जब हम बच निकले, तो जाना कि यह टापू मिलिते कहलाता है।
Jab ham bach nikle, to jana ki yah tapu milite kahlata hai.
Acts 28 · 31 verses
जब हम बच निकले, तो जाना कि यह टापू मिलिते कहलाता है।
Jab ham bach nikle, to jana ki yah tapu milite kahlata hai.
और उन जंगली लोगों ने हम पर अनोखी कृपा की; क्योंकि मेंह के कारण जो बरस रहा था और जाड़े के कारण उन्होंने आग सुलगाकर हम सब को ठहराया।
Aur un jangli logon ne ham par anokhi kripa ki; kyonki menh ke karan jo baras raha tha aur jade ke karan unhonne aag sulgakar ham sab ko thahraya.
जब पौलुस ने लकड़ियों का गट्ठा बटोरकर आग पर रखा, तो एक सांप आंच पाकर निकला और उसके हाथ से लिपट गया।
Jab Paulus ne lakdiyon ka gattha batorkar aag par rakha, to ek saamp aanch pakar nikla aur uske haath se lipat gaya.
जब उन जंगलियों ने सांप को उसके हाथ में लटके हुए देखा, तो आपस में कहा; सचमुच यह मनुष्य हत्यारा है, कि यद्यपि समुद्र से बच गया, तौभी न्याय ने जीवित रहने न दिया।
Jab un jangliyon ne saamp ko uske haath mein latke hue dekha, to aapas mein kaha; sachmuch yah manushya hatyara hai, ki yadyapi samudra se bach gaya, taubhi nyaay ne jeevit rahne na diya.
तब उस ने सांप को आग में झटक दिया, और उसे कुछ हानि न पहुंची।
Tab us ne saamp ko aag mein jhatak diya, aur use kuchh hani na pahunchi.
परन्तु वे बाट जोहते थे, कि वह सूज जाएगा, या एकाएक गिर के मर जाएगा, परन्तु जब वे बहुत देर तक देखते रहे, और देखा, कि उसका कुछ भी नहीं बिगड़ा, तो और ही विचार कर कहा; यह तो कोई देवता है॥
Parantu ve baat johte the, ki vah sooj jayega, ya ekayek gir ke mar jayega, parantu jab ve bahut der tak dekhte rahe, aur dekha, ki uska kuchh bhi nahi bigda, to aur hi vichaar kar kaha; yah to koi devta hai.
उस जगह के आसपास पुबलियुस नाम उस टापू के प्रधान की भूमि थी: उस ने हमें अपने घर ले जाकर तीन दिन मित्र भाव से पहुनाई की।
Us jagah ke aaspaas publiyus naam us tapu ke pradhaan ki bhoomi thi: us ne hamein apne ghar le jakar teen din mitra bhaav se pahunai ki.
पुबलियुस का पिता ज्वर और आंव लोहू से रोगी पड़ा था: सो पौलुस ने उसके पास घर में जाकर प्रार्थना की, और उस पर हाथ रखकर उसे चंगा किया।
Publiyus ka pita jwar aur aanv lohu se rogi pada tha: so Paulus ne uske paas ghar mein jakar prarthana ki, aur us par haath rakhkar use changa kiya.
जब ऐसा हुआ, तो उस टापू के बाकी बीमार आए, और चंगे किए गए।
Jab aisa huaa, to us tapu ke baki beemaar aaye, aur change kiye gaye.
और उन्होंने हमारा बहुत आदर किया, और जब हम चलने लगे, तो जो कुछ हमें अवश्य था, जहाज पर रख दिया॥
Aur unhonne hamara bahut aadar kiya, aur jab ham chalne lage, to jo kuchh hamein avashya tha, jahaaj par rakh diya.
तीन महीने के बाद हम सिकन्दरिया के एक जहाज पर चल निकले, जो उस टापू में जाड़े भर रहा था; और जिस का चिन्ह दियुसकूरी था।
Teen maheene ke baad ham sikandariya ke ek jahaaj par chal nikle, jo us tapu mein jade bhar raha tha; aur jis ka chinh diyuskoori tha.
