Psalms 72 · 20 verses

भजन संहिता 72 Psalms 72 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 72.

1

हे परमेश्वर, राजा को अपना नियम बता, राजपुत्र को अपना धर्म सिखला!

He Parmeshwar, raja ko apna niyam bata, rajputra ko apna dharm sikhla!

2

वह तेरी प्रजा का न्याय धर्म से, और तेरे दीन लोगों का न्याय ठीक ठीक चुकाएगा।

Vah teri praja ka nyaay dharm se, aur tere deen logon ka nyaay theek theek chukayega.

3

पहाड़ों और पहाड़ियों से प्रजा के लिये, धर्म के द्वारा शान्ति मिला करेगी

Pahadon aur pahadiyon se praja ke liye, dharm ke dwara shanti mila karegi

4

वह प्रजा के दीन लोगों का न्याय करेगा, और दरिद्र लोगों को बचाएगा; और अन्धेर करने वालों को चूर करेगा॥

Vah praja ke deen logon ka nyaay karega, aur daridra logon ko bachayega; aur andher karne valon ko choor karega.

5

जब तक सूर्य और चन्द्रमा बने रहेंगे तब तक लोग पीढ़ी- पीढ़ी तेरा भय मानते रहेंगे।

Jab tak soorya aur chandrama bane rahenge tab tak log peedhi- peedhi tera bhay mante rahenge.

6

वह घास की खूंटी पर बरसने वाले मेंह, और भूमि सींचने वाली झाड़ियों के समान होगा।

Vah ghaas ki khoonti par barasne vale menh, aur bhoomi seenchne vali jhadiyon ke samaan hoga.

7

उसके दिनों में धर्मी फूले फलेंगे, और जब तक चन्द्रमा बना रहेगा, तब तक शान्ति बहुत रहेगी॥

Uske dinon mein dharmi phoole phalenge, aur jab tak chandrama bana rahega, tab tak shanti bahut rahegi.

8

वह समुद्र से समुद्र तक और महानद से पृथ्वी की छोर तक प्रभुता करेगा।

Vah samudra se samudra tak aur mahanad se prithvi ki chhor tak prabhuta karega.

9

उसके साम्हने जंगल के रहने वाले घुटने टेकेंगे, और उसके शत्रु मिट्टी चाटेंगे।

Uske samhane jangal ke rahne vale ghutne tekenge, aur uske shatru mitti chatenge.

10

तर्शीश और द्वीप द्वीप के राजा भेंट ले आएंगे, शेबा और सबा दोनों के राजा द्रव्य पहुंचाएंगे।

Tarsheesh aur dweep dweep ke raja bhent le aayenge, sheba aur saba donon ke raja dravya pahunchayenge.

11

सब राजा दण्डवत करेंगे, जाति जाति के लोग उसके आधीन हो जाएंगे॥

Sab raja dandavat karenge, jati jati ke log uske aadheen ho jayenge.

12

क्योंकि वह दोहाई देने वाले दरिद्र को, और दु:खी और असहाय मनुष्य का उद्धार करेगा।

Kyonki vah dohai dene vale daridra ko, aur dukhi aur ashaay manushya ka uddhaar karega.

13

वह कंगाल और दरिद्र पर तरस खाएगा, और दरिद्रों के प्राणों को बचाएगा।

Vah kangaal aur daridra par taras khayega, aur daridron ke pranon ko bachayega.

14

वह उनके प्राणों को अन्धेर और उपद्रव से छुड़ा लेगा; और उनका लोहू उसकी दृष्टि में अनमोल ठहरेगा॥

Vah unke pranon ko andher aur upadrav se chhuda lega; aur unka lohu uski drishti mein anmol thahrega.

15

वह तो जीवित रहेगा और शेबा के सोने में से उसको दिया जाएगा। लोग उसके लिये नित्य प्रार्थना करेंगे; और दिन भर उसको धन्य कहते रहेंगे।

Vah to jeevit rahega aur sheba ke sone mein se usko diya jayega. Log uske liye nitya prarthana karenge; aur din bhar usko dhanya kahte rahenge.

16

देश में पहाड़ों की चोटियों पर बहुत सा अन्न होगा; जिसकी बालें लबानोन के देवदारों की नाईं झूमेंगी; और नगर के लोग घास की नाईं लहलहाएंगे।

Desh mein pahadon ki chotiyon par bahut sa ann hoga; jiski balein labanon ke devdaron ki nai jhoomengi; aur nagar ke log ghaas ki nai lahalhayenge.

17

उसका नाम सदा सर्वदा बना रहेगा; जब तक सूर्य बना रहेगा, तब तक उसका नाम नित्य नया होता रहेगा, और लोग अपने को उसके कारण धन्य गिनेंगे, सारी जातियां उसको भाग्यवान कहेंगी॥

Uska naam sada sarvada bana rahega; jab tak soorya bana rahega, tab tak uska naam nitya naya hota rahega, aur log apne ko uske karan dhanya ginenge, sari jatiyan usko bhagyavaan kahengi.

18

धन्य है, यहोवा परमेश्वर जो इस्राएल का परमेश्वर है; आश्चर्य कर्म केवल वही करता है।

Dhanya hai, Yahowa Parmeshwar jo Israel ka Parmeshwar hai; aashcharya karm keval vahi karta hai.

19

उसका महिमायुक्त नाम सर्वदा धन्य रहेगा; और सारी पृथ्वी उसकी महिमा से परिपूर्ण होगी। आमीन फिर आमीन॥

Uska mahimayukt naam sarvada dhanya rahega; aur sari prithvi uski mahima se paripoorn hogi. Aamin phir Aamin.

20

यिशै के पुत्र दाऊद की प्रार्थना समाप्त हुई॥

Yishai ke putra Daud ki prarthana samaapt hui.