निदान हम बलवानों को चाहिए, कि निर्बलों की निर्बलताओं को सहें; न कि अपने आप को प्रसन्न करें।
Nidaan ham balvanon ko chahiye, ki nirbalon ki nirbaltaon ko sahein; na ki apne aap ko prasann karein.
Romans 15 · 33 verses
निदान हम बलवानों को चाहिए, कि निर्बलों की निर्बलताओं को सहें; न कि अपने आप को प्रसन्न करें।
Nidaan ham balvanon ko chahiye, ki nirbalon ki nirbaltaon ko sahein; na ki apne aap ko prasann karein.
हम में से हर एक अपने पड़ोसी को उस की भलाई के लिये सुधारने के निमित प्रसन्न करे।
Ham mein se har ek apne padosi ko us ki bhalai ke liye sudharne ke nimit prasann kare.
क्योंकि मसीह ने अपने आप को प्रसन्न नहीं किया, पर जैसा लिखा है, कि तेरे निन्दकों की निन्दा मुझ पर आ पड़ी।
Kyonki Masih ne apne aap ko prasann nahi kiya, par jaisa likha hai, ki tere nindakon ki ninda mujh par aa padi.
जितनी बातें पहिले से लिखी गईं, वे हमारी ही शिक्षा के लिये लिखी गईं हैं कि हम धीरज और पवित्र शास्त्र की शान्ति के द्वारा आशा रखें।
Jitni batein pahile se likhi gai, ve hamari hi shiksha ke liye likhi gai hain ki ham dheeraj aur pavitra shastra ki shanti ke dwara aasha rakhein.
और धीरज, और शान्ति का दाता परमेश्वर तुम्हें यह वरदान दे, कि मसीह यीशु के अनुसार आपस में एक मन रहो।
Aur dheeraj, aur shanti ka data Parmeshwar tumhein yah vardaan de, ki Masih Yeshu ke anusaar aapas mein ek man raho.
ताकि तुम एक मन और एक मुंह होकर हमारे प्रभु यीशु मसीह के पिता परमेश्वर की बड़ाई करो।
Taki tum ek man aur ek munh hokar hamare Prabhu Yeshu Masih ke pita Parmeshwar ki badai karo.
इसलिये, जैसा मसीह ने भी परमेश्वर की महिमा के लिये तुम्हें ग्रहण किया है, वैसे ही तुम भी एक दूसरे को ग्रहण करो।
Isliye, jaisa Masih ne bhi Parmeshwar ki mahima ke liye tumhein grahan kiya hai, vaise hi tum bhi ek doosre ko grahan karo.
मैं कहता हूं, कि जो प्रतिज्ञाएं बाप दादों को दी गई थीं, उन्हें दृढ़ करने के लिये मसीह, परमेश्वर की सच्चाई का प्रमाण देने के लिये खतना किए हुए लोगों का सेवक बना।
Main kahta hoon, ki jo pratigyayen baap dadon ko di gai thi, unhein dridh karne ke liye Masih, Parmeshwar ki sachchai ka pramaan dene ke liye khatna kiye hue logon ka sevak bana.
और अन्यजाति भी दया के कारण परमेश्वर की बड़ाई करें, जैसा लिखा है, कि इसलिये मैं जाति जाति में तेरा धन्यवाद करूंगा, और तेरे नाम के भजन गाऊंगा।
Aur anyajati bhi daya ke karan Parmeshwar ki badai karein, jaisa likha hai, ki isliye main jati jati mein tera dhanyavaad karoonga, aur tere naam ke bhajan gaoonga.
फिर कहा है, हे जाति जाति के सब लोगों, उस की प्रजा के साथ आनन्द करो।
Phir kaha hai, he jati jati ke sab logon, us ki praja ke saath aanand karo.
और फिर हे जाति जाति के सब लोगो, प्रभु की स्तुति करो; और हे राज्य राज्य के सब लोगो; उसे सराहो।
Aur phir he jati jati ke sab logo, Prabhu ki stuti karo; aur he rajya rajya ke sab logo; use saraho.
