Romans 2 · 29 verses

रोमियों 2 Romans 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Romiyon 2.

1

सो हे दोष लगाने वाले, तू कोई क्यों न हो; तू निरुत्तर है! क्योंकि जिस बात में तू दूसरे पर दोष लगाता है, उसी बात में अपने आप को भी दोषी ठहराता है, इसलिये कि तू जो दोष लगाता है, आप ही वही काम करता है।

So he dosh lagane vale, tu koi kyon na ho; tu niruttar hai! Kyonki jis baat mein tu doosre par dosh lagata hai, usi baat mein apne aap ko bhi doshi thahrata hai, isliye ki tu jo dosh lagata hai, aap hi vahi kaam karta hai.

2

और हम जानते हैं, कि ऐसे ऐसे काम करने वालों पर परमेश्वर की ओर से ठीक ठीक दण्ड की आज्ञा होती है।

Aur ham jante hain, ki aise aise kaam karne valon par Parmeshwar ki or se theek theek dand ki aagya hoti hai.

3

और हे मनुष्य, तू जो ऐसे ऐसे काम करने वालों पर दोष लगाता है, और आप वे ही काम करता है; क्या यह समझता है, कि तू परमेश्वर की दण्ड की आज्ञा से बच जाएगा?

Aur he manushya, tu jo aise aise kaam karne valon par dosh lagata hai, aur aap ve hi kaam karta hai; kya yah samajhta hai, ki tu Parmeshwar ki dand ki aagya se bach jayega?

4

क्या तू उस की कृपा, और सहनशीलता, और धीरज रूपी धन को तुच्छ जानता है और क्या यह नहीं समझता, कि परमेश्वर की कृपा तुझे मन फिराव को सिखाती है?

Kya tu us ki kripa, aur sahansheelta, aur dheeraj roopi dhan ko tuchchh janta hai aur kya yah nahi samajhta, ki Parmeshwar ki kripa tujhe man phiraav ko sikhati hai?

5

पर अपनी कठोरता और हठीले मन के अनुसार उसके क्रोध के दिन के लिये, जिस में परमेश्वर का सच्चा न्याय प्रगट होगा, अपने निमित क्रोध कमा रहा है।

Par apni kathorta aur hatheele man ke anusaar uske krodh ke din ke liye, jis mein Parmeshwar ka sachcha nyaay pragat hoga, apne nimit krodh kama raha hai.

6

वह हर एक को उसके कामों के अनुसार बदला देगा।

Vah har ek ko uske kamon ke anusaar badla dega.

7

जो सुकर्म में स्थिर रहकर महिमा, और आदर, और अमरता की खोज में है, उन्हें वह अनन्त जीवन देगा।

Jo sukarm mein sthir rahkar mahima, aur aadar, aur amarta ki khoj mein hai, unhein vah anant jeevan dega.

8

पर जो विवादी हैं, और सत्य को नहीं मानते, वरन अधर्म को मानते हैं, उन पर क्रोध और कोप पड़ेगा।

Par jo vivadi hain, aur satya ko nahi mante, varan adharm ko mante hain, un par krodh aur kop padega.

9

और क्लेश और संकट हर एक मनुष्य के प्राण पर जो बुरा करता है आएगा, पहिले यहूदी पर फिर यूनानी पर।

Aur klesh aur sankat har ek manushya ke praan par jo bura karta hai aayega, pahile Yahudi par phir yoonani par.

10

पर महिमा और आदर ओर कल्याण हर एक को मिलेगा, जो भला करता है, पहिले यहूदी को फिर यूनानी को।

Par mahima aur aadar or kalyaan har ek ko milega, jo bhala karta hai, pahile Yahudi ko phir yoonani ko.

11

क्योंकि परमेश्वर किसी का पक्ष नहीं करता।

Kyonki Parmeshwar kisi ka paksh nahi karta.

12

इसलिये कि जिन्हों ने बिना व्यवस्था पाए पाप किया, वे बिना व्यवस्था के नाश भी होंगे, और जिन्हों ने व्यवस्था पाकर पाप किया, उन का दण्ड व्यवस्था के अनुसार होगा।

Isliye ki jinhon ne bina vyavastha paye paap kiya, ve bina vyavastha ke naash bhi honge, aur jinhon ne vyavastha pakar paap kiya, un ka dand vyavastha ke anusaar hoga.

13

क्योंकि परमेश्वर के यहां व्यवस्था के सुनने वाले धर्मी नहीं, पर व्यवस्था पर चलने वाले धर्मी ठहराए जाएंगे।

Kyonki Parmeshwar ke yahan vyavastha ke sunne vale dharmi nahi, par vyavastha par chalne vale dharmi thahraye jayenge.

14

फिर जब अन्यजाति लोग जिन के पास व्यवस्था नहीं, स्वभाव ही से व्यवस्था की बातों पर चलते हैं, तो व्यवस्था उन के पास न होने पर भी वे अपने लिये आप ही व्यवस्था हैं।

Phir jab anyajati log jin ke paas vyavastha nahi, swabhaav hi se vyavastha ki baton par chalte hain, to vyavastha un ke paas na hone par bhi ve apne liye aap hi vyavastha hain.

