फिर सातवें महीने के इक्कीसवें दिन को यहोवा का यह वचन हाग्गै भविष्यद्वक्ता के पास पहुंचा,
Phir satvein maheene ke ikkeesvein din ko Yahowa ka yah vachan haggai bhavishyadwakta ke paas pahuncha,
Haggai 2 · 23 verses
फिर सातवें महीने के इक्कीसवें दिन को यहोवा का यह वचन हाग्गै भविष्यद्वक्ता के पास पहुंचा,
Phir satvein maheene ke ikkeesvein din ko Yahowa ka yah vachan haggai bhavishyadwakta ke paas pahuncha,
शालतीएल के पुत्र यहूदा के अधिपति जरूब्बाबेल, और यहोसादाक के पुत्र यहोशू महायाजक और सब बचे हुए लोगों से यह बात कह,
Shalteeyel ke putra Yahuda ke adhipti jaroobbabel, aur yahosadaak ke putra yahoshu mahayajak aur sab bache hue logon se yah baat kah,
तुम में से कौन है, जिसने इस भवन की पहिली महिमा देखी है? अब तुम इसे कैसी दशा में देखते हो? क्या यह सच नहीं कि यह तुम्हारी दृष्टि में उस पहिले की अपेक्षा कुछ भी अच्छा नहीं है?
Tum mein se kaun hai, jisne is bhavan ki pahili mahima dekhi hai? Ab tum ise kaisi dasha mein dekhte ho? Kya yah sach nahi ki yah tumhari drishti mein us pahile ki apeksha kuchh bhi achchha nahi hai?
तौभी, अब यहोवा की यह वाणी है, हे जरूब्बाबेल, हियाव बान्ध; और हे यहोसादाक के पुत्र यहोशू महायाजक, हियाव बान्ध; और यहोवा की यह भी वाणी है कि हे देश के सब लोगो हियाव बान्ध कर काम करो, क्योंकि मैं तुम्हारे संग हूं, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है।
Taubhi, ab Yahowa ki yah vani hai, he jaroobbabel, hiyaav baandh; aur he yahosadaak ke putra yahoshu mahayajak, hiyaav baandh; aur Yahowa ki yah bhi vani hai ki he desh ke sab logo hiyaav baandh kar kaam karo, kyonki main tumhare sang hoon, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.
तुम्हारे मिस्र से निकलने के समय जो वाचा मैं ने तुम से बान्धी थी, उसी वाचा के अनुसार मेरा आत्मा तुम्हारे बीच में बना है; इसलिये तुम मत डरो।
Tumhare Misr se nikalne ke samay jo vacha main ne tum se bandhi thi, usi vacha ke anusaar mera aatma tumhare beech mein bana hai; isliye tum mat daro.
क्योंकि सेनाओं का यहोवा यों कहता है, अब थोड़ी ही देर बाकी है कि मैं आकाश और पृथ्वी और समुद्र और स्थल सब को कम्पित करूंगा।
Kyonki senaon ka Yahowa yon kahta hai, ab thodi hi der baki hai ki main aakaash aur prithvi aur samudra aur sthal sab ko kampit karoonga.
और मैं सारी जातियों को कम्पकपाऊंगा, और सारी जातियों की मनभावनी वस्तुएं आएंगी; और मैं इस भवन को अपनी महिमा के तेज से भर दूंगा, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है।
Aur main sari jatiyon ko kampakpaoonga, aur sari jatiyon ki manbhavni vastuein aayengi; aur main is bhavan ko apni mahima ke tej se bhar doonga, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.
चान्दी तो मेरी है, और सोना भी मेरा ही है, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है।
Chandi to meri hai, aur sona bhi mera hi hai, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.
इस भवन की पिछली महिमा इसकी पहिली महिमा से बड़ी होगी, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है, और इस स्थान में मैं शान्ति दूंगा, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है॥
Is bhavan ki pichhli mahima iski pahili mahima se badi hogi, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai, aur is sthaan mein main shanti doonga, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.
दारा के दूसरे वर्ष के नौवें महीने के चौबीसवे दिन को, यहोवा का यह वचन हाग्गै भविष्यद्वक्ता के पास पहुंचा,
Dara ke doosre varsh ke nauvein maheene ke chaubeesve din ko, Yahowa ka yah vachan haggai bhavishyadwakta ke paas pahuncha,
सेनाओं का यहोवा यों कहता है: याजकों से इस बात की व्यवस्था पूछ,
Senaon ka Yahowa yon kahta hai: yajkon se is baat ki vyavastha poochh,
यदि कोई अपने वस्त्र के आंचल में पवित्र मांस बान्ध कर, उसी आंचल से रोटी वा पकाए हुए भोजन वा दाखमधु वा तेल वा किसी प्रकार के भोजन को छुए, तो क्या वह भोजन पवित्र ठहरेगा? याजकों ने उत्तर दिया, नहीं।
Yadi koi apne vastra ke aanchal mein pavitra maans baandh kar, usi aanchal se roti va pakaye hue bhojan va dakhamdhu va tel va kisi prakaar ke bhojan ko chhue, to kya vah bhojan pavitra thahrega? Yajkon ne uttar diya, nahi.
