सो हम क्या कहें, कि हमारे शारीरिक पिता इब्राहीम को क्या प्राप्त हुआ?
So ham kya kahein, ki hamare shareerik pita Ibrahim ko kya praapt huaa?
Romans 4 · 25 verses
सो हम क्या कहें, कि हमारे शारीरिक पिता इब्राहीम को क्या प्राप्त हुआ?
So ham kya kahein, ki hamare shareerik pita Ibrahim ko kya praapt huaa?
क्योंकि यदि इब्राहीम कर्मों से धर्मी ठहराया जाता, तो उसे घमण्ड करने की जगह होती, परन्तु परमेश्वर के निकट नहीं।
Kyonki yadi Ibrahim karmon se dharmi thahraya jata, to use ghamand karne ki jagah hoti, parantu Parmeshwar ke nikat nahi.
पवित्र शास्त्र क्या कहता है यह कि इब्राहीम ने परमेश्वर पर विश्वास किया, और यह उसके लिये धार्मिकता गिना गया।
Pavitra shastra kya kahta hai yah ki Ibrahim ne Parmeshwar par vishwaas kiya, aur yah uske liye dharmikta gina gaya.
काम करने वाले की मजदूरी देना दान नहीं, परन्तु हक समझा जाता है।
Kaam karne vale ki majdoori dena daan nahi, parantu hak samjha jata hai.
परन्तु जो काम नहीं करता वरन भक्तिहीन के धर्मी ठहराने वाले पर विश्वास करता है, उसका विश्वास उसके लिये धार्मिकता गिना जाता है।
Parantu jo kaam nahi karta varan bhaktiheen ke dharmi thahrane vale par vishwaas karta hai, uska vishwaas uske liye dharmikta gina jata hai.
जिसे परमेश्वर बिना कर्मों के धर्मी ठहराता है, उसे दाउद भी धन्य कहता है।
Jise Parmeshwar bina karmon ke dharmi thahrata hai, use daud bhi dhanya kahta hai.
कि धन्य वे हैं, जिन के अधर्म क्षमा हुए, और जिन के पाप ढांपे गए।
Ki dhanya ve hain, jin ke adharm kshama hue, aur jin ke paap dhampe gaye.
धन्य है वह मनुष्य जिसे परमेश्वर पापी न ठहराए।
Dhanya hai vah manushya jise Parmeshwar papi na thahraye.
तो यह धन्य कहना, क्या खतना वालों ही के लिये है, या खतना रहितों के लिये भी? हम यह कहते हैं, कि इब्राहीम के लिये उसका विश्वास धार्मिकता गिना गया।
To yah dhanya kahna, kya khatna valon hi ke liye hai, ya khatna rahiton ke liye bhi? Ham yah kahte hain, ki Ibrahim ke liye uska vishwaas dharmikta gina gaya.
तो वह क्योंकर गिना गया खतने की दशा में या बिना खतने की दशा में? खतने की दशा में नहीं परन्तु बिना खतने की दशा में।
To vah kyonkar gina gaya khatne ki dasha mein ya bina khatne ki dasha mein? Khatne ki dasha mein nahi parantu bina khatne ki dasha mein.
और उस ने खतने का चिन्ह पाया, कि उस विश्वास की धार्मिकता पर छाप हो जाए, जो उस ने बिना खतने की दशा में रखा था: जिस से वह उन सब का पिता ठहरे, जो बिना खतने की दशा में विश्वास करते हैं, और कि वे भी धर्मी ठहरें।
Aur us ne khatne ka chinh paya, ki us vishwaas ki dharmikta par chhaap ho jaye, jo us ne bina khatne ki dasha mein rakha tha: jis se vah un sab ka pita thahre, jo bina khatne ki dasha mein vishwaas karte hain, aur ki ve bhi dharmi thahrein.
और उन खतना किए हुओं का पिता हो, जो न केवल खतना किए हुए हैं, परन्तु हमारे पिता इब्राहीम के उस विश्वास की लीक पर भी चलते हैं, जो उस ने बिन खतने की दशा में किया था।
Aur un khatna kiye huon ka pita ho, jo na keval khatna kiye hue hain, parantu hamare pita Ibrahim ke us vishwaas ki leek par bhi chalte hain, jo us ne bin khatne ki dasha mein kiya tha.
क्योंकि यह प्रतिज्ञा कि वह जगत का वारिस होगा, न इब्राहीम को, न उसके वंश को व्यवस्था के द्वारा दी गई थी, परन्तु विश्वास की धार्मिकता के द्वारा मिली।
Kyonki yah pratigya ki vah jagat ka varis hoga, na Ibrahim ko, na uske vansh ko vyavastha ke dwara di gai thi, parantu vishwaas ki dharmikta ke dwara mili.
