Ezekiel 1 · 28 verses

यहेजकेल 1 Ezekiel 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 1.

1

तीसवें वर्ष के चौथे महीने के पांचवें दिन, मैं बंधुओं के बीच कबार नदी के तीर पर था, तब स्वर्ग खुल गया, और मैं ने परमेश्वर के दर्शन पाए।

Teesvein varsh ke chauthe maheene ke panchvein din, main bandhuon ke beech kabaar nadi ke teer par tha, tab swarg khul gaya, aur main ne Parmeshwar ke darshan paye.

2

यहोयाकीम राजा की बंधुआई के पांचवें वर्ष के चौथे महीने के पांचवें दिन को, कसदियों के देश में कबार नदी के तीर पर,

Yahoyakeem raja ki bandhuaai ke panchvein varsh ke chauthe maheene ke panchvein din ko, kasdiyon ke desh mein kabaar nadi ke teer par,

3

यहोवा का वचन बूजी के पुत्र यहेजकेल याजक के पास पहुचा; और यहोवा की शक्ति उस पर वहीं प्रगट हुई।

Yahowa ka vachan booji ke putra yahejkel yajak ke paas pahucha; aur Yahowa ki shakti us par vahi pragat hui.

4

जब मैं देखने लगा, तो क्या देखता हूँ कि उत्तर दिशा से बड़ी घटा, और लहराती हुई आग सहित बड़ी आंधी आ रही है; और घटा के चारों ओर प्रकाश और आग के बीचों-बीच से झलकाया हुआ पीतल सा कुछ दिखाई देता है।

Jab main dekhne laga, to kya dekhta hoon ki uttar disha se badi ghata, aur lahrati hui aag sahit badi aandhi aa rahi hai; aur ghata ke charon or prakaash aur aag ke beechon-beech se jhalkaya huaa peetal sa kuchh dikhai deta hai.

5

फिर उसके बीच से चार जीवधारियों के समान कुछ निकले। और उनका रूप मनुष्य के समान था,

Phir uske beech se chaar jeevdhariyon ke samaan kuchh nikle. Aur unka roop manushya ke samaan tha,

6

परन्तु उन में से हर एक के चार चार मुख और चार चार पंख थे।

Parantu un mein se har ek ke chaar chaar mukh aur chaar chaar pankh the.

7

उनके पांव सीधे थे, और उनके पांवों के तलुए बछड़ों के खुरों के से थे; और वे झलकाए हुए पीतल की नाईं चमकते थे।

Unke paanv seedhe the, aur unke panvon ke talue bachhdon ke khuron ke se the; aur ve jhalkaye hue peetal ki nai chamakte the.

8

उनकी चारों अलंग पर पंखों के नीचे मनुष्य के से हाथ थे। और उन चारों के मुख और पंख इस प्रकार के थे:

Unki charon alang par pankhon ke neeche manushya ke se haath the. Aur un charon ke mukh aur pankh is prakaar ke the:

9

उनके पंख एक दूसरे से परस्पर मिले हुए थे; वे अपने अपने साम्हने सीधे ही चलते हुए मुड़ते नहीं थे।

Unke pankh ek doosre se paraspar mile hue the; ve apne apne samhane seedhe hi chalte hue mudte nahi the.

10

उनके साम्हने के मुखों का रूप मनुष्य का सा था; और उन चारों के दाहिनी ओर के मुख सिंह के से, बाई ओर के मुख बैल के से थे, और चारों के पीछे के मुख उकाब पक्षी के से थे।

Unke samhane ke mukhon ka roop manushya ka sa tha; aur un charon ke dahini or ke mukh sinh ke se, bai or ke mukh bail ke se the, aur charon ke peechhe ke mukh ukaab pakshi ke se the.