फिर हाग्गै ने पूछा, यदि कोई जन मनुष्य की लोथ के कारण अशुद्ध हो कर ऐसी किसी वस्तु को छुए, तो क्या वह अशुद्ध ठहरेगी? याजकों ने उत्तर दिया, हां अशुद्ध ठहरेगी।
Phir haggai ne poochha, yadi koi jan manushya ki loth ke karan ashuddh ho kar aisi kisi vastu ko chhue, to kya vah ashuddh thahregi? Yajkon ne uttar diya, han ashuddh thahregi.
फिर हाग्गै ने कहा, यहोवा की यही वाणी है, कि मेरी दृष्टि में यह प्रजा और यह जाति वैसी ही है, और इनके सब काम भी वैसे हैं; और जो कुछ वे वहां चढ़ाते हैं, वह भी अशुद्ध है;
Phir haggai ne kaha, Yahowa ki yahi vani hai, ki meri drishti mein yah praja aur yah jati vaisi hi hai, aur inke sab kaam bhi vaise hain; aur jo kuchh ve vahan chadhate hain, vah bhi ashuddh hai;
अब सोच-विचार करो कि आज से पहिले अर्थात जब यहोवा के मन्दिर में पत्थर पर पत्थर रखा ही नहीं गया था,
Ab soch-vichaar karo ki aaj se pahile arthaat jab Yahowa ke mandir mein patthar par patthar rakha hi nahi gaya tha,
उन दिनों में जब कोई अन्न के बीस नपुओं की आशा से जाता, तब दास ही पाता था, और जब कोई दाखरस के कुण्ड के पास इस आशा से जाता कि पचास बर्तन भर निकालें, तब बीस ही निकलते थे।
Un dinon mein jab koi ann ke bees napuon ki aasha se jata, tab daas hi pata tha, aur jab koi dakhras ke kund ke paas is aasha se jata ki pachaas bartan bhar nikalein, tab bees hi nikalte the.
मैं ने तुम्हारी सारी खेती को लू और गरूई और ओलों से मारा, तौभी तुम मेरी ओर न फिरे, यहोवा की यही वाणी है।
Main ne tumhari sari kheti ko lu aur garooi aur olon se mara, taubhi tum meri or na phire, Yahowa ki yahi vani hai.
अब सोच-विचार करो, कि आज से पहिले अर्थात जिस दिन यहोवा के मन्दिर की नेव डाली गई, उस दिन से ले कर नौवें महीने के इसी चौबीसवें दिन तक क्या दशा थी? इसका सोच-विचार करो।
Ab soch-vichaar karo, ki aaj se pahile arthaat jis din Yahowa ke mandir ki nev dali gai, us din se le kar nauvein maheene ke isi chaubeesvein din tak kya dasha thi? Iska soch-vichaar karo.
क्या अब तक बीच खत्ते में है? अब तक दाखलता और अंजीर और अनार और जलपाई के वृक्ष नहीं फले, परन्तु आज के दिन से मैं तुम को आशीष देता रहूंगा॥
Kya ab tak beech khatte mein hai? Ab tak dakhalta aur anjeer aur anaar aur jalpai ke vriksh nahi phale, parantu aaj ke din se main tum ko aasheesh deta rahoonga.
उसी महीने के चौबीसवें दिन को दूसरी बार यहोवा का यह वचन हाग्गै के पास पहुंचा, यहूदा के अधिपति जरूब्बाबेल से यों कह:
Usi maheene ke chaubeesvein din ko doosri baar Yahowa ka yah vachan haggai ke paas pahuncha, Yahuda ke adhipti jaroobbabel se yon kah:
मैं आकाश और पृथ्वी दोनों को कम्पाऊंगा,
Main aakaash aur prithvi donon ko kampaoonga,
और मैं राज्य-राज्य की गद्दी को उलट दूंगा; मैं अन्यजातियों के राज्य-राज्य का बल तोडूंगा, और रथों को चढ़वैयों समेत उलट दूंगा; और घोड़ों समेत सवार एक दूसरे की तलवार से गिरेंगे।
Aur main rajya-rajya ki gaddi ko ulat doonga; main anyajatiyon ke rajya-rajya ka bal todoonga, aur rathon ko chadhvaiyon samet ulat doonga; aur ghodon samet savaar ek doosre ki talvaar se girenge.
सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है, उस दिन, हे शालतीएल के पुत्र मेरे दास जरूब्बाबेल, मैं तुझे ले कर अंगूठी के समान रखूंगा, यहोवा की यही वाणी है; क्योंकि मैं ने तुझी को चुन लिया है, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है॥
Senaon ke Yahowa ki yahi vani hai, us din, he shalteeyel ke putra mere daas jaroobbabel, main tujhe le kar angoothi ke samaan rakhoonga, Yahowa ki yahi vani hai; kyonki main ne tujhi ko chun liya hai, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.