Psalms 96 · 13 verses

भजन संहिता 96 Psalms 96 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 96.

1

यहोवा के लिये एक नया गीत गाओ, हे सारी पृथ्वी के लोगों यहोवा के लिये गाओ!

Yahowa ke liye ek naya geet gao, he sari prithvi ke logon Yahowa ke liye gao!

2

यहोवा के लिये गाओ, उसके नाम को धन्य कहो; दिन दिन उसके किए हुए उद्धार का शुभ समाचार सुनाते रहो।

Yahowa ke liye gao, uske naam ko dhanya kaho; din din uske kiye hue uddhaar ka shubh samachaar sunate raho.

3

अन्य जातियों में उसकी महिमा का, और देश देश के लोगों में उसके आश्चर्यकर्मों का वर्णन करो।

Anya jatiyon mein uski mahima ka, aur desh desh ke logon mein uske aashcharyakarmon ka varnan karo.

4

क्योंकि यहोवा महान और अति स्तुति के योग्य है; वह तो सब देवताओं से अधिक भय योग्य है।

Kyonki Yahowa mahaan aur ati stuti ke yogya hai; vah to sab devtaon se adhik bhay yogya hai.

5

क्योंकि देश देश के सब देवता तो मूरतें ही हैं; परन्तु यहोवा ही ने स्वर्ग को बनाया है।

Kyonki desh desh ke sab devta to moortein hi hain; parantu Yahowa hi ne swarg ko banaya hai.

6

उसके चारों और वैभव और ऐश्वर्य है; उसके पवित्र स्थान में सामर्थ्य और शोभा है।

Uske charon aur vaibhav aur aishwarya hai; uske pavitra sthaan mein samarthya aur shobha hai.

7

हे देश देश के कुलों, यहोवा का गुणानुवाद करो, यहोवा की महिमा और सामर्थ्य को मानो!

He desh desh ke kulon, Yahowa ka gunanuvaad karo, Yahowa ki mahima aur samarthya ko mano!

8

यहोवा के नाम की ऐसी महिमा करो जो उसके योग्य है; भेंट ले कर उसके आंगनों में आओ!

Yahowa ke naam ki aisi mahima karo jo uske yogya hai; bhent le kar uske aangnon mein aao!

9

पवित्रता से शोभायमान होकर यहोवा को दण्डवत करो; हे सारी पृथ्वी के लोगों उसके साम्हने कांपते रहो!

Pavitrata se shobhaymaan hokar Yahowa ko dandavat karo; he sari prithvi ke logon uske samhane kampte raho!

10

जाति जाति में कहो, यहोवा राजा हुआ है! और जगत ऐसा स्थिर है, कि वह टलने का नहीं; वह देश देश के लोगों का न्याय सीधाई से करेगा॥

Jati jati mein kaho, Yahowa raja huaa hai! Aur jagat aisa sthir hai, ki vah talne ka nahi; vah desh desh ke logon ka nyaay seedhai se karega.

11

आकाश आनन्द करे, और पृथ्वी मगन हो; समुद्र और उस में की सब वस्तुएं गरज उठें;

Aakaash aanand kare, aur prithvi magan ho; samudra aur us mein ki sab vastuein garaj uthein;

12

मैदान और जो कुछ उस में है, वह प्रफुल्लित हो; उसी समय वन के सारे वृक्ष जयजयकार करेंगे।

Maidaan aur jo kuchh us mein hai, vah praphullit ho; usi samay van ke sare vriksh jayjaykaar karenge.

13

यह यहोवा के साम्हने हो, क्योंकि वह आने वाला है। वह पृथ्वी का न्याय करने को आने वाला है, वह धर्म से जगत का, और सच्चाई से देश देश के लोगों का न्याय करेगा॥

Yah Yahowa ke samhane ho, kyonki vah aane vala hai. Vah prithvi ka nyaay karne ko aane vala hai, vah dharm se jagat ka, aur sachchai se desh desh ke logon ka nyaay karega.