11

उनके चेहरे ऐसे थे। और उनके मुख और पंख ऊपर की ओर अलग अलग थे; हर एक जीवधारी के दो दो पंख थे, जो एक दूसरे के पंखों से मिले हुए थे, और दो दो पंखों से उनका शरीर ढंपा हुआ था।

Unke chehre aise the. Aur unke mukh aur pankh oopar ki or alag alag the; har ek jeevdhari ke do do pankh the, jo ek doosre ke pankhon se mile hue the, aur do do pankhon se unka shareer dhampa huaa tha.

12

और वे सीधे अपने अपने साम्हने ही चलते थे; जिधर आत्मा जाना चाहता था, वे उधर ही जाते थे, और चलते समय मुड़ते नहीं थे।

Aur ve seedhe apne apne samhane hi chalte the; jidhar aatma jana chahta tha, ve udhar hi jate the, aur chalte samay mudte nahi the.

13

और जीवधारियों के रूप अंगारों और जलते हुए पलीतों के समान दिखाई देते थे, और वह आग जीवधारियों के बीच इधर उधर चलती फिरती हुई बड़ा प्रकाश देती रही; और उस आग से बिजली निकलती थी।

Aur jeevdhariyon ke roop angaron aur jalte hue paleeton ke samaan dikhai dete the, aur vah aag jeevdhariyon ke beech idhar udhar chalti phirti hui bada prakaash deti rahi; aur us aag se bijli nikalti thi.

14

और जीवधारियों का चलना-फिरना बिजली का सा था।

Aur jeevdhariyon ka chalna-phirna bijli ka sa tha.

15

जब मैं जीवधारियों को देख ही रहा था, तो क्या देखा कि भूमि पर उनके पास चारों मुखों की गिनती के अनुसार, एक एक पहिया था।

Jab main jeevdhariyon ko dekh hi raha tha, to kya dekha ki bhoomi par unke paas charon mukhon ki ginti ke anusaar, ek ek pahiya tha.

16

पहियों का रूप और बनावट फीरोजे की सी थी, और चारों का एक ही रूप था; और उनका रूप और बनावट ऐसी थी जैसे एक पहिये के बीच दूसरा पहिया हो।

Pahiyon ka roop aur banavat pheeroje ki si thi, aur charon ka ek hi roop tha; aur unka roop aur banavat aisi thi jaise ek pahiye ke beech doosra pahiya ho.

17

चलते समय वे अपनी चारों अलंगों की ओर चल सकते थे, और चलने में मुड़ते नहीं थे।

Chalte samay ve apni charon alangon ki or chal sakte the, aur chalne mein mudte nahi the.

18

और उन चारों पहियों के घेरे बहुत बड़े और डरावने थे, और उनके घेरों में चारों ओर आंखें ही आंखें भरी हुई थीं।

Aur un charon pahiyon ke ghere bahut bade aur daravne the, aur unke gheron mein charon or aankhein hi aankhein bhari hui thi.

19

और जब जीवधारी चलते थे, तब पहिये भी उनके साथ चलते थे; और जब जीवधारी भूमि पर से उठते थे, तब पहिये भी उठते थे।

Aur jab jeevdhari chalte the, tab pahiye bhi unke saath chalte the; aur jab jeevdhari bhoomi par se uthte the, tab pahiye bhi uthte the.

20

जिधर आत्मा जाना चाहती थी, उधर ही वे जाते, और और पहिये जीवधारियों के साथ उठते थे; क्योंकि उनकी आत्मा पहियों में थी।

Jidhar aatma jana chahti thi, udhar hi ve jate, aur aur pahiye jeevdhariyon ke saath uthte the; kyonki unki aatma pahiyon mein thi.

21

जब वे चलते थे तब ये भी चलते थे; और जब जब वे खड़े होते थे तब ये भी खड़े होते थे; और जब वे भूमि पर से उठते थे तब पहिये भी उनके साथ उठते थे; क्योंकि जीवधारियों की आत्मा पहियों में थी।

Jab ve chalte the tab ye bhi chalte the; aur jab jab ve khade hote the tab ye bhi khade hote the; aur jab ve bhoomi par se uthte the tab pahiye bhi unke saath uthte the; kyonki jeevdhariyon ki aatma pahiyon mein thi.

