Romans 3 · 31 verses

रोमियों 3 Romans 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Romiyon 3.

1

सो यहूदी की क्या बड़ाई, या खतने का क्या लाभ?

So Yahudi ki kya badai, ya khatne ka kya laabh?

2

हर प्रकार से बहुत कुछ। पहिले तो यह कि परमेश्वर के वचन उन को सौंपे गए।

Har prakaar se bahut kuchh. Pahile to yah ki Parmeshwar ke vachan un ko saumpe gaye.

3

यदि कितने विश्वासघाती निकले भी तो क्या हुआ? क्या उनके विश्वासघाती होने से परमेश्वर की सच्चाई व्यर्थ ठहरेगी?

Yadi kitne vishwasghati nikle bhi to kya huaa? Kya unke vishwasghati hone se Parmeshwar ki sachchai vyarth thahregi?

4

कदापि नहीं, वरन परमेश्वर सच्चा और हर एक मनुष्य झूठा ठहरे, जैसा लिखा है, कि जिस से तू अपनी बातों में धर्मी ठहरे और न्याय करते समय तू जय पाए।

Kadapi nahi, varan Parmeshwar sachcha aur har ek manushya jhootha thahre, jaisa likha hai, ki jis se tu apni baton mein dharmi thahre aur nyaay karte samay tu jay paye.

5

सो यदि हमारा अधर्म परमेश्वर की धार्मिकता ठहरा देता है, तो हम क्या कहें?क्या यह कि परमेश्वर जो क्रोध करता है अन्यायी है? यह तो मैं मनुष्य की रीति पर कहता हूं।

So yadi hamara adharm Parmeshwar ki dharmikta thahra deta hai, to ham kya kahein?kya yah ki Parmeshwar jo krodh karta hai anyayi hai? Yah to main manushya ki reeti par kahta hoon.

6

कदापि नहीं, नहीं तो परमेश्वर क्योंकर जगत का न्याय करेगा?

Kadapi nahi, nahi to Parmeshwar kyonkar jagat ka nyaay karega?

7

यदि मेरे झूठ के कारण परमेश्वर की सच्चाई उस को महिमा के लिये अधिक करके प्रगट हुई, तो फिर क्यों पापी की नाईं मैं दण्ड के योग्य ठहराया जाता हूं?

Yadi mere jhooth ke karan Parmeshwar ki sachchai us ko mahima ke liye adhik karke pragat hui, to phir kyon papi ki nai main dand ke yogya thahraya jata hoon?

8

और हम क्यों बुराई न करें, कि भलाई निकले जब हम पर यही दोष लगाया भी जाता है, और कितने कहते हैं कि इन का यही कहना है: परन्तु ऐसों का दोषी ठहराना ठीक है॥

Aur ham kyon burai na karein, ki bhalai nikle jab ham par yahi dosh lagaya bhi jata hai, aur kitne kahte hain ki in ka yahi kahna hai: parantu aison ka doshi thahrana theek hai.

9

तो फिर क्या हुआ? क्या हम उन से अच्छे हैं? कभी नहीं; क्योंकि हम यहूदियों और यूनानियों दोनों पर यह दोष लगा चुके हैं कि वे सब के सब पाप के वश में हैं।

To phir kya huaa? Kya ham un se achchhe hain? Kabhi nahi; kyonki ham Yahudiyon aur yoonaniyon donon par yah dosh laga chuke hain ki ve sab ke sab paap ke vash mein hain.

10

जैसा लिखा है, कि कोई धर्मी नहीं, एक भी नहीं।

Jaisa likha hai, ki koi dharmi nahi, ek bhi nahi.

11

कोई समझदार नहीं, कोई परमेश्वर का खोजने वाला नहीं।

Koi samajhdaar nahi, koi Parmeshwar ka khojne vala nahi.

12

सब भटक गए हैं, सब के सब निकम्मे बन गए, कोई भलाई करने वाला नहीं, एक भी नहीं।

Sab bhatak gaye hain, sab ke sab nikamme ban gaye, koi bhalai karne vala nahi, ek bhi nahi.

13

उन का गला खुली हुई कब्र है: उन्होंने अपनी जीभों से छल किया है: उन के होठों में सापों का विष है।

Un ka gala khuli hui kabra hai: unhonne apni jeebhon se chhal kiya hai: un ke hothon mein sapon ka vish hai.

14

और उन का मुंह श्राप और कड़वाहट से भरा है।

Aur un ka munh shraap aur kadvahat se bhara hai.

15

उन के पांव लोहू बहाने को फुर्तीले हैं।

Un ke paanv lohu bahane ko phurteele hain.

16

उन के मार्गों में नाश और क्लेश हैं।

Un ke margon mein naash aur klesh hain.

17

उन्होंने कुशल का मार्ग नहीं जाना।

Unhonne kushal ka maarg nahi jana.

18

उन की आंखों के साम्हने परमेश्वर का भय नहीं।

Un ki aankhon ke samhane Parmeshwar ka bhay nahi.