क्योंकि यदि व्यवस्था वाले वारिस हैं, तो विश्वास व्यर्थ और प्रतिज्ञा निष्फल ठहरी।
Kyonki yadi vyavastha vale varis hain, to vishwaas vyarth aur pratigya nishphal thahri.
व्यवस्था तो क्रोध उपजाती है और जहां व्यवस्था नहीं वहां उसका टालना भी नहीं।
Vyavastha to krodh upjati hai aur jahan vyavastha nahi vahan uska talna bhi nahi.
इसी कारण वह विश्वास के द्वारा मिलती है, कि अनुग्रह की रीति पर हो, कि प्रतिज्ञा सब वंश के लिये दृढ़ हो, न कि केवल उसके लिये जो व्यवस्था वाला है, वरन उन के लिये भी जो इब्राहीम के समान विश्वास वाले हैं: वही तो हम सब का पिता है।
Isi karan vah vishwaas ke dwara milti hai, ki anugrah ki reeti par ho, ki pratigya sab vansh ke liye dridh ho, na ki keval uske liye jo vyavastha vala hai, varan un ke liye bhi jo Ibrahim ke samaan vishwaas vale hain: vahi to ham sab ka pita hai.
जैसा लिखा है, कि मैं ने तुझे बहुत सी जातियों का पिता ठहराया है उस परमेश्वर के साम्हने जिस पर उस ने विश्वास किया और जो मरे हुओं को जिलाता है, और जो बातें हैं ही नहीं, उन का नाम ऐसा लेता है, कि मानो वे हैं।
Jaisa likha hai, ki main ne tujhe bahut si jatiyon ka pita thahraya hai us Parmeshwar ke samhane jis par us ne vishwaas kiya aur jo mare huon ko jilata hai, aur jo batein hain hi nahi, un ka naam aisa leta hai, ki mano ve hain.
उस ने निराशा में भी आशा रखकर विश्वास किया, इसलिये कि उस वचन के अनुसार कि तेरा वंश ऐसा होगा वह बहुत सी जातियों का पिता हो।
Us ne nirasha mein bhi aasha rakhkar vishwaas kiya, isliye ki us vachan ke anusaar ki tera vansh aisa hoga vah bahut si jatiyon ka pita ho.
और वह जो एक सौ वर्ष का था, अपने मरे हुए से शरीर और सारा के गर्भ की मरी हुई की सी दशा जानकर भी विश्वास में निर्बल न हुआ।
Aur vah jo ek sau varsh ka tha, apne mare hue se shareer aur sara ke garbh ki mari hui ki si dasha jankar bhi vishwaas mein nirbal na huaa.
और न अविश्वासी होकर परमेश्वर की प्रतिज्ञा पर संदेह किया, पर विश्वास में दृढ़ होकर परमेश्वर की महिमा की।
Aur na avishwasi hokar Parmeshwar ki pratigya par sandeh kiya, par vishwaas mein dridh hokar Parmeshwar ki mahima ki.
और निश्चय जाना, कि जिस बात की उस ने प्रतिज्ञा की है, वह उसे पूरी करने को भी सामर्थी है।
Aur nishchay jana, ki jis baat ki us ne pratigya ki hai, vah use poori karne ko bhi samarthi hai.
इस कारण, यह उसके लिये धार्मिकता गिना गया।
Is karan, yah uske liye dharmikta gina gaya.
और यह वचन, कि विश्वास उसके लिये धार्मिकता गिना गया, न केवल उसी के लिये लिखा गया।
Aur yah vachan, ki vishwaas uske liye dharmikta gina gaya, na keval usi ke liye likha gaya.
वरन हमारे लिये भी जिन के लिये विश्वास धार्मिकता गिना जाएगा, अर्थात हमारे लिये जो उस पर विश्वास करते हैं, जिस ने हमारे प्रभु यीशु को मरे हुओं में से जिलाया।
Varan hamare liye bhi jin ke liye vishwaas dharmikta gina jayega, arthaat hamare liye jo us par vishwaas karte hain, jis ne hamare Prabhu Yeshu ko mare huon mein se jilaya.
वह हमारे अपराधों के लिये पकड़वाया गया, और हमारे धर्मी ठहरने के लिये जिलाया भी गया॥
Vah hamare apradhon ke liye pakadvaya gaya, aur hamare dharmi thaharne ke liye jilaya bhi gaya.