हे भाइयो, मेरे मन की अभिलाषा और उन के लिये परमेश्वर से मेरी प्रार्थना है, कि वे उद्धार पाएं।
He bhaiyo, mere man ki abhilasha aur un ke liye Parmeshwar se meri prarthana hai, ki ve uddhaar payen.
Romans 10 · 21 verses
हे भाइयो, मेरे मन की अभिलाषा और उन के लिये परमेश्वर से मेरी प्रार्थना है, कि वे उद्धार पाएं।
He bhaiyo, mere man ki abhilasha aur un ke liye Parmeshwar se meri prarthana hai, ki ve uddhaar payen.
क्योंकि मैं उन की गवाही देता हूं, कि उन को परमेश्वर के लिये धुन रहती है, परन्तु बुद्धिमानी के साथ नहीं।
Kyonki main un ki gavahi deta hoon, ki un ko Parmeshwar ke liye dhun rahti hai, parantu buddhimani ke saath nahi.
क्योकि वे परमेश्वर की धार्मिकता से अनजान होकर, और अपनी धार्मिकता स्थापन करने का यत्न करके, परमेश्वर की धार्मिकता के आधीन न हुए।
Kyoki ve Parmeshwar ki dharmikta se anjaan hokar, aur apni dharmikta sthapan karne ka yatn karke, Parmeshwar ki dharmikta ke aadheen na hue.
क्योंकि हर एक विश्वास करने वाले के लिये धार्मिकता के निमित मसीह व्यवस्था का अन्त है।
Kyonki har ek vishwaas karne vale ke liye dharmikta ke nimit Masih vyavastha ka ant hai.
क्योंकि मूसा ने यह लिखा है, कि जो मनुष्य उस धार्मिकता पर जो व्यवस्था से है, चलता है, वह इसी कारण जीवित रहेगा।
Kyonki Musa ne yah likha hai, ki jo manushya us dharmikta par jo vyavastha se hai, chalta hai, vah isi karan jeevit rahega.
परन्तु जो धार्मिकता विश्वास से है, वह यों कहती है, कि तू अपने मन में यह न कहना कि स्वर्ग पर कौन चढ़ेगा? अर्थात मसीह को उतार लाने के लिये!
Parantu jo dharmikta vishwaas se hai, vah yon kahti hai, ki tu apne man mein yah na kahna ki swarg par kaun chadhega? Arthaat Masih ko utaar lane ke liye!
या गहिराव में कौन उतरेगा? अर्थात मसीह को मरे हुओं में से जिलाकर ऊपर लाने के लिये!
Ya gahiraav mein kaun utrega? Arthaat Masih ko mare huon mein se jilakar oopar lane ke liye!
परन्तु वह क्या कहती है? यह, कि वचन तेरे निकट है, तेरे मुंह में और तेरे मन में है; यह वही विश्वास का वचन है, जो हम प्रचार करते हैं।
Parantu vah kya kahti hai? Yah, ki vachan tere nikat hai, tere munh mein aur tere man mein hai; yah vahi vishwaas ka vachan hai, jo ham prachaar karte hain.
कि यदि तू अपने मुंह से यीशु को प्रभु जानकर अंगीकार करे और अपने मन से विश्वास करे, कि परमेश्वर ने उसे मरे हुओं में से जिलाया, तो तू निश्चय उद्धार पाएगा।
Ki yadi tu apne munh se Yeshu ko Prabhu jankar angeekaar kare aur apne man se vishwaas kare, ki Parmeshwar ne use mare huon mein se jilaya, to tu nishchay uddhaar payega.
क्योंकि धार्मिकता के लिये मन से विश्वास किया जाता है, और उद्धार के लिये मुंह से अंगीकार किया जाता है।
Kyonki dharmikta ke liye man se vishwaas kiya jata hai, aur uddhaar ke liye munh se angeekaar kiya jata hai.