19

हम जानते हैं, कि व्यवस्था जो कुछ कहती है उन्हीं से कहती है, जो व्यवस्था के आधीन हैं: इसलिये कि हर एक मुंह बन्द किया जाए, और सारा संसार परमेश्वर के दण्ड के योग्य ठहरे।

Ham jante hain, ki vyavastha jo kuchh kahti hai unhi se kahti hai, jo vyavastha ke aadheen hain: isliye ki har ek munh band kiya jaye, aur sara sansaar Parmeshwar ke dand ke yogya thahre.

20

क्योंकि व्यवस्था के कामों से कोई प्राणी उसके साम्हने धर्मी नहीं ठहरेगा, इसलिये कि व्यवस्था के द्वारा पाप की पहिचान होती है।

Kyonki vyavastha ke kamon se koi prani uske samhane dharmi nahi thahrega, isliye ki vyavastha ke dwara paap ki pahichaan hoti hai.

21

पर अब बिना व्यवस्था परमेश्वर की वह धार्मिकता प्रगट हुई है, जिस की गवाही व्यवस्था और भविष्यद्वक्ता देते हैं।

Par ab bina vyavastha Parmeshwar ki vah dharmikta pragat hui hai, jis ki gavahi vyavastha aur bhavishyadwakta dete hain.

22

अर्थात परमेश्वर की वह धार्मिकता, जो यीशु मसीह पर विश्वास करने से सब विश्वास करने वालों के लिये है; क्योंकि कुछ भेद नहीं।

Arthaat Parmeshwar ki vah dharmikta, jo Yeshu Masih par vishwaas karne se sab vishwaas karne valon ke liye hai; kyonki kuchh bhed nahi.

23

इसलिये कि सब ने पाप किया है और परमेश्वर की महिमा से रहित हैं।

Isliye ki sab ne paap kiya hai aur Parmeshwar ki mahima se rahit hain.

24

परन्तु उसके अनुग्रह से उस छुटकारे के द्वारा जो मसीह यीशु में है, सेंत मेंत धर्मी ठहराए जाते हैं।

Parantu uske anugrah se us chhutkare ke dwara jo Masih Yeshu mein hai, sent ment dharmi thahraye jate hain.

25

उसे परमेश्वर ने उसके लोहू के कारण एक ऐसा प्रायश्चित्त ठहराया, जो विश्वास करने से कार्यकारी होता है, कि जो पाप पहिले किए गए, और जिन की परमेश्वर ने अपनी सहनशीलता से आनाकानी की; उन के विषय में वह अपनी धार्मिकता प्रगट करे।

Use Parmeshwar ne uske lohu ke karan ek aisa prayashchitt thahraya, jo vishwaas karne se karyakari hota hai, ki jo paap pahile kiye gaye, aur jin ki Parmeshwar ne apni sahansheelta se aanakani ki; un ke vishay mein vah apni dharmikta pragat kare.

26

वरन इसी समय उस की धार्मिकता प्रगट हो; कि जिस से वह आप ही धर्मी ठहरे, और जो यीशु पर विश्वास करे, उसका भी धर्मी ठहराने वाला हो।

Varan isi samay us ki dharmikta pragat ho; ki jis se vah aap hi dharmi thahre, aur jo Yeshu par vishwaas kare, uska bhi dharmi thahrane vala ho.

27

तो घमण्ड करना कहां रहा उस की तो जगह ही नहीं: कौन सी व्यवस्था के कारण से? क्या कर्मों की व्यवस्था से? नहीं, वरन विश्वास की व्यवस्था के कारण।

To ghamand karna kahan raha us ki to jagah hi nahi: kaun si vyavastha ke karan se? Kya karmon ki vyavastha se? Nahi, varan vishwaas ki vyavastha ke karan.

28

इसलिये हम इस परिणाम पर पहुंचते हैं, कि मनुष्य व्यवस्था के कामों के बिना विश्वास के द्वारा धर्मी ठहरता है।

Isliye ham is parinaam par pahunchte hain, ki manushya vyavastha ke kamon ke bina vishwaas ke dwara dharmi thaharta hai.

29

क्या परमेश्वर केवल यहूदियों ही का है? क्या अन्यजातियों का नहीं? हां, अन्यजातियों का भी है।

Kya Parmeshwar keval Yahudiyon hi ka hai? Kya anyajatiyon ka nahi? Han, anyajatiyon ka bhi hai.

30

क्योंकि एक ही परमेश्वर है, जो खतना वालों को विश्वास से और खतना रहितों को भी विश्वास के द्वारा धर्मी ठहराएगा।

Kyonki ek hi Parmeshwar hai, jo khatna valon ko vishwaas se aur khatna rahiton ko bhi vishwaas ke dwara dharmi thahrayega.

31

तो क्या हम व्यवस्था को विश्वास के द्वारा व्यर्थ ठहराते हैं? कदापि नहीं; वरन व्यवस्था को स्थिर करते हैं॥

To kya ham vyavastha ko vishwaas ke dwara vyarth thahrate hain? Kadapi nahi; varan vyavastha ko sthir karte hain.