मैं मसीह में सच कहता हूं, झूठ नहीं बोलता और मेरा विवेक भी पवित्र आत्मा में गवाही देता है।
Main Masih mein sach kahta hoon, jhooth nahi bolta aur mera vivek bhi pavitra aatma mein gavahi deta hai.
Romans 9 · 33 verses
मैं मसीह में सच कहता हूं, झूठ नहीं बोलता और मेरा विवेक भी पवित्र आत्मा में गवाही देता है।
Main Masih mein sach kahta hoon, jhooth nahi bolta aur mera vivek bhi pavitra aatma mein gavahi deta hai.
कि मुझे बड़ा शोक है, और मेरा मन सदा दुखता रहता है।
Ki mujhe bada shok hai, aur mera man sada dukhta rahta hai.
क्योंकि मैं यहां तक चाहता था, कि अपने भाईयों, के लिये जो शरीर के भाव से मेरे कुटुम्बी हैं, आप ही मसीह से शापित हो जाता।
Kyonki main yahan tak chahta tha, ki apne bhaiyon, ke liye jo shareer ke bhaav se mere kutumbi hain, aap hi Masih se shapit ho jata.
वे इस्त्राएली हैं; और लेपालकपन का हक और महिमा और वाचाएं और व्यवस्था और उपासना और प्रतिज्ञाएं उन्हीं की हैं।
Ve istrayeli hain; aur lepalakpan ka hak aur mahima aur vachayen aur vyavastha aur upasna aur pratigyayen unhi ki hain.
पुरखे भी उन्हीं के हैं, और मसीह भी शरीर के भाव से उन्हीं में से हुआ, जो सब के ऊपर परम परमेश्वर युगानुयुग धन्य है। आमीन।
Purkhe bhi unhi ke hain, aur Masih bhi shareer ke bhaav se unhi mein se huaa, jo sab ke oopar param Parmeshwar yuganuyug dhanya hai. Aamin.
परन्तु यह नहीं, कि परमेश्वर का वचन टल गया, इसलिये कि जो इस्त्राएल के वंश हैं, वे सब इस्त्राएली नहीं।
Parantu yah nahi, ki Parmeshwar ka vachan tal gaya, isliye ki jo istrayel ke vansh hain, ve sab istrayeli nahi.
और न इब्राहीम के वंश होने के कारण सब उस की सन्तान ठहरे, परन्तु लिखा है कि इसहाक ही से तेरा वंश कहलाएगा।
Aur na Ibrahim ke vansh hone ke karan sab us ki santaan thahre, parantu likha hai ki Ishaq hi se tera vansh kahlayega.
अर्थात शरीर की सन्तान परमेश्वर की सन्तान नहीं, परन्तु प्रतिज्ञा के सन्तान वंश गिने जाते हैं।
Arthaat shareer ki santaan Parmeshwar ki santaan nahi, parantu pratigya ke santaan vansh gine jate hain.
क्योंकि प्रतिज्ञा का वचन यह है, कि मैं इस समय के अनुसार आऊंगा, और सारा के पुत्र होगा।
Kyonki pratigya ka vachan yah hai, ki main is samay ke anusaar aaoonga, aur sara ke putra hoga.
और केवल यही नहीं, परन्तु जब रिबका भी एक से अर्थात हमारे पिता इसहाक से गर्भवती थी।
Aur keval yahi nahi, parantu jab ribka bhi ek se arthaat hamare pita Ishaq se garbhavti thi.
और अभी तक न तो बालक जन्मे थे, और न उन्होंने कुछ भला या बुरा किया था कि उस ने कहा, कि जेठा छुटके का दास होगा।
Aur abhi tak na to balak janme the, aur na unhonne kuchh bhala ya bura kiya tha ki us ne kaha, ki jetha chhutke ka daas hoga.
