फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
Ezekiel 16 · 63 verses
फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, यरूशलेम को उसके सब घृणित काम जता दे।
He manushya ke santaan, Yerushalem ko uske sab ghrinit kaam jata de.
और उस से कह, हे यरूशलेम, प्रभु यहोवा तुझ से यों कहता है, तेरा जन्म और तेरी उत्पत्ति कनानियों के देश से हुई; तेरा पिता तो एमोरी और तेरी माता हित्तिन थी।
Aur us se kah, he Yerushalem, Prabhu Yahowa tujh se yon kahta hai, tera janm aur teri utpatti kananiyon ke desh se hui; tera pita to emori aur teri mata hittin thi.
और तेरा जन्म ऐसे हुआ कि जिस दिन तू जन्मी, उस दिन न तेरा नाल काटा गया, न तू शुद्ध होने के लिये धोई गई, न तेरे कुछ लोन मला गया और न तू कुछ कपड़ों में लपेटी गई।
Aur tera janm aise huaa ki jis din tu janmi, us din na tera naal kata gaya, na tu shuddh hone ke liye dhoi gai, na tere kuchh lon mala gaya aur na tu kuchh kapdon mein lapeti gai.
किसी की दयादृष्टि तुझ पर नहीं हुई कि इन कामों में से तेरे लिये एक भी काम किया जाता; वरन अपने जन्म के दिन तू घृणित होने के कारण खुले मैदान में फेंक दी गई थी।
Kisi ki dayadrishti tujh par nahi hui ki in kamon mein se tere liye ek bhi kaam kiya jata; varan apne janm ke din tu ghrinit hone ke karan khule maidaan mein phenk di gai thi.
और जब मैं तेरे पास से हो कर निकला, और तुझे लोहू में लोटते हुए देखा, तब मैं ने तुझ से कहा, हे लोहू में लोटती हुई जीवित रह; हां, तुझ ही से मैं ने कहा, हे लोहू मे लोटती हुई, जीवित रह।
Aur jab main tere paas se ho kar nikla, aur tujhe lohu mein lotte hue dekha, tab main ne tujh se kaha, he lohu mein lotti hui jeevit rah; han, tujh hi se main ne kaha, he lohu me lotti hui, jeevit rah.
फिर मैं ने तुझे खेत के बिरुले की नाईं बढ़ाया, और तू बढ़ते बढ़ते बड़ी हो गई और अति सुन्दर हो गई; तेरी छातियां सुडौल हुई, और तेरे बाल बढे; तौभी तू नंगी थी।
Phir main ne tujhe khet ke birule ki nai badhaya, aur tu badhte badhte badi ho gai aur ati sundar ho gai; teri chhatiyan sudaul hui, aur tere baal badhe; taubhi tu nangi thi.
मैं ने फिर तेरे पास से हो कर जाते हुए तुझे देखा, और अब तू पूरी स्त्री हो गई थी; सो मैं ने तुझे अपना वस्त्र ओढ़ाकर तेरा तन ढांप दिया; और सौगन्ध खाकर तुझ से वाचा बान्धी और तू मेरी हो गई, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।
Main ne phir tere paas se ho kar jate hue tujhe dekha, aur ab tu poori stri ho gai thi; so main ne tujhe apna vastra odhakar tera tan dhaamp diya; aur saugandh khakar tujh se vacha bandhi aur tu meri ho gai, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.
तब मैं ने तुझे जल से नहला कर तुझ पर से लोहू धो दिया, और तेरी देह पर तेल मला।
Tab main ne tujhe jal se nahla kar tujh par se lohu dho diya, aur teri deh par tel mala.
फिर मैं ने तुझे बूटेदार वस्त्र और सूइसों के चमड़े की जूतियां पहिनाईं; और तेरी कमर में सूक्ष्म सन बान्धा, और तुझे रेशमी कपड़ा ओढ़ाया।
Phir main ne tujhe bootedaar vastra aur sooison ke chamde ki jootiyan pahinai; aur teri kamar mein sookshm san bandha, aur tujhe reshmi kapda odhaya.
तब मैं ने तेरा श्रृंगार किया, और तेरे हाथों में चूड़ियां और गले में तोड़ा पहिनाया।
Tab main ne tera shrringaar kiya, aur tere hathon mein choodiyan aur gale mein toda pahinaya.
