Romans 11 · 36 verses

रोमियों 11 Romans 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Romiyon 11.

1

इसलिये मैं कहता हूं, क्या परमेश्वर ने अपनी प्रजा को त्याग दिया? कदापि नहीं; मैं भी तो इस्त्राएली हूं: इब्राहीम के वंश और बिन्यामीन के गोत्र में से हूं।

Isliye main kahta hoon, kya Parmeshwar ne apni praja ko tyaag diya? Kadapi nahi; main bhi to istrayeli hoon: Ibrahim ke vansh aur binyameen ke gotra mein se hoon.

2

परमेश्वर ने अपनी उस प्रजा को नहीं त्यागा, जिसे उस ने पहिले ही से जाना: क्या तुम नहीं जानते, कि पवित्र शास्त्र एलियाह की कथा में क्या कहता है; कि वह इस्त्राएल के विरोध में परमेश्वर से बिनती करता है?

Parmeshwar ne apni us praja ko nahi tyaga, jise us ne pahile hi se jana: kya tum nahi jante, ki pavitra shastra eliyaah ki katha mein kya kahta hai; ki vah istrayel ke virodh mein Parmeshwar se binti karta hai?

3

कि हे प्रभु, उन्होंने तेरे भविष्यद्वक्ताओं को घात किया, और तेरी वेदियों को ढा दिया है; और मैं ही अकेला बच रहा हूं, और वे मेरे प्राण के भी खोजी हैं।

Ki he Prabhu, unhonne tere bhavishyadwaktaon ko ghaat kiya, aur teri vediyon ko dha diya hai; aur main hi akela bach raha hoon, aur ve mere praan ke bhi khoji hain.

4

परन्तु परमेश्वर से उसे क्या उत्तर मिला? कि मैं ने अपने लिये सात हजार पुरूषों को रख छोड़ा है जिन्हों ने बाल के आग घुटने नहीं टेके हैं।

Parantu Parmeshwar se use kya uttar mila? Ki main ne apne liye saat hajaar purooshon ko rakh chhoda hai jinhon ne baal ke aag ghutne nahi teke hain.

5

सो इसी रीति से इस समय भी, अनुग्रह से चुने हुए कितने लोग बाकी हैं।

So isi reeti se is samay bhi, anugrah se chune hue kitne log baki hain.

6

यदि यह अनुग्रह से हुआ है, तो फिर कर्मों से नहीं, नहीं तो अनुग्रह फिर अनुग्रह नहीं रहा।

Yadi yah anugrah se huaa hai, to phir karmon se nahi, nahi to anugrah phir anugrah nahi raha.

7

सो परिणाम क्या हुआ यह? कि इस्त्राएली जिस की खोज में हैं, वह उन को नहीं मिला; परन्तु चुने हुओं को मिला और शेष लोग कठोर किए गए हैं।

So parinaam kya huaa yah? Ki istrayeli jis ki khoj mein hain, vah un ko nahi mila; parantu chune huon ko mila aur shesh log kathor kiye gaye hain.

8

जैसा लिखा है, कि परमेश्वर ने उन्हें आज के दिन तक भारी नींद में डाल रखा है और ऐसी आंखें दी जो न देखें और ऐसे कान जो न सुनें।

Jaisa likha hai, ki Parmeshwar ne unhein aaj ke din tak bhari neend mein daal rakha hai aur aisi aankhein di jo na dekhein aur aise kaan jo na sunein.

9

और दाउद कहता है; उन का भोजन उन के लिये जाल, और फन्दा, और ठोकर, और दण्ड का कारण हो जाए।

Aur daud kahta hai; un ka bhojan un ke liye jaal, aur phanda, aur thokar, aur dand ka karan ho jaye.

10

उन की आंखों पर अन्धेरा छा जाए ताकि न देखें, और तू सदा उन की पीठ को झुकाए रख।

Un ki aankhon par andhera chha jaye taki na dekhein, aur tu sada un ki peeth ko jhukaye rakh.

11

सो मैं कहता हूं क्या उन्होंने इसलिये ठोकर खाई, कि गिर पड़ें? कदापि नहीं: परन्तु उन के गिरने के कारण अन्यजातियों को उद्धार मिला, कि उन्हें जलन हो।

So main kahta hoon kya unhonne isliye thokar khai, ki gir padein? Kadapi nahi: parantu un ke girne ke karan anyajatiyon ko uddhaar mila, ki unhein jalan ho.

