यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
Ezekiel 13 · 23 verses
यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, इस्राएल के जो भविष्यद्वक्ता अपने ही मन से भविष्यवाणी करते हैं, उनके विरुद्ध भविष्यवाणी कर के तू कह, यहोवा का वचन सुनो।
He manushya ke santaan, Israel ke jo bhavishyadwakta apne hi man se bhavishyavani karte hain, unke viruddh bhavishyavani kar ke tu kah, Yahowa ka vachan suno.
प्रभु यहोवा यों कहता है, हाय, उन मूढ़ भविष्यद्वक्ताओं पर जो अपनी ही आत्मा के पीछे भटक जाते हैं, और कुछ दर्शन नहीं पाया!
Prabhu Yahowa yon kahta hai, haay, un moodh bhavishyadwaktaon par jo apni hi aatma ke peechhe bhatak jate hain, aur kuchh darshan nahi paya!
हे इस्राएल, तेरे भविष्यद्वक्ता खण्डहरों में की लोमड़ियों के समान बने हैं।
He Israel, tere bhavishyadwakta khandahron mein ki lomdiyon ke samaan bane hain.
तुम ने नाकों में चढ़ कर इस्राएल के घराने के लिये भीत नहीं सुधारी, जिस से वे यहोवा के दिन युद्ध में स्थिर रह सकते।
Tum ne nakon mein chadh kar Israel ke gharane ke liye bheet nahi sudhari, jis se ve Yahowa ke din yuddh mein sthir rah sakte.
वे लोग जो कहते हैं, यहोवा की यह वाणी है, उन्होंने भावी का व्यर्थ और झूठा दावा किया है; और तब भी यह आशा दिलाई कि यहोवा यह वचन पूरा करेगा; तौभी यहोवा ने उन्हें नहीं भेजा।
Ve log jo kahte hain, Yahowa ki yah vani hai, unhonne bhavi ka vyarth aur jhootha dava kiya hai; aur tab bhi yah aasha dilai ki Yahowa yah vachan poora karega; taubhi Yahowa ne unhein nahi bheja.
क्या तुम्हारा दर्शन झूठा नहीं है, और क्या तुम झूठमूठ भावी नहीं कहते? तुम कहते हो, कि यहोवा की यह वाणी है; परन्तु मैं ने कुछ नहीं कहा है।
Kya tumhara darshan jhootha nahi hai, aur kya tum jhoothmooth bhavi nahi kahte? Tum kahte ho, ki Yahowa ki yah vani hai; parantu main ne kuchh nahi kaha hai.
इस कारण प्रभु यहोवा तुम से यों कहता है, तुम ने जो व्यर्थ बात कही और झूठे दर्शन देखे हैं, इसलिये मैं तुम्हारे विरुद्ध हूँ, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।
Is karan Prabhu Yahowa tum se yon kahta hai, tum ne jo vyarth baat kahi aur jhoothe darshan dekhe hain, isliye main tumhare viruddh hoon, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.
जो भविष्यद्वक्ता झूठे दर्शन देखते और झूठमूठ भावी कहते हैं, मेरा हाथ उनके विरुद्ध होगा, और वे मेरी प्रजा की गोष्ठी में भागी न होंगे, न उनके नाम इस्राएल की नामावली में लिखे जाएंगे, और न वे इस्राएल के देश में प्रवेश करने पाएंगे; इस से तुम लोग जान लोगे कि मैं प्रभु यहोवा हूँ।
Jo bhavishyadwakta jhoothe darshan dekhte aur jhoothmooth bhavi kahte hain, mera haath unke viruddh hoga, aur ve meri praja ki goshthi mein bhagi na honge, na unke naam Israel ki namavli mein likhe jayenge, aur na ve Israel ke desh mein pravesh karne payenge; is se tum log jaan loge ki main Prabhu Yahowa hoon.
