Romans 14 · 23 verses

रोमियों 14 Romans 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Romiyon 14.

1

जो विश्वास में निर्बल है, उसे अपनी संगति में ले लो; परन्तु उसी शंकाओं पर विवाद करने के लिये नहीं।

Jo vishwaas mein nirbal hai, use apni sangti mein le lo; parantu usi shankaon par vivaad karne ke liye nahi.

2

क्योंकि एक को विश्वास है, कि सब कुछ खाना उचित है, परन्तु जो विश्वास में निर्बल है, वह साग पात ही खाता है।

Kyonki ek ko vishwaas hai, ki sab kuchh khana uchit hai, parantu jo vishwaas mein nirbal hai, vah saag paat hi khata hai.

3

और खानेवाला न-खाने वाले को तुच्छ न जाने, और न-खानेवाला खाने वाले पर दोष न लगाए; क्योंकि परमेश्वर ने उसे ग्रहण किया है।

Aur khanevala na-khane vale ko tuchchh na jane, aur na-khanevala khane vale par dosh na lagaye; kyonki Parmeshwar ne use grahan kiya hai.

4

तू कौन है जो दूसरे के सेवक पर दोष लगाता है? उसका स्थिर रहना या गिर जाना उसके स्वामी ही से सम्बन्ध रखता है, वरन वह स्थिर ही कर दिया जाएगा; क्योंकि प्रभु उसे स्थिर रख सकता है।

Tu kaun hai jo doosre ke sevak par dosh lagata hai? Uska sthir rahna ya gir jana uske swami hi se sambandh rakhta hai, varan vah sthir hi kar diya jayega; kyonki Prabhu use sthir rakh sakta hai.

5

कोई तो एक दिन को दूसरे से बढ़कर जानता है, और कोई सब दिन एक सा जानता है: हर एक अपने ही मन में निश्चय कर ले।

Koi to ek din ko doosre se badhkar janta hai, aur koi sab din ek sa janta hai: har ek apne hi man mein nishchay kar le.

6

जो किसी दिन को मानता है, वह प्रभु के लिये मानता है: जो खाता है, वह प्रभु के लिये खाता है, क्योंकि वह परमेश्वर का धन्यवाद करता है, और जा नहीं खाता, वह प्रभु के लिये नहीं खाता और परमेश्वर का धन्यवाद करता है।

Jo kisi din ko manta hai, vah Prabhu ke liye manta hai: jo khata hai, vah Prabhu ke liye khata hai, kyonki vah Parmeshwar ka dhanyavaad karta hai, aur ja nahi khata, vah Prabhu ke liye nahi khata aur Parmeshwar ka dhanyavaad karta hai.

7

क्योंकि हम में से न तो कोई अपने लिये जीता है, और न कोई अपने लिये मरता है।

Kyonki ham mein se na to koi apne liye jeeta hai, aur na koi apne liye marta hai.

8

क्योंकि यदि हम जीवित हैं, तो प्रभु के लिये जीवित हैं; और यदि मरते हैं, तो प्रभु के लिये मरते हैं; सो हम जीएं या मरें, हम प्रभु ही के हैं।

Kyonki yadi ham jeevit hain, to Prabhu ke liye jeevit hain; aur yadi marte hain, to Prabhu ke liye marte hain; so ham jeeyen ya marein, ham Prabhu hi ke hain.

9

क्योंकि मसीह इसी लिये मरा और जी भी उठा कि वह मरे हुओं और जीवतों, दोनों का प्रभु हो।

Kyonki Masih isi liye mara aur ji bhi utha ki vah mare huon aur jeevton, donon ka Prabhu ho.

10

तू अपने भाई पर क्यों दोष लगाता है? या तू फिर क्यों अपने भाई को तुच्छ जानता है? हम सब के सब परमेश्वर के न्याय सिंहासन के साम्हने खड़े होंगे।

Tu apne bhai par kyon dosh lagata hai? Ya tu phir kyon apne bhai ko tuchchh janta hai? Ham sab ke sab Parmeshwar ke nyaay sinhasan ke samhane khade honge.

11

क्योंकि लिखा है, कि प्रभु कहता है, मेरे जीवन की सौगन्ध कि हर एक घुटना मेरे साम्हने टिकेगा, और हर एक जीभ परमेश्वर को अंगीकार करेगी।

Kyonki likha hai, ki Prabhu kahta hai, mere jeevan ki saugandh ki har ek ghutna mere samhane tikega, aur har ek jeebh Parmeshwar ko angeekaar karegi.