15

वे व्यवस्था की बातें अपने अपने हृदयों में लिखी हुई दिखते हैं और उन के विवेक भी गवाही देते हैं, और उन की चिन्ताएं परस्पर दोष लगाती, या उन्हें निर्दोष ठहराती है।

Ve vyavastha ki batein apne apne hridyon mein likhi hui dikhte hain aur un ke vivek bhi gavahi dete hain, aur un ki chintayen paraspar dosh lagati, ya unhein nirdosh thahrati hai.

16

जिस दिन परमेश्वर मेरे सुसमाचार के अनुसार यीशु मसीह के द्वारा मनुष्यों की गुप्त बातों का न्याय करेगा॥

Jis din Parmeshwar mere susmachaar ke anusaar Yeshu Masih ke dwara manushyon ki gupt baton ka nyaay karega.

17

यदि तू यहूदी कहलाता है, और व्यवस्था पर भरोसा रखता है, और परमेश्वर के विषय में घमण्ड करता है।

Yadi tu Yahudi kahlata hai, aur vyavastha par bharosa rakhta hai, aur Parmeshwar ke vishay mein ghamand karta hai.

18

और उस की इच्छा जानता और व्यवस्था की शिक्षा पाकर उत्तम उत्तम बातों को प्रिय जानता है।

Aur us ki ichchha janta aur vyavastha ki shiksha pakar uttam uttam baton ko priya janta hai.

19

और अपने पर भरोसा रखता है, कि मैं अन्धों का अगुवा, और अन्धकार में पड़े हुओं की ज्योति।

Aur apne par bharosa rakhta hai, ki main andhon ka aguva, aur andhakaar mein pade huon ki jyoti.

20

और बुद्धिहीनों का सिखाने वाला, और बालकों का उपदेशक हूं, और ज्ञान, और सत्य का नमूना, जो व्यवस्था में है, मुझे मिला है।

Aur buddhiheenon ka sikhane vala, aur balkon ka updeshak hoon, aur gyaan, aur satya ka namoona, jo vyavastha mein hai, mujhe mila hai.

21

सो क्या तू जो औरों को सिखाता है, अपने आप को नहीं सिखाता? क्या तू जो चोरी न करने का उपदेश देता है, आप ही चोरी करता है?

So kya tu jo auron ko sikhata hai, apne aap ko nahi sikhata? Kya tu jo chori na karne ka updesh deta hai, aap hi chori karta hai?

22

तू जो कहता है, व्यभिचार न करना, क्या आप ही व्यभिचार करता है? तू जो मूरतों से घृणा करता है, क्या आप ही मन्दिरों को लूटता है।

Tu jo kahta hai, vyabhichaar na karna, kya aap hi vyabhichaar karta hai? Tu jo moorton se ghrina karta hai, kya aap hi mandiron ko lootta hai.

23

तू जो व्यवस्था के विषय में घमण्ड करता है, क्या व्यवस्था न मानकर, परमेश्वर का अनादर करता है?

Tu jo vyavastha ke vishay mein ghamand karta hai, kya vyavastha na mankar, Parmeshwar ka anadar karta hai?

24

क्योंकि तुम्हारे कारण अन्यजातियों में परमेश्वर के नाम की निन्दा की जाती है जैसा लिखा भी है।

Kyonki tumhare karan anyajatiyon mein Parmeshwar ke naam ki ninda ki jati hai jaisa likha bhi hai.

25

यदि तू व्यवस्था पर चले, तो खतने से लाभ तो है, परन्तु यदि तू व्यवस्था को न माने, तो तेरा खतना बिन खतना की दशा ठहरा।

Yadi tu vyavastha par chale, to khatne se laabh to hai, parantu yadi tu vyavastha ko na mane, to tera khatna bin khatna ki dasha thahra.

26

सो यदि खतना रहित मनुष्य व्यवस्था की विधियों को माना करे, तो क्या उस की बिन खतना की दशा खतने के बराबर न गिनी जाएगी?

So yadi khatna rahit manushya vyavastha ki vidhiyon ko mana kare, to kya us ki bin khatna ki dasha khatne ke barabar na gini jayegi?

27

और जो मनुष्य जाति के कारण बिन खतना रहा यदि वह व्यवस्था को पूरा करे, तो क्या तुझे जो लेख पाने और खतना किए जाने पर भी व्यवस्था को माना नहीं करता है, दोषी न ठहराएगा?

Aur jo manushya jati ke karan bin khatna raha yadi vah vyavastha ko poora kare, to kya tujhe jo lekh pane aur khatna kiye jane par bhi vyavastha ko mana nahi karta hai, doshi na thahrayega?

28

क्योंकि वह यहूदी नहीं, जो प्रगट में यहूदी है और न वह खतना है जो प्रगट में है, और देह में है।

Kyonki vah Yahudi nahi, jo pragat mein Yahudi hai aur na vah khatna hai jo pragat mein hai, aur deh mein hai.

29

पर यहूदी वही है, जो मन में है; और खतना वही है, जो हृदय का और आत्मा में है; न कि लेख का: ऐसे की प्रशंसा मनुष्यों की ओर से नहीं, परन्तु परमेश्वर की ओर से होती है॥

Par Yahudi vahi hai, jo man mein hai; aur khatna vahi hai, jo hriday ka aur aatma mein hai; na ki lekh ka: aise ki prashansa manushyon ki or se nahi, parantu Parmeshwar ki or se hoti hai.