फिर मैं ने तेरी नाक में नत्थ और तेरे कानों में बालियां पहिनाईं, और तेरे सिर पर शोभायमान मुकुट धरा।
Phir main ne teri naak mein natth aur tere kanon mein baliyan pahinai, aur tere sir par shobhaymaan mukut dhara.
तेरे आभूषण सोने चान्दी के और तेरे वस्त्र सूक्ष्म सन, रेशम और बूटेदार कपड़े के बने; फिर तेरा भोजन मैदा, मधु और तेल हुआ; और तू अत्यन्त सुन्दर, वरन रानी होने के योग्य हो गई।
Tere aabhooshan sone chandi ke aur tere vastra sookshm san, resham aur bootedaar kapde ke bane; phir tera bhojan maida, madhu aur tel huaa; aur tu atyant sundar, varan rani hone ke yogya ho gai.
और तेरी सुन्दरता की कीर्ति अन्यजातियों में फैल गई, क्योंकि उस प्रताप के कारण, जो मैं ने अपनी ओर से तुझे दिया था, तू अत्यन्त सुन्दर थी, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।
Aur teri sundarta ki keerti anyajatiyon mein phail gai, kyonki us prataap ke karan, jo main ne apni or se tujhe diya tha, tu atyant sundar thi, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.
परन्तु तू अपनी सुन्दरता पर भरोसा कर के अपनी नामवरी के कारण व्यभिचार करने लगी, और सब यात्रियों के संग बहुत कुकर्म किया, और जो कोई तुझे चाहता था तू उसी से मिलती थी।
Parantu tu apni sundarta par bharosa kar ke apni namavri ke karan vyabhichaar karne lagi, aur sab yatriyon ke sang bahut kukarm kiya, aur jo koi tujhe chahta tha tu usi se milti thi.
तू ने अपने वस्त्र ले कर रंग बिरंग के ऊंचे स्थान बना लिए, और उन पर व्यभिचार किया, ऐसे कुकर्म किए जो न कभी हुए और न होंगे।
Tu ne apne vastra le kar rang birang ke oonche sthaan bana liye, aur un par vyabhichaar kiya, aise kukarm kiye jo na kabhi hue aur na honge.
और तू ने अपने सुशोभित गहने ले कर जो मेरे दिए हुए सोने-चान्दी के थे, उन से पुरुषों की मूरतें बना ली, और उन से भी व्यभिचार करने लगी;
Aur tu ne apne sushobhit gahne le kar jo mere diye hue sone-chandi ke the, un se purushon ki moortein bana li, aur un se bhi vyabhichaar karne lagi;
और अपने बूटेदार वस्त्र ले कर उन को पहिनाए, और मेरा तेल और मेरा धूप उनके साम्हने चढ़ाया।
Aur apne bootedaar vastra le kar un ko pahinaye, aur mera tel aur mera dhoop unke samhane chadhaya.
और जो भोजन मैं ने तुझे दिया था, अर्थात जो मैदा, तेल और मधु मैं तुझे खिलाता था, वह सब तू ने उनके साम्हने सुखदायक सुगन्ध कर के रखा; प्रभु यहोवा की यही वाणी है कि यों ही हुआ।
Aur jo bhojan main ne tujhe diya tha, arthaat jo maida, tel aur madhu main tujhe khilata tha, vah sab tu ne unke samhane sukhdayak sugandh kar ke rakha; Prabhu Yahowa ki yahi vani hai ki yon hi huaa.
फिर तू ने अपने पुत्र-पुत्रियां ले कर जिन्हें तू ने मेरे लिये जन्म दिया, उन मूरतों को नैवेद्य कर के चढ़ाई। क्या तेरा व्यभिचार ऐसी छोटी बात थी;
Phir tu ne apne putra-putriyan le kar jinhein tu ne mere liye janm diya, un moorton ko naivedya kar ke chadhai. Kya tera vyabhichaar aisi chhoti baat thi;
कि तू ने मेरे लड़के-बाले उन मूरतों के आगे आग में चढ़ा कर घात किए हैं?
Ki tu ne mere ladke-bale un moorton ke aage aag mein chadha kar ghaat kiye hain?
और तू ने अपने सब घृणित कामों में और व्यभिचार करते हुए, अपने बचपन के दिनों की कभी सुधि न ली, जब कि तू नंगी अपने लोहू में लोटती थी।
Aur tu ne apne sab ghrinit kamon mein aur vyabhichaar karte hue, apne bachpan ke dinon ki kabhi sudhi na li, jab ki tu nangi apne lohu mein lotti thi.
