Romans 7 · 25 verses

रोमियों 7 Romans 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Romiyon 7.

1

हे भाइयो, क्या तुम नहीं जानते मैं व्यवस्था के जानने वालों से कहता हूं, कि जब तक मनुष्य जीवित रहता है, तक तक उस पर व्यवस्था की प्रभुता रहती है?

He bhaiyo, kya tum nahi jante main vyavastha ke janne valon se kahta hoon, ki jab tak manushya jeevit rahta hai, tak tak us par vyavastha ki prabhuta rahti hai?

2

क्योंकि विवाहिता स्त्री व्यवस्था के अनुसार अपने पति के जीते जी उस से बन्धी है, परन्तु यदि पति मर जाए, तो वह पति की व्यवस्था से छूट गई।

Kyonki vivahita stri vyavastha ke anusaar apne pati ke jeete ji us se bandhi hai, parantu yadi pati mar jaye, to vah pati ki vyavastha se chhoot gai.

3

सो यदि पति के जीते जी वह किसी दूसरे पुरूष की हो जाए, तो व्यभिचारिणी कहलाएगी, परन्तु यदि पति मर जाए, तो वह उस व्यवस्था से छूट गई, यहां तक कि यदि किसी दूसरे पुरूष की हो जाए, तौभी व्यभिचारिणी न ठहरेगी।

So yadi pati ke jeete ji vah kisi doosre puroosh ki ho jaye, to vyabhicharini kahlayegi, parantu yadi pati mar jaye, to vah us vyavastha se chhoot gai, yahan tak ki yadi kisi doosre puroosh ki ho jaye, taubhi vyabhicharini na thahregi.

4

सो हे मेरे भाइयो, तुम भी मसीह की देह के द्वारा व्यवस्था के लिये मरे हुए बन गए, कि उस दूसरे के हो जाओ, जो मरे हुओं में से जी उठा: ताकि हम परमेश्वर के लिये फल लाएं।

So he mere bhaiyo, tum bhi Masih ki deh ke dwara vyavastha ke liye mare hue ban gaye, ki us doosre ke ho jao, jo mare huon mein se ji utha: taki ham Parmeshwar ke liye phal layen.

5

क्योंकि जब हम शारीरिक थे, तो पापों की अभिलाषायें जो व्यवस्था के द्वारा थीं, मृत्यु का फल उत्पन्न करने के लिये हमारे अंगों में काम करती थीं।

Kyonki jab ham shareerik the, to papon ki abhilashayein jo vyavastha ke dwara thi, mrityu ka phal utpann karne ke liye hamare angon mein kaam karti thi.

6

परन्तु जिस के बन्धन में हम थे उसके लिये मर कर, अब व्यवस्था से ऐसे छूट गए, कि लेख की पुरानी रीति पर नहीं, वरन आत्मा की नई रीति पर सेवा करते हैं॥

Parantu jis ke bandhan mein ham the uske liye mar kar, ab vyavastha se aise chhoot gaye, ki lekh ki purani reeti par nahi, varan aatma ki nai reeti par seva karte hain.

7

तो हम क्या कहें? क्या व्यवस्था पाप है? कदापि नहीं! वरन बिना व्यवस्था के मैं पाप को नहीं पहिचानता: व्यवस्था यदि न कहती, कि लालच मत कर तो मैं लालच को न जानता।

To ham kya kahein? Kya vyavastha paap hai? Kadapi nahi! Varan bina vyavastha ke main paap ko nahi pahichanta: vyavastha yadi na kahti, ki lalach mat kar to main lalach ko na janta.

8

परन्तु पाप ने अवसर पाकर आज्ञा के द्वारा मुझ में सब प्रकार का लालच उत्पन्न किया, क्योंकि बिना व्यवस्था पाप मुर्दा है।

Parantu paap ne avsar pakar aagya ke dwara mujh mein sab prakaar ka lalach utpann kiya, kyonki bina vyavastha paap murda hai.

9

मैं तो व्यवस्था बिना पहिले जीवित था, परन्तु जब आज्ञा आई, तो पाप जी गया, और मैं मर गया।

Main to vyavastha bina pahile jeevit tha, parantu jab aagya aai, to paap ji gaya, aur main mar gaya.

10

और वही आज्ञा जो जीवन के लिये थी; मेरे लिये मृत्यु का कारण ठहरी।

Aur vahi aagya jo jeevan ke liye thi; mere liye mrityu ka karan thahri.

11

क्योंकि पाप ने अवसर पाकर आज्ञा के द्वारा मुझे बहकाया, और उसी के द्वारा मुझे मार भी डाला।

Kyonki paap ne avsar pakar aagya ke dwara mujhe bahkaya, aur usi ke dwara mujhe maar bhi dala.

12

इसलिये व्यवस्था पवित्र है, और आज्ञा भी ठीक और अच्छी है।

Isliye vyavastha pavitra hai, aur aagya bhi theek aur achchhi hai.