सुरकूसा में लंगर डाल करके हम तीन दिन टिके रहे।
Surkoosa mein langar daal karke ham teen din tike rahe.
वहां से हम घूमकर रेगियुम में आए: और एक दिन के बाद दक्खिनी हवा चली तब हम दुसरे दिन पुतियुली में आए।
Vahan se ham ghoomkar regiyum mein aaye: aur ek din ke baad dakkhini hava chali tab ham dusre din putiyuli mein aaye.
वहां हम को भाई मिले, और उन के कहने से हम उन के यहां सात दिन तक रहे; और इस रीति से रोम को चले।
Vahan ham ko bhai mile, aur un ke kahne se ham un ke yahan saat din tak rahe; aur is reeti se rom ko chale.
वहां से भाई हमारा समाचार सुनकर अप्पियुस के चौक और तीन-सराए तक हमारी भेंट करने को निकल आए जिन्हें देखकर पौलुस ने परमेश्वर का धन्यवाद किया, और ढाढ़स बान्धा॥
Vahan se bhai hamara samachaar sunkar appiyus ke chauk aur teen-saraye tak hamari bhent karne ko nikal aaye jinhein dekhkar Paulus ne Parmeshwar ka dhanyavaad kiya, aur dhadhas bandha.
जब हम रोम में पहुंचे, तो पौलुस को एक सिपाही के साथ जो उस की रखवाली करता था, अकेले रहने की आज्ञा हुई॥
Jab ham rom mein pahunche, to Paulus ko ek sipahi ke saath jo us ki rakhvali karta tha, akele rahne ki aagya hui.
तीन दिन के बाद उस ने यहूदियों के बड़े लोगों को बुलाया, और जब वे इकट्ठे हुए तो उन से कहा; हे भाइयों, मैं ने अपने लोगों के या बाप दादों के व्यवहारों के विरोध में कुछ भी नहीं किया, तौभी बन्धुआ होकर यरूशलेम से रोमियों के हाथ सौंपा गया।
Teen din ke baad us ne Yahudiyon ke bade logon ko bulaya, aur jab ve ikatthe hue to un se kaha; he bhaiyon, main ne apne logon ke ya baap dadon ke vyavharon ke virodh mein kuchh bhi nahi kiya, taubhi bandhuaa hokar Yerushalem se romiyon ke haath saumpa gaya.
उन्होंने मुझे जांच कर छोड़ देना चाहा, क्योंकि मुझ में मृत्यु के योग्य कोई दोष न था।
Unhonne mujhe jaanch kar chhod dena chaha, kyonki mujh mein mrityu ke yogya koi dosh na tha.
परन्तु जब यहूदी इस के विरोध में बोलने लगे, तो मुझे कैसर की दोहाई देनी पड़ी: न यह कि मुझे अपने लागों पर कोई दोष लगाना था।
Parantu jab Yahudi is ke virodh mein bolne lage, to mujhe kaisar ki dohai deni padi: na yah ki mujhe apne lagon par koi dosh lagana tha.
इसलिये मैं ने तुम को बुलाया है, कि तुम से मिलूं और बातचीत करूं; क्योंकि इस्त्राएल की आशा के लिये मैं इस जंजीर से जकड़ा हुआ हूं।
Isliye main ne tum ko bulaya hai, ki tum se milun aur batcheet karun; kyonki istrayel ki aasha ke liye main is janjeer se jakda huaa hoon.
उन्होंने उस से कहा; न हम ने तेरे विषय में यहूदियों से चिट्ठियां पाईं, और न भाइयों में से किसी ने आकर तेरे विषय में कुछ बताया, और न बुरा कहा।
Unhonne us se kaha; na ham ne tere vishay mein Yahudiyon se chitthiyan pai, aur na bhaiyon mein se kisi ne aakar tere vishay mein kuchh bataya, aur na bura kaha.
