यहोवा राजा हुआ है, पृथ्वी मगन हो; और द्वीप जो बहुतेरे हैं, वह भी आनन्द करें!
Yahowa raja huaa hai, prithvi magan ho; aur dweep jo bahutere hain, vah bhi aanand karein!
Psalms 97 · 12 verses
यहोवा राजा हुआ है, पृथ्वी मगन हो; और द्वीप जो बहुतेरे हैं, वह भी आनन्द करें!
Yahowa raja huaa hai, prithvi magan ho; aur dweep jo bahutere hain, vah bhi aanand karein!
बादल और अन्धकार उसके चारों ओर हैं; उसके सिंहासन का मूल धर्म और न्याय है।
Badal aur andhakaar uske charon or hain; uske sinhasan ka mool dharm aur nyaay hai.
उसके आगे आगे आग चलती हुई उसके द्रोहियों को चारों ओर भस्म करती है।
Uske aage aage aag chalti hui uske drohiyon ko charon or bhasm karti hai.
उसकी बिजलियों से जगत प्रकाशित हुआ, पृथ्वी देखकर थरथरा गई है!
Uski bijliyon se jagat prakashit huaa, prithvi dekhkar tharathra gai hai!
पहाड़ यहोवा के साम्हने, मोम की नाईं पिघल गए, अर्थात सारी पृथ्वी के परमेश्वर के साम्हने॥
Pahaad Yahowa ke samhane, mom ki nai pighal gaye, arthaat sari prithvi ke Parmeshwar ke samhane.
आकाश ने उसके धर्म की साक्षी दी; और देश देश के सब लोगों ने उसकी महिमा देखी है।
Aakaash ne uske dharm ki sakshi di; aur desh desh ke sab logon ne uski mahima dekhi hai.
जितने खुदी हुई मूर्तियों की उपासना करते और मूरतों पर फूलते हैं, वे लज्जित हों; हे सब देवताओं तुम उसी को दण्डवत करो।
Jitne khudi hui moortiyon ki upasna karte aur moorton par phoolte hain, ve lajjit hon; he sab devtaon tum usi ko dandavat karo.
सिय्योन सुन कर आनन्दित हुई, और यहूदा की बेटियां मगन हुईं; हे यहोवा, यह तेरे नियमों के कारण हुआ।
Siyyon sun kar aanandit hui, aur Yahuda ki betiyan magan hui; he Yahowa, yah tere niymon ke karan huaa.
क्योंकि हे यहोवा, तू सारी पृथ्वी के ऊपर परमप्रधान है; तू सारे देवताओं से अधिक महान ठहरा है।
Kyonki he Yahowa, tu sari prithvi ke oopar parmapradhaan hai; tu sare devtaon se adhik mahaan thahra hai.
हे यहोवा के प्रेमियों, बुराई से घृणा करो; वह अपने भक्तों के प्राणों की रक्षा करता, और उन्हें दुष्टों के हाथ से बचाता है।
He Yahowa ke premiyon, burai se ghrina karo; vah apne bhakton ke pranon ki raksha karta, aur unhein dushton ke haath se bachata hai.
धर्मी के लिये ज्योति, और सीधे मन वालों के लिये आनन्द बोया गया है।
Dharmi ke liye jyoti, aur seedhe man valon ke liye aanand boya gaya hai.
हे धर्मियों यहोवा के कारण आनन्दित हो; और जिस पवित्र नाम से उसका स्मरण होता है, उसका धन्यवाद करो!
He dharmiyon Yahowa ke karan aanandit ho; aur jis pavitra naam se uska smaran hota hai, uska dhanyavaad karo!