Romans 1 · 32 verses

रोमियों 1 Romans 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Romiyon 1.

1

पौलुस की ओर से जो यीशु मसीह का दास है, और प्रेरित होने के लिये बुलाया गया, और परमेश्वर के उस सुसमाचार के लिये अलग किया गया है।

Paulus ki or se jo Yeshu Masih ka daas hai, aur prerit hone ke liye bulaya gaya, aur Parmeshwar ke us susmachaar ke liye alag kiya gaya hai.

2

जिस की उस ने पहिले ही से अपने भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा पवित्र शास्त्र में।

Jis ki us ne pahile hi se apne bhavishyadwaktaon ke dwara pavitra shastra mein.

3

अपने पुत्र हमारे प्रभु यीशु मसीह के विषय में प्रतिज्ञा की थी, जो शरीर के भाव से तो दाउद के वंश से उत्पन्न हुआ।

Apne putra hamare Prabhu Yeshu Masih ke vishay mein pratigya ki thi, jo shareer ke bhaav se to daud ke vansh se utpann huaa.

4

और पवित्रता की आत्मा के भाव से मरे हुओं में से जी उठने के कारण सामर्थ के साथ परमेश्वर का पुत्र ठहरा है।

Aur pavitrata ki aatma ke bhaav se mare huon mein se ji uthne ke karan samarth ke saath Parmeshwar ka putra thahra hai.

5

जिस के द्वारा हमें अनुग्रह और प्रेरिताई मिली; कि उसके नाम के कारण सब जातियों के लोग विश्वास करके उस की मानें।

Jis ke dwara hamein anugrah aur preritai mili; ki uske naam ke karan sab jatiyon ke log vishwaas karke us ki manein.

6

जिन में से तुम भी यीशु मसीह के होने के लिये बुलाए गए हो।

Jin mein se tum bhi Yeshu Masih ke hone ke liye bulaye gaye ho.

7

उन सब के नाम जो रोम में परमेश्वर के प्यारे हैं और पवित्र होने के लिये बुलाए गए हैं॥ हमारे पिता परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह की ओर से तुम्हें अनुग्रह और शान्ति मिलती रहे॥

Un sab ke naam jo rom mein Parmeshwar ke pyare hain aur pavitra hone ke liye bulaye gaye hain. Hamare pita Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih ki or se tumhein anugrah aur shanti milti rahe.

8

पहिले मैं तुम सब के लिये यीशु मसीह के द्वारा अपने परमेश्वर का धन्यवाद करता हूं, कि तुम्हारे विश्वास की चर्चा सारे जगत में हो रही है।

Pahile main tum sab ke liye Yeshu Masih ke dwara apne Parmeshwar ka dhanyavaad karta hoon, ki tumhare vishwaas ki charcha sare jagat mein ho rahi hai.

9

परमेश्वर जिस की सेवा मैं अपनी आत्मा से उसके पुत्र के सुसमाचार के विषय में करता हूं, वही मेरा गवाह है; कि मैं तुम्हें किस प्रकार लगातार स्मरण करता रहता हूं।

Parmeshwar jis ki seva main apni aatma se uske putra ke susmachaar ke vishay mein karta hoon, vahi mera gavaah hai; ki main tumhein kis prakaar lagataar smaran karta rahta hoon.

10

और नित्य अपनी प्रार्थनाओं में बिनती करता हूं, कि किसी रीति से अब भी तुम्हारे पास आने को मेरी यात्रा परमेश्वर की इच्छा से सुफल हो।

Aur nitya apni prarthanaon mein binti karta hoon, ki kisi reeti se ab bhi tumhare paas aane ko meri yatra Parmeshwar ki ichchha se suphal ho.

11

क्योंकि मैं तुम से मिलने की लालसा करता हूं, कि मैं तुम्हें कोई आत्मिक वरदान दूं जिस से तुम स्थिर हो जाओ।

Kyonki main tum se milne ki lalsa karta hoon, ki main tumhein koi aatmik vardaan dun jis se tum sthir ho jao.

12

अर्थात यह, कि मैं तुम्हारे बीच में होकर तुम्हारे साथ उस विश्वास के द्वारा जो मुझ में, और तुम में है, शान्ति पाऊं।

Arthaat yah, ki main tumhare beech mein hokar tumhare saath us vishwaas ke dwara jo mujh mein, aur tum mein hai, shanti paun.

