Psalms 75 · 10 verses

भजन संहिता 75 Psalms 75 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 75.

1

हे परमेश्वर हम तेरा धन्यवाद करते, हम तेरा नाम का धन्यवाद करते हैं; क्योंकि तेरा नाम प्रगट हुआ है, तेरे आश्चर्यकर्मों का वर्णन हो रहा है॥

He Parmeshwar ham tera dhanyavaad karte, ham tera naam ka dhanyavaad karte hain; kyonki tera naam pragat huaa hai, tere aashcharyakarmon ka varnan ho raha hai.

2

जब ठीक समय आएगा तब मैं आप ही ठीक ठीक न्याय करूंगा।

Jab theek samay aayega tab main aap hi theek theek nyaay karoonga.

3

पृथ्वी अपने सब रहने वालों समेत डोल रही है, मैं ने उसके खम्भों को स्थिर कर दिया है।

Prithvi apne sab rahne valon samet dol rahi hai, main ne uske khambhon ko sthir kar diya hai.

4

मैं ने घमंडियों से कहा, घमंड मत करो, और दुष्टों से, कि सींग ऊंचा मत करो;

Main ne ghamandiyon se kaha, ghamand mat karo, aur dushton se, ki seeng ooncha mat karo;

5

अपना सींग बहुत ऊंचा मत करो, न सिर उठा कर ढिठाई की बात बोलो॥

Apna seeng bahut ooncha mat karo, na sir utha kar dhithai ki baat bolo.

6

क्योंकि बढ़ती न तो पूरब से न पच्छिम से, और न जंगल की ओर से आती है;

Kyonki badhti na to poorab se na pachchhim se, aur na jangal ki or se aati hai;

7

परन्तु परमेश्वर ही न्यायी है, वह एक को घटाता और दूसरे को बढ़ाता है।

Parantu Parmeshwar hi nyayi hai, vah ek ko ghatata aur doosre ko badhata hai.

8

यहोवा के हाथ में एक कटोरा है, जिस में का दाखमधु झाग वाला है; उस में मसाला मिला है, और वह उस में से उंडेलता है, निश्चय उसकी तलछट तक पृथ्वी के सब दृष्ट लोग पी जाएंगे॥

Yahowa ke haath mein ek katora hai, jis mein ka dakhamdhu jhaag vala hai; us mein masala mila hai, aur vah us mein se undelta hai, nishchay uski talchhat tak prithvi ke sab drisht log pi jayenge.

9

परन्तु मैं तो सदा प्रचार करता रहूंगा, मैं याकूब के परमेश्वर का भजन गाऊंगा।

Parantu main to sada prachaar karta rahoonga, main Yakub ke Parmeshwar ka bhajan gaoonga.

10

दुष्टों के सब सींगों को मैं काट डालूंगा, परन्तु धर्मी के सींग ऊंचे किए जाएंगे।

Dushton ke sab seengon ko main kaat daloonga, parantu dharmi ke seeng oonche kiye jayenge.