Ezekiel 12 · 28 verses

यहेजकेल 12 Ezekiel 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 12.

1

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

2

हे मनुष्य के सन्तान, तू बलवा करने वाले घराने के बीच में रहता है, जिनके देखने के लिये आंखें तो हैं, परन्तु नहीं देखते; और सुनने के लिये कान तो हैं परन्तु नहीं सुनते; क्योंकि वे बलवा करने वाले घराने के हैं।

He manushya ke santaan, tu balva karne vale gharane ke beech mein rahta hai, jinke dekhne ke liye aankhein to hain, parantu nahi dekhte; aur sunne ke liye kaan to hain parantu nahi sunte; kyonki ve balva karne vale gharane ke hain.

3

इसलिये हे मनुष्य के सन्तान दिन को बंधुआई का सामान, तैयार कर के उनके देखते हुए उठ जाना, उनके देखते हुए अपना स्थान छोड़ कर दूसरे स्थान को जाना। यद्यपि वे बलवा करने वाले घराने के हैं, तौभी सम्भव है कि वे ध्यान दें।

Isliye he manushya ke santaan din ko bandhuaai ka samaan, taiyaar kar ke unke dekhte hue uth jana, unke dekhte hue apna sthaan chhod kar doosre sthaan ko jana. Yadyapi ve balva karne vale gharane ke hain, taubhi sambhav hai ki ve dhyaan dein.

4

सो तू दिन को उनके देखते हुए बंधुआई के सामान की नाईं अपना सामान निकालना, और तब तू सांझ को बंधुआई में जाने वाले के समान उनके देखते हुए उठ जाना।

So tu din ko unke dekhte hue bandhuaai ke samaan ki nai apna samaan nikalna, aur tab tu saanjh ko bandhuaai mein jane vale ke samaan unke dekhte hue uth jana.

5

उनके देखते हुए भीत को फोड़कर उसी से अपना सामान निकालना।

Unke dekhte hue bheet ko phodkar usi se apna samaan nikalna.

6

उनके देखते हुए उसे अपने कंधे पर उठा कर अन्धेरे में निकालना, और अपना मुंह ढांपे रहना कि भूमि तुझे न देख पड़े; क्योंकि मैं ने तुझे इस्राएल के घराने के लिये एक चिन्ह ठहराया है।

Unke dekhte hue use apne kandhe par utha kar andhere mein nikalna, aur apna munh dhampe rahna ki bhoomi tujhe na dekh pade; kyonki main ne tujhe Israel ke gharane ke liye ek chinh thahraya hai.

7

उस आज्ञा के अनुसार मैं ने वैसा ही किया। दिन को मैं ने अपना सामान बंधुआई के सामान की नाईं निकाला, और सांझ को अपने हाथ से भीत को फोड़ा; फिर अन्धेरे में सामान को निकाल कर, उनके देखते हुए अपने कंधे पर उठाए हुए चला गया।

Us aagya ke anusaar main ne vaisa hi kiya. Din ko main ne apna samaan bandhuaai ke samaan ki nai nikala, aur saanjh ko apne haath se bheet ko phoda; phir andhere mein samaan ko nikaal kar, unke dekhte hue apne kandhe par uthaye hue chala gaya.

8

बिहान को यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Bihaan ko Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

9

हे मनुष्य के सन्तान, क्या इस्राएल के घराने ने अर्थात उस बलवा करने वाले घराने ने तुझ से यह नहीं पूछा, कि यह तू क्या करता है?

He manushya ke santaan, kya Israel ke gharane ne arthaat us balva karne vale gharane ne tujh se yah nahi poochha, ki yah tu kya karta hai?

10

तू उन से कह कि प्रभु यहोवा यों कहता है, यह प्रभावशाली वचन यरूशलेम के प्रधान पुरुष और इस्राएल के सारे घराने के विष्य में है जिसके बीच में वे रहते हैं।

Tu un se kah ki Prabhu Yahowa yon kahta hai, yah prabhavshali vachan Yerushalem ke pradhaan purush aur Israel ke sare gharane ke vishya mein hai jiske beech mein ve rahte hain.

11

तू उन से कह, मैं तुम्हारे लिये चिन्ह हूँ; जैसा मैं ने किया है, वैसा ही इस्राएली लोगों से भी किया जाएगा; उन को उठ कर बंधुआई में जाना पड़ेगा।

Tu un se kah, main tumhare liye chinh hoon; jaisa main ne kiya hai, vaisa hi Israeli logon se bhi kiya jayega; un ko uth kar bandhuaai mein jana padega.

12

उनके बीच में जो प्रधान है, सो अन्धेरे में अपने कंधे पर बोझ उठाए हुए निकलेगा; वह अपना सामान निकालने के लिये भीत को फोड़ेगा, और अपना मुंह ढांपे रहेगा कि उसको भूमि न देख पड़े।

Unke beech mein jo pradhaan hai, so andhere mein apne kandhe par bojh uthaye hue niklega; vah apna samaan nikalne ke liye bheet ko phodega, aur apna munh dhampe rahega ki usko bhoomi na dekh pade.

13

और मैं उस पर अपना जाल फैलाऊंगा, और वह मेरे फंदे में फंसेगा; और मैं उसे कसदियों के देश के बाबुल में पहुंचा दूंगा; यद्यपि वह उस नगर में मर जाएगा, तौभी उसको न देखेगा।

Aur main us par apna jaal phailaoonga, aur vah mere phande mein phansega; aur main use kasdiyon ke desh ke babul mein pahuncha doonga; yadyapi vah us nagar mein mar jayega, taubhi usko na dekhega.

