Zechariah 1 · 21 verses

जकर्याह 1 Zechariah 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Jakaryaah 1.

1

दारा के राज्य के दूसरे वर्ष के आठवें महीने में जकर्याह भविष्यद्वक्ता के पास जो बेरेक्याह का पुत्र और इद्दो का पोता था, यहोवा का यह वचन पहुंचा:

Dara ke rajya ke doosre varsh ke aathvein maheene mein jakaryaah bhavishyadwakta ke paas jo berekyaah ka putra aur iddo ka pota tha, Yahowa ka yah vachan pahuncha:

2

यहोवा तुम लोगों के पुरखाओं से बहुत ही क्रोधित हुआ था।

Yahowa tum logon ke purkhaon se bahut hi krodhit huaa tha.

3

इसलिये तू इन लोगों से कह, सेनाओं का यहोवा यों कहता है: तुम मेरी ओर फिरो, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है, तब मैं तुम्हारी ओर फिरूंगा, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है।

Isliye tu in logon se kah, senaon ka Yahowa yon kahta hai: tum meri or phiro, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai, tab main tumhari or phiroonga, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.

4

अपने पुरखाओं के समान न बनो, उन से तो अगले भविष्यद्वक्ता यह पुकार पुकारकर कहते थे कि सेनाओं का यहोवा यों कहता है, अपने बुरे मार्गों से, और अपने बुरे कामों से फिरो; परन्तु उन्होंने न तो सुना, और न मेरी ओर ध्यान दिया, यहोवा की यही वाणी है।

Apne purkhaon ke samaan na bano, un se to agle bhavishyadwakta yah pukaar pukarkar kahte the ki senaon ka Yahowa yon kahta hai, apne bure margon se, aur apne bure kamon se phiro; parantu unhonne na to suna, aur na meri or dhyaan diya, Yahowa ki yahi vani hai.

5

तुम्हारे पुरखा कहां रहे? और भविष्यद्वक्ता क्या सदा जीवित रहते हैं?

Tumhare purkha kahan rahe? Aur bhavishyadwakta kya sada jeevit rahte hain?

6

परन्तु मेरे वचन और मेरी आज्ञाएं जिन को मैं ने अपने दास नबियों को दिया था, क्या वे तुम्हारे पुरखाओं पर पूरी न हुई? तब उन्होंने मन फिराया और कहा, सेनाओं के यहोवा ने हमारे चालचलन और कामों के अनुसार हम से जैसा व्यवहार करने को कहा था, वैसा ही उसने हम को बदला दिया है॥

Parantu mere vachan aur meri aagyayen jin ko main ne apne daas nabiyon ko diya tha, kya ve tumhare purkhaon par poori na hui? Tab unhonne man phiraya aur kaha, senaon ke Yahowa ne hamare chalachlan aur kamon ke anusaar ham se jaisa vyavhaar karne ko kaha tha, vaisa hi usne ham ko badla diya hai.

7

दारा के दूसरे वर्ष के शबात नाम ग्यारहवें महीने के चौबीसवें दिन को जकर्याह नबी के पास जो बेरेक्याह का पुत्र और इद्दो का पोता था, यहोवा का वचन यों पहुंचा:

Dara ke doosre varsh ke shabaat naam gyarahvein maheene ke chaubeesvein din ko jakaryaah nabi ke paas jo berekyaah ka putra aur iddo ka pota tha, Yahowa ka vachan yon pahuncha:

8

मैं ने रात को स्वप्न में क्या देखा कि एक पुरूष लाल घोड़े पर चढ़ा हुआ उन मेंहदियों के बीच खड़ा है जो नीचे स्थान में हैं, और उसके पीछे लाल और सुरंग और श्वेत घोड़े भी खड़े हैं।

Main ne raat ko swapn mein kya dekha ki ek puroosh laal ghode par chadha huaa un menhdiyon ke beech khada hai jo neeche sthaan mein hain, aur uske peechhe laal aur surang aur shwet ghode bhi khade hain.

9

तब मैं ने कहा, हे मेरे प्रभु ये कौन हैं? तब जो दूत मुझ से बातें करता था, उसने मुझ से कहा, मैं तुझे बताऊंगा कि ये कौन हैं।

Tab main ne kaha, he mere Prabhu ye kaun hain? Tab jo doot mujh se batein karta tha, usne mujh se kaha, main tujhe bataoonga ki ye kaun hain.

10

फिर जो पुरूष मेंहदियों के बीच खड़ा था, उसने कहा, यह वे हैं जिन को यहोवा ने पृथ्वी पर सैर अर्थात घूमने के लिये भेजा है।

Phir jo puroosh menhdiyon ke beech khada tha, usne kaha, yah ve hain jin ko Yahowa ne prithvi par sair arthaat ghoomne ke liye bheja hai.

