हे देश देश के सब लोगों यह सुनो! हे संसार के सब निवासियों, कान लगाओ!
He desh desh ke sab logon yah suno! He sansaar ke sab nivasiyon, kaan lagao!
Psalms 49 · 20 verses
हे देश देश के सब लोगों यह सुनो! हे संसार के सब निवासियों, कान लगाओ!
He desh desh ke sab logon yah suno! He sansaar ke sab nivasiyon, kaan lagao!
क्या ऊंच, क्या नीच क्या धनी, क्या दरिद्र, कान लगाओ!
Kya oonch, kya neech kya dhani, kya daridra, kaan lagao!
मेरे मुंह से बुद्धि की बातें निकलेंगी; और मेरे हृदय की बातें समझ की होंगी।
Mere munh se buddhi ki batein niklengi; aur mere hriday ki batein samajh ki hongi.
मैं नीतिवचन की ओर अपना कान लगाऊंगा, मैं वीणा बजाते हुए अपनी गुप्त बात प्रकाशित करूंगा॥
Main neetivchan ki or apna kaan lagaoonga, main veena bajate hue apni gupt baat prakashit karoonga.
विपत्ति के दिनों में जब मैं अपने अड़ंगा मारने वालों की बुराइयों से घिरूं, तब मैं क्यों डरूं?
Vipatti ke dinon mein jab main apne adanga marne valon ki buraiyon se ghirun, tab main kyon darun?
जो अपनी सम्पत्ति पर भरोसा रखते, और अपने धन की बहुतायत पर फूलते हैं,
Jo apni sampatti par bharosa rakhte, aur apne dhan ki bahutayat par phoolte hain,
उन में से कोई अपने भाई को किसी भांति छुड़ा नहीं सकता है; और न परमेश्वर को उसकी सन्ती प्रायश्चित्त में कुछ दे सकता है,
Un mein se koi apne bhai ko kisi bhanti chhuda nahi sakta hai; aur na Parmeshwar ko uski santi prayashchitt mein kuchh de sakta hai,
(क्योंकि उनके प्राण की छुड़ौती भारी है वह अन्त तक कभी न चुका सकेंगे)।
(kyonki unke praan ki chhudauti bhari hai vah ant tak kabhi na chuka sakenge).
कोई ऐसा नहीं जो सदैव जीवित रहे, और कब्र को न देखे॥
Koi aisa nahi jo sadaiv jeevit rahe, aur kabra ko na dekhe.
क्योंकि देखने में आता है, कि बुद्धिमान भी मरते हैं, और मूर्ख और पशु सरीखे मनुष्य भी दोनों नाश होते हैं, और अपनी सम्पत्ति औरों के लिये छोड़ जाते हैं।
Kyonki dekhne mein aata hai, ki buddhimaan bhi marte hain, aur moorkh aur pashu sareekhe manushya bhi donon naash hote hain, aur apni sampatti auron ke liye chhod jate hain.
वे मन ही मन यह सोचते हैं, कि उनका घर सदा स्थिर रहेगा, और उनके निवास पीढ़ी से पीढ़ी तक बने रहेंगे; इसलिये वे अपनी अपनी भूमि का नाम अपने अपने नाम पर रखते हैं।
Ve man hi man yah sochte hain, ki unka ghar sada sthir rahega, aur unke nivaas peedhi se peedhi tak bane rahenge; isliye ve apni apni bhoomi ka naam apne apne naam par rakhte hain.
परन्तु मनुष्य प्रतिष्ठा पाकर भी स्थिर नहीं रहता, वह पशुओं के समान होता है, जो मर मिटते हैं॥
Parantu manushya pratishtha pakar bhi sthir nahi rahta, vah pashuon ke samaan hota hai, jo mar mitte hain.
उनकी यह चाल उनकी मूर्खता है, तौभी उनके बाद लोग उनकी बातों से प्रसन्न होते हैं।
Unki yah chaal unki moorkhata hai, taubhi unke baad log unki baton se prasann hote hain.
वे अधोलोक की मानों भेड़- बकरियां ठहराए गए हैं; मृत्यु उनका गड़ेरिया ठहरी; और बिहान को सीधे लोग उन पर प्रभुता करेंगे; और उनका सुन्दर रूप अधोलोक का कौर हो जाएगा और उनका कोई आधार न रहेगा।
Ve adholok ki manon bhed- bakriyan thahraye gaye hain; mrityu unka gaderiya thahri; aur bihaan ko seedhe log un par prabhuta karenge; aur unka sundar roop adholok ka kaur ho jayega aur unka koi aadhaar na rahega.
परन्तु परमेश्वर मेरे प्राण को अधोलोक के वश से छुड़ा लेगा, क्योंकि वही मुझे ग्रहण कर अपनाएगा॥
Parantu Parmeshwar mere praan ko adholok ke vash se chhuda lega, kyonki vahi mujhe grahan kar apnayega.
जब कोई धनी हो जाए और उसके घर का वैभव बढ़ जाए, तब तू भय न खाना।
Jab koi dhani ho jaye aur uske ghar ka vaibhav badh jaye, tab tu bhay na khana.
क्योंकि वह मर कर कुछ भी साथ न ले जाएगा; न उसका वैभव उसके साथ कब्र में जाएगा।
Kyonki vah mar kar kuchh bhi saath na le jayega; na uska vaibhav uske saath kabra mein jayega.
चाहे वह जीते जी अपने आप को धन्य कहता रहे, (जब तू अपनी भलाई करता है, तब वे लोग तेरी प्रशंसा करते हैं)
Chahe vah jeete ji apne aap ko dhanya kahta rahe, (jab tu apni bhalai karta hai, tab ve log teri prashansa karte hain)
तौभी वह अपने पुरखाओं के समाज में मिलाया जाएगा, जो कभी उजियाला न देखेंगे।
Taubhi vah apne purkhaon ke samaaj mein milaya jayega, jo kabhi ujiyala na dekhenge.
मनुष्य चाहे प्रतिष्ठित भी हों परन्तु यदि वे समझ नहीं रखते, तो वे पशुओं के समान हैं जो मर मिटते हैं॥
Manushya chahe pratishthit bhi hon parantu yadi ve samajh nahi rakhte, to ve pashuon ke samaan hain jo mar mitte hain.