सो अब जो मसीह यीशु में हैं, उन पर दण्ड की आज्ञा नहीं: क्योंकि वे शरीर के अनुसार नहीं वरन आत्मा के अनुसार चलते हैं।
So ab jo Masih Yeshu mein hain, un par dand ki aagya nahi: kyonki ve shareer ke anusaar nahi varan aatma ke anusaar chalte hain.
Romans 8 · 39 verses
सो अब जो मसीह यीशु में हैं, उन पर दण्ड की आज्ञा नहीं: क्योंकि वे शरीर के अनुसार नहीं वरन आत्मा के अनुसार चलते हैं।
So ab jo Masih Yeshu mein hain, un par dand ki aagya nahi: kyonki ve shareer ke anusaar nahi varan aatma ke anusaar chalte hain.
क्योंकि जीवन की आत्मा की व्यवस्था ने मसीह यीशु में मुझे पाप की, और मृत्यु की व्यवस्था से स्वतंत्र कर दिया।
Kyonki jeevan ki aatma ki vyavastha ne Masih Yeshu mein mujhe paap ki, aur mrityu ki vyavastha se swatantra kar diya.
क्योंकि जो काम व्यवस्था शरीर के कारण दुर्बल होकर न कर सकी, उस को परमेश्वर ने किया, अर्थात अपने ही पुत्र को पापमय शरीर की समानता में, और पाप के बलिदान होने के लिये भेजकर, शरीर में पाप पर दण्ड की आज्ञा दी।
Kyonki jo kaam vyavastha shareer ke karan durbal hokar na kar saki, us ko Parmeshwar ne kiya, arthaat apne hi putra ko papmay shareer ki samanta mein, aur paap ke balidaan hone ke liye bhejkar, shareer mein paap par dand ki aagya di.
इसलिये कि व्यवस्था की विधि हम में जो शरीर के अनुसार नहीं वरन आत्मा के अनुसार चलते हैं, पूरी की जाए।
Isliye ki vyavastha ki vidhi ham mein jo shareer ke anusaar nahi varan aatma ke anusaar chalte hain, poori ki jaye.
क्योंकि शरीरिक व्यक्ति शरीर की बातों पर मन लगाते हैं; परन्तु आध्यात्मिक आत्मा की बातों पर मन लगाते हैं।
Kyonki shareerik vyakti shareer ki baton par man lagate hain; parantu aadhyatmik aatma ki baton par man lagate hain.
शरीर पर मन लगाना तो मृत्यु है, परन्तु आत्मा पर मन लगाना जीवन और शान्ति है।
Shareer par man lagana to mrityu hai, parantu aatma par man lagana jeevan aur shanti hai.
क्योंकि शरीर पर मन लगाना तो परमेश्वर से बैर रखना है, क्योंकि न तो परमेश्वर की व्यवस्था के आधीन है, और न हो सकता है।
Kyonki shareer par man lagana to Parmeshwar se bair rakhna hai, kyonki na to Parmeshwar ki vyavastha ke aadheen hai, aur na ho sakta hai.
और जो शारीरिक दशा में है, वे परमेश्वर को प्रसन्न नहीं कर सकते।
Aur jo shareerik dasha mein hai, ve Parmeshwar ko prasann nahi kar sakte.
परन्तु जब कि परमेश्वर का आत्मा तुम में बसता है, तो तुम शारीरिक दशा में नहीं, परन्तु आत्मिक दशा में हो। यदि किसी में मसीह का आत्मा नहीं तो वह उसका जन नहीं।
Parantu jab ki Parmeshwar ka aatma tum mein basta hai, to tum shareerik dasha mein nahi, parantu aatmik dasha mein ho. Yadi kisi mein Masih ka aatma nahi to vah uska jan nahi.
और यदि मसीह तुम में है, तो देह पाप के कारण मरी हुई है; परन्तु आत्मा धर्म के कारण जीवित है।
Aur yadi Masih tum mein hai, to deh paap ke karan mari hui hai; parantu aatma dharm ke karan jeevit hai.
और यदि उसी का आत्मा जिस ने यीशु को मरे हुओं में से जिलाया तुम में बसा हुआ है; तो जिस ने मसीह को मरे हुओं में से जिलाया, वह तुम्हारी मरनहार देहों को भी अपने आत्मा के द्वारा जो तुम में बसा हुआ है जिलाएगा।
Aur yadi usi ka aatma jis ne Yeshu ko mare huon mein se jilaya tum mein basa huaa hai; to jis ne Masih ko mare huon mein se jilaya, vah tumhari maranhaar dehon ko bhi apne aatma ke dwara jo tum mein basa huaa hai jilayega.
सो हे भाइयो, हम शरीर के कर्जदार नहीं, ताकि शरीर के अनुसार दिन काटें।
So he bhaiyo, ham shareer ke karjadaar nahi, taki shareer ke anusaar din katein.
