फिर दारा राजा के चौथे वर्ष में किसलेव नाम नौवें महीने के चौथे दिन को, यहोवा का वचन जकर्याह के पास पहुंचा।
Phir dara raja ke chauthe varsh mein kislev naam nauvein maheene ke chauthe din ko, Yahowa ka vachan jakaryaah ke paas pahuncha.
Zechariah 7 · 14 verses
फिर दारा राजा के चौथे वर्ष में किसलेव नाम नौवें महीने के चौथे दिन को, यहोवा का वचन जकर्याह के पास पहुंचा।
Phir dara raja ke chauthe varsh mein kislev naam nauvein maheene ke chauthe din ko, Yahowa ka vachan jakaryaah ke paas pahuncha.
बेतेलवासियों ने शरेसेर और रेगेम्मेलेक को इसलिये भेजा था कि यहोवा से बिनती करें,
Betelvasiyon ne shareser aur regemmelek ko isliye bheja tha ki Yahowa se binti karein,
और सेनाओं के यहोवा के भवन के याजकों से और भविष्यद्वक्ताओं से भी यह पूछें, क्या हमें उपवास कर के रोना चाहिये जैसे कि कितने वर्षों से हम पांचवें महीने में करते आए हैं?
Aur senaon ke Yahowa ke bhavan ke yajkon se aur bhavishyadwaktaon se bhi yah poochhein, kya hamein upvaas kar ke rona chahiye jaise ki kitne varshon se ham panchvein maheene mein karte aaye hain?
तब सेनाओं के यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा;
Tab senaon ke Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha;
सब साधारण लोगों से और याजकों से कह, कि जब तुम इन सत्तर वर्षों के बीच पांचवें और सातवें महीनों में उपवास और विलाप करते थे, तब क्या तुम सचमुच मेरे ही लिये उपवास करते थे?
Sab sadharan logon se aur yajkon se kah, ki jab tum in sattar varshon ke beech panchvein aur satvein maheenon mein upvaas aur vilaap karte the, tab kya tum sachmuch mere hi liye upvaas karte the?
और जब तुम खाते-पीते हो, तो क्या तुम अपने ही लिये नहीं खाते, और क्या तुम अपने ही लिये नहीं पीते हो?
Aur jab tum khate-peete ho, to kya tum apne hi liye nahi khate, aur kya tum apne hi liye nahi peete ho?
क्या यह वही वचन नहीं है, जो यहोवा अगले भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा उस समय पुकार कर कहता रहा जब यरूशलेम अपने चारों ओर के नगरों समेत चैन से बसा हुआ था, और दक्खिन देश और नीचे का देश भी बसा हुआ था?
Kya yah vahi vachan nahi hai, jo Yahowa agle bhavishyadwaktaon ke dwara us samay pukaar kar kahta raha jab Yerushalem apne charon or ke nagron samet chain se basa huaa tha, aur dakkhin desh aur neeche ka desh bhi basa huaa tha?
फिर यहोवा का यह वचन जकर्याह के पास पहुंचा, सेनाओं के यहोवा ने यों कहा है,
Phir Yahowa ka yah vachan jakaryaah ke paas pahuncha, senaon ke Yahowa ne yon kaha hai,
खराई से न्याय चुकाना, और एक दूसरे के साथ कृपा और दया से काम करना,
Kharai se nyaay chukana, aur ek doosre ke saath kripa aur daya se kaam karna,
न तो विधवा पर अन्धेर करना, न अनाथों पर, न परदेशी पर, और न दीन जन पर; और न अपने अपने मन में एक दूसरे की हानि की कल्पना करना।
Na to vidhva par andher karna, na anathon par, na pardeshi par, aur na deen jan par; aur na apne apne man mein ek doosre ki hani ki kalpana karna.
परन्तु उन्होंने चित्त लगाना न चाहा, और हठ किया, और अपने कानों को मूंद लिया ताकि सुन न सकें।
Parantu unhonne chitt lagana na chaha, aur hath kiya, aur apne kanon ko moond liya taki sun na sakein.
वरन उन्होंने अपने हृदय को इसलिये बज्र सा बना लिया, कि वे उस व्यवस्था और उस वचनों को न मान सकें जिन्हें सेनाओं के यहोवा ने अपने आत्मा के द्वारा अगले भविष्यद्वक्ताओं से कहला भेजा था। इस कारण सेनाओं के यहोवा की ओर से उन पर बड़ा क्रोध भड़का।
Varan unhonne apne hriday ko isliye bajra sa bana liya, ki ve us vyavastha aur us vachnon ko na maan sakein jinhein senaon ke Yahowa ne apne aatma ke dwara agle bhavishyadwaktaon se kahla bheja tha. Is karan senaon ke Yahowa ki or se un par bada krodh bhadka.
और सेनाओं के यहोवा का यह वचन हुआ, कि जैसे मेरे पुकारने पर उन्होंने नहीं सुना, वैसे ही उसके पुकारने पर मैं भी न सुनूंगा;
Aur senaon ke Yahowa ka yah vachan huaa, ki jaise mere pukarne par unhonne nahi suna, vaise hi uske pukarne par main bhi na sunoonga;
वरन मैं उन्हें उन सब जातियों के बीच जिन्हें वे नहीं जानते, आंधी के द्वारा तितर-बितर कर दूंगा, और उनका देश उनके पीछे ऐसा उजाड़ पड़ा रहेगा कि उस में किसी का आना जाना न होगा; इसी प्रकार से उन्होंने मनोहर देश को उजाड़ कर दिया॥
Varan main unhein un sab jatiyon ke beech jinhein ve nahi jante, aandhi ke dwara titar-bitar kar doonga, aur unka desh unke peechhe aisa ujaad pada rahega ki us mein kisi ka aana jana na hoga; isi prakaar se unhonne manohar desh ko ujaad kar diya.