Ezekiel 11 · 25 verses

यहेजकेल 11 Ezekiel 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 11.

1

तब आत्मा ने मुझे उठा कर यहोवा के भवन के पूवीं फाटक के पास जिसका मुंह पूवीं दिशा की ओर है, पहुंचा दिया; और वहां मैं ने क्या देखा, कि फाटक ही में पच्चीस पुरुष हैं। और मैं ने उनके बीच अज्जूर के पुत्र याजन्याह को और बनायाह के पुत्र पलत्याह को देखा, जो प्रजा के प्रधान थे।

Tab aatma ne mujhe utha kar Yahowa ke bhavan ke poovi phatak ke paas jiska munh poovi disha ki or hai, pahuncha diya; aur vahan main ne kya dekha, ki phatak hi mein pachchees purush hain. Aur main ne unke beech ajjoor ke putra yajanyaah ko aur banayaah ke putra palatyaah ko dekha, jo praja ke pradhaan the.

2

तब उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, जो मनुष्य इस नगर में अनर्थ कल्पना और बुरी युक्ति करते हैं वे ये ही हैं।

Tab usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, jo manushya is nagar mein anarth kalpana aur buri yukti karte hain ve ye hi hain.

3

ये कहते हैं, घर बनाने का समय निकट नहीं, यह नगर हंडा और हम उस में का मांस है।

Ye kahte hain, ghar banane ka samay nikat nahi, yah nagar handa aur ham us mein ka maans hai.

4

इसलिये हे मनुष्य के सन्तान, इनके विरुद्ध भविष्यद्वाणी कर, भविष्यद्वाणी।

Isliye he manushya ke santaan, inke viruddh bhavishyadwani kar, bhavishyadwani.

5

तब यहोवा का आत्मा मुझ पर उतरा, और मुझ से कहा, ऐसा कह, यहोवा यों कहता है, कि हे इस्राएल के घराने तुम ने ऐसा ही कहा हे; जो कुछ तुम्हारे मन में आता है, उसे मैं जानता हूँ।

Tab Yahowa ka aatma mujh par utra, aur mujh se kaha, aisa kah, Yahowa yon kahta hai, ki he Israel ke gharane tum ne aisa hi kaha he; jo kuchh tumhare man mein aata hai, use main janta hoon.

6

तुम ने तो इस नगर में बहुतों को मार डाला वरन उसकी सड़कों को लोथों से भर दिया है।

Tum ne to is nagar mein bahuton ko maar dala varan uski sadkon ko lothon se bhar diya hai.

7

इस कारण प्रभु यहोवा यों कहता है, कि जो मनुष्य तुम ने इस में मार डाले हैं, उनकी लोथें ही इस नगररूपी हंडे में का मांस है; और तुम इसके बीच से निकाले जाओगे।

Is karan Prabhu Yahowa yon kahta hai, ki jo manushya tum ne is mein maar dale hain, unki lothein hi is nagarroopi hande mein ka maans hai; aur tum iske beech se nikale jaoge.

8

तुम तलवार से डरते हो, और मैं तुम पर तलवार चलाऊंगा, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।

Tum talvaar se darte ho, aur main tum par talvaar chalaoonga, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.

9

मैं तुम को इस में से निकाल कर परदेशियों के हाथ में कर दूंगा, और तुम को दण्ड दिलाऊंगा।

Main tum ko is mein se nikaal kar pardeshiyon ke haath mein kar doonga, aur tum ko dand dilaoonga.

10

तुम तलवार से मरकर गिरोगे, और मैं तुम्हारा मुकद्दमा, इस्राएल के देश के सिवाने पर चुकाऊंगा; तब तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।

Tum talvaar se markar giroge, aur main tumhara mukaddama, Israel ke desh ke sivane par chukaoonga; tab tum jaan loge ki main Yahowa hoon.

11

यह नगर तुम्हारे लिये हंडा न बनेगा, और न तुम इस में का मांस होगे; मैं तुम्हारा मुक़द्दमा इस्राएल के देश के सिवाने पर चुकाऊंगा।

Yah nagar tumhare liye handa na banega, aur na tum is mein ka maans hoge; main tumhara muqaddama Israel ke desh ke sivane par chukaoonga.

12

तब तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ; तुम तो मेरी विधियों पर नहीं चले, और मेरे नियमों को तुम ने नहीं माना; परन्तु अपने चारों ओर की अन्यजातियों की रीतियों पर चले हो।

Tab tum jaan loge ki main Yahowa hoon; tum to meri vidhiyon par nahi chale, aur mere niymon ko tum ne nahi mana; parantu apne charon or ki anyajatiyon ki reetiyon par chale ho.

13

मैं इस प्रकार की भविष्यद्वाणी कर रहा था, कि बनायाह का पुत्र पलत्याह मर गया। तब मैं मुंह के बल गिर कर ऊंचे शब्द से चिल्ला उठा, और कहा, हाय प्रभु यहोवा, क्या तू इस्राएल के बचे हुओं को सत्यानाश कर डालेगा?