14

और जितने उसके सहायक उसके आस पास होंगे, उन को और उसकी सारी टोलियों को मैं सब दिशाओं में तितर-बितर कर दूंगा; और तलवार खींच कर उनके पीछे चलवाऊंगा।

Aur jitne uske sahayak uske aas paas honge, un ko aur uski sari toliyon ko main sab dishaon mein titar-bitar kar doonga; aur talvaar kheench kar unke peechhe chalvaoonga.

15

और जब मैं उन्हे जाति जाति में तितर-बितर कर दूंगा, और देश देश में छिन्न भिन्न कर दूंगा, तब वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।

Aur jab main unhe jati jati mein titar-bitar kar doonga, aur desh desh mein chhinn bhinn kar doonga, tab ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.

16

परन्तु मैं उन में से थोड़े से लोगों को तलवार, भूख और मरी से बचा रखूंगा; और वे अपने घृणित काम उन जातियों में बखान करेंगे जिनके बीच में वे पहुंचेंगे; तब वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।

Parantu main un mein se thode se logon ko talvaar, bhookh aur mari se bacha rakhoonga; aur ve apne ghrinit kaam un jatiyon mein bakhaan karenge jinke beech mein ve pahunchenge; tab ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.

17

तब यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Tab Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

18

हे मनुष्य के सन्तान, कांपते हुए अपनी रोटी खाना और थरथराते और चिन्ता करते हुए अपना पानी पीना;

He manushya ke santaan, kampte hue apni roti khana aur tharathrate aur chinta karte hue apna pani peena;

19

और इस देश के लोगों से यों कहना, कि प्रभु यहोवा यरूशलेम और इस्राएल के देश के निवासियों के विषय में यों कहता है, वे अपनी रोटी चिन्ता के साथ खाएंगे, और अपना पानी विस्मय के साथ पीएंगे; क्योंकि देश अपने सब रहने वालों के उपद्रव के कारण अपनी सारी भरपूरी से रहित हो जाएगा।

Aur is desh ke logon se yon kahna, ki Prabhu Yahowa Yerushalem aur Israel ke desh ke nivasiyon ke vishay mein yon kahta hai, ve apni roti chinta ke saath khayenge, aur apna pani vismay ke saath peeyenge; kyonki desh apne sab rahne valon ke upadrav ke karan apni sari bharpoori se rahit ho jayega.

20

और बसे हुए नगर उजड़ जाएंगे, और देश भी उजाड़ हो जाएगा; तब तुम लोग जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।

Aur base hue nagar ujad jayenge, aur desh bhi ujaad ho jayega; tab tum log jaan loge ki main Yahowa hoon.

21

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

22

हे मनुष्य के सन्तान यह क्या कहावत है जो तुम लोग इस्राएल के देश में कहा करते हो, कि दिन अधिक हो गए हैं, और दर्शन की कोई बात पूरी नहीं हुई?

He manushya ke santaan yah kya kahavat hai jo tum log Israel ke desh mein kaha karte ho, ki din adhik ho gaye hain, aur darshan ki koi baat poori nahi hui?

23

इसलिये उन से कह, प्रभु यहोवा यों कहता है, मैं इस कहावत को बन्द करूंगा; और यह कहावत इस्राएल पर फिर न चलेगी। और तू उन से कह कि वह दिन निकट आ गया है, और दर्शन की सब बातें पूरी होने पर हैं।

Isliye un se kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai, main is kahavat ko band karoonga; aur yah kahavat Israel par phir na chalegi. Aur tu un se kah ki vah din nikat aa gaya hai, aur darshan ki sab batein poori hone par hain.

24

क्योंकि इस्राएल के घराने में न तो और अधिक झूठे दर्शन की कोई बात और न कोई चिकनी-चुपड़ी बात फिर कही जाएगी।

Kyonki Israel ke gharane mein na to aur adhik jhoothe darshan ki koi baat aur na koi chikni-chupdi baat phir kahi jayegi.

25

क्योंकि मैं यहोवा हूँ; जब मैं बोलूं, तब जो वचन मैं कहूं, वह पूरा हो जाएगा। उस में विलम्ब न होगा, परन्तु, हे बलवा करने वाले घराने तुम्हारे ही दिनों में मैं वचन कहूंगा, और वह पूरा हो जाएगा, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।

Kyonki main Yahowa hoon; jab main bolun, tab jo vachan main kahun, vah poora ho jayega. Us mein vilamb na hoga, parantu, he balva karne vale gharane tumhare hi dinon mein main vachan kahoonga, aur vah poora ho jayega, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.

26

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

27

हे मनुष्य के सन्तान, देख, इस्राएल के घराने के लोग यह कह रहे हैं कि जो दर्शन वह देखता है, वह बहुत दिन के बाद पूरा होने वाला है; और कि वह दूर के समय के विषय में भविष्यद्वाणी करता है।

He manushya ke santaan, dekh, Israel ke gharane ke log yah kah rahe hain ki jo darshan vah dekhta hai, vah bahut din ke baad poora hone vala hai; aur ki vah door ke samay ke vishay mein bhavishyadwani karta hai.

28

इसलिये तू उन से कह, प्रभु यहोवा यों कहता है, मेरे किसी वचन के पूरा होने में फिर विलम्ब न होगा, वरन जो वचन मैं कहूं, सो वह निश्चय पूरा होगा, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।

Isliye tu un se kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai, mere kisi vachan ke poora hone mein phir vilamb na hoga, varan jo vachan main kahun, so vah nishchay poora hoga, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.