Ezekiel 14 · 23 verses

यहेजकेल 14 Ezekiel 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 14.

1

फिर इस्राएल के कितने पुरनिये मेरे पास आकर मेरे साम्हने बैठ गए।

Phir Israel ke kitne purniye mere paas aakar mere samhane baith gaye.

2

तब यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Tab Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

3

हे मनुष्य के सन्तान, इन पुरुषों ने तो अपनी मूरतें अपने मन में स्थापित कीं, और अपने अधर्म की ठोकर अपने साम्हने रखी है; फिर क्या वे मुझ से कुछ भी पूछने पाएंगे?

He manushya ke santaan, in purushon ne to apni moortein apne man mein sthapit ki, aur apne adharm ki thokar apne samhane rakhi hai; phir kya ve mujh se kuchh bhi poochhne payenge?

4

सो तू उन से कह, प्रभु यहोवा यों कहता है, कि इस्राएल के घराने में से जो कोई अपनी मूरतें अपने मन में स्थापित कर के, और अपने अधर्म की ठोकर अपने साम्हने रखकर भविष्यद्वक्ता के पास आए, उसको, मैं यहोवा, उसकी बहुत सी मूरतों के अनुसार ही उत्तर दूंगा,

So tu un se kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai, ki Israel ke gharane mein se jo koi apni moortein apne man mein sthapit kar ke, aur apne adharm ki thokar apne samhane rakhkar bhavishyadwakta ke paas aaye, usko, main Yahowa, uski bahut si moorton ke anusaar hi uttar doonga,

5

जिस से इस्राएल का घराना, जो अपनी मूरतों के द्वारा मुझे त्याग कर दूर हो गया है, उन्हें मैं उन्हीं के मन के द्वारा फंसाऊंगा।

Jis se Israel ka gharana, jo apni moorton ke dwara mujhe tyaag kar door ho gaya hai, unhein main unhi ke man ke dwara phansaoonga.

6

सो इस्राएल के घराने से कह, प्रभु यहोवा यों कहता हे, फिरो और अपनी मूरतों को पीठ के पीछे करो; और अपने सब घृणित कामों से मुंह मोड़ो।

So Israel ke gharane se kah, Prabhu Yahowa yon kahta he, phiro aur apni moorton ko peeth ke peechhe karo; aur apne sab ghrinit kamon se munh modo.

7

क्योंकि इस्राएल के घराने में से और उसके बीच रहने वाले परदेशियों में से भी कोई क्यों न हो, जो मेरे पीछे हो लेना छोड़ कर अपनी मूरतें अपने मन में स्थापित करे, और अपने अधर्म की ठोकर अपने साम्हने रखे, और तब मुझ से अपनी कोई बात पूछने के लिये भविष्यद्वक्ता के पास आए, तो उसको, मैं यहोवा आप ही उत्तर दूंगा।

Kyonki Israel ke gharane mein se aur uske beech rahne vale pardeshiyon mein se bhi koi kyon na ho, jo mere peechhe ho lena chhod kar apni moortein apne man mein sthapit kare, aur apne adharm ki thokar apne samhane rakhe, aur tab mujh se apni koi baat poochhne ke liye bhavishyadwakta ke paas aaye, to usko, main Yahowa aap hi uttar doonga.

8

और मैं उस मनुष्य के विरुद्ध हो कर उसको विस्मित करूंगा, और चिन्ह ठहराऊंगा; और उसकी कहावत चलाऊंगा और उसे अपनी प्रजा में से नाश करूंगा; तब तुम लोग जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।

Aur main us manushya ke viruddh ho kar usko vismit karoonga, aur chinh thahraoonga; aur uski kahavat chalaoonga aur use apni praja mein se naash karoonga; tab tum log jaan loge ki main Yahowa hoon.

9

और यदि भविष्यद्वक्ता ने धोखा खाकर कोई वचन कहा हो, तो जानो कि मुझ यहोवा ने उस भविष्यद्वक्ता को धोखा दिया है; और मैं अपना हाथ उसके विरुद्ध बढ़ा कर उसे अपनी प्रजा इस्राएल में से नाश करूंगा।

Aur yadi bhavishyadwakta ne dhokha khakar koi vachan kaha ho, to jano ki mujh Yahowa ne us bhavishyadwakta ko dhokha diya hai; aur main apna haath uske viruddh badha kar use apni praja Israel mein se naash karoonga.

10

वे सब लोग अपने अपने अधर्म का बोझ उठाएंगे, अर्थात जैसा भविष्यद्वक्ता से पूछने वाले का अधर्म ठहरेगा, वैसा ही भविष्यद्वक्ता का भी अधर्म ठहरेगा।

Ve sab log apne apne adharm ka bojh uthayenge, arthaat jaisa bhavishyadwakta se poochhne vale ka adharm thahrega, vaisa hi bhavishyadwakta ka bhi adharm thahrega.

11

ताकि इस्राएल का घराना आगे को मेरे पीछे हो लेना न छोड़े और न अपने भांति भांति के अपराधों के द्वारा आगे को अशुद्ध बने; वरन वे मेरी प्रजा बनें और मैं उनका परमेश्वर ठहरूं, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।

Taki Israel ka gharana aage ko mere peechhe ho lena na chhode aur na apne bhanti bhanti ke apradhon ke dwara aage ko ashuddh bane; varan ve meri praja banein aur main unka Parmeshwar thahrun, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.