Main is prakaar ki bhavishyadwani kar raha tha, ki banayaah ka putra palatyaah mar gaya. Tab main munh ke bal gir kar oonche shabd se chilla utha, aur kaha, haay Prabhu Yahowa, kya tu Israel ke bache huon ko satyanaash kar dalega?

14

तब यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Tab Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

15

हे मनुष्य के सन्तान, यरूशलेम के निवासियों ने तेरे निकट भाइयों से वरन इस्राएल के सारे घराने से भी कहा है कि तुम यहोवा के पास से दूर हो जाओ; यह देश हमारे ही अधिकार में दिया गया है।

He manushya ke santaan, Yerushalem ke nivasiyon ne tere nikat bhaiyon se varan Israel ke sare gharane se bhi kaha hai ki tum Yahowa ke paas se door ho jao; yah desh hamare hi adhikaar mein diya gaya hai.

16

परन्तु तू उन से कह, प्रभु यहोवा यों कहता है कि मैं ने तुम को दूर दूर की जातियों में बसाया और देश देश में तितर-बितर कर दिया तो है, तौभी जिन देशों में तुम आए हुए हो, उन में मैं स्वयं तुम्हारे लिये थोड़े दिन तक पवित्र स्थान ठहरूंगा।

Parantu tu un se kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai ki main ne tum ko door door ki jatiyon mein basaya aur desh desh mein titar-bitar kar diya to hai, taubhi jin deshon mein tum aaye hue ho, un mein main swayan tumhare liye thode din tak pavitra sthaan thahroonga.

17

इसलिये, उन से कह, प्रभु यहोवा यों कहता है, कि मैं तुम को जाति जाति के लोगों के बीच से बटोरूंगा, और जिन देशों में तुम तितर-बितर किए गए हो, उन में से तुम को इकट्ठा करूंगा, और तुम्हें इस्राएल की भूमि दूंगा।

Isliye, un se kah, Prabhu Yahowa yon kahta hai, ki main tum ko jati jati ke logon ke beech se batoroonga, aur jin deshon mein tum titar-bitar kiye gaye ho, un mein se tum ko ikattha karoonga, aur tumhein Israel ki bhoomi doonga.

18

और वे वहां पहुंच कर उस देश की सब घृणित मूरतें और सब घृणित काम भी उस में से दूर करेंगे।

Aur ve vahan pahunch kar us desh ki sab ghrinit moortein aur sab ghrinit kaam bhi us mein se door karenge.

19

और मैं उनका हृदय एक कर दूंगा; और उनके भीतर नई आत्मा उत्पन्न करूंगा, और उनकी देह में से पत्थर का सा हृदय निकाल कर उन्हें मांस का हृदय दूंगा,

Aur main unka hriday ek kar doonga; aur unke bheetar nai aatma utpann karoonga, aur unki deh mein se patthar ka sa hriday nikaal kar unhein maans ka hriday doonga,

20

जिस से वे मेरी विधियों पर नित चला करें और मेरे नियमों को मानें; और वे मेरी प्रजा ठहरेंगे, और मैं उनका परमेश्वर ठहरूंगा।

Jis se ve meri vidhiyon par nit chala karein aur mere niymon ko manein; aur ve meri praja thahrenge, aur main unka Parmeshwar thahroonga.

21

परन्तु वे लोग जो अपनी घृणित मूरतों और घृणित कामों में मन लगा कर चलते रहते हैं, उन को मैं ऐसा करूंगा कि उनकी चाल उन्हीं के सिर पर पड़ेगी, प्रभु यहोवा की यही वाणी है।

Parantu ve log jo apni ghrinit moorton aur ghrinit kamon mein man laga kar chalte rahte hain, un ko main aisa karoonga ki unki chaal unhi ke sir par padegi, Prabhu Yahowa ki yahi vani hai.

22

इस पर करूबों ने अपने पंख उठाए, और पहिये उनके संग संग चले; और इस्राएल के परमेश्वर का तेज उनके ऊपर था।

Is par karoobon ne apne pankh uthaye, aur pahiye unke sang sang chale; aur Israel ke Parmeshwar ka tej unke oopar tha.

23

तब यहोवा का तेज नगर के बीच में से उठ कर उस पर्वत पर ठहर गया जो नगर की पूर्व ओर है।

Tab Yahowa ka tej nagar ke beech mein se uth kar us parvat par thahar gaya jo nagar ki poorva or hai.

24

फिर आत्मा ने मुझे उठाया, और परमेश्वर के आत्मा की शक्ति से दर्शन में मुझे कसदियों के देश में बंधुओं के पास पहुंचा दिया। और जो दर्शन मैं ने पाया था वह लोप हो गया।

Phir aatma ne mujhe uthaya, aur Parmeshwar ke aatma ki shakti se darshan mein mujhe kasdiyon ke desh mein bandhuon ke paas pahuncha diya. Aur jo darshan main ne paya tha vah lop ho gaya.

25

तब जितनी बातें यहोवा ने मुझे दिखाई थीं, वे मैं ने बंधुओं को बता दीं।

Tab jitni batein Yahowa ne mujhe dikhai thi, ve main ne bandhuon ko bata di.