और तेरी उस सारी बुराई के पीछे क्या हुआ?
Aur teri us sari burai ke peechhe kya huaa?
प्रभु यहोवा की यह वाणी है, हाय, तुझ पर हाय! कि तू ने एक गुम्मट बनवा लिया, और हर एक चौक में एक ऊंचा स्थान बनवा लिया;
Prabhu Yahowa ki yah vani hai, haay, tujh par haay! Ki tu ne ek gummat banva liya, aur har ek chauk mein ek ooncha sthaan banva liya;
और एक एक सड़क के सिरे पर भी तू ने अपना ऊंचा स्थान बनवा कर अपनी सुन्दरता घृणित करा दी, और हर एक यात्री को कुकर्म के लिये बुला कर महाव्यभिचारिणी हो गई।
Aur ek ek sadak ke sire par bhi tu ne apna ooncha sthaan banva kar apni sundarta ghrinit kara di, aur har ek yatri ko kukarm ke liye bula kar mahavyabhicharini ho gai.
तू ने अपने पड़ोसी मिस्री लोगों से भी, जो मोटे-ताज़े हैं, व्यभिचार किया और मुझे क्रोध दिलाने के लिये अपना व्यभिचार चढ़ाती गई।
Tu ne apne padosi misri logon se bhi, jo mote-taze hain, vyabhichaar kiya aur mujhe krodh dilane ke liye apna vyabhichaar chadhati gai.
इस कारण मैं ने अपना हाथ तेरे विरुद्ध बढ़ा कर, तेरा प्रति दिन का खाना घटा दिया, और तेरी बैरिन पलिश्ती स्त्रियां जो तेरे महापाप की चाल से लजाती है, उनकी इच्छा पर मैं ने तुझे छोड़ दिया है।
Is karan main ne apna haath tere viruddh badha kar, tera prati din ka khana ghata diya, aur teri bairin palishti striyan jo tere mahapaap ki chaal se lajati hai, unki ichchha par main ne tujhe chhod diya hai.
फिर भी तेरी तृष्णा न बुझी, इसलिये तू ने अश्शूरी लोगों से भी व्यभिचार किया; और उन से व्यभिचार करने पर भी तेरी तृष्णा न बुझी।
Phir bhi teri trishna na bujhi, isliye tu ne ashshoori logon se bhi vyabhichaar kiya; aur un se vyabhichaar karne par bhi teri trishna na bujhi.
फिर तू लेन देन के देश में व्यभिचार करते करते कसदियों के देश तक पहुंची, और वहां भी तेरी तृष्णा न बुझी।
Phir tu len den ke desh mein vyabhichaar karte karte kasdiyon ke desh tak pahunchi, aur vahan bhi teri trishna na bujhi.
प्रभु यहोवा की यह वाणी है कि तेरा हृदय कैसा चंचल है कि तू ये सब काम करती है, जो निर्लज्ज वेश्या ही के काम हैं?
Prabhu Yahowa ki yah vani hai ki tera hriday kaisa chanchal hai ki tu ye sab kaam karti hai, jo nirlajj veshya hi ke kaam hain?
तू ने हर एक सड़क के सिरे पर जो अपना गुम्मट, और हर चौक में अपना ऊंचा स्थान बनवाया है, क्या इसी में तू वेश्या के समान नहीं ठहरी? क्योंकि तू ऐसी कमाई पर हंसती है।
Tu ne har ek sadak ke sire par jo apna gummat, aur har chauk mein apna ooncha sthaan banvaya hai, kya isi mein tu veshya ke samaan nahi thahri? Kyonki tu aisi kamai par hansti hai.
तू व्यभिचारिणी पत्नी है। तू पराये पुरुषों को अपने पति की सन्ती ग्रहण करती है।
Tu vyabhicharini patni hai. Tu paraye purushon ko apne pati ki santi grahan karti hai.
सब वेश्याओं को तो रुपया मिलता है, परन्तु तू ने अपने सब मित्रों को स्वयं रुपए देकर, और उन को लालच दिखा कर बुलाया है कि वे चारों ओर से आकर तुझ से व्यभिचार करें।
Sab veshyaon ko to rupya milta hai, parantu tu ne apne sab mitron ko swayan rupaye dekar, aur un ko lalach dikha kar bulaya hai ki ve charon or se aakar tujh se vyabhichaar karein.
