Psalms 87 · 7 verses

भजन संहिता 87 Psalms 87 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 87.

1

उसकी नेव पवित्र पर्वतों में है;

Uski nev pavitra parvaton mein hai;

2

और यहोवा सिय्योन के फाटकों को याकूब के सारे निवासों से बढ़ कर प्रीति रखता है।

Aur Yahowa siyyon ke phatkon ko Yakub ke sare nivason se badh kar preeti rakhta hai.

3

हे परमेश्वर के नगर, तेरे विषय महिमा की बातें कही गई हैं।

He Parmeshwar ke nagar, tere vishay mahima ki batein kahi gai hain.

4

मैं अपने जान- पहचान वालों से रहब और बाबेल की भी चर्चा करूंगा; पलिश्त, सोर और कूश को देखो, यह वहां उत्पन्न हुआ था।

Main apne jaan- pahchaan valon se rahab aur babel ki bhi charcha karoonga; palisht, sor aur koosh ko dekho, yah vahan utpann huaa tha.

5

और सिय्योन के विषय में यह कहा जाएगा, कि अमुक अमुक मनुष्य उस में उत्पन्न हुआ था; और परमप्रधान आप ही उसको स्थिर रखेगा।

Aur siyyon ke vishay mein yah kaha jayega, ki amuk amuk manushya us mein utpann huaa tha; aur parmapradhaan aap hi usko sthir rakhega.

6

यहोवा जब देश देश के लोगों के नाम लिख कर गिन लेगा, तब यह कहेगा, कि यह वहां उत्पन्न हुआ था॥

Yahowa jab desh desh ke logon ke naam likh kar gin lega, tab yah kahega, ki yah vahan utpann huaa tha.

7

गवैये और नृतक दोनों कहेंगे कि हमारे सब सोते तुझी में पाए जाते हैं॥

Gavaiye aur nritak donon kahenge ki hamare sab sote tujhi mein paye jate hain.