Psalms 82 · 8 verses

भजन संहिता 82 Psalms 82 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 82.

1

परमेश्वर की सभा में परमेश्वर ही खड़ा है; वह ईश्वरों के बीच में न्याय करता है।

Parmeshwar ki sabha mein Parmeshwar hi khada hai; vah ishwaron ke beech mein nyaay karta hai.

2

तुम लोग कब तक टेढ़ा न्याय करते और दुष्टों का पक्ष लेते रहोगे?

Tum log kab tak tedha nyaay karte aur dushton ka paksh lete rahoge?

3

कंगाल और अनाथों का न्याय चुकाओ, दीन दरिद्र का विचार धर्म से करो।

Kangaal aur anathon ka nyaay chukao, deen daridra ka vichaar dharm se karo.

4

कंगाल और निर्धन को बचा लो; दुष्टों के हाथ से उन्हें छुड़ाओ॥

Kangaal aur nirdhan ko bacha lo; dushton ke haath se unhein chhudao.

5

वे न तो कुछ समझते और न कुछ बूझते हैं, परन्तु अन्धेरे में चलते फिरते रहते हैं; पृथ्वी की पूरी नीव हिल जाती है॥

Ve na to kuchh samajhte aur na kuchh boojhte hain, parantu andhere mein chalte phirte rahte hain; prithvi ki poori neev hil jati hai.

6

मैं ने कहा था कि तुम ईश्वर हो, और सब के सब परमप्रधान के पुत्र हो;

Main ne kaha tha ki tum ishwar ho, aur sab ke sab parmapradhaan ke putra ho;

7

तौभी तुम मनुष्यों की नाईं मरोगे, और किसी प्रधान के समान गिर जाओगे॥

Taubhi tum manushyon ki nai maroge, aur kisi pradhaan ke samaan gir jaoge.

8

हे परमेश्वर उठ, पृथ्वी का न्याय कर; क्योंकि तू ही सब जातियों को अपने भाग में लेगा!

He Parmeshwar uth, prithvi ka nyaay kar; kyonki tu hi sab jatiyon ko apne bhaag mein lega!