11

तब उन्होंने यहोवा के उस दूत से जो मेंहदियों के बीच खड़ा था, कहा, हम ने पृथ्वी पर सैर किया है, और क्या देखा कि सारी पृथ्वी में शान्ति और चैन है।

Tab unhonne Yahowa ke us doot se jo menhdiyon ke beech khada tha, kaha, ham ne prithvi par sair kiya hai, aur kya dekha ki sari prithvi mein shanti aur chain hai.

12

तब यहोवा के दूत ने कहा, हे सेनाओं के यहोवा, तू जो यरूशलेम और यहूदा के नगरों पर सत्तर वर्ष से क्रोधित है, सो तू उन पर कब तक दया न करेगा?

Tab Yahowa ke doot ne kaha, he senaon ke Yahowa, tu jo Yerushalem aur Yahuda ke nagron par sattar varsh se krodhit hai, so tu un par kab tak daya na karega?

13

और यहोवा ने उत्तर में उस दूत से जो मुझ से बातें करता था, अच्छी अच्छी और शान्ति की बातें कहीं।

Aur Yahowa ne uttar mein us doot se jo mujh se batein karta tha, achchhi achchhi aur shanti ki batein kahi.

14

तब जो दूत मुझ से बातें करता था, उसने मुझ से कहा, तू पुकार कर कह कि सेनाओं का यहोवा यों कहता है, मुझे यरूशलेम और सिय्योन के लिये बड़ी जलन हुई है।

Tab jo doot mujh se batein karta tha, usne mujh se kaha, tu pukaar kar kah ki senaon ka Yahowa yon kahta hai, mujhe Yerushalem aur siyyon ke liye badi jalan hui hai.

15

और जो जातियां सुख से रहती हैं, उन से मैं क्रोधित हूं; क्योंकि मैं ने तो थोड़ा से क्रोध किया था, परन्तु उन्होंने विपत्ति को बढ़ा दिया।

Aur jo jatiyan sukh se rahti hain, un se main krodhit hoon; kyonki main ne to thoda se krodh kiya tha, parantu unhonne vipatti ko badha diya.

16

इस कारण यहोवा यों कहता है, अब मैं दया कर के यरूशलेम को लौट आया हूं; मेरा भवन उस में बनेगा, और यरूशलेम पर नापने की डोरी डाली जाएगी, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है।

Is karan Yahowa yon kahta hai, ab main daya kar ke Yerushalem ko laut aaya hoon; mera bhavan us mein banega, aur Yerushalem par napne ki dori dali jayegi, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.

17

फिर यह भी पुकार कर कह कि सेनाओं का यहोवा यों कहता है, मेरे नगर फिर उत्तम वस्तुओं से भर जाएंगे, और यहोवा फिर सिय्योन को शान्ति देगा; और यरूशलेम को फिर अपना ठहराएगा॥

Phir yah bhi pukaar kar kah ki senaon ka Yahowa yon kahta hai, mere nagar phir uttam vastuon se bhar jayenge, aur Yahowa phir siyyon ko shanti dega; aur Yerushalem ko phir apna thahrayega.

18

फिर मैं ने जो आंखें उठाई, तो क्या देखा कि चार सींग हैं।

Phir main ne jo aankhein uthai, to kya dekha ki chaar seeng hain.

19

तब जो दूत मुझ से बातें करता था, उस से मैं ने पूछा, ये क्या हैं? उसने मुझ से कहा, ये वे ही सींग हैं, जिन्होंने यहूदा और इस्राएल और यरूशलेम को तितर-बितर किया है।

Tab jo doot mujh se batein karta tha, us se main ne poochha, ye kya hain? Usne mujh se kaha, ye ve hi seeng hain, jinhonne Yahuda aur Israel aur Yerushalem ko titar-bitar kiya hai.

20

फिर यहोवा ने मुझे चार लोहार दिखाए।

Phir Yahowa ne mujhe chaar lohaar dikhaye.

21

तब मैं ने पूछा, ये क्या करने को आए हैं? उसने कहा, ये वे ही सींग हैं, जिन्होंने यहूदा को ऐसा तितर-बितर किया कि कोई सिर न उठा सका; परन्तु ये लोग उन्हें भगाने के लिये और उन जातियों के सींगों को काट डालने के लिये आए हैं जिन्होंने यहूदा के देश को तितर-बितर करने के लिये उनके विरुद्ध अपने अपने सींग उठाए थे॥

Tab main ne poochha, ye kya karne ko aaye hain? Usne kaha, ye ve hi seeng hain, jinhonne Yahuda ko aisa titar-bitar kiya ki koi sir na utha saka; parantu ye log unhein bhagane ke liye aur un jatiyon ke seengon ko kaat dalne ke liye aaye hain jinhonne Yahuda ke desh ko titar-bitar karne ke liye unke viruddh apne apne seeng uthaye the.