Zechariah 3 · 10 verses

जकर्याह 3 Zechariah 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Jakaryaah 3.

1

फिर उसने यहोशू महायाजक को यहोवा के दूत के साम्हने खड़ा हुआ मुझे दिखाया, और शैतान उसकी दाहिनी ओर उसका विरोध करने को खड़ा था।

Phir usne yahoshu mahayajak ko Yahowa ke doot ke samhane khada huaa mujhe dikhaya, aur Shaitan uski dahini or uska virodh karne ko khada tha.

2

तब यहोवा ने शैतान से कहा, हे शैतान यहोवा तुझ को घुड़के! यहोवा जो यरूशलेम को अपना लेता है, वही तुझे घुड़के! क्या यह आग से निकाली हुई लुकटी सी नहीं है?

Tab Yahowa ne Shaitan se kaha, he Shaitan Yahowa tujh ko ghudke! Yahowa jo Yerushalem ko apna leta hai, vahi tujhe ghudke! Kya yah aag se nikali hui lukti si nahi hai?

3

उस समय यहोशू तो दूत के साम्हने मैला वस्त्र पहिने हुए खड़ा था।

Us samay yahoshu to doot ke samhane maila vastra pahine hue khada tha.

4

तब दूत ने उन से जो साम्हने खड़े थे कहा, इसके ये मैले वस्त्र उतारो। फिर उसने उस से कहा, देख, मैं ने तेरा अधर्म दूर किया है, और मैं तुझे सुन्दर वस्त्र पहिना देता हूं।

Tab doot ne un se jo samhane khade the kaha, iske ye maile vastra utaro. Phir usne us se kaha, dekh, main ne tera adharm door kiya hai, aur main tujhe sundar vastra pahina deta hoon.

5

तब मैं ने कहा, इसके सिर पर एक शुद्ध पगड़ी रखी जाए। और उन्होंने उसके सिर पर याजक के योग्य शुद्ध पगड़ी रखी, और उसको वस्त्र पहिनाए; उस समय यहोवा का दूत पास खड़ा रहा॥

Tab main ne kaha, iske sir par ek shuddh pagdi rakhi jaye. Aur unhonne uske sir par yajak ke yogya shuddh pagdi rakhi, aur usko vastra pahinaye; us samay Yahowa ka doot paas khada raha.

6

तब यहोवा के दूत ने यहोशू को चिता कर कहा,

Tab Yahowa ke doot ne yahoshu ko chita kar kaha,

7

सेनाओं का यहोवा तुझ से यों कहता है: यदि तू मेरे मार्गों पर चले, और जो कुछ मैं ने तुझे सौंप दिया है उसकी रक्षा करे, तो तू मेरे भवन का न्यायी, और मेरे आंगनों का रक्षक होगा; और मैं तुझ को इनके बीच में आने जाने दूंगा जो पास खड़े हैं।

Senaon ka Yahowa tujh se yon kahta hai: yadi tu mere margon par chale, aur jo kuchh main ne tujhe saump diya hai uski raksha kare, to tu mere bhavan ka nyayi, aur mere aangnon ka rakshak hoga; aur main tujh ko inke beech mein aane jane doonga jo paas khade hain.

8

हे यहोशू महायाजक, तू सुन ले, और तेरे भाईबन्धु जो तेरे साम्हने खड़े हैं वे भी सुनें, क्योंकि वे मनुष्य शुभ शकुन हैं: सुनो, मैं अपने दास शाख को प्रगट करूंगा।

He yahoshu mahayajak, tu sun le, aur tere bhaibandhu jo tere samhane khade hain ve bhi sunein, kyonki ve manushya shubh shakun hain: suno, main apne daas shaakh ko pragat karoonga.

9

उस पत्थर को देख जिसे मैं ने यहोशू के आगे रखा है, उस एक ही पत्थर के ऊपर सात आंखें बनी हैं, सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है, देख मैं उस पत्थर पर खोद देता हूं, और इस देश के अधर्म को एक ही दिन में दूर कर दूंगा।

Us patthar ko dekh jise main ne yahoshu ke aage rakha hai, us ek hi patthar ke oopar saat aankhein bani hain, senaon ke Yahowa ki yah vani hai, dekh main us patthar par khod deta hoon, aur is desh ke adharm ko ek hi din mein door kar doonga.

10

उसी दिन तुम अपने अपने भाईबन्धुओं को दाखलता और अंजीर के वृक्ष के नीचे आने के लिये बुलाओगे, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है॥

Usi din tum apne apne bhaibandhuon ko dakhalta aur anjeer ke vriksh ke neeche aane ke liye bulaoge, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.