हे यहोवा हमारे प्रभु, तेरा नाम सारी पृथ्वी पर क्या ही प्रतापमय है! तू ने अपना वैभव स्वर्ग पर दिखाया है।
He Yahowa hamare Prabhu, tera naam sari prithvi par kya hi pratapmay hai! Tu ne apna vaibhav swarg par dikhaya hai.
Psalms 8 · 9 verses
हे यहोवा हमारे प्रभु, तेरा नाम सारी पृथ्वी पर क्या ही प्रतापमय है! तू ने अपना वैभव स्वर्ग पर दिखाया है।
He Yahowa hamare Prabhu, tera naam sari prithvi par kya hi pratapmay hai! Tu ne apna vaibhav swarg par dikhaya hai.
तू ने अपने बैरियों के कारण बच्चों और दूध पिउवों के द्वारा सामर्थ्य की नेव डाली है, ताकि तू शत्रु और पलटा लेने वालों को रोक रखे।
Tu ne apne bairiyon ke karan bachchon aur doodh piuvon ke dwara samarthya ki nev dali hai, taki tu shatru aur palta lene valon ko rok rakhe.
जब मैं आकाश को, जो तेरे हाथों का कार्य है, और चंद्रमा और तरागण को जो तू ने नियुक्त किए हैं, देखता हूं;
Jab main aakaash ko, jo tere hathon ka karya hai, aur chandrama aur taragan ko jo tu ne niyukt kiye hain, dekhta hoon;
तो फिर मनुष्य क्या है कि तू उसका स्मरण रखे, और आदमी क्या है कि तू उसकी सुधि ले?
To phir manushya kya hai ki tu uska smaran rakhe, aur aadmi kya hai ki tu uski sudhi le?
क्योंकि तू ने उसको परमेश्वर से थोड़ा ही कम बनाया है, और महिमा और प्रताप का मुकुट उसके सिर पर रखा है।
Kyonki tu ne usko Parmeshwar se thoda hi kam banaya hai, aur mahima aur prataap ka mukut uske sir par rakha hai.
तू ने उसे अपने हाथों के कार्यों पर प्रभुता दी है; तू ने उसके पांव तले सब कुछ कर दिया है।
Tu ne use apne hathon ke karyon par prabhuta di hai; tu ne uske paanv tale sab kuchh kar diya hai.
सब भेड़- बकरी और गाय- बैल और जितने वनपशु हैं,
Sab bhed- bakri aur gaay- bail aur jitne vanapshu hain,
आकाश के पक्षी और समुद्र की मछलियां, और जितने जीव- जन्तु समुद्रों में चलते फिरते हैं।
Aakaash ke pakshi aur samudra ki machhliyan, aur jitne jeev- jantu samudron mein chalte phirte hain.
हे यहोवा, हे हमारे प्रभु, तेरा नाम सारी पृथ्वी पर क्या ही प्रतापमय है॥
He Yahowa, he hamare Prabhu, tera naam sari prithvi par kya hi pratapmay hai.