12

सो हम में से हर एक परमेश्वर को अपना अपना लेखा देगा॥

So ham mein se har ek Parmeshwar ko apna apna lekha dega.

13

सो आगे को हम एक दूसरे पर दोष न लगाएं पर तुम यही ठान लो कि कोई अपने भाई के साम्हने ठेस या ठोकर खाने का कारण न रखे।

So aage ko ham ek doosre par dosh na lagayen par tum yahi thaan lo ki koi apne bhai ke samhane thes ya thokar khane ka karan na rakhe.

14

मैं जानता हूं, और प्रभु यीशु से मुझे निश्चय हुआ है, कि कोई वस्तु अपने आप से अशुद्ध नहीं, परन्तु जो उस को अशुद्ध समझता है, उसके लिये अशुद्ध है।

Main janta hoon, aur Prabhu Yeshu se mujhe nishchay huaa hai, ki koi vastu apne aap se ashuddh nahi, parantu jo us ko ashuddh samajhta hai, uske liye ashuddh hai.

15

यदि तेरा भाई तेरे भोजन के कारण उदास होता है, तो फिर तू प्रेम की रीति से नहीं चलता: जिस के लिये मसीह मरा उस को तू अपने भोजन के द्वारा नाश न कर।

Yadi tera bhai tere bhojan ke karan udaas hota hai, to phir tu prem ki reeti se nahi chalta: jis ke liye Masih mara us ko tu apne bhojan ke dwara naash na kar.

16

अब तुम्हारी भलाई की निन्दा न होने पाए।

Ab tumhari bhalai ki ninda na hone paye.

17

क्योंकि परमेश्वर का राज्य खाना पीना नहीं; परन्तु धर्म और मिलाप और वह आनन्द है;

Kyonki Parmeshwar ka rajya khana peena nahi; parantu dharm aur milaap aur vah aanand hai;

18

जो पवित्र आत्मा से होता है और जो कोई इस रीति से मसीह की सेवा करता है, वह परमेश्वर को भाता है और मनुष्यों में ग्रहण योग्य ठहरता है।

Jo pavitra aatma se hota hai aur jo koi is reeti se Masih ki seva karta hai, vah Parmeshwar ko bhata hai aur manushyon mein grahan yogya thaharta hai.

19

इसलिये हम उन बातों का प्रयत्न करें जिनसे मेल मिलाप और एक दूसरे का सुधार हो।

Isliye ham un baton ka prayatn karein jinse mel milaap aur ek doosre ka sudhaar ho.

20

भोजन के लिये परमेश्वर का काम न बिगाड़: सब कुछ शुद्ध तो है, परन्तु उस मनुष्य के लिये बुरा है, जिस को उस के भोजन करने से ठोकर लगती है।

Bhojan ke liye Parmeshwar ka kaam na bigaad: sab kuchh shuddh to hai, parantu us manushya ke liye bura hai, jis ko us ke bhojan karne se thokar lagti hai.

21

भला तो यह है, कि तू न मांस खाए, और न दाख रस पीए, न और कुछ ऐसा करे, जिस से तेरा भाई ठोकर खाए।

Bhala to yah hai, ki tu na maans khaye, aur na daakh ras peeye, na aur kuchh aisa kare, jis se tera bhai thokar khaye.

22

तेरा जो विश्वास हो, उसे परमेश्वर के साम्हने अपने ही मन में रख: धन्य है वह, जो उस बात में, जिस वह ठीक समझता है, अपने आप को दोषी नहीं ठहराता।

Tera jo vishwaas ho, use Parmeshwar ke samhane apne hi man mein rakh: dhanya hai vah, jo us baat mein, jis vah theek samajhta hai, apne aap ko doshi nahi thahrata.

23

परन्तु जो सन्देह कर के खाता है, वह दण्ड के योग्य ठहर चुका, क्योंकि वह निश्चय धारणा से नहीं खाता, और जो कुछ विश्वास से नहीं, वह पाप है॥

Parantu jo sandeh kar ke khata hai, vah dand ke yogya thahar chuka, kyonki vah nishchay dharna se nahi khata, aur jo kuchh vishwaas se nahi, vah paap hai.