क्योंकि यदि तुम शरीर के अनुसार दिन काटोगे, तो मरोगे, यदि आत्मा से देह की क्रीयाओं को मारोगे, तो जीवित रहोगे।
Kyonki yadi tum shareer ke anusaar din katoge, to maroge, yadi aatma se deh ki kreeyaon ko maroge, to jeevit rahoge.
इसलिये कि जितने लोग परमेश्वर के आत्मा के चलाए चलते हैं, वे ही परमेश्वर के पुत्र हैं।
Isliye ki jitne log Parmeshwar ke aatma ke chalaye chalte hain, ve hi Parmeshwar ke putra hain.
क्योंकि तुम को दासत्व की आत्मा नहीं मिली, कि फिर भयभीत हो परन्तु लेपालकपन की आत्मा मिली है, जिस से हम हे अब्बा, हे पिता कह कर पुकारते हैं।
Kyonki tum ko dasatva ki aatma nahi mili, ki phir bhaybheet ho parantu lepalakpan ki aatma mili hai, jis se ham he abba, he pita kah kar pukarte hain.
आत्मा आप ही हमारी आत्मा के साथ गवाही देता है, कि हम परमेश्वर की सन्तान हैं।
Aatma aap hi hamari aatma ke saath gavahi deta hai, ki ham Parmeshwar ki santaan hain.
और यदि सन्तान हैं, तो वारिस भी, वरन परमेश्वर के वारिस और मसीह के संगी वारिस हैं, जब कि हम उसके साथ दुख उठाएं कि उसके साथ महिमा भी पाएं॥
Aur yadi santaan hain, to varis bhi, varan Parmeshwar ke varis aur Masih ke sangi varis hain, jab ki ham uske saath dukh uthayen ki uske saath mahima bhi payen.
क्योंकि मैं समझता हूं, कि इस समय के दु:ख और क्लेश उस महिमा के साम्हने, जो हम पर प्रगट होने वाली है, कुछ भी नहीं हैं।
Kyonki main samajhta hoon, ki is samay ke dukh aur klesh us mahima ke samhane, jo ham par pragat hone vali hai, kuchh bhi nahi hain.
क्योंकि सृष्टि बड़ी आशाभरी दृष्टि से परमेश्वर के पुत्रों के प्रगट होने की बाट जोह रही है।
Kyonki srishti badi aashabhri drishti se Parmeshwar ke putron ke pragat hone ki baat joh rahi hai.
क्योंकि सृष्टि अपनी इच्छा से नहीं पर आधीन करने वाले की ओर से व्यर्थता के आधीन इस आशा से की गई।
Kyonki srishti apni ichchha se nahi par aadheen karne vale ki or se vyarthata ke aadheen is aasha se ki gai.
कि सृष्टि भी आप ही विनाश के दासत्व से छुटकारा पाकर, परमेश्वर की सन्तानों की महिमा की स्वतंत्रता प्राप्त करेगी।
Ki srishti bhi aap hi vinaash ke dasatva se chhutkara pakar, Parmeshwar ki santanon ki mahima ki swatantrata praapt karegi.
क्योंकि हम जानते हैं, कि सारी सृष्टि अब तक मिलकर कराहती और पीड़ाओं में पड़ी तड़पती है।
Kyonki ham jante hain, ki sari srishti ab tak milkar karahti aur peedaon mein padi tadapti hai.
और केवल वही नहीं पर हम भी जिन के पास आत्मा का पहिला फल है, आप ही अपने में कराहते हैं; और लेपालक होने की, अर्थात अपनी देह के छुटकारे की बाट जोहते हैं।
Aur keval vahi nahi par ham bhi jin ke paas aatma ka pahila phal hai, aap hi apne mein karahte hain; aur lepalak hone ki, arthaat apni deh ke chhutkare ki baat johte hain.
आशा के द्वारा तो हमारा उद्धार हुआ है परन्तु जिस वस्तु की आशा की जाती है जब वह देखने में आए, तो फिर आशा कहां रही? क्योंकि जिस वस्तु को कोई देख रहा है उस की आशा क्या करेगा?
Aasha ke dwara to hamara uddhaar huaa hai parantu jis vastu ki aasha ki jati hai jab vah dekhne mein aaye, to phir aasha kahan rahi? Kyonki jis vastu ko koi dekh raha hai us ki aasha kya karega?
परन्तु जिस वस्तु को हम नहीं देखते, यदि उस की आशा रखते हैं, तो धीरज से उस की बाट जोहते भी हैं॥
Parantu jis vastu ko ham nahi dekhte, yadi us ki aasha rakhte hain, to dheeraj se us ki baat johte bhi hain.
इसी रीति से आत्मा भी हमारी दुर्बलता में सहायता करता है, क्योंकि हम नहीं जानते, कि प्रार्थना किस रीति से करना चाहिए; परन्तु आत्मा आप ही ऐसी आहें भर भरकर जो बयान से बाहर है, हमारे लिये बिनती करता है।
Isi reeti se aatma bhi hamari durbalta mein sahayta karta hai, kyonki ham nahi jante, ki prarthana kis reeti se karna chahiye; parantu aatma aap hi aisi aahein bhar bharkar jo bayaan se bahar hai, hamare liye binti karta hai.