और फिर यशायाह कहता है, कि यिशै की एक जड़ प्रगट होगी, और अन्यजातियों का हाकिम होने के लिये एक उठेगा, उस पर अन्यजातियां आशा रखेंगी।
Aur phir yashayaah kahta hai, ki yishai ki ek jad pragat hogi, aur anyajatiyon ka hakim hone ke liye ek uthega, us par anyajatiyan aasha rakhengi.
सो परमेश्वर जो आशा का दाता है तुम्हें विश्वास करने में सब प्रकार के आनन्द और शान्ति से परिपूर्ण करे, कि पवित्र आत्मा की सामर्थ से तुम्हारी आशा बढ़ती जाए॥
So Parmeshwar jo aasha ka data hai tumhein vishwaas karne mein sab prakaar ke aanand aur shanti se paripoorn kare, ki pavitra aatma ki samarth se tumhari aasha badhti jaye.
हे मेरे भाइयो; मैं आप भी तुम्हारे विषय में निश्चय जानता हूं, कि तुम भी आप ही भलाई से भरे और ईश्वरीय ज्ञान से भरपूर हो और एक दूसरे को चिता सकते हो।
He mere bhaiyo; main aap bhi tumhare vishay mein nishchay janta hoon, ki tum bhi aap hi bhalai se bhare aur ishwareeya gyaan se bharpoor ho aur ek doosre ko chita sakte ho.
तौभी मैं ने कहीं कहीं याद दिलाने के लिये तुम्हें जो बहुत हियाव करके लिखा, यह उस अनुग्रह के कारण हुआ, जो परमेश्वर ने मुझे दिया है।
Taubhi main ne kahi kahi yaad dilane ke liye tumhein jo bahut hiyaav karke likha, yah us anugrah ke karan huaa, jo Parmeshwar ne mujhe diya hai.
कि मैं अन्याजातियों के लिये मसीह यीशु का सेवक होकर परमेश्वर के सुसमाचार की सेवा याजक की नाईं करूं; जिस से अन्यजातियों का मानों चढ़ाया जाना, पवित्र आत्मा से पवित्र बनकर ग्रहण किया जाए।
Ki main anyajatiyon ke liye Masih Yeshu ka sevak hokar Parmeshwar ke susmachaar ki seva yajak ki nai karun; jis se anyajatiyon ka manon chadhaya jana, pavitra aatma se pavitra bankar grahan kiya jaye.
सो उन बातों के विषय में जो परमेश्वर से सम्बन्ध रखती हैं, मैं मसीह यीशु में बड़ाई कर सकता हूं।
So un baton ke vishay mein jo Parmeshwar se sambandh rakhti hain, main Masih Yeshu mein badai kar sakta hoon.
क्योंकि उन बातों को छोड़ मुझे और किसी बात के विषय में कहने का हियाव नहीं, जो मसीह ने अन्यजातियों की आधीनता के लिये वचन, और कर्म।
Kyonki un baton ko chhod mujhe aur kisi baat ke vishay mein kahne ka hiyaav nahi, jo Masih ne anyajatiyon ki aadheenta ke liye vachan, aur karm.
और चिन्हों और अदभुत कामों की सामर्थ से, और पवित्र आत्मा की सामर्थ से मेरे ही द्वारा किए: यहां तक कि मैं ने यरूशलेम से लेकर चारों ओर इल्लुरिकुस तक मसीह के सुसमाचार का पूरा पूरा प्रचार किया।
Aur chinhon aur adbhut kamon ki samarth se, aur pavitra aatma ki samarth se mere hi dwara kiye: yahan tak ki main ne Yerushalem se lekar charon or illurikus tak Masih ke susmachaar ka poora poora prachaar kiya.
पर मेरे मन की उमंग यह है, कि जहां जहां मसीह का नाम नहीं लिया गया, वहीं सुसमाचार सुनाऊं; ऐसा न हो कि दूसरे की नींव पर घर बनाऊं॥
Par mere man ki umang yah hai, ki jahan jahan Masih ka naam nahi liya gaya, vahi susmachaar sunaun; aisa na ho ki doosre ki neenv par ghar banaun.
परन्तु जैसा लिखा है, वैसा ही हो, कि जिन्हें उसका सुसमाचार नहीं पहुंचा, वे ही देखेंगे और जिन्हों ने नहीं सुना वे ही समझेंगे॥
Parantu jaisa likha hai, vaisa hi ho, ki jinhein uska susmachaar nahi pahuncha, ve hi dekhenge aur jinhon ne nahi suna ve hi samjhenge.