इसलिये कि परमेश्वर की मनसा जो उसके चुन लेने के अनुसार है, कर्मों के कारण नहीं, परन्तु बुलाने वाले पर बनी रहे।
Isliye ki Parmeshwar ki mansa jo uske chun lene ke anusaar hai, karmon ke karan nahi, parantu bulane vale par bani rahe.
जैसा लिखा है, कि मैं ने याकूब से प्रेम किया, परन्तु एसौ को अप्रिय जाना॥
Jaisa likha hai, ki main ne Yakub se prem kiya, parantu esau ko apriya jana.
सो हम क्या कहें क्या परमेश्वर के यहां अन्याय है? कदापि नहीं!
So ham kya kahein kya Parmeshwar ke yahan anyaay hai? Kadapi nahi!
क्योंकि वह मूसा से कहता है, मैं जिस किसी पर दया करना चाहूं, उस पर दया करूंगा, और जिस किसी पर कृपा करना चाहूं उसी पर कृपा करूंगा।
Kyonki vah Musa se kahta hai, main jis kisi par daya karna chahun, us par daya karoonga, aur jis kisi par kripa karna chahun usi par kripa karoonga.
सो यह न तो चाहने वाले की, न दौड़ने वाले की परन्तु दया करने वाले परमेश्वर की बात है।
So yah na to chahne vale ki, na daudne vale ki parantu daya karne vale Parmeshwar ki baat hai.
क्योंकि पवित्र शास्त्र में फिरौन से कहा गया, कि मैं ने तुझे इसी लिये खड़ा किया है, कि तुझ में अपनी सामर्थ दिखाऊं, और मेरे नाम का प्रचार सारी पृथ्वी पर हो।
Kyonki pavitra shastra mein Firaun se kaha gaya, ki main ne tujhe isi liye khada kiya hai, ki tujh mein apni samarth dikhaun, aur mere naam ka prachaar sari prithvi par ho.
सो वह जिस पर चाहता है, उस पर दया करता है; और जिसे चाहता है, उसे कठोर कर देता है।
So vah jis par chahta hai, us par daya karta hai; aur jise chahta hai, use kathor kar deta hai.
सो तू मुझ से कहेगा, वह फिर क्यों दोष लगाता है? कौन उस की इच्छा का साम्हना करता है?
So tu mujh se kahega, vah phir kyon dosh lagata hai? Kaun us ki ichchha ka samhana karta hai?
हे मनुष्य, भला तू कौन है, जो परमेश्वर का साम्हना करता है? क्या गढ़ी हुई वस्तु गढ़ने वाले से कह सकती है कि तू ने मुझे ऐसा क्यों बनाया है?
He manushya, bhala tu kaun hai, jo Parmeshwar ka samhana karta hai? Kya gadhi hui vastu gadhne vale se kah sakti hai ki tu ne mujhe aisa kyon banaya hai?
क्या कुम्हार को मिट्टी पर अधिकार नहीं, कि एक ही लौंदे मे से, एक बरतन आदर के लिये, और दूसरे को अनादर के लिये बनाए? तो इस में कौन सी अचम्भे की बात है?
Kya kumhaar ko mitti par adhikaar nahi, ki ek hi launde me se, ek bartan aadar ke liye, aur doosre ko anadar ke liye banaye? To is mein kaun si achambhe ki baat hai?
कि परमेश्वर ने अपना क्रोध दिखाने और अपनी सामर्थ प्रगट करने की इच्छा से क्रोध के बरतनों की, जो विनाश के लिये तैयार किए गए थे बड़े धीरज से सही।
Ki Parmeshwar ne apna krodh dikhane aur apni samarth pragat karne ki ichchha se krodh ke baratnon ki, jo vinaash ke liye taiyaar kiye gaye the bade dheeraj se sahi.
