नाओमी के पति एलीमेलेक के कुल में उसका एक बड़ा धनी कुटुम्बी था, जिसका नाम बोअज था।
Naomi ke pati eleemelek ke kul mein uska ek bada dhani kutumbi tha, jiska naam boaj tha.
Ruth 2 · 23 verses
नाओमी के पति एलीमेलेक के कुल में उसका एक बड़ा धनी कुटुम्बी था, जिसका नाम बोअज था।
Naomi ke pati eleemelek ke kul mein uska ek bada dhani kutumbi tha, jiska naam boaj tha.
और मोआबिन रूत ने नाओमी से कहा, मुझे किसी खेत में जाने दे, कि जो मुझ पर अनुग्रह की दृष्टि करे, उसके पीछे पीछे मैं सिला बीनती जाऊं। उसने कहा, चली जा, बेटी।
Aur moaabin root ne naomi se kaha, mujhe kisi khet mein jane de, ki jo mujh par anugrah ki drishti kare, uske peechhe peechhe main sila beenti jaun. Usne kaha, chali ja, beti.
सो वह जा कर एक खेत में लवने वालों के पीछे बीनने लगी, और जिस खेत में वह संयोग से गई थी वह एलीमेलेक के कुटुम्बी बोअज का था।
So vah ja kar ek khet mein lavne valon ke peechhe beenne lagi, aur jis khet mein vah sanyog se gai thi vah eleemelek ke kutumbi boaj ka tha.
और बोअज बेतलेहेम से आकर लवने वालों से कहने लगा, यहोवा तुम्हारे संग रहे, और वे उस से बोले, यहोवा तुझे आशीष दे।
Aur boaj betlehem se aakar lavne valon se kahne laga, Yahowa tumhare sang rahe, aur ve us se bole, Yahowa tujhe aasheesh de.
तब बोअज ने अपने उस सेवक से जो लवने वालों के ऊपर ठहराया गया था पूछा, वह किस की कन्या है।
Tab boaj ne apne us sevak se jo lavne valon ke oopar thahraya gaya tha poochha, vah kis ki kanya hai.
जो सेवक लवने वालों के ऊपर ठहराया गया था उसने उत्तर दिया, वह मोआबिन कन्या है, जो नाओमी के संग मोआब देश से लौट आई है।
Jo sevak lavne valon ke oopar thahraya gaya tha usne uttar diya, vah moaabin kanya hai, jo naomi ke sang moaab desh se laut aai hai.
उसने कहा था, मुझे लवने वालों के पीछे पीछे पूलों के बीच बीनने और बालें बटोरने दे। तो वह आई, और भोर से अब तक यहीं है, केवल थोड़ी देर तक घर में रही थी।
Usne kaha tha, mujhe lavne valon ke peechhe peechhe poolon ke beech beenne aur balein batorne de. To vah aai, aur bhor se ab tak yahi hai, keval thodi der tak ghar mein rahi thi.
तब बोअज ने रूत से कहा, हे मेरी बेटी, क्या तू सुनती है? किसी दूसरे के खेत में बीनने को न जाना, मेरी ही दासियों के संग यहीं रहना।
Tab boaj ne root se kaha, he meri beti, kya tu sunti hai? Kisi doosre ke khet mein beenne ko na jana, meri hi dasiyon ke sang yahi rahna.
जिस खेत को वे लवतीं हों उसी पर तेरा ध्यान बन्धा रहे, और उन्हीं के पीछे पीछे चला करना। क्या मैं ने जवानों को आज्ञा नहीं दी, कि तुझ से न बोलें? और जब जब तुझे प्यास लगे, तब तब तू बरतनों के पास जा कर जवानों का भरा हुआ पानी पीना।
Jis khet ko ve lavti hon usi par tera dhyaan bandha rahe, aur unhi ke peechhe peechhe chala karna. Kya main ne javanon ko aagya nahi di, ki tujh se na bolein? Aur jab jab tujhe pyaas lage, tab tab tu baratnon ke paas ja kar javanon ka bhara huaa pani peena.
तब वह भूमि तक झुककर मुंह के बल गिरी, और उस से कहने लगी, क्या कारण है कि तू ने मुझ परदेशिन पर अनुग्रह की दृष्टि करके मेरी सुधि ली है?
Tab vah bhoomi tak jhukkar munh ke bal giri, aur us se kahne lagi, kya karan hai ki tu ne mujh pardeshin par anugrah ki drishti karke meri sudhi li hai?
बोअज ने उत्तर दिया, जो कुछ तू ने पति मरने के पीछे अपनी सास से किया है, और तू किस रीति अपने माता पिता और जन्मभूमि को छोड़कर ऐसे लोगों में आई है जिन को पहिले तू ने जानती थी, यह सब मुझे विस्तार के साथ बताया गया है।
Boaj ne uttar diya, jo kuchh tu ne pati marne ke peechhe apni saas se kiya hai, aur tu kis reeti apne mata pita aur janmabhoomi ko chhodkar aise logon mein aai hai jin ko pahile tu ne janti thi, yah sab mujhe vistaar ke saath bataya gaya hai.