12

और यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Aur Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

13

हे मनुष्य के सन्तान, जब किसी देश के लोग मुझ से विश्वासघात कर के पापी हो जाएं, और मैं अपना हाथ उस देश के विरुद्ध बढ़ा कर उसका अन्नरूपी आधार दूर करूं, और उस में अकाल डालकर उस में से मनुष्य और पशु दोनों को नाश करूं,

He manushya ke santaan, jab kisi desh ke log mujh se vishwasghaat kar ke papi ho jayen, aur main apna haath us desh ke viruddh badha kar uska annaroopi aadhaar door karun, aur us mein akaal dalkar us mein se manushya aur pashu donon ko naash karun,

14

तब चाहे उस में नूह, दानिय्येल और अय्यूब ये तीनों पुरुष हों, तौभी वे अपने धर्म के द्वारा केवल अपने ही प्राणों को बचा सकेंगे; प्रभु यहोवा की यही वाणी हे।

Tab chahe us mein nooh, daniyyel aur ayyoob ye teenon purush hon, taubhi ve apne dharm ke dwara keval apne hi pranon ko bacha sakenge; Prabhu Yahowa ki yahi vani he.

15

यदि मैं किसी देश में दुष्ट जन्तु भेजूं जो उसको निर्जन कर के उजाड़ कर डालें, और जन्तुओं के कारण कोई उस में हो कर न जाएं,

Yadi main kisi desh mein dusht jantu bhejun jo usko nirjan kar ke ujaad kar dalein, aur jantuon ke karan koi us mein ho kar na jayen,

16

तो चाहे उसे में वे तीन पुरुष हों, तौभी प्रभु यहोवा की यह वाणी है, मेरे जीवन की सौगन्ध, न वे पुत्रों को ओर न पुत्रियों को बचा सकेंगे; वे ही अकेले बचेंगे; परन्तु देश उजाड़ हो जाएगा।

To chahe use mein ve teen purush hon, taubhi Prabhu Yahowa ki yah vani hai, mere jeevan ki saugandh, na ve putron ko or na putriyon ko bacha sakenge; ve hi akele bachenge; parantu desh ujaad ho jayega.

17

और यदि मैं उस देश पर तलवार खींचकर कहूं, हे तलवार उस देश में चल; और इस रीति मैं उस में से मनुष्य और पशु नाश करूं,

Aur yadi main us desh par talvaar kheenchkar kahun, he talvaar us desh mein chal; aur is reeti main us mein se manushya aur pashu naash karun,

18

तब चाहे उस में वे तीन पुरुष भी हों, तौभी प्रभु यहोवा की यह वाणी है, मेरे जीवन की सौगन्ध, न तो वे पुत्रों को और न पुत्रियों को बचा सकेंगे, वे ही अकेले बचेंगे।

Tab chahe us mein ve teen purush bhi hon, taubhi Prabhu Yahowa ki yah vani hai, mere jeevan ki saugandh, na to ve putron ko aur na putriyon ko bacha sakenge, ve hi akele bachenge.

19

यदि मैं उस देश में मरी फैलाऊं और उस पर अपनी जलजलाहट भड़का कर उसका लोहू ऐसा बहाऊं कि वहां के मनुष्य और पशु दोनों नाश हों,

Yadi main us desh mein mari phailaun aur us par apni jalajlahat bhadka kar uska lohu aisa bahaun ki vahan ke manushya aur pashu donon naash hon,

20

तो चाहे नूह, दानिय्येल और अय्यूब भी उस में हों, तौभी, प्रभु यहोवा की यह वाणी है, मेरे जीवन की सौगन्ध, वे न पुत्रों को और न पुत्रियों को बचा सकेंगे, अपने धर्म के द्वारा वे केवल अपने ही प्राणों को बचा सकेंगे।

To chahe nooh, daniyyel aur ayyoob bhi us mein hon, taubhi, Prabhu Yahowa ki yah vani hai, mere jeevan ki saugandh, ve na putron ko aur na putriyon ko bacha sakenge, apne dharm ke dwara ve keval apne hi pranon ko bacha sakenge.

21

क्योंकि प्रभु यहोवा यों कहता है, मैं यरूशलेम पर अपने चारों दण्ड पहुंचाऊंगा, अर्थात तलवार, अकाल, दुष्ट जन्तु और मरी, जिन से मनुष्य और पशु सब उस में से नाश हों।

Kyonki Prabhu Yahowa yon kahta hai, main Yerushalem par apne charon dand pahunchaoonga, arthaat talvaar, akaal, dusht jantu aur mari, jin se manushya aur pashu sab us mein se naash hon.

22

तौभी उस में थोड़े से पुत्र-पुत्रियां बचेंगी जो वहां से निकाल कर तुम्हारे पास पहुंचाई जाएंगी, और तुम उनके चालचलन और कामों को देख कर उस विपत्ति के विषय में जो मैं यरूशलेम पर डालूंगा, वरन जितनी विपत्ति मैं उस पर डालूंगा, उस सब के विषय में शान्ति पाओगे।

Taubhi us mein thode se putra-putriyan bachengi jo vahan se nikaal kar tumhare paas pahunchai jayengi, aur tum unke chalachlan aur kamon ko dekh kar us vipatti ke vishay mein jo main Yerushalem par daloonga, varan jitni vipatti main us par daloonga, us sab ke vishay mein shanti paoge.

23

जब तुम उनका चालचलन और काम देखो, तब वे तुम्हारी शान्ति के कारण होंगे; और तुम जान लोगे कि मैं ने यरूशलेम में जो कुछ किया, वह बिना कारण नहीं किया, प्रभु यहोवा की यही वाणी हैं

Jab tum unka chalachlan aur kaam dekho, tab ve tumhari shanti ke karan honge; aur tum jaan loge ki main ne Yerushalem mein jo kuchh kiya, vah bina karan nahi kiya, Prabhu Yahowa ki yahi vani hain