इस प्रकार तेरा व्यभिचार और व्यभिचारियों से उलटा है। तेरे पीछे कोई व्यभिचारी नहीं चलता, और तू किसी से दाम लेती नहीं, वरन तू ही देती है; इसी कारण तू उलटी ठहरी।
Is prakaar tera vyabhichaar aur vyabhichariyon se ulta hai. Tere peechhe koi vyabhichari nahi chalta, aur tu kisi se daam leti nahi, varan tu hi deti hai; isi karan tu ulti thahri.
इस कारण, हे वेश्या, यहोवा का वचन सुन,
Is karan, he veshya, Yahowa ka vachan sun,
प्रभु यहोवा यों कहता है, कि तू ने जो व्यभिचार में अति निर्लज्ज हो कर, अपनी देह अपने मित्रों को दिखाई, और अपनी मूरतों से घृणित काम किए, और अपने लड़के-बालों का लोहू बहा कर उन्हें बलि चढ़ाया है,
Prabhu Yahowa yon kahta hai, ki tu ne jo vyabhichaar mein ati nirlajj ho kar, apni deh apne mitron ko dikhai, aur apni moorton se ghrinit kaam kiye, aur apne ladke-balon ka lohu baha kar unhein bali chadhaya hai,
इस कारण देख, मैं तेरे सब मित्रों को जो तेरे प्रेमी हैं और जितनों से तू ने प्रीति लगाई, और जितनों से तू ने बैर रखा, उन सभों को चारों ओर से तेरे विरुद्ध इकट्ठा कर के उन को तेरी देह नंगी कर के दिखाऊंगा, और वे तेरा तन देखेंगे।
Is karan dekh, main tere sab mitron ko jo tere premi hain aur jitnon se tu ne preeti lagai, aur jitnon se tu ne bair rakha, un sabhon ko charon or se tere viruddh ikattha kar ke un ko teri deh nangi kar ke dikhaoonga, aur ve tera tan dekhenge.
तब मैं तुझ को ऐसा दण्ड दूंगा, जैसा व्यभिचारिणियों और लोहू बहाने वाली स्त्रियों को दिया जाता है; और क्रोध और जलन के साथ तेरा लोहू बहाऊंगा।
Tab main tujh ko aisa dand doonga, jaisa vyabhichariniyon aur lohu bahane vali striyon ko diya jata hai; aur krodh aur jalan ke saath tera lohu bahaoonga.
इस रीति मैं तुझे उनके वश में कर दूंगा, और वे तेरे गुम्मटों को ढा देंगे, और तेरे ऊंचे स्थानों को तोड़ देंगे; वे तेरे वस्त्र बरबस उतारेंगे, और तेरे सुन्दर गहने छीन लेंगे, और तुझे नंगा कर के छोड़ देंगे।
Is reeti main tujhe unke vash mein kar doonga, aur ve tere gummaton ko dha denge, aur tere oonche sthanon ko tod denge; ve tere vastra barbas utarenge, aur tere sundar gahne chheen lenge, aur tujhe nanga kar ke chhod denge.
तब तेरे विरुद्ध एक सभा इकट्ठी कर के वे तुझ को पत्थरवाह करेंगे, और अपनी कटारों से वारपार छेदेंगे।
Tab tere viruddh ek sabha ikatthi kar ke ve tujh ko pattharvaah karenge, aur apni kataron se varpaar chhedenge.
तब वे आग लगा कर तेरे घरों को जला देंगे, और तूझे बहुत सी स्त्रियों के देखते दण्ड देंगे; और मैं तेरा व्यभिचार बन्द करूंगा, और तू फिर छिनाले के लिये दाम न देगी।
Tab ve aag laga kar tere gharon ko jala denge, aur toojhe bahut si striyon ke dekhte dand denge; aur main tera vyabhichaar band karoonga, aur tu phir chhinale ke liye daam na degi.
और जब मैं तुझ पर पूरी जलजलाहट प्रगट कर चुकूंगा, तब तुझ पर और न जलूंगा वरन शान्त हो जाऊंगा: और फिर न रिसियाऊंगा।
Aur jab main tujh par poori jalajlahat pragat kar chukoonga, tab tujh par aur na jaloonga varan shaant ho jaoonga: aur phir na risiyaoonga.