परन्तु तेरा विचार क्या है वही हम तुझ से सुनना चाहते हैं, क्योंकि हम जानते हैं, कि हर जगह इस मत के विरोध में लोग बातें कहते हैं॥
Parantu tera vichaar kya hai vahi ham tujh se sunna chahte hain, kyonki ham jante hain, ki har jagah is mat ke virodh mein log batein kahte hain.
तब उन्होंने उसके लिये एक दिन ठहराया, और बहुत लोग उसके यहां इकट्ठे हुए, और वह परमेश्वर के राज्य की गवाही देता हुआ, और मूसा की व्यवस्था और भविष्यद्वक्ताओं की पुस्तकों से यीशु के विषय में समझा समझाकर भोर से सांझ तक वर्णन करता रहा।
Tab unhonne uske liye ek din thahraya, aur bahut log uske yahan ikatthe hue, aur vah Parmeshwar ke rajya ki gavahi deta huaa, aur Musa ki vyavastha aur bhavishyadwaktaon ki pustakon se Yeshu ke vishay mein samjha samjhakar bhor se saanjh tak varnan karta raha.
तब कितनों ने उन बातों को मान लिया, और कितनों ने प्रतीति न की।
Tab kitnon ne un baton ko maan liya, aur kitnon ne prateeti na ki.
जब आपस में एक मत न हुए, तो पौलुस के इस एक बात के कहने पर चले गए, कि पवित्र आत्मा ने यशायाह भविष्यद्वक्ता के द्वारा तुम्हारे बाप दादों से अच्छा कहा, कि जाकर इन लोगों से कह।
Jab aapas mein ek mat na hue, to Paulus ke is ek baat ke kahne par chale gaye, ki pavitra aatma ne yashayaah bhavishyadwakta ke dwara tumhare baap dadon se achchha kaha, ki jakar in logon se kah.
कि सुनते तो रहोगे, परन्तु न समझोगे, और देखते तो रहोगे, परन्तु न बुझोगे।
Ki sunte to rahoge, parantu na samjhoge, aur dekhte to rahoge, parantu na bujhoge.
क्योंकि इन लोगों का मन मोटा, और उन के कान भारी हो गए, और उन्होंने अपनी आंखें बन्द की हैं, ऐसा न हो कि वे कभी आंखों से देखें, और कानों से सुनें, और मन से समझें और फिरें, और मैं उन्हें चंगा करूं।
Kyonki in logon ka man mota, aur un ke kaan bhari ho gaye, aur unhonne apni aankhein band ki hain, aisa na ho ki ve kabhi aankhon se dekhein, aur kanon se sunein, aur man se samjhein aur phirein, aur main unhein changa karun.
सो तुम जानो, कि परमेश्वर के इस उद्धार की कथा अन्यजातियों के पास भेजी गई है, और वे सुनेंगे।
So tum jano, ki Parmeshwar ke is uddhaar ki katha anyajatiyon ke paas bheji gai hai, aur ve sunenge.
जब उस ने यह कहा तो यहूदी आपस में बहुत विवाद करने लगे और वहां से चले गए॥
Jab us ne yah kaha to Yahudi aapas mein bahut vivaad karne lage aur vahan se chale gaye.
और वह पूरे दो वर्ष अपने भाड़े के घर में रहा।
Aur vah poore do varsh apne bhade ke ghar mein raha.
और जो उसके पास आते थे, उन सब से मिलता रहा और बिना रोक टोक बहुत निडर होकर परमेश्वर के राज्य का प्रचार करता और प्रभु यीशु मसीह की बातें सिखाता रहा॥
Aur jo uske paas aate the, un sab se milta raha aur bina rok tok bahut nidar hokar Parmeshwar ke rajya ka prachaar karta aur Prabhu Yeshu Masih ki batein sikhata raha.