मैं ने फिर आंखें उठाईं, और क्या देखा कि दो पहाड़ों के बीच से चार रथ चले आते हैं; और वे पहाड़ पीतल के हैं।
Main ne phir aankhein uthai, aur kya dekha ki do pahadon ke beech se chaar rath chale aate hain; aur ve pahaad peetal ke hain.
Zechariah 6 · 15 verses
मैं ने फिर आंखें उठाईं, और क्या देखा कि दो पहाड़ों के बीच से चार रथ चले आते हैं; और वे पहाड़ पीतल के हैं।
Main ne phir aankhein uthai, aur kya dekha ki do pahadon ke beech se chaar rath chale aate hain; aur ve pahaad peetal ke hain.
पहिले रथ में लाल घोड़े और दूसरे रथ में काले,
Pahile rath mein laal ghode aur doosre rath mein kale,
तीसरे रथ में श्वेत और चौथे रथ में चितकबरे और बादामी घोड़े हैं।
Teesre rath mein shwet aur chauthe rath mein chitkabre aur badami ghode hain.
तब मैं ने उस दूत से जो मुझ से बातें करता था, पूछा, हे मेरे प्रभु, ये क्या हैं?
Tab main ne us doot se jo mujh se batein karta tha, poochha, he mere Prabhu, ye kya hain?
दूत ने मुझ से कहा, ये आकाश के चारों वायु हैं जो सारी पृथ्वी के प्रभु के पास उपस्थित रहते हैं, परन्तु अब निकल आए हैं।
Doot ne mujh se kaha, ye aakaash ke charon vayu hain jo sari prithvi ke Prabhu ke paas upasthit rahte hain, parantu ab nikal aaye hain.
जिस रथ में काले घोड़े हैं, वह उत्तर देश की ओर जाता है, और श्वेत घोड़े उनके पीछे पीछे चले जाते हैं, और चितकबरे घोड़े दक्खिन देश की ओर जाते हैं।
Jis rath mein kale ghode hain, vah uttar desh ki or jata hai, aur shwet ghode unke peechhe peechhe chale jate hain, aur chitkabre ghode dakkhin desh ki or jate hain.
और बादामी घोड़ों ने निकल कर चाहा कि जा कर पृथ्वी पर फेरा करें। सो दूत ने कहा, जा कर पृथ्वी पर फेरा करो। तब वे पृथ्वी पर फेरा करने लगे।
Aur badami ghodon ne nikal kar chaha ki ja kar prithvi par phera karein. So doot ne kaha, ja kar prithvi par phera karo. Tab ve prithvi par phera karne lage.
तब उसने मुझ से पुकार कर कहा, देख, वे जो उत्तर के देश की ओर जाते हैं, उन्होंने वहां मेरे प्राण को ठण्डा किया है॥
Tab usne mujh se pukaar kar kaha, dekh, ve jo uttar ke desh ki or jate hain, unhonne vahan mere praan ko thanda kiya hai.
फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा:
Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha:
बंधुआई के लोगों में से, हेल्दै, तोबिय्याह और यदायाह से कुछ ले और उसी दिन तू सपन्याह के पुत्र योशियाह के घर में जा जिस से वे बाबुल से आकर उतरे हैं।
Bandhuaai ke logon mein se, heldai, tobiyyaah aur yadayaah se kuchh le aur usi din tu sapanyaah ke putra yoshiyaah ke ghar mein ja jis se ve babul se aakar utre hain.
उनके हाथ से सोना चान्दी ले, और मुकुट बनाकर उन्हें यहोसादाक के पुत्र यहोशू महायाजक के सिर पर रख;
Unke haath se sona chandi le, aur mukut banakar unhein yahosadaak ke putra yahoshu mahayajak ke sir par rakh;
और उस से यह कह, सेनाओं का यहोवा यों कहता है, उस पुरूष को देख जिस का नाम शाख है, वह अपने ही स्थान से उगकर यहोवा के मन्दिर को बनाएगा।
Aur us se yah kah, senaon ka Yahowa yon kahta hai, us puroosh ko dekh jis ka naam shaakh hai, vah apne hi sthaan se ugkar Yahowa ke mandir ko banayega.
वही यहोवा के मन्दिर को बनाएगा, और महिमा पाएगा, और अपने सिंहासन पर विराजमान हो कर प्रभुता करेगा। और उसके सिंहासन के पास एक याजक भी रहेगा, और दोनों के बीच मेल की सम्मति होगी।
Vahi Yahowa ke mandir ko banayega, aur mahima payega, aur apne sinhasan par virajmaan ho kar prabhuta karega. Aur uske sinhasan ke paas ek yajak bhi rahega, aur donon ke beech mel ki sammati hogi.
और वे मुकुट हेलेम, तोबिय्याह, यदायाह, और सपन्याह के पुत्र हेन को मिलें, और वे यहोवा के मन्दिर में स्मरण के लिये बने रहें॥
Aur ve mukut helem, tobiyyaah, yadayaah, aur sapanyaah ke putra hen ko milein, aur ve Yahowa ke mandir mein smaran ke liye bane rahein.
फिर दूर दूर के लोग आ आकर यहोवा के मन्दिर बनाने में सहायता करेंगे, और तुम जानोगे कि सेनाओं के यहोवा ने मुझे तुम्हारे पास भेजा है। और यदि तुम मन लगाकर अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञाओं का पालन करो तो यह बात पूरी होगी॥
Phir door door ke log aa aakar Yahowa ke mandir banane mein sahayta karenge, aur tum janoge ki senaon ke Yahowa ne mujhe tumhare paas bheja hai. Aur yadi tum man lagakar apne Parmeshwar Yahowa ki aagyaon ka palan karo to yah baat poori hogi.