फिर सेनाओं के यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir senaon ke Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
Zechariah 8 · 23 verses
फिर सेनाओं के यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir senaon ke Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
सेनाओं का यहोवा यों कहता है: सिय्योन के लिये मुझे बड़ी जलन हुई वरन बहुत ही जलजलाहट मुझ में उत्पन्न हुई है।
Senaon ka Yahowa yon kahta hai: siyyon ke liye mujhe badi jalan hui varan bahut hi jalajlahat mujh mein utpann hui hai.
यहोवा यों कहता है, मैं सिय्योन में लौट आया हूं, और यरूशलेम के बीच में वास किए रहूंगा, और यरूशलेम की सच्चाई का नगर कहलाएगा, और सेनाओं के यहोवा का पर्वत, पवित्र पर्वत कहलाएगा।
Yahowa yon kahta hai, main siyyon mein laut aaya hoon, aur Yerushalem ke beech mein vaas kiye rahoonga, aur Yerushalem ki sachchai ka nagar kahlayega, aur senaon ke Yahowa ka parvat, pavitra parvat kahlayega.
सेनाओं का यहोवा यों कहता है, यरूशलेम के चौकों में फिर बूढ़े और बूढ़ियां बहुत आयु की होने के कारण, अपने अपने हाथ में लाठी लिए हुए बैठा करेंगी।
Senaon ka Yahowa yon kahta hai, Yerushalem ke chaukon mein phir boodhe aur boodhiyan bahut aayu ki hone ke karan, apne apne haath mein lathi liye hue baitha karengi.
और नगर में चौक खेलने वाले लड़कों और लड़कियों से भरे रहेंगे।
Aur nagar mein chauk khelne vale ladkon aur ladkiyon se bhare rahenge.
सेनाओं का यहोवा यों कहता है, चाहे उन दिनों में यह बात इन बचे हुओं की दृष्टि में अनोखी ठहरे, परन्तु क्या मेरी दृष्टि में भी यह अनोखी ठहरेगी, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है?
Senaon ka Yahowa yon kahta hai, chahe un dinon mein yah baat in bache huon ki drishti mein anokhi thahre, parantu kya meri drishti mein bhi yah anokhi thahregi, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai?
सेनाओं का यहोवा यों कहता है, देखो, मैं अपनी प्रजा का उद्धार कर के उसे पूरब से और पच्छिम से ले आऊंगा;
Senaon ka Yahowa yon kahta hai, dekho, main apni praja ka uddhaar kar ke use poorab se aur pachchhim se le aaoonga;
और मैं उन्हें ले आकर यरूशलेम के बीच में बसाऊंगा; और वे मेरी प्रजा ठहरेंगे और मैं उनका परमेश्वर ठहरूंगा, यह तो सच्चाई और धर्म के साथ होगा॥
Aur main unhein le aakar Yerushalem ke beech mein basaoonga; aur ve meri praja thahrenge aur main unka Parmeshwar thahroonga, yah to sachchai aur dharm ke saath hoga.
सेनाओं का यहोवा यों कहता है, तुम इन दिनों में ये वचन उन भविष्यद्वक्ताओं के मुख से सुनते हो जो सेनाओं के यहोवा के भवन की नेव डालने के समय अर्थात मन्दिर के बनने के समय में थे।
Senaon ka Yahowa yon kahta hai, tum in dinon mein ye vachan un bhavishyadwaktaon ke mukh se sunte ho jo senaon ke Yahowa ke bhavan ki nev dalne ke samay arthaat mandir ke banne ke samay mein the.
उन दिनों के पहिले, न तो मनुष्य की मजदूरी मिलती थी और न पशु का भाड़ा, वरन सताने वालों के कारण न तो आने वाले को चैन मिलता था और न जाने वाले को; क्योंकि मैं सब मनुष्यों से एक दूसरे पर चढ़ाई कराता था।
Un dinon ke pahile, na to manushya ki majdoori milti thi aur na pashu ka bhada, varan satane valon ke karan na to aane vale ko chain milta tha aur na jane vale ko; kyonki main sab manushyon se ek doosre par chadhai karata tha.
परन्तु अब मैं इस प्रजा के बचे हुओं से ऐसा बर्ताव न करूंगा जैसा कि अगले दिनों में करता था, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है।
Parantu ab main is praja ke bache huon se aisa bartaav na karoonga jaisa ki agle dinon mein karta tha, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.
क्योंकि अब शान्ति के समय की उपज अर्थात दाखलता फला करेंगी, पृथ्वी अपनी उपज उपजाया करेगी, और आकाश से ओस गिरा करेगी; क्योंकि मैं अपनी इस प्रजा के बचे हुओं को इन सब का अधिकारी कर दूंगा।
Kyonki ab shanti ke samay ki upaj arthaat dakhalta phala karengi, prithvi apni upaj upjaya karegi, aur aakaash se os gira karegi; kyonki main apni is praja ke bache huon ko in sab ka adhikari kar doonga.
