Ezekiel 17 · 24 verses

यहेजकेल 17 Ezekiel 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 17.

1

यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

2

हे मनुष्य के सन्तान, इस्राएल के घराने से यह पहेली और दृष्टान्त कह; प्रभु यहोवा यों कहता है,

He manushya ke santaan, Israel ke gharane se yah paheli aur drishtaant kah; Prabhu Yahowa yon kahta hai,

3

एक लम्बे पंख वाले, परों से भरे और रंग बिरंगे बड़े उकाब पड़ी ने लबानोन जा कर एक देवदार की फुनगी नोच ली।

Ek lambe pankh vale, paron se bhare aur rang birange bade ukaab padi ne labanon ja kar ek devdaar ki phungi noch li.

4

तब उसने उस फुनगी की सब से ऊपर की पतली टहनी को तोड़ लिया, और उसे लेन देन करने वालों के देश में ले जा कर व्योपारियों के एक नगर में लगाया।

Tab usne us phungi ki sab se oopar ki patli tahni ko tod liya, aur use len den karne valon ke desh mein le ja kar vyopariyon ke ek nagar mein lagaya.

5

तब उसने देश का कुछ बीज ले कर एक उपजाऊ खेत में बोया, और उसे बहुत जल भरे स्थान में मजनू की नाईं लगाया।

Tab usne desh ka kuchh beej le kar ek upjau khet mein boya, aur use bahut jal bhare sthaan mein majnu ki nai lagaya.

6

और वह उगकर छोटी फैलने वाली अंगूर की लता हो गई जिसकी डालियां उसकी ओर झुकीं, और उसकी सोर उसके नीचे फैलीं; इस प्रकार से वह अंगूर की लता हो कर कनखा फोड़ने और पत्तों से भरने लगी।

Aur vah ugkar chhoti phailne vali angoor ki lata ho gai jiski daliyan uski or jhuki, aur uski sor uske neeche phaili; is prakaar se vah angoor ki lata ho kar kankha phodne aur patton se bharne lagi.

7

फिर और एक लम्बे पंख वाला और परों से भरा हुआ बड़ा उकाब पक्षी था; और वह अंगूर की लता उस स्थान से जहां वह लगाई गई थी, उस दूसरे उकाब की ओर अपनी सोर फैलाने और अपनी डालियां झुकाने लगी कि वह उसे खींचा करे।

Phir aur ek lambe pankh vala aur paron se bhara huaa bada ukaab pakshi tha; aur vah angoor ki lata us sthaan se jahan vah lagai gai thi, us doosre ukaab ki or apni sor phailane aur apni daliyan jhukane lagi ki vah use kheencha kare.

8

परन्तु वह तो इसलिये अच्छी भूमि में बहुत जल के पास लगाई गई थी, कि कनखएं फोड़े, और फले, और उत्तम अंगूर की लता बने।

Parantu vah to isliye achchhi bhoomi mein bahut jal ke paas lagai gai thi, ki kankhayen phode, aur phale, aur uttam angoor ki lata bane.

9

सो तू यह कह, कि प्रभु यहोवा यों पूछता है, क्या वह फूले फलेगी? क्या वह उसको जड़ से न उखाड़ेगा, और उसके फलों को न झाड़ डालेगा कि वह अपनी सब हरी नई पत्तियों समेत सूख जाए? इसे जड़ से उखाड़ने के लिये अधिक बल और बहुत से मनुष्यों की आवश्यकता न होगी।

So tu yah kah, ki Prabhu Yahowa yon poochhta hai, kya vah phoole phalegi? Kya vah usko jad se na ukhadega, aur uske phalon ko na jhaad dalega ki vah apni sab hari nai pattiyon samet sookh jaye? Ise jad se ukhadne ke liye adhik bal aur bahut se manushyon ki aavashyakta na hogi.

10

चाहे, वह लगी भी रहे, तौभी क्या वह फूले फलेगी? जब पुरवाई उसे लगे, तब क्या वह बिलकुल सूख न जाएगी? वह तो जहां उगी है उसी क्यारी में सूख जाएगी।

Chahe, vah lagi bhi rahe, taubhi kya vah phoole phalegi? Jab purvai use lage, tab kya vah bilkul sookh na jayegi? Vah to jahan ugi hai usi kyari mein sookh jayegi.

11

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा, उस बलवा करने वाले घराने से कह,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha, us balva karne vale gharane se kah,

12

क्या तुम इन बातों का अर्थ नहीं समझते? फिर उन से कह, बाबुल के राजा ने यरूशलेम को जा कर उसके राजा और और प्रधानों को ले कर अपने यहां बाबुल में पहुंचाया।

Kya tum in baton ka arth nahi samajhte? Phir un se kah, babul ke raja ne Yerushalem ko ja kar uske raja aur aur pradhanon ko le kar apne yahan babul mein pahunchaya.

13

तब राजवंश में से एक पुरुष को ले कर उस से वाचा बान्धी, और उसको वश में रहने की शपथ खिलाई, और देश के सामर्थी पुरुषों को ले गया

Tab rajvansh mein se ek purush ko le kar us se vacha bandhi, aur usko vash mein rahne ki shapath khilai, aur desh ke samarthi purushon ko le gaya

14

कि वह राज्य निर्बल रहे और सिर न उठा सके, वरन वाचा पालने से स्थिर रहे।

Ki vah rajya nirbal rahe aur sir na utha sake, varan vacha palne se sthir rahe.

