi apne tapavan dene lage.

29

तब मैं ने उन से पूछा, जिस ऊंचे स्थान को तुम लोग जाते हो, उस से क्या प्रयोजन है? इसी से उसका नाम आज तक बामा कहलाता है।

Tab main ne un se poochha, jis oonche sthaan ko tum log jate ho, us se kya prayojan hai? Isi se uska naam aaj tak bama kahlata hai.

30

इसलिये इस्राएल के घराने से कह, प्रभु यहोवा तुम से यह पूछता है, क्या तुम भी अपने पुरखाओं की रीति पर चल कर अशुद्ध हो कर, और उनके घिनौने कामों के अनुसार व्यभिचारिणी की नाईं काम करते हो?

Isliye Israel ke gharane se kah, Prabhu Yahowa tum se yah poochhta hai, kya tum bhi apne purkhaon ki reeti par chal kar ashuddh ho kar, aur unke ghinaune kamon ke anusaar vyabhicharini ki nai kaam karte ho?

31

आज तक जब जब तुम अपनी भेंटें चढ़ाते और अपने लड़के-बालों को होम कर के आग में चढ़ाते हो, तब तब तुम अपनी मूरतों के निमित्त अशुद्ध ठहरते हो। हे इस्राएल के घराने, क्या तुम मुझ से पूछने पाओगे? प्रभु यहोवा की यह वाणी है, मेरे जीवन की शपथ तुम मुझ से पूछने न पाओगे।

Aaj tak jab jab tum apni bhentein chadhate aur apne ladke-balon ko hom kar ke aag mein chadhate ho, tab tab tum apni moorton ke nimitt ashuddh thaharte ho. He Israel ke gharane, kya tum mujh se poochhne paoge? Prabhu Yahowa ki yah vani hai, mere jeevan ki shapath tum mujh se poochhne na paoge.

32

जो बात तुम्हारे मन में आती है कि हम काठ और पत्थर के उपासक हो कर अन्यजातियों और देश देश के कुलों के समान हो जाएंगे, वह किसी भांति पूरी नहीं होने की।

Jo baat tumhare man mein aati hai ki ham kaath aur patthar ke upasak ho kar anyajatiyon aur desh desh ke kulon ke samaan ho jayenge, vah kisi bhanti poori nahi hone ki.

33

प्रभु यहोवा यों कहता है, मेरे जीवन की शपथ मैं निश्चय बली हाथ और बढ़ाई हुई भुजा से, और भड़काई हुई जलजलाहट के साथ तुम्हारे ऊपर राज्य करूंगा।

Prabhu Yahowa yon kahta hai, mere jeevan ki shapath main nishchay bali haath aur badhai hui bhuja se, aur bhadkai hui jalajlahat ke saath tumhare oopar rajya karoonga.

34

मैं बली हाथ और बढ़ाई हुई भुजा से, और भड़काई हुई जलजलाहट के साथ तुम्हें देश देश के लोगों में से अलग करूंगा, और उन देशें से जिन में तुम तितर-बितर हो गए थे, इकट्ठा करूंगा;

Main bali haath aur badhai hui bhuja se, aur bhadkai hui jalajlahat ke saath tumhein desh desh ke logon mein se alag karoonga, aur un deshein se jin mein tum titar-bitar ho gaye the, ikattha karoonga;

35

और मैं तुम्हें देश देश के लोगों के जंगल में ले जा कर, वहां आम्हने-साम्हने तुम से मुक़द्दमा लड़ूंगा।

Aur main tumhein desh desh ke logon ke jangal mein le ja kar, vahan aamhane-samhane tum se muqaddama ladoonga.

36

जिस प्रकार मैं तुम्हारे पूर्वजों से मिस्र देशरूपी जंगल में मुक़द्दमा लड़ता था, उसी प्रकार तुम से मुक़द्दमा लड़ूंगा, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।

Jis prakaar main tumhare poorvajon se Misr deshroopi jangal mein muqaddama ladta tha, usi prakaar tum se muqaddama ladoonga, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.

37

मैं तुम्हें लाठी के तले चलाऊंगा। और तुम्हें वाचा के बन्धन में डालूंगा।

Main tumhein lathi ke tale chalaoonga. Aur tumhein vacha ke bandhan mein daloonga.

38

मैं तुम में से सब बलवाइयों को निकाल कर जो मेरा अपराध करते है; तुम्हें शुद्ध करूंगा; और जिस देश में वे टिकते हैं उस में से मैं उन्हें निकाल दूंगा; परन्तु इस्राएल के देश में घुसने न दूंगा। तब तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।

Main tum mein se sab balvaiyon ko nikaal kar jo mera apraadh karte hai; tumhein shuddh karoonga; aur jis desh mein ve tikte hain us mein se main unhein nikaal doonga; parantu Israel ke desh mein ghusne na doonga. Tab tum jaan loge ki main Yahowa hoon.

39

और हे इस्राएल के घराने तुम से तो प्रभु यहोवा यों कहता है कि जा कर अपनी अपनी मूरतों की उपासना करो; और यदि तुम मेरी न सुनोगे, तो आगे को भी यही किया करो; परन्तु मेरे पवित्र नाम को अपनी भेंटों और मूरतों के द्वारा फिर अपवित्र न करना।

Aur he Israel ke gharane tum se to Prabhu Yahowa yon kahta hai ki ja kar apni apni moorton ki upasna karo; aur yadi tum meri na sunoge, to aage ko bhi yahi kiya karo; parantu mere pavitra naam ko apni bhenton aur moorton ke dwara phir apvitra na karna.