और हे यहूदा के घराने, और इस्राएल के घराने, जिस प्रकार तुम अन्यजातियों के बीच शाप के कारण थे उसी प्रकार मैं तुम्हारा उद्धार करूंगा, और तुम आशीष के कारण होगे। इसलिये तुम मत डरो, और न तुम्हारे हाथ ढीले पड़ने पाएं॥
Aur he Yahuda ke gharane, aur Israel ke gharane, jis prakaar tum anyajatiyon ke beech shaap ke karan the usi prakaar main tumhara uddhaar karoonga, aur tum aasheesh ke karan hoge. Isliye tum mat daro, aur na tumhare haath dheele padne payen.
क्योंकि सेनाओं का यहोवा यों कहता है, जिस प्रकार जब तुम्हारे पुरखा मुझे रिस दिलाते थे, तब मैं ने उनकी हानि करने के लिये ठान लिया था और फिर न पछताया,
Kyonki senaon ka Yahowa yon kahta hai, jis prakaar jab tumhare purkha mujhe ris dilate the, tab main ne unki hani karne ke liye thaan liya tha aur phir na pachhtaya,
उसी प्रकार मैं ने इन दिनों में यरूशलेम की और यहूदा के घराने की भलाई करने को ठाना है; इसलिये तुम मत डरो।
Usi prakaar main ne in dinon mein Yerushalem ki aur Yahuda ke gharane ki bhalai karne ko thana hai; isliye tum mat daro.
जो जो काम तुम्हें करना चाहिये, वे ये हैं: एक दूसरे के साथ सत्य बोला करना, अपनी कचहरियों में सच्चाई का और मेल-मिलाप की नीति का न्याय करना,
Jo jo kaam tumhein karna chahiye, ve ye hain: ek doosre ke saath satya bola karna, apni kachahriyon mein sachchai ka aur mel-milaap ki neeti ka nyaay karna,
और अपने अपने मन में एक दूसरे की हानि की कल्पना न करना, और झूठी शपथ से प्रीति न रखना, क्योंकि इन सब कामों से मैं घृणा करता हूं, यहोवा की यही वाणी है॥
Aur apne apne man mein ek doosre ki hani ki kalpana na karna, aur jhoothi shapath se preeti na rakhna, kyonki in sab kamon se main ghrina karta hoon, Yahowa ki yahi vani hai.
फिर सेनाओं के यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir senaon ke Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
सेनाओं का यहोवा यों कहता है: चौथे, पांचवें, सातवें और दसवें महीने में जो जो उपवास के दिन होते हैं, वे यहूदा के घराने के लिये हर्ष और आनन्द और उत्सव के पर्वों के दिन हो जाएगें; इसलिये अब तुम सच्चाई और मेल-मिलाप से प्रीति रखो॥
Senaon ka Yahowa yon kahta hai: chauthe, panchvein, satvein aur dasvein maheene mein jo jo upvaas ke din hote hain, ve Yahuda ke gharane ke liye harsh aur aanand aur utsav ke parvon ke din ho jayegein; isliye ab tum sachchai aur mel-milaap se preeti rakho.
सेनाओं का यहोवा यों कहता है, ऐसा समय आने वाला है कि देश देश के लोग और बहुत नगरों के रहने वाले आएंगे।
Senaon ka Yahowa yon kahta hai, aisa samay aane vala hai ki desh desh ke log aur bahut nagron ke rahne vale aayenge.
और एक नगर के रहने वाले दूसरे नगर के रहने वालों के पास जा कर कहेंगे, यहोवा से बिनती करने और सेनाओं के यहोवा को ढूंढ़ने के लिये चलो; मैं भी चलूंगा।
Aur ek nagar ke rahne vale doosre nagar ke rahne valon ke paas ja kar kahenge, Yahowa se binti karne aur senaon ke Yahowa ko dhoondhne ke liye chalo; main bhi chaloonga.
बहुत से देशों के वरन सामर्थी जातियों के लोग यरूशलेम में सेनाओं के यहोवा को ढूंढ़ने और यहोवा से बिनती करने के लिये आएंगे।
Bahut se deshon ke varan samarthi jatiyon ke log Yerushalem mein senaon ke Yahowa ko dhoondhne aur Yahowa se binti karne ke liye aayenge.
सेनाओं का यहोवा यों कहता है: उस दिनों में भांति भांति की भाषा बोलने वाली सब जातियों में से दस मनुष्य, एक यहूदी पुरूष के वस्त्र की छोर को यह कहकर पकड़ लेंगे, कि, हम तुम्हारे संग चलेंगे, क्योंकि हम ने सुना है कि परमेश्वर तुम्हारे साथ है॥
Senaon ka Yahowa yon kahta hai: us dinon mein bhanti bhanti ki bhasha bolne vali sab jatiyon mein se das manushya, ek Yahudi puroosh ke vastra ki chhor ko yah kahkar pakad lenge, ki, ham tumhare sang chalenge, kyonki ham ne suna hai ki Parmeshwar tumhare saath hai.