Psalms 85 · 13 verses

भजन संहिता 85 Psalms 85 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 85.

1

हे यहोवा, तू अपने देश पर प्रसन्न हुआ, याकूब को बन्धुआई से लौटा ले आया है।

He Yahowa, tu apne desh par prasann huaa, Yakub ko bandhuaai se lauta le aaya hai.

2

तू ने अपनी प्रजा के अधर्म को क्षमा किया है; और उसके सब पापों को ढांप दिया है।

Tu ne apni praja ke adharm ko kshama kiya hai; aur uske sab papon ko dhaamp diya hai.

3

तू ने अपने रोष को शान्त किया है; और अपने भड़के हुए कोप को दूर किया है॥

Tu ne apne rosh ko shaant kiya hai; aur apne bhadke hue kop ko door kiya hai.

4

हे हमारे उद्धारकर्ता परमेश्वर हम को फेर, और अपना क्रोध हम पर से दूर कर!

He hamare uddharkarta Parmeshwar ham ko pher, aur apna krodh ham par se door kar!

5

क्या तू हम पर सदा कोपित रहेगा? क्या तू पीढ़ी से पीढ़ी तक कोप करता रहेगा?

Kya tu ham par sada kopit rahega? Kya tu peedhi se peedhi tak kop karta rahega?

6

क्या तू हम को फिर न जिलाएगा, कि तेरी प्रजा तुझ में आनन्द करे?

Kya tu ham ko phir na jilayega, ki teri praja tujh mein aanand kare?

7

हे यहोवा अपनी करूणा हमें दिखा, और तू हमारा उद्धार कर॥

He Yahowa apni karoona hamein dikha, aur tu hamara uddhaar kar.

8

मैं कान लगाए रहूंगा, कि ईश्वर यहोवा क्या कहता है, वह तो अपनी प्रजा से जो उसके भक्त है, शान्ति की बातें कहेगा; परन्तु वे फिर के मूर्खता न करने लगें।

Main kaan lagaye rahoonga, ki ishwar Yahowa kya kahta hai, vah to apni praja se jo uske bhakt hai, shanti ki batein kahega; parantu ve phir ke moorkhata na karne lagein.

9

निश्चय उसके डरवैयों के उद्धार का समय निकट है, तब हमारे देश में महिमा का निवास होगा॥

Nishchay uske darvaiyon ke uddhaar ka samay nikat hai, tab hamare desh mein mahima ka nivaas hoga.

10

करूणा और सच्चाई आपस में मिल गई हैं; धर्म और मेल ने आपस में चुम्बन किया है।

Karoona aur sachchai aapas mein mil gai hain; dharm aur mel ne aapas mein chumban kiya hai.

11

पृथ्वी में से सच्चाई उगती और स्वर्ग से धर्म झुकता है।

Prithvi mein se sachchai ugti aur swarg se dharm jhukta hai.

12

फिर यहोवा उत्तम पदार्थ देगा, और हमारी भूमि अपनी उपज देगी।

Phir Yahowa uttam padaarth dega, aur hamari bhoomi apni upaj degi.

13

धर्म उसके आगे आगे चलेगा, और उसके पांवों के चिन्हों को हमारे लिये मार्ग बनाएगा॥

Dharm uske aage aage chalega, aur uske panvon ke chinhon ko hamare liye maarg banayega.