13

और हे भाइयों, मैं नहीं चाहता, कि तुम इस से अनजान रहो, कि मैं ने बार बार तुम्हारे पास आना चाहा, कि जैसा मुझे और अन्यजातियों में फल मिला, वैसा ही तुम में भी मिले, परन्तु अब तक रुका रहा।

Aur he bhaiyon, main nahi chahta, ki tum is se anjaan raho, ki main ne baar baar tumhare paas aana chaha, ki jaisa mujhe aur anyajatiyon mein phal mila, vaisa hi tum mein bhi mile, parantu ab tak ruka raha.

14

मैं यूनानियों और अन्यभाषियों का और बुद्धिमानों और निर्बुद्धियों का कर्जदार हूं।

Main yoonaniyon aur anyabhashiyon ka aur buddhimanon aur nirbuddhiyon ka karjadaar hoon.

15

सो मैं तुम्हें भी जो रोम में रहते हो, सुसमाचार सुनाने को भरसक तैयार हूं।

So main tumhein bhi jo rom mein rahte ho, susmachaar sunane ko bharsak taiyaar hoon.

16

क्योंकि मैं सुसमाचार से नहीं लजाता, इसलिये कि वह हर एक विश्वास करने वाले के लिये, पहिले तो यहूदी, फिर यूनानी के लिये उद्धार के निमित परमेश्वर की सामर्थ है।

Kyonki main susmachaar se nahi lajata, isliye ki vah har ek vishwaas karne vale ke liye, pahile to Yahudi, phir yoonani ke liye uddhaar ke nimit Parmeshwar ki samarth hai.

17

क्योंकि उस में परमेश्वर की धार्मिकता विश्वास से और विश्वास के लिये प्रगट होती है; जैसा लिखा है, कि विश्वास से धर्मी जन जीवित रहेगा॥

Kyonki us mein Parmeshwar ki dharmikta vishwaas se aur vishwaas ke liye pragat hoti hai; jaisa likha hai, ki vishwaas se dharmi jan jeevit rahega.

18

परमेश्वर का क्रोध तो उन लोगों की सब अभक्ति और अधर्म पर स्वर्ग से प्रगट होता है, जो सत्य को अधर्म से दबाए रखते हैं।

Parmeshwar ka krodh to un logon ki sab abhakti aur adharm par swarg se pragat hota hai, jo satya ko adharm se dabaye rakhte hain.

19

इसलिये कि परमेश्वर के विषय का ज्ञान उन के मनों में प्रगट है, क्योंकि परमेश्वर ने उन पर प्रगट किया है।

Isliye ki Parmeshwar ke vishay ka gyaan un ke manon mein pragat hai, kyonki Parmeshwar ne un par pragat kiya hai.

20

क्योंकि उसके अनदेखे गुण, अर्थात उस की सनातन सामर्थ, और परमेश्वरत्व जगत की सृष्टि के समय से उसके कामों के द्वारा देखने में आते है, यहां तक कि वे निरुत्तर हैं।

Kyonki uske andekhe gun, arthaat us ki sanatan samarth, aur parmeshwaratva jagat ki srishti ke samay se uske kamon ke dwara dekhne mein aate hai, yahan tak ki ve niruttar hain.

21

इस कारण कि परमेश्वर को जानने पर भी उन्होंने परमेश्वर के योग्य बड़ाई और धन्यवाद न किया, परन्तु व्यर्थ विचार करने लगे, यहां तक कि उन का निर्बुद्धि मन अन्धेरा हो गया।

Is karan ki Parmeshwar ko janne par bhi unhonne Parmeshwar ke yogya badai aur dhanyavaad na kiya, parantu vyarth vichaar karne lage, yahan tak ki un ka nirbuddhi man andhera ho gaya.

22

वे अपने आप को बुद्धिमान जताकर मूर्ख बन गए।

Ve apne aap ko buddhimaan jatakar moorkh ban gaye.