40

क्योंकि प्रभु यहोवा की यह वाणी है कि इस्राएल का सारा घराना अपने देश में मेरे पवित्र पर्वत पर, इस्राएल के ऊंचे पर्वत पर, सब का सब मेरी उपासना करेगा; वही मैं उन से प्रसन्न हूंगा, और वहीं मैं तुम्हारी उठाई हुई भेंटें और चढ़ाई हुई उत्तम उत्तम वस्तुएं, और तुम्हारी सब पवित्र की हुई वस्तुएं तुम से लिया करूंगा।

Kyonki Prabhu Yahowa ki yah vani hai ki Israel ka sara gharana apne desh mein mere pavitra parvat par, Israel ke oonche parvat par, sab ka sab meri upasna karega; vahi main un se prasann hoonga, aur vahi main tumhari uthai hui bhentein aur chadhai hui uttam uttam vastuein, aur tumhari sab pavitra ki hui vastuein tum se liya karoonga.

41

जब मैं तुम्हें देश देश के लोगों में से अलग करूं और उन देशों से जिन में तुम तितर-बितर हुए हो, इकट्ठा करूं, तब तुम को सुखदायक सुगन्ध जान कर ग्रहण करूंगा, और अन्य जातियों के साम्हने तुम्हारे द्वारा पवित्र ठहराया जाऊंगा।

Jab main tumhein desh desh ke logon mein se alag karun aur un deshon se jin mein tum titar-bitar hue ho, ikattha karun, tab tum ko sukhdayak sugandh jaan kar grahan karoonga, aur anya jatiyon ke samhane tumhare dwara pavitra thahraya jaoonga.

42

और जब मैं तुम्हें इस्राएल के देश में पहुंचाऊं, जिसके देने की शपथ मैं ने तुम्हारे पूर्वजों से खाई थी, तब तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।

Aur jab main tumhein Israel ke desh mein pahunchaun, jiske dene ki shapath main ne tumhare poorvajon se khai thi, tab tum jaan loge ki main Yahowa hoon.

43

और वहां तुम अपनी चाल चलन और अपने सब कामों को जिनके करने से तुम अशुद्ध हुए हो स्मरण करोगे, और अपने सब बुरे कामों के कारण अपनी दृष्टि में घिनौने ठहरोगे।

Aur vahan tum apni chaal chalan aur apne sab kamon ko jinke karne se tum ashuddh hue ho smaran karoge, aur apne sab bure kamon ke karan apni drishti mein ghinaune thahroge.

44

और हे इस्राएल के घराने, जब मैं तुम्हारे साथ तुम्हारे बुरे चालचलन और बिगड़े हुए कामों के अनुसार नहीं, परन्तु अपने ही नाम के निमित्त बर्ताव करूं, तब तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।

Aur he Israel ke gharane, jab main tumhare saath tumhare bure chalachlan aur bigde hue kamon ke anusaar nahi, parantu apne hi naam ke nimitt bartaav karun, tab tum jaan loge ki main Yahowa hoon, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.

45

और यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Aur Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

46

हे मनुष्य के सन्तान, अपना मुख दक्खिन की ओर कर, दक्खिन की ओर वचन सुना, और दक्खिन देश के वन के विषय में भविष्यद्वाणी कर;

He manushya ke santaan, apna mukh dakkhin ki or kar, dakkhin ki or vachan suna, aur dakkhin desh ke van ke vishay mein bhavishyadwani kar;

47

और दक्खिन देश के वन से कह, यहोवा का यह वचन सुन, प्रभु यहोवा यों कहता है, मैं तुझ में आग लगाऊंगा, और तुझ में क्या हरे, क्या सूखे, जितने पेड़ हैं, सब को वह भस्म करेगी; उसकी धधकती ज्वाला न बुझेगी, और उसके कारण दक्खिन से उत्तर तक सब के मुख झुलस जाएंगे।

Aur dakkhin desh ke van se kah, Yahowa ka yah vachan sun, Prabhu Yahowa yon kahta hai, main tujh mein aag lagaoonga, aur tujh mein kya hare, kya sookhe, jitne ped hain, sab ko vah bhasm karegi; uski dhadhakti jwala na bujhegi, aur uske karan dakkhin se uttar tak sab ke mukh jhulas jayenge.

48

तब सब प्राणियों को सूझ पड़ेगा कि वह आग यहोवा की लगाई हुई है; और वह कभी न बुझेगी।

Tab sab praniyon ko soojh padega ki vah aag Yahowa ki lagai hui hai; aur vah kabhi na bujhegi.

49

तब मैं ने कहा, हाय परमेश्वर यहोवा! लोग तो मेरे विषय में कहा करते हैं कि क्या वह दृष्टान्त ही का कहने वाला नहीं है?

Tab main ne kaha, haay Parmeshwar Yahowa! Log to mere vishay mein kaha karte hain ki kya vah drishtaant hi ka kahne vala nahi hai?