12

सो यदि उन का गिरना जगत के लिये धन और उन की घटी अन्यजातियों के लिये सम्पत्ति का कारण हुआ, तो उन की भरपूरी से कितना न होगा॥

So yadi un ka girna jagat ke liye dhan aur un ki ghati anyajatiyon ke liye sampatti ka karan huaa, to un ki bharpoori se kitna na hoga.

13

मैं तुम अन्यजातियों से यह बातें कहता हूं: जब कि मैं अन्याजातियों के लिये प्रेरित हूं, तो मैं अपनी सेवा की बड़ाई करता हूं।

Main tum anyajatiyon se yah batein kahta hoon: jab ki main anyajatiyon ke liye prerit hoon, to main apni seva ki badai karta hoon.

14

ताकि किसी रीति से मैं अपने कुटुम्बियों से जलन करवा कर उन में से कई एक का उद्धार कराऊं।

Taki kisi reeti se main apne kutumbiyon se jalan karva kar un mein se kai ek ka uddhaar karaun.

15

क्योंकि जब कि उन का त्याग दिया जाना जगत के मिलाप का कारण हुआ, तो क्या उन का ग्रहण किया जाना मरे हुओं में से जी उठने के बराबर न होगा?

Kyonki jab ki un ka tyaag diya jana jagat ke milaap ka karan huaa, to kya un ka grahan kiya jana mare huon mein se ji uthne ke barabar na hoga?

16

जब भेंट का पहिला पेड़ा पवित्र ठहरा, तो पूरा गुंधा हुआ आटा भी पवित्र है: और जब जड़ पवित्र ठहरी, तो डालियां भी ऐसी ही हैं।

Jab bhent ka pahila peda pavitra thahra, to poora gundha huaa aata bhi pavitra hai: aur jab jad pavitra thahri, to daliyan bhi aisi hi hain.

17

और यदि कई एक डाली तोड़ दी गई, और तू जंगली जलपाई होकर उन में साटा गया, और जलपाई की जड़ की चिकनाई का भागी हुआ है।

Aur yadi kai ek dali tod di gai, aur tu jangli jalpai hokar un mein sata gaya, aur jalpai ki jad ki chiknai ka bhagi huaa hai.

18

तो डालियों पर घमण्ड न करना: और यदि तू घमण्ड करे, तो जान रख, कि तू जड़ को नहीं, परन्तु जड़ तुझे सम्भालती है।

To daliyon par ghamand na karna: aur yadi tu ghamand kare, to jaan rakh, ki tu jad ko nahi, parantu jad tujhe sambhalti hai.

19

फिर तू कहेगा डालियां इसलिये तोड़ी गई, कि मैं साटा जाऊं।

Phir tu kahega daliyan isliye todi gai, ki main sata jaun.

20

भला, वे तो अविश्वास के कारण तोड़ी गई, परन्तु तू विश्वास से बना रहता है इसलिये अभिमानी न हो, परन्तु भय कर।

Bhala, ve to avishwaas ke karan todi gai, parantu tu vishwaas se bana rahta hai isliye abhimani na ho, parantu bhay kar.

21

क्योंकि जब परमेश्वर ने स्वाभाविक डालियां न छोड़ीं, तो तुझे भी न छोड़ेगा।

Kyonki jab Parmeshwar ne swabhavik daliyan na chhodi, to tujhe bhi na chhodega.

22

इसलिये परमेश्वर की कृपा और कड़ाई को देख! जो गिर गए, उन पर कड़ाई, परन्तु तुझ पर कृपा, यदि तू उस में बना रहे, नहीं तो, तू भी काट डाला जाएगा।

Isliye Parmeshwar ki kripa aur kadai ko dekh! Jo gir gaye, un par kadai, parantu tujh par kripa, yadi tu us mein bana rahe, nahi to, tu bhi kaat dala jayega.

23

और वे भी यदि अविश्वास में न रहें, तो साटे जाएंगे क्योंकि परमेश्वर उन्हें फिर साट सकता है।

Aur ve bhi yadi avishwaas mein na rahein, to sate jayenge kyonki Parmeshwar unhein phir saat sakta hai.