क्योंकि हां, क्योंकि उन्होंने “शान्ति है”, ऐसा कहकर मेरी प्रजा को बहकाया है जब कि शान्ति नहीं है; और इसलिये कि जब कोई भीत बनाता है तब वे उसकी कच्ची लेसाई करते हैं।
Kyonki han, kyonki unhonne “shanti hai”, aisa kahkar meri praja ko bahkaya hai jab ki shanti nahi hai; aur isliye ki jab koi bheet banata hai tab ve uski kachchi lesai karte hain.
उन कच्ची लेसाई करने वालों से कह कि वह गिर जाएगी। क्योंकि बड़े जोर की वर्षा होगी, और बड़े बड़े ओले भी गिरेंगे, और प्रचण्ड आंधी उसे गिराएगी।
Un kachchi lesai karne valon se kah ki vah gir jayegi. Kyonki bade jor ki varsha hogi, aur bade bade ole bhi girenge, aur prachand aandhi use girayegi.
सो जब भीत गिर जाएगी, तब क्या लोग तुम से यह न कहेंगे कि जो लेसाई तुम ने की वह कहां रही?
So jab bheet gir jayegi, tab kya log tum se yah na kahenge ki jo lesai tum ne ki vah kahan rahi?
इस कारण प्रभु यहोवा तुम से यों कहता है, मैं जल कर उसको प्रचण्ड आंधी के द्वारा गिराऊंगा; और मेरे कोप से भारी वर्षा होगी, और मेरी जलजलाहट से बड़े बड़े ओले गिरेंगे कि भीत को नाश करें।
Is karan Prabhu Yahowa tum se yon kahta hai, main jal kar usko prachand aandhi ke dwara giraoonga; aur mere kop se bhari varsha hogi, aur meri jalajlahat se bade bade ole girenge ki bheet ko naash karein.
इस रीति जिस भीत पर तुम ने कच्ची लेसाई की है, उसे मैं ढा दूंगा, वरन मिट्टी में मिलाऊंगा, और उसकी नेव खुल जाएगी; और जब वह गिरेगी, तब तुम भी उसके नीचे दब कर नाश होगे; और तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।
Is reeti jis bheet par tum ne kachchi lesai ki hai, use main dha doonga, varan mitti mein milaoonga, aur uski nev khul jayegi; aur jab vah giregi, tab tum bhi uske neeche dab kar naash hoge; aur tum jaan loge ki main Yahowa hoon.
इस रीति मैं भीत और उसकी कच्ची लेसाई करने वाले दोनों पर अपनी जलजलाहट पूर्ण रीति से भड़काऊंगा; फिर तुम से कहूंगा, न तो भीत रही,और न उसके लेसने वाले रहे,
Is reeti main bheet aur uski kachchi lesai karne vale donon par apni jalajlahat poorn reeti se bhadkaoonga; phir tum se kahoonga, na to bheet rahi,aur na uske lesne vale rahe,
अर्थात इस्राएल के वे भविष्यद्वक्ता जो यरूशलेम के विषय में भविष्यद्वाणी करते और उनकी शान्ति का दर्शन बताते थे, परन्तु प्रभु यहोवा की यह वाणी है, कि शान्ति है ही नहीं।
Arthaat Israel ke ve bhavishyadwakta jo Yerushalem ke vishay mein bhavishyadwani karte aur unki shanti ka darshan batate the, parantu Prabhu Yahowa ki yah vani hai, ki shanti hai hi nahi.
फिर हे मनुष्य के सन्तान, तू अपने लोगों की स्त्रियों से विमुख हो कर, जो अपने ही मन से भविष्यद्वाणी करती हे; उनके विरुद्ध भविष्यद्वाणी कर के कह,
Phir he manushya ke santaan, tu apne logon ki striyon se vimukh ho kar, jo apne hi man se bhavishyadwani karti he; unke viruddh bhavishyadwani kar ke kah,
प्रभु यहोवा यों कहता है, जो स्त्रियां हाथ के सब जोड़ो के लिये तकिया सीतीं और प्राणियों का अहेर करने को सब प्रकार के मनुष्यों की आंख ढांपने के लिये कपड़े बनाती हैं, उन पर हाय! क्या तुम मेरी प्रजा के प्राणों का अहेर कर के अपने निज प्राण बचा रखोगी?