15

तौभी इस ने घोड़े और बड़ी सेना मांगने को अपने दूत मिस्र में भेज कर उस से बलवा किया। क्या वह फूले फलेगा? क्या ऐसे कामों का करने वाला बचेगा? क्या वह अपनी वाचा तोड़ने पर भी बच जाएगा?

Taubhi is ne ghode aur badi sena mangne ko apne doot Misr mein bhej kar us se balva kiya. Kya vah phoole phalega? Kya aise kamon ka karne vala bachega? Kya vah apni vacha todne par bhi bach jayega?

16

प्रभु यहोवा यों कहता है, मेरे जीवन की सौगन्ध, जिस राजा की खिलाई हुई शपथ उसने तुच्छ जानी, और जिसकी वाचा उसने तोड़ी, उसके यहां जिसने उसे राजा बनाया था, अर्थात बाबुल में ही वह उसके पास ही मर जाएगा।

Prabhu Yahowa yon kahta hai, mere jeevan ki saugandh, jis raja ki khilai hui shapath usne tuchchh jani, aur jiski vacha usne todi, uske yahan jisne use raja banaya tha, arthaat babul mein hi vah uske paas hi mar jayega.

17

और जब वे बहुत से प्राणियों को नाश करने के लिये दमदमा बान्धे, और गढ़ बनाएं, तब फिरौन अपनी बड़ी सेना और बहुतों की मण्डली रहते भी युद्ध में उसकी सहायता न करेगा।

Aur jab ve bahut se praniyon ko naash karne ke liye damadma bandhe, aur gadh banayen, tab Firaun apni badi sena aur bahuton ki mandali rahte bhi yuddh mein uski sahayta na karega.

18

क्योंकि उस ने शपथ को तुच्छ जाना, और वाचा को तोड़ा; देखो, उसने वचन देने पर भी ऐसे ऐसे काम किए हैं, सो वह बचने न पाएगा।

Kyonki us ne shapath ko tuchchh jana, aur vacha ko toda; dekho, usne vachan dene par bhi aise aise kaam kiye hain, so vah bachne na payega.

19

प्रभु यहोवा यों कहता है कि मेरे जीवन की सौगन्ध, उसने मेरी शपथ तुच्छ जानी, और मेरी वाचा तोड़ी है; यह पाप मैं उसी के सिर पर डालूंगा।

Prabhu Yahowa yon kahta hai ki mere jeevan ki saugandh, usne meri shapath tuchchh jani, aur meri vacha todi hai; yah paap main usi ke sir par daloonga.

20

और मैं अपना जाल उस पर फैलाऊंगा और वह मेरे फन्दे में फंसेगा; और मैं उसको बाबुल में पहुंचा कर उस विश्वासघात का मुक़द्दमा उस से लड़ूंगा, जो उसने मुझ से किया है।

Aur main apna jaal us par phailaoonga aur vah mere phande mein phansega; aur main usko babul mein pahuncha kar us vishwasghaat ka muqaddama us se ladoonga, jo usne mujh se kiya hai.

21

और उसके सब दलों में से जितने भागें वे सब तलवार से मारे जाएंगे, और जो रह जाएं सो चारों दिशाओं में तितर-बितर हो जाएंगे। तब तुम लोग जान लोगे कि मुझ यहोवा ही ने ऐसा कहा है।

Aur uske sab dalon mein se jitne bhagein ve sab talvaar se mare jayenge, aur jo rah jayen so charon dishaon mein titar-bitar ho jayenge. Tab tum log jaan loge ki mujh Yahowa hi ne aisa kaha hai.

22

फिर प्रभु यहोवा यों कहता है, मैं भी देवदार की ऊंची फुनगी में से कुछ ले कर लगाऊंगा, और उसकी सब से ऊपर वाली कनखाओं में से एक कोमल कनखा तोड़ कर एक अति ऊंचे पर्वत पर लगाऊंगा।

Phir Prabhu Yahowa yon kahta hai, main bhi devdaar ki oonchi phungi mein se kuchh le kar lagaoonga, aur uski sab se oopar vali kankhaon mein se ek komal kankha tod kar ek ati oonche parvat par lagaoonga.

23

अर्थात इस्राएल के ऊंचे पर्वत पर लगाऊंगा; सो वह डालियां फोड़कर बलवन्त और उत्तम देवदार बन जाएगा, और उसके नीचे अर्थात उसकी डालियों की छाया में भांति भांति के सब पक्षी बसेरा करेंगे।

Arthaat Israel ke oonche parvat par lagaoonga; so vah daliyan phodkar balvant aur uttam devdaar ban jayega, aur uske neeche arthaat uski daliyon ki chhaya mein bhanti bhanti ke sab pakshi basera karenge.

24

तब मैदान के सब वृक्ष जान लेंगे कि मुझ यहोवा ही ने ऊंचे वृक्ष को नीचा और नीचे वृक्ष को ऊंचा किया, हरे वृक्ष को सुखा दिया, और सूखे वृक्ष को फुलाया फलाया है। मुझ यहोवा ही ने यह कहा और वैसा ही कर भी दिया है।

Tab maidaan ke sab vriksh jaan lenge ki mujh Yahowa hi ne oonche vriksh ko neecha aur neeche vriksh ko ooncha kiya, hare vriksh ko sukha diya, aur sookhe vriksh ko phulaya phalaya hai. Mujh Yahowa hi ne yah kaha aur vaisa hi kar bhi diya hai.