तू ने जो अपने बचपन के दिन स्मरण नहीं रखे, वरन इन सब बातों के द्वारा मुझे चिढ़ाया; इस कारण मैं तेरा चालचलन तेरे सिर पर डालूंगा और तू अपने सब पिछले घृणित कामों से और अधिक महापाप न करेगी, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।
Tu ne jo apne bachpan ke din smaran nahi rakhe, varan in sab baton ke dwara mujhe chidhaya; is karan main tera chalachlan tere sir par daloonga aur tu apne sab pichhle ghrinit kamon se aur adhik mahapaap na karegi, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.
देख, सब कहावत कहने वाले तेरे विषय यह कहावत कहेंगे, कि जैसी मां वैसी पुत्री।
Dekh, sab kahavat kahne vale tere vishay yah kahavat kahenge, ki jaisi maa vaisi putri.
तेरी मां जो अपने पति और लड़के-बालों से घृणा करती थी, तू भी ठीक उसकी पुत्री ठहरी; और तेरी बहिनें जो अपने अपने पति और लड़के-बालों से घृणा करती थीं, तू भी ठीक उनकी बहिन निकली। तेरी माता हित्तिन और पिता एमोरी था।
Teri maa jo apne pati aur ladke-balon se ghrina karti thi, tu bhi theek uski putri thahri; aur teri bahinein jo apne apne pati aur ladke-balon se ghrina karti thi, tu bhi theek unki bahin nikli. Teri mata hittin aur pita emori tha.
तेरी बड़ी बहिन शोमरोन है, जो अपनी पुत्रियों समेत तेरी बाईं ओर रहती है, और तेरी छोटी बहिन, जो तेरी दाहिनी ओर रहती है वह पुत्रियों समेत सदोम है।
Teri badi bahin shomron hai, jo apni putriyon samet teri bai or rahti hai, aur teri chhoti bahin, jo teri dahini or rahti hai vah putriyon samet sadom hai.
तू उनकी सी चाल नहीं चली, और न उनके से घृणित कामों ही से सन्तुष्ट हुई; यह तो बहुत छोटी बात ठहरती, परन्तु तेरा सारा चालचलन उन से भी अधिक बिगड़ गया।
Tu unki si chaal nahi chali, aur na unke se ghrinit kamon hi se santusht hui; yah to bahut chhoti baat thaharti, parantu tera sara chalachlan un se bhi adhik bigad gaya.
प्रभु यहोवा की यह वाणी है, मेरे जीवन की सौगन्ध, तेरी बहिन सदोम ने अपनी पुत्रियों समेत तेरे और तेरी पुत्रियों के समान काम नहीं किए।
Prabhu Yahowa ki yah vani hai, mere jeevan ki saugandh, teri bahin sadom ne apni putriyon samet tere aur teri putriyon ke samaan kaam nahi kiye.
देख, तेरी बहिन सदोम का अधर्म यह था, कि वह अपनी पुत्रियों सहित घमण्ड करती, पेट भर भरके खाती, और सुख चैन से रहती थी: और दीन दरिद्र को न संभालती थी।
Dekh, teri bahin sadom ka adharm yah tha, ki vah apni putriyon sahit ghamand karti, pet bhar bharke khati, aur sukh chain se rahti thi: aur deen daridra ko na sambhalti thi.
सो वह गर्व कर के मेरे साम्हने घृणित काम करने लगी, और यह देख कर मैं ने उन्हें दूर कर दिया।
So vah garva kar ke mere samhane ghrinit kaam karne lagi, aur yah dekh kar main ne unhein door kar diya.
फिर शोमरोन ने तेरे पापों के आधे भी पाप नहीं किए: तू ने तो उस से बढ़ कर घृणित काम किए ओर अपने घोर घृणित कामों के द्वारा अपनी बहिनों को जीत लिया।
Phir shomron ne tere papon ke aadhe bhi paap nahi kiye: tu ne to us se badh kar ghrinit kaam kiye or apne ghor ghrinit kamon ke dwara apni bahinon ko jeet liya.
सो तू ने जो अपनी बहिनों का न्याय किया, इस कारण लज्जित हो, क्योंकि तू ने उन से बढ़ कर घृणित पाप किए हैं; इस कारण वे तुझ से कम दोषी ठहरी हैं। सो तू इस बात से लज्जा कर और लजाती रह, क्योंकि तू ने अपनी बहिनों को कम दोषी ठहराया है।
So tu ne jo apni bahinon ka nyaay kiya, is karan lajjit ho, kyonki tu ne un se badh kar ghrinit paap kiye hain; is karan ve tujh se kam doshi thahri hain. So tu is baat se lajja kar aur lajati rah, kyonki tu ne apni bahinon ko kam doshi thahraya hai.