22

जीवधारियों के सिरों के ऊपर आकाशमण्डल सा कुछ था जो बर्फ की नाईं भयानक रीति से चमकता था, और वह उनके सिरों के ऊपर फैला हुआ था।

Jeevdhariyon ke siron ke oopar aakashmandal sa kuchh tha jo barph ki nai bhayanak reeti se chamakta tha, aur vah unke siron ke oopar phaila huaa tha.

23

और आकाशमण्डल के नीचे, उनके पंख एक दूसरे की ओर सीधे फैले हुए थे; और हर एक जीवधारी के दो दो और पंख थे जिन से उनके शरीर ढंपे हुए थे।

Aur aakashmandal ke neeche, unke pankh ek doosre ki or seedhe phaile hue the; aur har ek jeevdhari ke do do aur pankh the jin se unke shareer dhampe hue the.

24

और उनके चलते समय उनके पंखों की फड़फड़ाहट की आहट मुझे बहुत से जल, वा सर्वशक्तिमान की वाणी, वा सेना के हलचल की सी सुनाईं पड़ती थी; और जब वे खड़े होते थे, तब अपने पंख लटका लेते थे।

Aur unke chalte samay unke pankhon ki phadaphdahat ki aahat mujhe bahut se jal, va sarvashaktimaan ki vani, va sena ke halchal ki si sunai padti thi; aur jab ve khade hote the, tab apne pankh latka lete the.

25

फिर उनके सिरों के ऊपर जो आकाशमण्डल था, उसके ऊपर से एक शब्द सुनाईं पड़ता था; और जब वे खड़े होते थे, तब अपने पंख लटका लेते थे।

Phir unke siron ke oopar jo aakashmandal tha, uske oopar se ek shabd sunai padta tha; aur jab ve khade hote the, tab apne pankh latka lete the.

26

और जो आकाशमण्डल उनके सिरों के ऊपर था, उसके ऊपर मानो कुछ नीलम का बना हुआ सिंहासन था; इस सिंहासन के ऊपर मनुष्य के समान कोई दिखाई देता था।

Aur jo aakashmandal unke siron ke oopar tha, uske oopar mano kuchh neelam ka bana huaa sinhasan tha; is sinhasan ke oopar manushya ke samaan koi dikhai deta tha.

27

और उसकी मानो कमर से ले कर ऊपर की ओर मुझे झलकाया हुआ पीतल सा दिखाई पड़ा, और उसके भीतर और चारों ओर आग सी दिखाई पड़ती थी; फिर उस मनुष्य की कमर से ले कर नीचे की ओर भी मुझे कुछ आग सी दिखाई पड़ती थी; और उसके चारों ओर प्रकाश था।

Aur uski mano kamar se le kar oopar ki or mujhe jhalkaya huaa peetal sa dikhai pada, aur uske bheetar aur charon or aag si dikhai padti thi; phir us manushya ki kamar se le kar neeche ki or bhi mujhe kuchh aag si dikhai padti thi; aur uske charon or prakaash tha.

28

जैसे वर्षा के दिन बादल में धनुष दिखाई पड़ता है, वैसे ही चारों ओर का प्रकाश दिखाई देता था। यहोवा के तेज का रूप ऐसा ही था। और उसे देख कर, मैं मुंह के बल गिरा, तब मैं ने एक शब्द सुना जैसे कोई बातें करता है।

Jaise varsha ke din badal mein dhanush dikhai padta hai, vaise hi charon or ka prakaash dikhai deta tha. Yahowa ke tej ka roop aisa hi tha. Aur use dekh kar, main munh ke bal gira, tab main ne ek shabd suna jaise koi batein karta hai.