Zechariah 10 · 12 verses

जकर्याह 10 Zechariah 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Jakaryaah 10.

1

बरसात के अन्त में यहोवा से वर्षा मांगो, यहोवा से जो बिजली चमकाता है, और वह उन को वर्षा देगा और हर एक के खेत में हरियाली उपजाएगा।

Barsaat ke ant mein Yahowa se varsha mango, Yahowa se jo bijli chamkata hai, aur vah un ko varsha dega aur har ek ke khet mein hariyali upjayega.

2

क्योंकि गृहदेवता अनर्थ बात कहते और भावी कहने वाले झूठा दर्शन देखते और झूठे स्वपन सुनाते, और व्यर्थ शान्ति देते हैं। इस कारण लोग भेड़-बकरियों की नाईं भटक गए; और चरवाहे न होने के कारण दुर्दशा में पड़े हैं॥

Kyonki grihdevta anarth baat kahte aur bhavi kahne vale jhootha darshan dekhte aur jhoothe swapan sunate, aur vyarth shanti dete hain. Is karan log bhed-bakriyon ki nai bhatak gaye; aur charvahe na hone ke karan durdasha mein pade hain.

3

मेरा क्रोध चरवाहों पर भड़का है, और मैं उन बकरों को दण्ड दूंगा; क्योंकि सेनाओं का यहोवा अपने झुण्ड अर्थात यहूदा के घराने का हाल देखने का आएगा, और लड़ाई में उन को अपना हृष्टपुष्ट घोड़ा सा बनाएगा।

Mera krodh charvahon par bhadka hai, aur main un bakron ko dand doonga; kyonki senaon ka Yahowa apne jhund arthaat Yahuda ke gharane ka haal dekhne ka aayega, aur ladai mein un ko apna hrishtapusht ghoda sa banayega.

4

उसी में से कोने का पत्थर, उसी में से खूंटी, उसी में से युद्ध का धनुष, उसी में से सब प्रधान प्रगट होंगे।

Usi mein se kone ka patthar, usi mein se khoonti, usi mein se yuddh ka dhanush, usi mein se sab pradhaan pragat honge.

5

और वे ऐसे वीरों के समान होंगे जो लड़ाई में अपने बैरियों को सड़कों के कीच की नाईं रौंदते हों; वे लड़ेंगे, क्योंकि यहोवा उनके संग रहेगा, इस कारण वे वीरता से लड़ेंगे और सवारों की आशा टूटेगी॥

Aur ve aise veeron ke samaan honge jo ladai mein apne bairiyon ko sadkon ke keech ki nai raundte hon; ve ladenge, kyonki Yahowa unke sang rahega, is karan ve veerta se ladenge aur savaron ki aasha tootegi.

6

मैं यहूदा के घराने को पराक्रमी करूंगा, और यूसुफ के घराने का उद्धार करूंगा। और मुझे उन पर दया आई है, इस कारण मैं उन्हें लौटा लाकर उन्हीं के देश में बसाऊंगा, और वे ऐसे होंगे, मानों मैं ने उन को मन से नहीं उतारा; मैं उनका परमेश्वर यहोवा हूं, इसलिये उनकी सुन लूंगा।

Main Yahuda ke gharane ko parakrami karoonga, aur Yusuf ke gharane ka uddhaar karoonga. Aur mujhe un par daya aai hai, is karan main unhein lauta lakar unhi ke desh mein basaoonga, aur ve aise honge, manon main ne un ko man se nahi utara; main unka Parmeshwar Yahowa hoon, isliye unki sun loonga.

7

एप्रैमी लोग वीर के समान होंगे, और उनका मन ऐसा आनन्दित होगा जैसे दाखमधु से होता है। यह देख कर उनके लड़केबाले आनन्द करेंगे और उनका मन यहोवा के कारण मगन होगा॥

Epraimi log veer ke samaan honge, aur unka man aisa aanandit hoga jaise dakhamdhu se hota hai. Yah dekh kar unke ladkebale aanand karenge aur unka man Yahowa ke karan magan hoga.

8

मैं सीटी बजाकर उन को इकट्ठा करूंगा, क्योंकि मैं उनका छुड़ाने वाला हूं, और वे ऐसे बढ़ेंगे जैसे पहले बढ़े थे।

Main seeti bajakar un ko ikattha karoonga, kyonki main unka chhudane vala hoon, aur ve aise badhenge jaise pahle badhe the.

9

यद्यपि मैं उन्हें जाति-जाति के लोगों के बीच छितराऊंगा तौभी वे दूर दूर देशों में मुझे स्मरण करेंगे, और अपने बालकों समेत जीवित लौट आएंगे।

Yadyapi main unhein jati-jati ke logon ke beech chhitraoonga taubhi ve door door deshon mein mujhe smaran karenge, aur apne balkon samet jeevit laut aayenge.

10

मैं उन्हें मिस्र देश से लौटा लाऊंगा, और अश्शूर से इकट्ठा करूंगा, और गिलाद और लबानोन के देशों में ले आकर इतना बढ़ाऊंगा कि वहां उनकी समाई न होगी।

Main unhein Misr desh se lauta laoonga, aur ashshoor se ikattha karoonga, aur gilaad aur labanon ke deshon mein le aakar itna badhaoonga ki vahan unki samai na hogi.

11

वह उस कष्टदाई समुद्र में से हो कर उसकी लहरें दबाता हुआ जाएगा और नील नदी का सब गहिरा जल सूख जाएगा। और अश्शूर का घमण्ड तोड़ा जाएगा और मिस्र का राजदण्ड जाता रहेगा।

Vah us kashtadai samudra mein se ho kar uski lahrein dabata huaa jayega aur neel nadi ka sab gahira jal sookh jayega. Aur ashshoor ka ghamand toda jayega aur Misr ka rajdand jata rahega.

12

मैं उन्हें यहोवा द्वारा पराक्रमी करूंगा, और वे उसके नाम से चलें फिरेंगे, यहोवा की यही वाणी है॥

Main unhein Yahowa dwara parakrami karoonga, aur ve uske naam se chalein phirenge, Yahowa ki yahi vani hai.