इसी लिये मैं तुम्हारे पास आने से बार बार रूका रहा।
Isi liye main tumhare paas aane se baar baar rooka raha.
परन्तु अब मुझे इन देशों में और जगह नहीं रही, और बहुत वर्षों से मुझे तुम्हारे पास आने की लालसा है।
Parantu ab mujhe in deshon mein aur jagah nahi rahi, aur bahut varshon se mujhe tumhare paas aane ki lalsa hai.
इसलिये जब इसपानिया को जाऊंगा तो तुम्हारे पास होता हुआ जाऊंगा क्योंकि मुझे आशा है, कि उस यात्रा में तुम से भेंट करूं, और जब तुम्हारी संगति से मेरा जी कुछ भर जाए, तो तुम मुझे कुछ दूर आगे पहुंचा दो।
Isliye jab ispaniya ko jaoonga to tumhare paas hota huaa jaoonga kyonki mujhe aasha hai, ki us yatra mein tum se bhent karun, aur jab tumhari sangti se mera ji kuchh bhar jaye, to tum mujhe kuchh door aage pahuncha do.
परन्तु अभी तो पवित्र लोगों की सेवा करने के लिये यरूशलेम को जाता हूं।
Parantu abhi to pavitra logon ki seva karne ke liye Yerushalem ko jata hoon.
क्योंकि मकिदुनिया और अखया के लोगों को यह अच्छा लगा, कि यरूशलेम के पवित्र लोगों के कंगालों के लिये कुछ चन्दा करें।
Kyonki makiduniya aur akhya ke logon ko yah achchha laga, ki Yerushalem ke pavitra logon ke kangalon ke liye kuchh chanda karein.
अच्छा तो लगा, परन्तु वे उन के कर्जदार भी हैं, क्योंकि यदि अन्यजाति उन की आत्मिक बातों में भागी हुए, तो उन्हें भी उचित है, कि शारीरिक बातों में उन की सेवा करें।
Achchha to laga, parantu ve un ke karjadaar bhi hain, kyonki yadi anyajati un ki aatmik baton mein bhagi hue, to unhein bhi uchit hai, ki shareerik baton mein un ki seva karein.
सो मैं यह काम पूरा करके और उन को यह चन्दा सौंप कर तुम्हारे पास होता हुआ इसपानिया को जाऊंगा।
So main yah kaam poora karke aur un ko yah chanda saump kar tumhare paas hota huaa ispaniya ko jaoonga.
और मैं जानता हूं, कि जब मैं तुम्हारे पास आऊंगा, तो मसीह की पूरी आशीष के साथ आऊंगा॥
Aur main janta hoon, ki jab main tumhare paas aaoonga, to Masih ki poori aasheesh ke saath aaoonga.
और हे भाइयों; मैं यीशु मसीह का जो हमारा प्रभु है और पवित्र आत्मा के प्रेम का स्मरण दिला कर, तुम से बिनती करता हूं, कि मेरे लिये परमेश्वर से प्रार्थना करने में मेरे साथ मिलकर लौलीन रहो।
Aur he bhaiyon; main Yeshu Masih ka jo hamara Prabhu hai aur pavitra aatma ke prem ka smaran dila kar, tum se binti karta hoon, ki mere liye Parmeshwar se prarthana karne mein mere saath milkar lauleen raho.
कि मैं यहूदिया के अविश्वासियों बचा रहूं, और मेरी वह सेवा जो यरूशलेम के लिये है, पवित्र लोगों को भाए।
Ki main yahoodiya ke avishwasiyon bacha rahun, aur meri vah seva jo Yerushalem ke liye hai, pavitra logon ko bhaye.
और मैं परमेश्वर की इच्छा से तुम्हारे पास आनन्द के साथ आकर तुम्हारे साथ विश्राम पाऊं।
Aur main Parmeshwar ki ichchha se tumhare paas aanand ke saath aakar tumhare saath vishraam paun.
शान्ति का परमेश्वर तुम सब के साथ रहे। आमीन॥
Shanti ka Parmeshwar tum sab ke saath rahe. Aamin.