13

तो क्या वह जो अच्छी थी, मेरे लिये मृत्यु ठहरी? कदापि नहीं! परन्तु पाप उस अच्छी वस्तु के द्वारा मेरे लिये मृत्यु का उत्पन्न करने वाला हुआ कि उसका पाप होना प्रगट हो, और आज्ञा के द्वारा पाप बहुत ही पापमय ठहरे।

To kya vah jo achchhi thi, mere liye mrityu thahri? Kadapi nahi! Parantu paap us achchhi vastu ke dwara mere liye mrityu ka utpann karne vala huaa ki uska paap hona pragat ho, aur aagya ke dwara paap bahut hi papmay thahre.

14

क्योंकि हम जानते हैं कि व्यवस्था तो आत्मिक है, परन्तु मैं शरीरिक और पाप के हाथ बिका हुआ हूं।

Kyonki ham jante hain ki vyavastha to aatmik hai, parantu main shareerik aur paap ke haath bika huaa hoon.

15

और जो मैं करता हूं, उस को नहीं जानता, क्योंकि जो मैं चाहता हूं, वह नहीं किया करता, परन्तु जिस से मुझे घृणा आती है, वही करता हूं।

Aur jo main karta hoon, us ko nahi janta, kyonki jo main chahta hoon, vah nahi kiya karta, parantu jis se mujhe ghrina aati hai, vahi karta hoon.

16

और यदि, जो मैं नहीं चाहता वही करता हूं, तो मैं मान लेता हूं, कि व्यवस्था भली है।

Aur yadi, jo main nahi chahta vahi karta hoon, to main maan leta hoon, ki vyavastha bhali hai.

17

तो ऐसी दशा में उसका करने वाला मैं नहीं, वरन पाप है, जो मुझ में बसा हुआ है।

To aisi dasha mein uska karne vala main nahi, varan paap hai, jo mujh mein basa huaa hai.

18

क्योंकि मैं जानता हूं, कि मुझ में अर्थात मेरे शरीर में कोई अच्छी वस्तु वास नहीं करती, इच्छा तो मुझ में है, परन्तु भले काम मुझ से बन नहीं पड़ते।

Kyonki main janta hoon, ki mujh mein arthaat mere shareer mein koi achchhi vastu vaas nahi karti, ichchha to mujh mein hai, parantu bhale kaam mujh se ban nahi padte.

19

क्योंकि जिस अच्छे काम की मैं इच्छा करता हूं, वह तो नहीं करता, परन्तु जिस बुराई की इच्छा नहीं करता वही किया करता हूं।

Kyonki jis achchhe kaam ki main ichchha karta hoon, vah to nahi karta, parantu jis burai ki ichchha nahi karta vahi kiya karta hoon.

20

परन्तु यदि मैं वही करता हूं, जिस की इच्छा नहीं करता, तो उसका करने वाला मैं न रहा, परन्तु पाप जो मुझ में बसा हुआ है।

Parantu yadi main vahi karta hoon, jis ki ichchha nahi karta, to uska karne vala main na raha, parantu paap jo mujh mein basa huaa hai.

21

सो मैं यह व्यवस्था पाता हूं, कि जब भलाई करने की इच्छा करता हूं, तो बुराई मेरे पास आती है।

So main yah vyavastha pata hoon, ki jab bhalai karne ki ichchha karta hoon, to burai mere paas aati hai.

22

क्योंकि मैं भीतरी मनुष्यत्व से तो परमेश्वर की व्यवस्था से बहुत प्रसन्न रहता हूं।

Kyonki main bheetri manushyatva se to Parmeshwar ki vyavastha se bahut prasann rahta hoon.

23

परन्तु मुझे अपने अंगो में दूसरे प्रकार की व्यवस्था दिखाई पड़ती है, जो मेरी बुद्धि की व्यवस्था से लड़ती है, और मुझे पाप की व्यवस्था के बन्धन में डालती है जो मेरे अंगों में है।

Parantu mujhe apne ango mein doosre prakaar ki vyavastha dikhai padti hai, jo meri buddhi ki vyavastha se ladti hai, aur mujhe paap ki vyavastha ke bandhan mein dalti hai jo mere angon mein hai.

24

मैं कैसा अभागा मनुष्य हूं! मुझे इस मृत्यु की देह से कौन छुड़ाएगा?

Main kaisa abhaga manushya hoon! Mujhe is mrityu ki deh se kaun chhudayega?

25

मैं अपने प्रभु यीशु मसीह के द्वारा परमेश्वर का धन्यवाद करता हूं: निदान मैं आप बुद्धि से तो परमेश्वर की व्यवस्था का, परन्तु शरीर से पाप की व्यवस्था का सेवन करता हूं॥

Main apne Prabhu Yeshu Masih ke dwara Parmeshwar ka dhanyavaad karta hoon: nidaan main aap buddhi se to Parmeshwar ki vyavastha ka, parantu shareer se paap ki vyavastha ka sevan karta hoon.