और इस्राएल के प्रधानों के विषय तू यह विलापगीत सुना,
Aur Israel ke pradhanon ke vishay tu yah vilapgeet suna,
Ezekiel 19 · 14 verses
और इस्राएल के प्रधानों के विषय तू यह विलापगीत सुना,
Aur Israel ke pradhanon ke vishay tu yah vilapgeet suna,
तेरी माता एक कैसी सिंहनी थी! वह सिंहों के बीच बैठा करती और अपने बच्चों को जवान सिंहों के बीच पालती पोसती थी।
Teri mata ek kaisi sinhni thi! Vah sinhon ke beech baitha karti aur apne bachchon ko javaan sinhon ke beech palti posti thi.
अपने बच्चों में से उसने एक को पाला और वह जवान सिंह हो गया, और अहेर पकड़ना सीख गया; उसने मनुष्यों को भी फाड़ खाया।
Apne bachchon mein se usne ek ko pala aur vah javaan sinh ho gaya, aur aher pakadna seekh gaya; usne manushyon ko bhi phaad khaya.
और जाति जाति के लोगों ने उसकी चर्चा सुनी, और उसे अपने खोदे हुए गड़हे में फंसाया; और उसके नकेल डाल कर उसे मिस्र देश में ले गए।
Aur jati jati ke logon ne uski charcha suni, aur use apne khode hue gadhe mein phansaya; aur uske nakel daal kar use Misr desh mein le gaye.
जब उसकी मां ने देखा कि वह धीरज धरे रही तौभी उसकी आशा टूट गई, तब अपने एक और बच्चे को ले कर उसे जवान सिंह कर दिया।
Jab uski maa ne dekha ki vah dheeraj dhare rahi taubhi uski aasha toot gai, tab apne ek aur bachche ko le kar use javaan sinh kar diya.
तब वह जवान सिंह हो कर सिंहों के बीच चलने फिरने लगा, और वह भी अहेर पकड़ना सीख गया; और मनुष्यों को भी फाड़ खाया।
Tab vah javaan sinh ho kar sinhon ke beech chalne phirne laga, aur vah bhi aher pakadna seekh gaya; aur manushyon ko bhi phaad khaya.
और उसने उनके भवनों को बिगाड़ा, और उनके नगरों को उजाड़ा वरन उसके गरजने के डर के मारे देश और जो कुछ उस में था सब उजड़ गया।
Aur usne unke bhavnon ko bigada, aur unke nagron ko ujada varan uske garajne ke dar ke mare desh aur jo kuchh us mein tha sab ujad gaya.
तब चारों ओर के जाति जाति के लोग अपने अपने प्रान्त से उसके विरुद्ध निकल आए, और उसके लिये जाल लगाया; और वह उनके खोदे हुए गड़हे में फंस गया।
Tab charon or ke jati jati ke log apne apne praant se uske viruddh nikal aaye, aur uske liye jaal lagaya; aur vah unke khode hue gadhe mein phans gaya.
तब वे उसके नकेल डाल कर और कठघरे में बन्द कर के बाबुल के राजा के पास ले गए, और गढ़ में बन्द किया, कि उसका बोल इस्राएल के पहाड़ी देश में फिर सुनाई न दे।
Tab ve uske nakel daal kar aur kathaghre mein band kar ke babul ke raja ke paas le gaye, aur gadh mein band kiya, ki uska bol Israel ke pahadi desh mein phir sunai na de.
तेरी माता जिस से तू उत्पन्न हुआ, वह तीर पर लगी हुई दाखलता के समान थी, और गहिरे जल के कारण फलों और शाखाओं से भरी हुई थी।
Teri mata jis se tu utpann huaa, vah teer par lagi hui dakhalta ke samaan thi, aur gahire jal ke karan phalon aur shakhaon se bhari hui thi.
और प्रभुता करने वालों के राजदणडों के लिये उस में मोटी मोटी टहनियां थीं; और उसकी ऊंचाई इतनी हुई कि वह बादलों के बीच तक पहुंची; और अपनी बहुत सी डालियों समेत बहुत ही लम्बी दिखाई पड़ी।
Aur prabhuta karne valon ke rajdandon ke liye us mein moti moti tahniyan thi; aur uski oonchai itni hui ki vah badlon ke beech tak pahunchi; aur apni bahut si daliyon samet bahut hi lambi dikhai padi.
तौभी वह जलजलाहट के साथ उखाड़ कर भूमि पर गिराई गई, और उसके फल पुरवाई हवा के लगने से सूख गए; और उसकी मोटी टहनियां टूट कर सूख गईं; और वे आग से भस्म हो गई।
Taubhi vah jalajlahat ke saath ukhaad kar bhoomi par girai gai, aur uske phal purvai hava ke lagne se sookh gaye; aur uski moti tahniyan toot kar sookh gai; aur ve aag se bhasm ho gai.
अब वह जंगल में, वरन निर्जल देश में लगाई गई है।
Ab vah jangal mein, varan nirjal desh mein lagai gai hai.
और उसकी शाखाओं की टहनियों में से आग निकली, जिस से उसके फल भस्म हो गए, और प्रभुता करने के योग्य राजदण्ड के लिये उस में अब कोई मोटी टहनी न रही। यही विलापगीत है, और यह विलापगीत बना रहेगा।
Aur uski shakhaon ki tahniyon mein se aag nikli, jis se uske phal bhasm ho gaye, aur prabhuta karne ke yogya rajdand ke liye us mein ab koi moti tahni na rahi. Yahi vilapgeet hai, aur yah vilapgeet bana rahega.