Psalms 57 · 11 verses

भजन संहिता 57 Psalms 57 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 57.

1

हे परमेश्वर, मुझ पर अनुग्रह कर, मुझ पर अनुग्रह कर, क्योंकि मैं तेरा शरणागत हूं; और जब तक ये आपत्तियां निकल न जाएं, तब तक मैं तेरे पंखों के तले शरण लिए रहूंगा।

He Parmeshwar, mujh par anugrah kar, mujh par anugrah kar, kyonki main tera sharnagat hoon; aur jab tak ye aapattiyan nikal na jayen, tab tak main tere pankhon ke tale sharan liye rahoonga.

2

मैं परम प्रधान परमेश्वर को पुकारूंगा, ईश्वर को जो मेरे लिये सब कुछ सिद्ध करता है।

Main param pradhaan Parmeshwar ko pukaroonga, ishwar ko jo mere liye sab kuchh siddh karta hai.

3

ईश्वर स्वर्ग से भेजकर मुझे बचा लेगा, जब मेरा निगलने वाला निन्दा कर रहा हो। परमेश्वर अपनी करूणा और सच्चाई प्रगट करेगा॥

Ishwar swarg se bhejkar mujhe bacha lega, jab mera nigalne vala ninda kar raha ho. Parmeshwar apni karoona aur sachchai pragat karega.

4

मेरा प्राण सिंहों के बीच में है, मुझे जलते हुओं के बीच में लेटना पड़ता है, अर्थात ऐसे मनुष्यों के बीच में जिन के दांत बर्छी और तीर हैं, और जिनकी जीभ तेज तलवार है॥

Mera praan sinhon ke beech mein hai, mujhe jalte huon ke beech mein letna padta hai, arthaat aise manushyon ke beech mein jin ke daant barchhi aur teer hain, aur jinki jeebh tej talvaar hai.

5

हे परमेश्वर तू स्वर्ग के ऊपर अति महान और तेजोमय है, तेरी महिमा सारी पृथ्वी के ऊपर फैल जाए!

He Parmeshwar tu swarg ke oopar ati mahaan aur tejomay hai, teri mahima sari prithvi ke oopar phail jaye!

6

उन्होंने मेरे पैरों के लिये जाल लगाया है; मेरा प्राण ढला जाता है। उन्होंने मेरे आगे गड़हा खोदा, परन्तु आप ही उस में गिर पड़े॥

Unhonne mere pairon ke liye jaal lagaya hai; mera praan dhala jata hai. Unhonne mere aage gadha khoda, parantu aap hi us mein gir pade.

7

हे परमेश्वर, मेरा मन स्थिर है, मेरा मन स्थिर है; मैं गाऊंगा वरन भजन कीर्तन करूंगा।

He Parmeshwar, mera man sthir hai, mera man sthir hai; main gaoonga varan bhajan keertan karoonga.

8

हे मेरी आत्मा जाग जा! हे सारंगी और वीणा जाग जाओ। मैं भी पौ फटते ही जाग उठूंगा।

He meri aatma jaag ja! He sarangi aur veena jaag jao. Main bhi pau phatte hi jaag uthoonga.

9

हे प्रभु, मैं देश के लोगों के बीच तेरा धन्यवाद करूंगा; मैं राज्य राज्य के लोगों के बीच में तेरा भजन गाऊंगा।

He Prabhu, main desh ke logon ke beech tera dhanyavaad karoonga; main rajya rajya ke logon ke beech mein tera bhajan gaoonga.

10

क्योंकि तेरी करूणा स्वर्ग तक बड़ी है, और तेरी सच्चाई आकाशमण्डल तक पहुंचती है॥

Kyonki teri karoona swarg tak badi hai, aur teri sachchai aakashmandal tak pahunchti hai.

11

हे परमेश्वर, तू स्वर्ग के ऊपर अति महान है! तेरी महिमा सारी पृथ्वी के ऊपर फैल जाए!

He Parmeshwar, tu swarg ke oopar ati mahaan hai! Teri mahima sari prithvi ke oopar phail jaye!