यहोवा तेरी करनी का फल दे, और इस्राएल का परमेश्वर यहोवा जिसके पंखों के तले तू शरण लेने आई है तुझे पूरा बदला दे
Yahowa teri karni ka phal de, aur Israel ka Parmeshwar Yahowa jiske pankhon ke tale tu sharan lene aai hai tujhe poora badla de
उसने कहा, हे मेरे प्रभु, तेरे अनुग्रह की दृष्टि मुझ पर बनी रहे, क्योंकि यद्यपि मैं तेरी दासियों में से किसी के भी बराबर नहीं हूं, तौभी तू ने अपनी दासी के मन में पैठनेवाली बातें कहकर मुझे शान्ति दी है।
Usne kaha, he mere Prabhu, tere anugrah ki drishti mujh par bani rahe, kyonki yadyapi main teri dasiyon mein se kisi ke bhi barabar nahi hoon, taubhi tu ne apni dasi ke man mein paithnevali batein kahkar mujhe shanti di hai.
फिर खाने के समय बोअज ने उस से कहा, यहीं आकर रोटी खा, और अपना कौर सिरके में बोर। तो वह लवने वालों के पास बैठ गई; और उसने उसको भुनी हुई बालें दी; और वह खाकर तृप्त हुई, वरन कुछ बचा भी रखा।
Phir khane ke samay boaj ne us se kaha, yahi aakar roti kha, aur apna kaur sirke mein bor. To vah lavne valon ke paas baith gai; aur usne usko bhuni hui balein di; aur vah khakar tript hui, varan kuchh bacha bhi rakha.
जब वह बीनने को उठी, तब बोअज ने अपने जवानों को आज्ञा दी, कि उसको पूलों के बीच बीच में भी बीनने दो, और दोष मत लगाओ।
Jab vah beenne ko uthi, tab boaj ne apne javanon ko aagya di, ki usko poolon ke beech beech mein bhi beenne do, aur dosh mat lagao.
वरन मुट्ठी भर जाने पर कुछ कुछ निकाल कर गिरा भी दिया करो, और उसके बीनने के लिये छोड़ दो, और उसे घुड़को मत।
Varan mutthi bhar jane par kuchh kuchh nikaal kar gira bhi diya karo, aur uske beenne ke liye chhod do, aur use ghudko mat.
सो वह सांझ तक खेत में बीनती रही; तब जो कुछ बीन चुकी उसे फटका, और वह कोई एपा भर जौ निकला।
So vah saanjh tak khet mein beenti rahi; tab jo kuchh been chuki use phatka, aur vah koi epa bhar jau nikla.
तब वह उसे उठा कर नगर में गई, और उसकी सास ने उसका बीना हुआ देखा, और जो कुछ उसने तृप्त हो कर बचाया था उसको उसने निकाल कर अपनी सास को दिया।
Tab vah use utha kar nagar mein gai, aur uski saas ne uska beena huaa dekha, aur jo kuchh usne tript ho kar bachaya tha usko usne nikaal kar apni saas ko diya.
उसकी सास ने उस से पूछा, आज तू कहां बीनती, और कहां काम करती थी? धन्य वह हो जिसने तेरी सुधि ली है। तब उसने अपनी सास को बता दिया, कि मैं ने किस के पास काम किया, और कहा, कि जिस पुरूष के पास मैं ने आज काम किया उसका नाम बोअज है।
Uski saas ne us se poochha, aaj tu kahan beenti, aur kahan kaam karti thi? Dhanya vah ho jisne teri sudhi li hai. Tab usne apni saas ko bata diya, ki main ne kis ke paas kaam kiya, aur kaha, ki jis puroosh ke paas main ne aaj kaam kiya uska naam boaj hai.
नाओमी ने अपनी बहू से कहा, वह यहोवा की ओर से आशीष पाए, क्योंकि उसने न तो जीवित पर से और न मरे हुओं पर से अपनी करूणा हटाई! फिर नाओमी ने उस से कहा, वह पुरूष तो हमारा कुटुम्बी है, वरन उन में से है जिन को हमारी भूमि छुड़ाने का अधिकार है।
Naomi ne apni bahu se kaha, vah Yahowa ki or se aasheesh paye, kyonki usne na to jeevit par se aur na mare huon par se apni karoona hatai! Phir naomi ne us se kaha, vah puroosh to hamara kutumbi hai, varan un mein se hai jin ko hamari bhoomi chhudane ka adhikaar hai.
फिर रूत मोआबिन बोली, उसने मुझ से यह भी कहा, कि जब तक मेरे सेवक मेरी कटनी पूरी न कर चुकें तब तक उन्हीं के संग संग लगी रह।
Phir root moaabin boli, usne mujh se yah bhi kaha, ki jab tak mere sevak meri katni poori na kar chukein tab tak unhi ke sang sang lagi rah.
नाओमी ने अपनी बहू रूत से कहा, मेरी बेटी यह अच्छा भी है, कि तू उसी की दासियों के साथ साथ जाया करे, और वे तुझ को दूसरे के खेत में न मिलें।
Naomi ne apni bahu root se kaha, meri beti yah achchha bhi hai, ki tu usi ki dasiyon ke saath saath jaya kare, aur ve tujh ko doosre ke khet mein na milein.
इसलिये रूत जौ और गेहूं दोनों की कटनी के अन्त तक बीनने के लिये बोअज की दासियों के साथ साथ लगी रही; और अपनी सास के यहां रहती थी॥
Isliye root jau aur gehun donon ki katni ke ant tak beenne ke liye boaj ki dasiyon ke saath saath lagi rahi; aur apni saas ke yahan rahti thi.