Prabhu Yahowa yon kahta hai, jo striyan haath ke sab jodo ke liye takiya seeti aur praniyon ka aher karne ko sab prakaar ke manushyon ki aankh dhampne ke liye kapde banati hain, un par haay! Kya tum meri praja ke pranon ka aher kar ke apne nij praan bacha rakhogi?
तुम ने तो मुट्ठी मुट्ठी भर जव और रोटी के टुकड़ों के बदले मुझे मेरी प्रजा की दृष्टि में अपवित्र ठहरा कर, और अपनी उन झूठी बातों के द्वारा, जो मेरी प्रजा के लोग तुम से सुनते हैं, जो नाश के योग्य न थे, उन को मार डाला; और जो बचने के योग्य न थे उन प्राणों को बचा रखा है।
Tum ne to mutthi mutthi bhar jav aur roti ke tukdon ke badle mujhe meri praja ki drishti mein apvitra thahra kar, aur apni un jhoothi baton ke dwara, jo meri praja ke log tum se sunte hain, jo naash ke yogya na the, un ko maar dala; aur jo bachne ke yogya na the un pranon ko bacha rakha hai.
इस कारण प्रभु यहोवा तुम से यों कहता है, देखो, मैं तुम्हारे उन तकियों के विरुद्ध हूं, जिनके द्वारा तुम प्राणों का अहेर करती हो, इसलिये जिन्हें तुम अहेर कर कर के उड़ाती हो उन को मैं तुम्हारी बांह पर से छीन कर उन को छुड़ा दूंगा।
Is karan Prabhu Yahowa tum se yon kahta hai, dekho, main tumhare un takiyon ke viruddh hoon, jinke dwara tum pranon ka aher karti ho, isliye jinhein tum aher kar kar ke udati ho un ko main tumhari baanh par se chheen kar un ko chhuda doonga.
मैं तुम्हारे सिर के बुर्के को फाड़ कर अपनी प्रजा के लोगों को तुम्हारे हाथ से छुड़ाऊंगा, और आगे को वे तुम्हारे वश में न रहेंगे कि तुम उनका अहेर कर सको; तब तुम जान लोगी कि मैं यहोवा हूँ।
Main tumhare sir ke burke ko phaad kar apni praja ke logon ko tumhare haath se chhudaoonga, aur aage ko ve tumhare vash mein na rahenge ki tum unka aher kar sako; tab tum jaan logi ki main Yahowa hoon.
तुम ने जो झूठ कह कर धर्मी के मन को उदास किया है, यद्यपि मैं ने उसको उदास करना नहीं चाहा, और तुम ने दुष्ट जन को हियाव बन्धाया है, ताकि वह अपने बुरे मार्ग से न फिरे और जीवित रहे।
Tum ne jo jhooth kah kar dharmi ke man ko udaas kiya hai, yadyapi main ne usko udaas karna nahi chaha, aur tum ne dusht jan ko hiyaav bandhaya hai, taki vah apne bure maarg se na phire aur jeevit rahe.
इस कारण तुम फिर न तो झूठा दर्शन देखोगी, और न भावी कहोगी; क्योंकि मैं अपनी प्रजा को तुम्हारे हाथ से छुड़ाऊंगा। तब तुम जान लोगी कि मैं यहोवा हूँ।
Is karan tum phir na to jhootha darshan dekhogi, aur na bhavi kahogi; kyonki main apni praja ko tumhare haath se chhudaoonga. Tab tum jaan logi ki main Yahowa hoon.