Psalms 76 · 12 verses

भजन संहिता 76 Psalms 76 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 76.

1

परमेश्वर यहूदा में जाना गया है, उसका नाम इस्राएल में महान हुआ है।

Parmeshwar Yahuda mein jana gaya hai, uska naam Israel mein mahaan huaa hai.

2

और उसका मण्डप शालेम में, और उसका धाम सिय्योन में है।

Aur uska mandap shalem mein, aur uska dhaam siyyon mein hai.

3

वहां उसने चमचमाते तीरों को, और ढाल और तलवार को तोड़कर, निदान लड़ाई ही को तोड़ डाला है॥

Vahan usne chamachmate teeron ko, aur dhaal aur talvaar ko todkar, nidaan ladai hi ko tod dala hai.

4

हे परमेश्वर तू तो ज्योतिमय है; तू अहेर से भरे हुए पहाड़ों से अधिक उत्तम और महान है।

He Parmeshwar tu to jyotimay hai; tu aher se bhare hue pahadon se adhik uttam aur mahaan hai.

5

दृढ़ मन वाले लुट गए, और भरी नींद में पड़े हैं;

Dridh man vale lut gaye, aur bhari neend mein pade hain;

6

और शूरवीरों में से किसी का हाथ न चला। हे याकूब के परमेश्वर, तेरी घुड़की से, रथों समेत घोड़े भारी नींद में पड़े हैं।

Aur shoorveeron mein se kisi ka haath na chala. He Yakub ke Parmeshwar, teri ghudki se, rathon samet ghode bhari neend mein pade hain.

7

केवल तू ही भय योग्य है; और जब तू क्रोध करने लगे, तब तेरे साम्हने कौन खड़ा रह सकेगा?

Keval tu hi bhay yogya hai; aur jab tu krodh karne lage, tab tere samhane kaun khada rah sakega?

8

तू ने स्वर्ग से निर्णय सुनाया है; पृथ्वी उस समय सुनकर डर गई, और चुप रही,

Tu ne swarg se nirnay sunaya hai; prithvi us samay sunkar dar gai, aur chup rahi,

9

जब परमेश्वर न्याय करने को, और पृथ्वी के सब नम्र लोगों का उद्धार करने को उठा॥

Jab Parmeshwar nyaay karne ko, aur prithvi ke sab namra logon ka uddhaar karne ko utha.

10

निश्चय मनुष्य की जलजलाहट तेरी स्तुति का कारण हो जाएगी, और जो जलजलाहट रह जाए, उसको तू रोकेगा।

Nishchay manushya ki jalajlahat teri stuti ka karan ho jayegi, aur jo jalajlahat rah jaye, usko tu rokega.

11

अपने परमेश्वर यहोवा की मन्नत मानो, और पूरी भी करो; वह जो भय के योग्य है, उसके आस पास के सब उसके लिये भेंट ले आएं।

Apne Parmeshwar Yahowa ki mannat mano, aur poori bhi karo; vah jo bhay ke yogya hai, uske aas paas ke sab uske liye bhent le aayen.

12

वह तो प्रधानों का अभिमान मिटा देगा; वह पृथ्वी के राजाओं को भय योग्य जान पड़ता है॥

Vah to pradhanon ka abhimaan mita dega; vah prithvi ke rajaon ko bhay yogya jaan padta hai.