24

क्योंकि यदि तू उस जलपाई से, जो स्वभाव से जंगली है काटा गया और स्वभाव के विरूद्ध अच्छी जलपाई में साटा गया तो ये जो स्वाभाविक डालियां हैं, अपने ही जलपाई में साटे क्यों न जाएंगे।

Kyonki yadi tu us jalpai se, jo swabhaav se jangli hai kata gaya aur swabhaav ke virooddh achchhi jalpai mein sata gaya to ye jo swabhavik daliyan hain, apne hi jalpai mein sate kyon na jayenge.

25

हे भाइयों, कहीं ऐसा न हो, कि तुम अपने आप को बुद्धिमान समझ लो; इसलिये मैं नहीं चाहता कि तुम इस भेद से अनजान रहो, कि जब तक अन्यजातियां पूरी रीति से प्रवेश न कर लें, तब तक इस्त्राएल का एक भाग ऐसा ही कठोर रहेगा।

He bhaiyon, kahi aisa na ho, ki tum apne aap ko buddhimaan samajh lo; isliye main nahi chahta ki tum is bhed se anjaan raho, ki jab tak anyajatiyan poori reeti se pravesh na kar lein, tab tak istrayel ka ek bhaag aisa hi kathor rahega.

26

और इस रीति से सारा इस्त्राएल उद्धार पाएगा; जैसा लिखा है, कि छुड़ाने वाला सियोन से आएगा, और अभक्ति को याकूब से दूर करेगा।

Aur is reeti se sara istrayel uddhaar payega; jaisa likha hai, ki chhudane vala siyon se aayega, aur abhakti ko Yakub se door karega.

27

और उन के साथ मेरी यही वाचा होगी, जब कि मैं उन के पापों को दूर कर दूंगा।

Aur un ke saath meri yahi vacha hogi, jab ki main un ke papon ko door kar doonga.

28

वे सुसमाचार के भाव से तो तुम्हारे बैरी हैं, परन्तु चुन लिये जाने के भाव से बाप दादों के प्यारे हैं।

Ve susmachaar ke bhaav se to tumhare bairi hain, parantu chun liye jane ke bhaav se baap dadon ke pyare hain.

29

क्योंकि परमेश्वर अपने वरदानों से, और बुलाहट से कभी पीछे नहीं हटता।

Kyonki Parmeshwar apne vardanon se, aur bulahat se kabhi peechhe nahi hatta.

30

क्योंकि जैसे तुम ने पहिले परमेश्वर की आज्ञा न मानी परन्तु अभी उन के आज्ञा न मानने से तुम पर दया हुई।

Kyonki jaise tum ne pahile Parmeshwar ki aagya na mani parantu abhi un ke aagya na manne se tum par daya hui.

31

वैसे ही उन्होंने भी अब आज्ञा न मानी कि तुम पर जो दया होती है इस से उन पर भी दया हो।

Vaise hi unhonne bhi ab aagya na mani ki tum par jo daya hoti hai is se un par bhi daya ho.

32

क्योंकि परमेश्वर ने सब को आज्ञा न मानने के कारण बन्द कर रखा ताकि वह सब पर दया करे॥

Kyonki Parmeshwar ne sab ko aagya na manne ke karan band kar rakha taki vah sab par daya kare.

33

आहा! परमेश्वर का धन और बुद्धि और ज्ञान क्या ही गंभीर है! उसके विचार कैसे अथाह, और उसके मार्ग कैसे अगम हैं!

Aaha! Parmeshwar ka dhan aur buddhi aur gyaan kya hi gambheer hai! Uske vichaar kaise athaah, aur uske maarg kaise agam hain!

34

प्रभु कि बुद्धि को किस ने जाना या उसका मंत्री कौन हुआ?

Prabhu ki buddhi ko kis ne jana ya uska mantri kaun huaa?

35

या किस ने पहिले उसे कुछ दिया है जिस का बदला उसे दिया जाए।

Ya kis ne pahile use kuchh diya hai jis ka badla use diya jaye.

36

क्योंकि उस की ओर से, और उसी के द्वारा, और उसी के लिये सब कुछ है: उस की महिमा युगानुयुग होती रहे: आमीन॥

Kyonki us ki or se, aur usi ke dwara, aur usi ke liye sab kuchh hai: us ki mahima yuganuyug hoti rahe: Aamin.