और मनों का जांचने वाला जानता है, कि आत्मा की मनसा क्या है क्योंकि वह पवित्र लोगों के लिये परमेश्वर की इच्छा के अनुसार बिनती करता है।
Aur manon ka janchne vala janta hai, ki aatma ki mansa kya hai kyonki vah pavitra logon ke liye Parmeshwar ki ichchha ke anusaar binti karta hai.
और हम जानते हैं, कि जो लोग परमेश्वर से प्रेम रखते हैं, उन के लिये सब बातें मिलकर भलाई ही को उत्पन्न करती है; अर्थात उन्हीं के लिये जो उस की इच्छा के अनुसार बुलाए हुए हैं।
Aur ham jante hain, ki jo log Parmeshwar se prem rakhte hain, un ke liye sab batein milkar bhalai hi ko utpann karti hai; arthaat unhi ke liye jo us ki ichchha ke anusaar bulaye hue hain.
क्योंकि जिन्हें उस ने पहिले से जान लिया है उन्हें पहिले से ठहराया भी है कि उसके पुत्र के स्वरूप में हों ताकि वह बहुत भाइयों में पहिलौठा ठहरे।
Kyonki jinhein us ne pahile se jaan liya hai unhein pahile se thahraya bhi hai ki uske putra ke swaroop mein hon taki vah bahut bhaiyon mein pahilautha thahre.
फिर जिन्हें उस ने पहिले से ठहराया, उन्हें बुलाया भी, और जिन्हें बुलाया, उन्हें धर्मी भी ठहराया है, और जिन्हें धर्मी ठहराया, उन्हें महिमा भी दी है॥
Phir jinhein us ne pahile se thahraya, unhein bulaya bhi, aur jinhein bulaya, unhein dharmi bhi thahraya hai, aur jinhein dharmi thahraya, unhein mahima bhi di hai.
सो हम इन बातों के विषय में क्या कहें? यदि परमेश्वर हमारी ओर है, तो हमारा विरोधी कौन हो सकता है?
So ham in baton ke vishay mein kya kahein? Yadi Parmeshwar hamari or hai, to hamara virodhi kaun ho sakta hai?
जिस ने अपने निज पुत्र को भी न रख छोड़ा, परन्तु उसे हम सब के लिये दे दिया: वह उसके साथ हमें और सब कुछ क्योंकर न देगा?
Jis ne apne nij putra ko bhi na rakh chhoda, parantu use ham sab ke liye de diya: vah uske saath hamein aur sab kuchh kyonkar na dega?
परमेश्वर के चुने हुओं पर दोष कौन लगाएगा? परमेश्वर वह है जो उन को धर्मी ठहराने वाला है।
Parmeshwar ke chune huon par dosh kaun lagayega? Parmeshwar vah hai jo un ko dharmi thahrane vala hai.
फिर कौन है जो दण्ड की आज्ञा देगा? मसीह वह है जो मर गया वरन मुर्दों में से जी भी उठा, और परमेश्वर की दाहिनी ओर है, और हमारे लिये निवेदन भी करता है।
Phir kaun hai jo dand ki aagya dega? Masih vah hai jo mar gaya varan murdon mein se ji bhi utha, aur Parmeshwar ki dahini or hai, aur hamare liye nivedan bhi karta hai.
कौन हम को मसीह के प्रेम से अलग करेगा? क्या क्लेश, या संकट, या उपद्रव, या अकाल, या नंगाई, या जोखिम, या तलवार?
Kaun ham ko Masih ke prem se alag karega? Kya klesh, ya sankat, ya upadrav, ya akaal, ya nangai, ya jokhim, ya talvaar?
जैसा लिखा है, कि तेरे लिये हम दिन भर घात किए जाते हैं; हम वध होने वाली भेंडों की नाईं गिने गए हैं।
Jaisa likha hai, ki tere liye ham din bhar ghaat kiye jate hain; ham vadh hone vali bhendon ki nai gine gaye hain.
परन्तु इन सब बातों में हम उसके द्वारा जिस ने हम से प्रेम किया है, जयवन्त से भी बढ़कर हैं।
Parantu in sab baton mein ham uske dwara jis ne ham se prem kiya hai, jayvant se bhi badhkar hain.
क्योंकि मैं निश्चय जानता हूं, कि न मृत्यु, न जीवन, न स्वर्गदूत, न प्रधानताएं, न वर्तमान, न भविष्य, न सामर्थ, न ऊंचाई,
Kyonki main nishchay janta hoon, ki na mrityu, na jeevan, na swargadoot, na pradhantayen, na vartamaan, na bhavishya, na samarth, na oonchai,
न गहिराई और न कोई और सृष्टि, हमें परमेश्वर के प्रेम से, जो हमारे प्रभु मसीह यीशु में है, अलग कर सकेगी॥
Na gahirai aur na koi aur srishti, hamein Parmeshwar ke prem se, jo hamare Prabhu Masih Yeshu mein hai, alag kar sakegi.