जब मैं उन को अर्थात पुत्रियों सहित सदोम और शोमरोन को बंधुआई से फेर लाऊंगा, तब उनके बीच ही तेरे बंधुओं को भी फेर लाऊंगा,
Jab main un ko arthaat putriyon sahit sadom aur shomron ko bandhuaai se pher laoonga, tab unke beech hi tere bandhuon ko bhi pher laoonga,
जिस से तू लजाती रहे, और अपने सब कामों को देख कर लजाए, क्योंकि तू उनकी शान्ति ही का कारण हुई है।
Jis se tu lajati rahe, aur apne sab kamon ko dekh kar lajaye, kyonki tu unki shanti hi ka karan hui hai.
और तेरी बहिनें सदोम और शोमरोन अपनी अपनी पुत्रियों समेत अपनी पहिली दशा को फिर पहुंचेंगी, और तू भी अपनी पुत्रियों सहित अपनी पहिली दशा को फिर पहंचेगी।
Aur teri bahinein sadom aur shomron apni apni putriyon samet apni pahili dasha ko phir pahunchengi, aur tu bhi apni putriyon sahit apni pahili dasha ko phir pahanchegi.
जब तक तेरी बुराई प्रगट न हुई थी, अर्थात जिस समय तक तू आस पास के लोगों समेत अरामी और पलिश्ती स्त्रियों की जो अब चारों ओर से तुझे तुच्छ जानती हैं, नामधराई करती थी,
Jab tak teri burai pragat na hui thi, arthaat jis samay tak tu aas paas ke logon samet arami aur palishti striyon ki jo ab charon or se tujhe tuchchh janti hain, namadhrai karti thi,
उन अपने घमण्ड के दिनों में तो तू अपनी बहिन सदोम का नाम भी न लेती थी।
Un apne ghamand ke dinon mein to tu apni bahin sadom ka naam bhi na leti thi.
परन्तु अब तुझ को अपने महापाप और घृणित कामों का भार आप ही उठाना पड़ा है, यहोवा की यही वाणी है।
Parantu ab tujh ko apne mahapaap aur ghrinit kamon ka bhaar aap hi uthana pada hai, Yahowa ki yahi vani hai.
प्रभु यहोवा यह कहता है, मैं तेरे साथ ऐसा ही बर्ताव करूंगा, जैसा तू ने किया है, क्योंकि तू ने तो वाचा तोड़ कर शपथ तुच्छ जानी है,
Prabhu Yahowa yah kahta hai, main tere saath aisa hi bartaav karoonga, jaisa tu ne kiya hai, kyonki tu ne to vacha tod kar shapath tuchchh jani hai,
तौभी मैं तेरे बचपन के दिनों की अपनी वाचा स्मरण करूंगा, और तेरे साथ सदा की वाचा बान्धूंगा।
Taubhi main tere bachpan ke dinon ki apni vacha smaran karoonga, aur tere saath sada ki vacha bandhoonga.
और जब तू अपनी बहिनों को अर्थात अपनी बड़ी और छोटी बहिनों को ग्रहण करे, तब तू अपना चालचलन स्मरण कर के लज्जित होगी; और मैं उन्हें तेरी पुत्रियां ठहरा दूंगा; परन्तु यह तेरी वाचा के अनुसार न करूंगा।
Aur jab tu apni bahinon ko arthaat apni badi aur chhoti bahinon ko grahan kare, tab tu apna chalachlan smaran kar ke lajjit hogi; aur main unhein teri putriyan thahra doonga; parantu yah teri vacha ke anusaar na karoonga.
मैं तेरे साथ अपनी वाचा स्थिर करूंगा, और तब तू जान लेगी कि मैं यहोवा हूँ,
Main tere saath apni vacha sthir karoonga, aur tab tu jaan legi ki main Yahowa hoon,
जिस से तू स्मरण कर के लज्जित हो, और लज्जा के मारे फिर कभी मुंह न खोले। यह उस समय होगा, जब मैं तेरे सब कामों को ढांपूंगा, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।
Jis se tu smaran kar ke lajjit ho, aur lajja ke mare phir kabhi munh na khole. Yah us samay hoga, jab main tere sab kamon ko dhampoonga, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.