Psalms 67 · 7 verses

भजन संहिता 67 Psalms 67 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 67.

1

परमेश्वर हम पर अनुग्रह करे और हम को आशीष दे; वह हम पर अपने मुख का प्रकाश चमकाए

Parmeshwar ham par anugrah kare aur ham ko aasheesh de; vah ham par apne mukh ka prakaash chamkaye

2

जिस से तेरी गति पृथ्वी पर, और तेरा किया हुआ उद्धार सारी जातियों में जाना जाए।

Jis se teri gati prithvi par, aur tera kiya huaa uddhaar sari jatiyon mein jana jaye.

3

हे परमेश्वर, देश देश के लोग तेरा धन्यवाद करें; देश देश के सब लोग तेरा धन्यवाद करें॥

He Parmeshwar, desh desh ke log tera dhanyavaad karein; desh desh ke sab log tera dhanyavaad karein.

4

राज्य राज्य के लोग आनन्द करें, और जयजयकार करें, क्योंकि तू देश देश के लोगों का न्याय धर्म से करेगा, और पृथ्वी के राज्य राज्य के लोगों की अगुवाई करेगा॥

Rajya rajya ke log aanand karein, aur jayjaykaar karein, kyonki tu desh desh ke logon ka nyaay dharm se karega, aur prithvi ke rajya rajya ke logon ki aguvai karega.

5

हे परमेश्वर, देश देश के लोग तेरा धन्यवाद करें; देश देश के सब लोग तेरा धन्यवाद करें॥

He Parmeshwar, desh desh ke log tera dhanyavaad karein; desh desh ke sab log tera dhanyavaad karein.

6

भूमि ने अपनी उपज दी है, परमेश्वर जो हमारा परमेश्वर है, उसने हमें आशीष दी है।

Bhoomi ne apni upaj di hai, Parmeshwar jo hamara Parmeshwar hai, usne hamein aasheesh di hai.

7

परमेश्वर हम को आशीष देगा; और पृथ्वी के दूर दूर देशों के सब लोग उसका भय मानेंगे॥

Parmeshwar ham ko aasheesh dega; aur prithvi ke door door deshon ke sab log uska bhay manenge.