23

और अविनाशी परमेश्वर की महिमा को नाशमान मनुष्य, और पक्षियों, और चौपायों, और रेंगने वाले जन्तुओं की मूरत की समानता में बदल डाला॥

Aur avinashi Parmeshwar ki mahima ko nashmaan manushya, aur pakshiyon, aur chaupayon, aur rengne vale jantuon ki moorat ki samanta mein badal dala.

24

इस कारण परमेश्वर ने उन्हें उन के मन के अभिलाषाओं के अनुसार अशुद्धता के लिये छोड़ दिया, कि वे आपस में अपने शरीरों का अनादर करें।

Is karan Parmeshwar ne unhein un ke man ke abhilashaon ke anusaar ashuddhata ke liye chhod diya, ki ve aapas mein apne shareeron ka anadar karein.

25

क्योंकि उन्होंने परमेश्वर की सच्चाई को बदलकर झूठ बना डाला, और सृष्टि की उपासना और सेवा की, न कि उस सृजनहार की जो सदा धन्य है। आमीन॥

Kyonki unhonne Parmeshwar ki sachchai ko badalkar jhooth bana dala, aur srishti ki upasna aur seva ki, na ki us srijanhaar ki jo sada dhanya hai. Aamin.

26

इसलिये परमेश्वर ने उन्हें नीच कामनाओं के वश में छोड़ दिया; यहां तक कि उन की स्त्रियों ने भी स्वाभाविक व्यवहार को, उस से जो स्वभाव के विरूद्ध है, बदल डाला।

Isliye Parmeshwar ne unhein neech kamnaon ke vash mein chhod diya; yahan tak ki un ki striyon ne bhi swabhavik vyavhaar ko, us se jo swabhaav ke virooddh hai, badal dala.

27

वैसे ही पुरूष भी स्त्रियों के साथ स्वाभाविक व्यवहार छोड़कर आपस में कामातुर होकर जलने लगे, और पुरूषों ने पुरूषों के साथ निर्लज्ज़ काम करके अपने भ्रम का ठीक फल पाया॥

Vaise hi puroosh bhi striyon ke saath swabhavik vyavhaar chhodkar aapas mein kamatur hokar jalne lage, aur purooshon ne purooshon ke saath nirlajz kaam karke apne bhram ka theek phal paya.

28

और जब उन्होंने परमेश्वर को पहिचानना न चाहा, इसलिये परमेश्वर ने भी उन्हें उन के निकम्मे मन पर छोड़ दिया; कि वे अनुचित काम करें।

Aur jab unhonne Parmeshwar ko pahichanna na chaha, isliye Parmeshwar ne bhi unhein un ke nikamme man par chhod diya; ki ve anuchit kaam karein.

29

सो वे सब प्रकार के अधर्म, और दुष्टता, और लोभ, और बैरभाव, से भर गए; और डाह, और हत्या, और झगड़े, और छल, और ईर्षा से भरपूर हो गए, और चुगलखोर,

So ve sab prakaar ke adharm, aur dushtata, aur lobh, aur bairbhaav, se bhar gaye; aur daah, aur hatya, aur jhagde, aur chhal, aur irsha se bharpoor ho gaye, aur chugalkhor,

30

बदनाम करने वाले, परमेश्वर के देखने में घृणित, औरों का अनादर करने वाले, अभिमानी, डींगमार, बुरी बुरी बातों के बनाने वाले, माता पिता की आज्ञा न मानने वाले।

Badnaam karne vale, Parmeshwar ke dekhne mein ghrinit, auron ka anadar karne vale, abhimani, deengmaar, buri buri baton ke banane vale, mata pita ki aagya na manne vale.

31

निर्बुद्धि, विश्वासघाती, मायारिहत और निर्दय हो गए।

Nirbuddhi, vishwasghati, mayarihat aur nirday ho gaye.

32

वे तो परमेश्वर की यह विधि जानते हैं, कि ऐसे ऐसे काम करने वाले मृत्यु के दण्ड के योग्य हैं, तौभी न केवल आप ही ऐसे काम करते हैं, वरन करने वालों से प्रसन्न भी होते हैं॥

Ve to Parmeshwar ki yah vidhi jante hain, ki aise aise kaam karne vale mrityu ke dand ke yogya hain, taubhi na keval aap hi aise kaam karte hain, varan karne valon se prasann bhi hote hain.