उसी समय दाऊद के घराने और यरूशलेम के निवासियों के लिये पाप और मलिनता धोने के निमित्त एक बहता हुआ सोता होगा॥
Usi samay Daud ke gharane aur Yerushalem ke nivasiyon ke liye paap aur malinta dhone ke nimitt ek bahta huaa sota hoga.
Zechariah 13 · 9 verses
उसी समय दाऊद के घराने और यरूशलेम के निवासियों के लिये पाप और मलिनता धोने के निमित्त एक बहता हुआ सोता होगा॥
Usi samay Daud ke gharane aur Yerushalem ke nivasiyon ke liye paap aur malinta dhone ke nimitt ek bahta huaa sota hoga.
और सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है, कि उस समय मैं इस देश मे से मूर्तों के नाम मिटा डालूंगा, और वे फिर स्मरण में न रहेंगी; और मैं भविष्यद्वक्ताओं और अशुद्ध आत्मा को इस देश में से निकाल दूंगा।
Aur senaon ke Yahowa ki yah vani hai, ki us samay main is desh me se moorton ke naam mita daloonga, aur ve phir smaran mein na rahengi; aur main bhavishyadwaktaon aur ashuddh aatma ko is desh mein se nikaal doonga.
और यदि कोई फिर भविष्यद्वाणी करे, तो उसके माता-पिता, जिन से वह उत्पन्न हुआ, उस से कहेंगे, तू जीवित न बचेगा, क्योंकि तू ने यहोवा के नाम से झूठ कहा है; सो जब वह भविष्यद्वाणी करे, तब उसके माता-पिता जिन से वह उत्पन्न हुआ उसको बेध डालेंगे।
Aur yadi koi phir bhavishyadwani kare, to uske mata-pita, jin se vah utpann huaa, us se kahenge, tu jeevit na bachega, kyonki tu ne Yahowa ke naam se jhooth kaha hai; so jab vah bhavishyadwani kare, tab uske mata-pita jin se vah utpann huaa usko bedh dalenge.
उस समय हर एक भविष्यद्वक्ता भविष्यवाणी करते हुए अपने अपने दर्शन से लज्जित होंगे, और धोखा देने के लिये कम्बल का वस्त्र न पहिनेंगे,
Us samay har ek bhavishyadwakta bhavishyavani karte hue apne apne darshan se lajjit honge, aur dhokha dene ke liye kambal ka vastra na pahinenge,
परन्तु वह कहेगा, मैं भविष्यद्वक्ता नहीं, किसान हूं; क्योंकि लड़कपन ही से मैं औरों का दास हूं।
Parantu vah kahega, main bhavishyadwakta nahi, kisaan hoon; kyonki ladakpan hi se main auron ka daas hoon.
तब उस से यह पूछा जाएगा, तेरी छाती पर ये घाव कैसे हुए, तब वह कहेगा, ये वे ही हैं जो मेरे प्रेमियों के घर में मुझे लगे हैं॥
Tab us se yah poochha jayega, teri chhati par ye ghaav kaise hue, tab vah kahega, ye ve hi hain jo mere premiyon ke ghar mein mujhe lage hain.
सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है, हे तलवार, मेरे ठहराए हुए चरवाहे के विरुद्ध अर्थात जो पुरूष मेरा स्वजाति है, उसके विरुद्ध चल। तू उस चरवाहे को काट, तब भेड़-बकरियां तितर-बितर हो जाएंगी; और बच्चों पर मैं अपने हाथ बढ़ाऊंगा।
Senaon ke Yahowa ki yah vani hai, he talvaar, mere thahraye hue charvahe ke viruddh arthaat jo puroosh mera swajati hai, uske viruddh chal. Tu us charvahe ko kaat, tab bhed-bakriyan titar-bitar ho jayengi; aur bachchon par main apne haath badhaoonga.
यहोवा की यह भी वाणी है, कि इस देश के सारे निवासियों की दो तिहाई मार डाली जाएगी और बची हुई तिहाई उस में बनी रहेगी।
Yahowa ki yah bhi vani hai, ki is desh ke sare nivasiyon ki do tihai maar dali jayegi aur bachi hui tihai us mein bani rahegi.
उस तिहाई को मैं आग में डाल कर ऐसा निर्मल करूंगा, जैसा रूपा निर्मल किया जाता है, और ऐसा जाचूंगा जैसा सोना जांचा जाता है। वे मुझ से प्रार्थना किया करेंगे, और मैं उनकी सुनूंगा। मैं उनके विषय में कहूंगा, ये मेरी प्रजा हैं, और वे मेरे विषय में कहेंगे, यहोवा हमारा परमेश्वर है॥
Us tihai ko main aag mein daal kar aisa nirmal karoonga, jaisa roopa nirmal kiya jata hai, aur aisa jachoonga jaisa sona jancha jata hai. Ve mujh se prarthana kiya karenge, aur main unki sunoonga. Main unke vishay mein kahoonga, ye meri praja hain, aur ve mere vishay mein kahenge, Yahowa hamara Parmeshwar hai.