क्योंकि पवित्र शास्त्र यह कहता है कि जो कोई उस पर विश्वास करेगा, वह लज्जित न होगा।
Kyonki pavitra shastra yah kahta hai ki jo koi us par vishwaas karega, vah lajjit na hoga.
यहूदियों और यूनानियों में कुछ भेद नहीं, इसलिये कि वह सब का प्रभु है; और अपने सब नाम लेने वालों के लिये उदार है।
Yahudiyon aur yoonaniyon mein kuchh bhed nahi, isliye ki vah sab ka Prabhu hai; aur apne sab naam lene valon ke liye udaar hai.
क्योंकि जो कोई प्रभु का नाम लेगा, वह उद्धार पाएगा।
Kyonki jo koi Prabhu ka naam lega, vah uddhaar payega.
फिर जिस पर उन्होंने विश्वास नहीं किया, वे उसका नाम क्योंकर लें? और जिस की नहीं सुनी उस पर क्योंकर विश्वास करें?
Phir jis par unhonne vishwaas nahi kiya, ve uska naam kyonkar lein? Aur jis ki nahi suni us par kyonkar vishwaas karein?
और प्रचारक बिना क्योंकर सुनें? और यदि भेजे न जाएं, तो क्योंकर प्रचार करें? जैसा लिखा है, कि उन के पांव क्या ही सुहावने हैं, जो अच्छी बातों का सुसमाचार सुनाते हैं।
Aur pracharak bina kyonkar sunein? Aur yadi bheje na jayen, to kyonkar prachaar karein? Jaisa likha hai, ki un ke paanv kya hi suhavne hain, jo achchhi baton ka susmachaar sunate hain.
परन्तु सब ने उस सुसमाचार पर कान न लगाया: यशायाह कहता है, कि हे प्रभु, किस ने हमारे समाचार की प्रतीति की है?
Parantu sab ne us susmachaar par kaan na lagaya: yashayaah kahta hai, ki he Prabhu, kis ne hamare samachaar ki prateeti ki hai?
सो विश्वास सुनने से, और सुनना मसीह के वचन से होता है।
So vishwaas sunne se, aur sunna Masih ke vachan se hota hai.
परन्तु मैं कहता हूं, क्या उन्होंने नहीं सुना? सुना तो सही क्योंकि लिखा है कि उन के स्वर सारी पृथ्वी पर, और उन के वचन जगत की छोर तक पहुंच गए हैं।
Parantu main kahta hoon, kya unhonne nahi suna? Suna to sahi kyonki likha hai ki un ke swar sari prithvi par, aur un ke vachan jagat ki chhor tak pahunch gaye hain.
फिर मैं कहता हूं। क्या इस्त्राएली नहीं जानते थे? पहिले तो मूसा कहता है, कि मैं उन के द्वारा जो जाति नहीं, तुम्हारे मन में जलन उपजाऊंगा, मैं एक मूढ़ जाति के द्वारा तुम्हें रिस दिलाऊंगा।
Phir main kahta hoon. Kya istrayeli nahi jante the? Pahile to Musa kahta hai, ki main un ke dwara jo jati nahi, tumhare man mein jalan upjaoonga, main ek moodh jati ke dwara tumhein ris dilaoonga.
फिर यशायाह बड़े हियाव के साथ कहता है, कि जो मुझे नहीं ढूंढ़ते थे, उन्होंने मुझे पा लिया: और जो मुझे पूछते भी न थे, उन पर मैं प्रगट हो गया।
Phir yashayaah bade hiyaav ke saath kahta hai, ki jo mujhe nahi dhoondhte the, unhonne mujhe pa liya: aur jo mujhe poochhte bhi na the, un par main pragat ho gaya.
परन्तु इस्त्राएल के विषय में वह यह कहता है कि मैं सारे दिन अपने हाथ एक आज्ञा न मानने वाली और विवाद करने वाली प्रजा की ओर पसारे रहा॥
Parantu istrayel ke vishay mein vah yah kahta hai ki main sare din apne haath ek aagya na manne vali aur vivaad karne vali praja ki or pasare raha.