और दया के बरतनों पर जिन्हें उस ने महिमा के लिये पहिले से तैयार किया, अपने महिमा के धन को प्रगट करने की इच्छा की
Aur daya ke baratnon par jinhein us ne mahima ke liye pahile se taiyaar kiya, apne mahima ke dhan ko pragat karne ki ichchha ki
अर्थात हम पर जिन्हें उस ने न केवल यहूदियों में से वरन अन्यजातियों में से भी बुलाया।
Arthaat ham par jinhein us ne na keval Yahudiyon mein se varan anyajatiyon mein se bhi bulaya.
जैसा वह होशे की पुस्तक में भी कहता है, कि जो मेरी प्रजा न थी, उन्हें मैं अपनी प्रजा कहूंगा, और जो प्रिया न थी, उसे प्रिया कहूंगा।
Jaisa vah hoshe ki pustak mein bhi kahta hai, ki jo meri praja na thi, unhein main apni praja kahoonga, aur jo priya na thi, use priya kahoonga.
और ऐसा होगा कि जिस जगह में उन से यह कहा गया था, कि तुम मेरी प्रजा नहीं हो, उसी जगह वे जीवते परमेश्वर की सन्तान कहलाएंगे।
Aur aisa hoga ki jis jagah mein un se yah kaha gaya tha, ki tum meri praja nahi ho, usi jagah ve jeevte Parmeshwar ki santaan kahlayenge.
और यशायाह इस्त्राएल के विषय में पुकारकर कहता है, कि चाहे इस्त्राएल की सन्तानों की गिनती समुद्र के बालू के बराबर हो, तौभी उन में से थोड़े ही बचेंगे।
Aur yashayaah istrayel ke vishay mein pukarkar kahta hai, ki chahe istrayel ki santanon ki ginti samudra ke balu ke barabar ho, taubhi un mein se thode hi bachenge.
क्योंकि प्रभु अपना वचन पृथ्वी पर पूरा करके, धार्मिकता से शीघ्र उसे सिद्ध करेगा।
Kyonki Prabhu apna vachan prithvi par poora karke, dharmikta se sheeghra use siddh karega.
जैसा यशायाह ने पहिले भी कहा था, कि यदि सेनाओं का प्रभु हमारे लिये कुछ वंश न छोड़ता, तो हम सदोम की नाईं हो जाते, और अमोरा के सरीखे ठहरते॥
Jaisa yashayaah ne pahile bhi kaha tha, ki yadi senaon ka Prabhu hamare liye kuchh vansh na chhodta, to ham sadom ki nai ho jate, aur amora ke sareekhe thaharte.
सो हम क्या कहें? यह कि अन्यजातियों ने जो धार्मिकता की खोज नहीं करते थे, धार्मिकता प्राप्त की अर्थात उस धार्मिकता को जो विश्वास से है।
So ham kya kahein? Yah ki anyajatiyon ne jo dharmikta ki khoj nahi karte the, dharmikta praapt ki arthaat us dharmikta ko jo vishwaas se hai.
परन्तु इस्त्राएली; जो धर्म की व्यवस्था की खोज करते हुए उस व्यवस्था तक नहीं पहुंचे।
Parantu istrayeli; jo dharm ki vyavastha ki khoj karte hue us vyavastha tak nahi pahunche.
किस लिये? इसलिये कि वे विश्वास से नहीं, परन्तु मानो कर्मों से उस की खोज करते थे: उन्होंने उस ठोकर के पत्थर पर ठोकर खाई।
Kis liye? Isliye ki ve vishwaas se nahi, parantu mano karmon se us ki khoj karte the: unhonne us thokar ke patthar par thokar khai.
जैसा लिखा है; देखो मैं सियोन में एक ठेस लगने का पत्थर, और ठोकर खाने की चट्टान रखता हूं; और जो उस पर विश्वास करेगा, वह लज्ज़ित न होगा॥
Jaisa likha hai; dekho main siyon mein ek thes lagne ka patthar, aur thokar khane ki chattaan rakhta hoon; aur jo us par vishwaas karega, vah lajzit na hoga.